August 17, 201114 yr Is naaz is andaaz se tum haaye chalo ho Roz ek Ghazal ham se kahalavaaye chalo ho Rakhnaa hai kahiN paaNv to rak_kho ho kahiN paaNv Chalnaa zaraa aayaa hai to itaraaye chalo ho Diivaana-E-gul qaidii-E-zanjiir hai, aur tum Kyaa THaa_TH se gulshan kii havaa khaaye chalo ho MaE meN koi Khaami hai na saaGhar meN koi khoT Piinaa nahiN aaye hai to chhalkaaye chalo ho Ham kuchh nahiN kahate haiN koi kuchh nahiN kahtaa Tum kyaa ho tumhiN sab se kahalavaaye chalo ho ZulfoN kii hai fitrat yahi, lekin mere pyaare zulfoN se bhii zyaadaa tumhiN bal khaaye chalo ho Vo shokh sitam_gar to sitam Dhaaye chale hai Tum ho ke “Kaleem” apanii Ghazal gaaye chalo ho
August 17, 201114 yr Khush numa lafz ki sawaari bas Shahr walon ko ek madaari bas Ishq me aur kya hua hum se Dhang se ki hai ashk baari bas Ek nauras kali ka gul banna Zindagi!! teri payedaari bas Fasl e gul kaynat ki, mujh ko Teri chahat ki aik kyaari bas Manzilen ghair ke liye makhsus Apne hisse me khaabkaari bas Ek bejaan muskurahat hai !!!! Oonche logon ki inkesaari bas Aur kiyaa seekhte zamaane se Hogaye hum bhi kaar O baari bas
August 17, 201114 yr Ek na ek roz to rukhsat karta Mujh se kitni bhi muhabbat karta Sab ruteN aake chali jaati haiN Mausam E Gham bhi to hijrat karta BheRiye mujh ko kahaaN pasakte Woh agar meri hifaazat karta Aur us se na rahi koi talab Bas mere pyaar ki izzat karta Mere lehje meN Ghurur aayaa tha Usko haq tha k shikaayat karta
August 17, 201114 yr JahaaN kharaab sahi hum, badan dareedaa sahi Teri talaash me nikle haiN, paa bureedaa sahi Jahaan E she’r meN meri kayee riyaasateN haiN! MaiN apne shahr me gumnam O na shuneedaa sahi Bhale hi chhaaoN na de, aasraa to detaa hai Ye aarzu ka shajar hai, khazaaN raseedaa sahi Inhi bujhi hui aankhoN me khaab utreNge YaqiN na chhor, ye bimaar O shab gazeedaa sahi DiloN ko joRne waali Ghazal salaamat hai Ta’alluqaat hamaare agar kasheedaa sahi Mere beGhair har ek daastaaN adhoori si MaiN us kitaab me ek lafz E khat-kasheeda sahi
August 17, 201114 yr Mere hii lahuu par guzar auqaat karo ho Mujh se hii amiiroN ki tarah baat karo ho Din ek sitam, ek sitam raat karo ho Vo dost ho dushman ko biii jo maat karo ho Ham khaak_nashiN tum suKhan aara ho sar-E-baam Paas aake milo duur se kyaa baat karo ho Ham ko jo milaa hai vo tumhiiN se to milaa hai Ham aur bhulaa deN tumheN kyaa baat karo ho YuuN to hameN muNh pher ke dekho bhi nahiN ho Jab vaqt paRe hai to madaaraat karo ho Daaman pe koii chiiNt na Khanjar pe koi daaGh Tum qatl karo ho ke karaamaat karo ho Bakne bhi do “Aajiz” ko jo bole hai bake hai Diivaanaa hai diivaane se kyaa baat karo ho
August 17, 201114 yr Zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii Majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii Us but ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa ham ne Go apnii tabiyat meN baGhaavat bhii bahut thii Vaaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se vo varnaa Dil ke liye thoRii sii inaayat bhii bahut thii YuN hii nahiiN mashhuur E zamaanaa meraa qaatil Us shaKhs ko is fan meN mahaarat bhii bahut thii Kyaa daur-e-Ghazab thaa k lahuu dil meN bahut thaa Aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii Har shaam sunaate the hasiinoN ko Ghazal ham Jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii Bulavaa ke ham ‘Ajiz’ ko pashemaaN bhii bahut haiN Kyaa kiijiye kam_baKht kii shohrat bhii bahut thii
August 17, 201114 yr Chaman meN rang-e-bahaar utraa to maiN ne dekhaa Nazar se dil kaa Ghubaar utraa to maiN ne dekhaa MaiN niim shab aasmaaN ko hasrat se dekhataa thaa Chaman meN vo husn zaar utraa to maiN ne dekhaa Khumaar-e-mai thi vo chehraa kuchh aur lag raha tha Dam E sahar jab Khumaar utraa to maiN ne dekhaa Galii ke baahar tamaam manzil badal gaye the Jo saayaa ek kuu E yaar utraa to maiN ne dekhaa Ek aur dariyaa kaa saamnaa thaa ‘Munir’ mujh ko MaiN ek dariyaa ke paar utraa to maiN ne dekhaa
August 17, 201114 yr Us ne haNs kar hameN pukaaraa kya Ho gayaa phir se woh hamaaraa kya? Jashn sa shahr e jaaN me kaisa hai Aa raha hai wo maah paaraa kya? Aarzoo, khaab, aas, mahroomii !! Hausla phir bhi hum ne haaraa kya Meri aankheN udaas rahti haiN Ab na aaye ga wo dobaaraa kya? AsmaaN par nazar nahi aataa Khogaya hai mera sitaaraa kya Dard ki saltanat pe baithaa hai Koi farma-N-rawaa dobaaraa kya Ae dil e beqarar - rahne de!!! Shahr e taskeen me hamaaraa kya Chaar aansu bahake sab chup hain RayegaaN qatl hai hamaaraa kya
August 17, 201114 yr Shama’e tanha ki tarah, subh k taare jaise Shahr me ek hi do hoNge hamaare jaise Chhoo gaya tha kabhi is jism ko ek sho’la e zard Aaj tak khaak meN uRte hain sharaare jaise Sakht jaaN hum sa koi tumne na dekah hoga Humne qaatil kayi dekhe hain tumhaare jaise Hausle deta hai ye abr e gureezaaN kya kya Zindaa hoN dasht me hum iske sahaare jaise Ab jo chamka tera khanjar to khyaal aata hai Tujh ko dekha ho kahiN nahr kinaare jaise Deednee hai mujhe seene se lagaanaa uska Apne shaanoN se koi bojh utaare jaise Uski aankheN hain k ek doobne waalaa insaan Doosre doobne waale ko pukaare jaise
August 17, 201114 yr ChiraaGh maangte rahne ka kuch sabab bhi nahiN Andhera kaise batayeN k ab to shab bhi nahiN Main apne zo’m mein ek bazyaft par khush huN Ye waqia hai ke mujh ko mila wo ab bhi nahiN Jo mere shai’r meN mujh se zayada boltaa hai Main os ki bazm meN ek harf zer-e-lab bhi nahiN Aur ab to zindagi karne ke sau tareeqe haiN Hum us ke hijr meN tanha rahe thay tab bhi nahiN Kamal shakhs tha jis ne mujhe tabaah kiya Khilaaf us ke ye dil ho saka hai ab bhi nahiN Ye dastakeN ye meri zindagi ki aadhi raat Hawaa ka shor samajh luN to kuch ajab bhi nahiN Ye dukh nahiN K andheroN se sulh ki hum ne Malaal ye hai ke ab subH ki talab bhi nahiN Hisaab-e-dar-badari tujh se maang saktaa hai Ghareeb-e-shahr magar itna be adab bhi nahiN HameN bahut hai ye saadaat-e-ishq ki nisbat Ke ye qabeela koii aisa kam nasab bhi nahiN
Create an account or sign in to comment