August 17, 201114 yr YuuN na mil mujh se Khafaa ho jaise Saath chal, mauj-e-sabaa ho jaise Log yuuN dekh k haNs dete haiN Tuu mujhe bhuul gayaa ho jaise Ishq ko shirk kii had tak na baRhaa YuuN na mil hamase Khudaa ho jaise Maut bhii aayii to is naaz ke saath Mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise Aise anjaan bane baiThe ho Tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise HichakiyaaN raat ko aati hi rahiiN Tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise Zindagi beet rahi hai “Daanish” Ek be-jurm sazaa ho jaise
August 17, 201114 yr Gulon Men Rang Bhare, Baad-E-Naubahaar Chale Chale Bhii Aao K Gulshan Kaa Kaarobaar Chale Qafas Udaas Hai Yaro, Sabaa Se Kuchh To Kaho KahiN To Bahr-E-Khudaa Aaj Zikr-E-Yaar Chale Kabhii To Subh Tere Kunj-E-Lab Se Ho Aagaaz Kabhii To Shab Sar-E-Kaakul Se Mushkabaar Chale BaRaa Hai Dard Kaa Rishtaa, Ye Dil Gharib Sahi Tumhaare Naam Pe Aayenge Gham_Gusaar Chale Jo Ham Pe Guzarii So Guzarii Magar Shab-E-HijraaN Hamaare Ashk Terii Aaqebat SaNwaar Chale Huzoor-E-Yaar Huii Daftar-E-Junuun Kii Talab Girah Men Leke Garebaan Kaa Taar Taar Chale Maqaam ‘Faiz’ Koii Raah Men Jachaa Hii NahiN Jo Kuu-E-Yaar Se Nikle To Suu-E-Daar Chale
August 17, 201114 yr Hamaare shauq kii yeh intehaa thii Qadam rakKhaa k manzil raastaa thii BichhaR ke Daar se ban ban phiraa voh Haran ko apnii kastuurii sazaa thii Kabhii jo Khaab thaa voh paa liyaa hai Magar jo kho gayii voh chiiz kyaa thii MaiN bachpan meN khilaune toRtaa thaa Mere anjaam kii voh ibtidaa thii Muhabbat mar gayii, mujhko bhii Gham hai Mere achchhe dinoN kii aashnaa thii Jise chhuu luuN maiN voh ho jaaye sonaa Tujhe dekhaa to jaanaa bad-duaa thii Mariiz-e-Khaab ko to ab shafaa hai Magar duniyaa baRDii kaRvii davaa thii
August 17, 201114 yr Main gunahgaar, aur anginat paarsaa, chaar jaanib se yalghar karte hue Jaise shabkhuun meN baukhlaa kar utheN, log talwaar talwaar karte hue Phir chhati his ne parche lagaaye bahut, aayine aaqebat ne dikhaaye bahut Bhaayee ne aaj kyuuN mujh ko dekha nahi, taajposhi ka darbaar karte hue Yeh zamaanaa laga hai k ab jism me, khaar k waaste khuun baqui nahiN Ek woh waqt bhi tha k chalte the hum, raaste bhar ko gulnaar karte hue Ur rahi thi wahaaN gard tashkik ki, aandhiyaaN tez thiN tanz-o-tazhik ki Raaste meN paRaa nek – naami ka pul, khauf aayaa jise paar karte hue Berukhi ki hawaayeN muwafiq na thiN, kaise ikhlaaq ki koNpaleN phuT_tiN Chaar aansu zaminoN ko num kargaye, sard lafzoN ko be-kaar karte hue Woh kharaasheN dikhate rahe haath ki, sang baari k dauraan aayiN thiN jo Aur idhar zakhm e sar hum chhupaate rahe, khuub tazyeen e dastaar karte hue Tarz e t’ameer k kuchh naye zaviye, asr-e-nau ko muzaffar ne bakhshe to hain Apni hi zaat par waar karte hue, apni hasti ko mismaar karte hue
August 17, 201114 yr Raz E ulfat chhupa ke dekh liya Dil bahut kuchh jala ke dekh liya Aur kya dekhne ko baaqi hai Aap se dil lagaa ke dekh liya Wo mere ho ke bhi mere na hue Unko apnaa bana ke dekh liya Aj unki nazar meN kuchh hamne Sabki nazreN bachaa ke dekh liya Aas us dar se TuTti hi nahiN Ja k dekha, na ja ke dekh liya ‘Faiz’ takmil E Gham bhi ho na saki Ishq ko aazmaa ke dekh liya
August 17, 201114 yr Ye kyaa k sab se bayaaN dil kii haalateN karnee ‘Faraz’ tujh ko na aayiiN muhabbateN karnee Ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hameN Shumaar abhii se judaayii kii sa’ateN karnee koyi Khudaa ho k patThar jise bhii ham chaaheN Tamaam umr usii kii ibaadateN karnee Sab apane apane qariine se muntazir us ke Kisii ko shukr kisii ko shikaayateN karnee Ham apane dil se haiN majabuur aur logoN ko Zaraa sii baat pe barpaa qayaamateN karnee MileN jab un se to mubham sii guftaguu karanaa Phir apane aap se sau-sau vazaahateN karnee Ye log kaise magar dushmanii nibhaate haiN HamiiN ko raas na aayiiN muhabbateN karnee Kabhii ‘Faraz’ naye mausamoN meN ro denaa Kabhii talaash puraanii raqaabateN karnee
August 17, 201114 yr Dil meN ik lahr sii uThii hai abhii koyii taazaa havaa chalii hai abhii Shor barpaa hai Khaanaa-E-dil meN Koyii diivaar sii girii hai abhii Kuchh to naazuk mizaaj haiN ham bhi Aur yeh choT bhii nayii hai abhii Bharii duniyaa meN jii nahiiN lagtaa Jaane kis chiiz kii kamii hai abhii Tuu shariik-e-suKhan nahiiN hai to kyaa Ham-suKhan terii Khaamushii hai abhii Yaad ke be-nishaaN jaziiroN se Terii aavaaz aa rahii hai abhii Shahr ki be – charaaG galiyoN meN Zindagii tujh ko DhuNDhtii hai abhii So gaye log us havelii ke Ek khiDakii magar khulii hai abhii Tum to yaaro abhii se uTh baiThe Shahr meN raat jaagatii hai abhii Vaqt achchhaa bhii aayegaa ‘Nasir’ Gham na kar zindagii paDii hai abhii
August 17, 201114 yr Ham to jaise yahaaN ke the hii nahiiN Dhuup the saayabaaN ke the hii nahiiN Raaste kaaravaaN ke saath rahe Marhale kaaravaaN ke the hii nahiiN Ab hamaaraa makaan kis kaa hai? Ham to apane makaaN ke the hii nahiiN In ko aaNdhi meN hii bikharanaa thaa Baal-o-par aashiyaaN ke the hii nahiiN Us galii meN ye sun ke sabr kiyaa Jaane vaale yahaaN ke the hii nahiiN Ho terii Khaak-e-aastaaN pe salaam Ham tere aastaaN ke the hii nahiiN
August 17, 201114 yr Apne hamraah jo aate ho idhar se pahle Dasht paRta hai miyaN ishq meiN ghar se pahle Chal diye uThke su-e-shahar-e-wafa, ku-e-habib Puchh lena tha kisi khaak basar se pahle Ishq pahle bhi kiya hijr ka Gham bhi dekha Itne taRrpe hain na ghabraye na tarse pahle Ji bahalta hi nahin ab koi saa’at, koi pal Rat Dhalti hi nahin chaar pahar se pahle Ham kisi dar pe na thithke na kahiN dastak di Saikaron dar the meri jaN tere dar se pahle Chand se aankh mili, ji ka ujala jaga Ham ko sou bar hui subh, sahar se pahle
August 17, 201114 yr Bas tere liye udaas aankheN !!!! uff! maslehat naashanaas aankheN Be noor hui hiaN dheere dheere Aayi nahi mujh ko raas aankheN! Aakhir ko gaya wo – kaash rukta Karti rahiN iltemaas aankheN!! Khaabeedah haqiqatoN ki maari Paamaal aur bad hawaas aankheN Dar pesh junuN ka marhala, aur Faqa hai badan to pyas aankheN
Create an account or sign in to comment