August 17, 201114 yr Koyi ummeed bar naheeN aatii Koyi soorat nazar naheeN aatee Maut ka ek din mu’ayyan hai NeeNd kyuN raat bhar naheeN aaatii? Aage aatii thii haal-e-dil pe haNsi Ab kisii baat par naheeN aatii Jaanta hooN sawaab-e-taa’at-o-zohd Par tabee’at idhar naheeN aatii Hai kuchch aeisee hi baat jo chup huN Warna kya baat kar naheeN aatii KyoN na cheeKHooN K yaad karate haiN Meree aawaaz gar naheeN aatii DaaGH-e-dil gar nazar naheeN aata Boo bhee ae chaaraagar ! naheeN aatii Ham wahaaN haiN jahaaN se hamko bhee Kuchch hamaaree KHabar naheeN aatii Marte haiN aarzoo meiN marne ki Maut aatii hai par naheeN aatii Kaa’baa’ kis muNh se jaaoge ‘GHalib’ Sharm tumko magar naheeN aatii
August 17, 201114 yr Besan kii sondhii roTii pe khaTTii chaTni jaisii maaN Yaad aatii hai chauka besan chimtaa phuknii jaisii maaN Baan ki khurri khaaT ke uupar har aahat par kaan dhare Aadhii soii aadhi jaagi thakii dopahrii jaisii maaN chiRiyoN kii chahkaar se guunje Radha mohan Ali Ali MurGhe kii aawaz se khulti, ghar ki kundi jaisii maaN Biiwii, beti, bahan, paRosan thoRii thorii sii sab meN Din bhar ek rassii ke uupar chaltii naTnii sii maaN BaanT ke apnaa chehraa maatha aankheN jaane kahaaN gayii Phate puraane ek album mein chanchal laRkii jaisii maaN
August 17, 201114 yr Us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa Ab kyaa kaheN ye qissaa puraanaa bahut huaa Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq Ae marg-e-naagahaaN teraa aanaa bahut huaa Ham Khuld se nikal to gaye haiN par ae Khudaa Itne se vaaqa’ay kaa fasaanaa bahut huaa Ab ham haiN aur saare zamaane kii dushmaanii Us se zaraa sa rabt baRhaanaa bahut huaa Ab kyoN na zindagii pe muhabbat ko vaar deN Is aashiqii meN jaan se jaanaa bahut huaa Ab tak to dil ka dil se ta’aaruf na ho sakaa Maanaa ki us se milanaa milaanaa bahut huaa Kya kya na ham Kharaab hue haiN magar ye dil Ae yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bahut huaa Kahtaa thaa naasehoN se mere muuNh na aa_iiyo Phir kya thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa Lo phir tere laboN pe usii bevafaa kaa zikr Ahmad ‘Faraz’ tujh se kahaa naa bahut huaa
August 17, 201114 yr Koi haalat bhi ab taari nahiN hai To kya yeh dil ki naadaari nahiN hai MaiN huN aesey safar par jaaney wala K jis ki koi tayyaari nahiN hai HuN zadd par is tarah teer-e-fana ki Abhi jaisay meri baari nahiN hai KahuN kya, kitna be araam huN maiN Meri ummeed abhi haari nahiN hai MaiN apnay aap sey hooN ghair kitna Kisi sey bhi meri yaari nahiN hai HuN behadd tangg apne aap sey maiN K ab tak khud sey bayzaari nahiN hai Yeh meri zindagi, meri aziyyat Hai aisa waar, jo kaari nahiN hai ALAMM uth’tey to haiN ab bhi hamarey Magar wo girya o zaari nahiN hai Gila kar ab bichaRney meiN hamaray Meri JaaN ! Koi dushwaari nahiN hai
August 17, 201114 yr Gile fuzuul the ahad-e-vafaa ke hote hue So chup rahaa sitam-e-naaravaa ke hote hue Ye qurbatoN meN ajab faasale paRe k mujhe Hai aashnaa kii talab aashnaa ke hote hue Vo hila-gar haiN jo majburiyaaN shumaar kareN ChiraaGh ham ne jalaaye havaa ke hote huye Na kar kisii pe bharosaa ke kashtiyaaN DuubaiN Khudaa ke hote huye naaKhudaa ke hote huye Kise Khabar hai ki kaasaa-ba-dast phirte haiN Bahut se log saroN par humaa ke hote hue ‘Faraz’ aise bhii lamhe kabhii kabhii aaye K dil giriftaa rahaa dil_rubaa ke hote hue
August 17, 201114 yr Aise hijr ke mausam ab kab aate haiN Tere alaava yaad humeN sab aate haiN Jazb kare kyon ret hamaare ashko ko Tera daaman tar karne ab aate haiN Ab wo safar ki taab nahi baaqi varna Humko bulaavey dasht se jab tab aate haiN Jaagti aankhoN se bhi dekho duniya ko Khaab ka kya hai, wo har shab aate haiN KaaGhaz ki kashti mei dariya paar kiya Dekho humko kya-kya kartab aate hain
August 17, 201114 yr Tumhare shahr ka mausam baRa suhaanaa lage MaiN ek shaam chura luN agar buraa naa lage Tumhare bas meN agar ho to bhool jaao humeN TumheN bhulaane meN shayad mujhe zamanaa lage Hamaare pyar se jalne lagi hai ek duniya Dua karo kisi dushman ki bad-dua naa lage Na jaane kya hai kisi ki udaas aankhoN meN Vo muNh chhupa k bhi jaye to bewafa naa lage Jo doobnaa hai to itne sukoon se dubo K aas-paas ki leharoN ko bhi pata naa lage Ho jis adaa se mere saath bewafaayi kar K tere baad mujhe koi bewafaa naa lage Vo phool jo mere daaman se ho gaye mansoob Khudaa kare unhe bazaar ki hawa naa lage Tum aankh moond ke pi jao zindagi ‘Qaiser’ K ek ghoont meN shayad ye bad-mazaa naa lage
August 17, 201114 yr Kabhi visaal kabhi intezaar karte hue Kati hayaat yahi kar O baar karte hue Wo apne zulm k fan me kamal E fan ki taraf Hum unse rishtaa E dil ustawaar karte hue Bachi jo umr to phir tere shahr aayeNge Hum apne khoye hue pal shumar karte hue Guzar na jaye ye tajdeed E ahd ka mausam Masaalehat ki feza saazgaar karte hue ZameeN ko zard libaadaa pasand aata hua Falak darakhtoN ko be barg O bar karte hue
August 17, 201114 yr Tumhaari yaad ke jab zakhm bharne lagte haiN Kisi bahaane tumheN yaad karne lagte haiN Hadees-e-yaar ke unvaa nikharne lagte haiN To har hareem meN gesu saNwarne lagte haiN Har ajnabi hameN mehram dikhayi deta hai Jo ab bhi teri gali se guzarne lagte haiN Sabaa se karte haiN gurbat-naseeb zikr-e-watan To chashm-e-subah meN ansoo ubharne lagte haiN Vo jab bhi karte hain is nutq-o-lab ki bakhiyaagari Fazaa mei aur bhi naghme bikharne lagte haiN Dar-e-qafas pe andhere ki muhar lagti hai To ‘Faiz’ dil meN sitaare utarne lagte haiN
August 17, 201114 yr Vus’At-e-chashm ko andoh-e-basaarat lik’kha MaiN ne ik vasl ko ik hijr ki Haalat lik’kha MaiN ne lik’kha k Saf-e-dil kabhi KHaali nah huii Aur KHaali jo huii bhi to malaamat lik’khha Sirf aavaaz kahaaN tak mujhe jaari rakhti MaiN ne chup saadh li, san’naTe ko Aadat lik’kha Yeh safar paaoN hilaane ka nahiiN aaNkh ka hai MaiN ne is baab meN rukne ko masaafat lik’kha MaiN ne dastak ko likha kash-ma-kash-e-be-KHabari Jumbish-e-pardaa ko aane ki ijaazat lik’kha Likhne vaaloN ne to hone ka sabab lik’kha hai MaiN ne hone ko nah hone ki vazaaHat lik’kha Ashk agar sab ne likhe, maiN ne sitaare lik’khe Aajizii sab ne likhi, maiN ne ibaadat lik’kha ZaKHm likhne ke liye maiN ne likhi he Ghaflat Khuun likhna tha magar maiN ne Haraarat lik’kha Koii aasan rafaaqat nahiiN lik’khi maiN ne Qurb ko jab bhi likha juzv-e-raqaabat lik’kha MaiN ne KHushbu ko likha dast-ras-e-gum-shudagi Rang ko faaslaa rakhne ki riAayet lik’kha Husn-e-goyaaii ko likhna tha, likhi sargoshi Shor likhna tha so aazar-e-sama’At lik’kha MaiN ne parvaaz likhi hadd-e-falak se aage Aur be-baal-o-pari ko bhi nehayet lik’kha MaiN ne tA’biir ko teHriir meN aane nah diya Khaab likhte huye moHtaaj-e-bashaarat lik’kha Mere sar par kabhi afsos ka saayaa nah rahaa Ranj tha jis ki jagah maiN ne shikaayat lik’kha Itne dA’voN se guzar kar yeh KHayaal aataa hai ‘AZM’ kya tum ne kabhi Harf-e-nidaamat lik’kha
Create an account or sign in to comment