August 17, 201114 yr Baarish huee to phuloN ke tan chaak ho gaye Mausam ke haath bheeg ke saffaak ho gaye Baadal ko kya khabar hai k baarish ki chaah meN Kitne buland-o-baala shajar khaak ho gaye Jugnu ko din ke waqt parakhne ki zidd kareN Bachche hamaare ‘ahd ke chaalaak ho gaye Lehra rahi hai barf ki chaadar hata ke ghaas Sooraj ki shah pe tinke bhi bebaak ho gaye Sooraj-dimaag log bhi iblaagh-e-fikr mein Zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye Jab bhi ghareeb-e-shehar se kuch guftagu huee Lehje hawa-e-shaam ke namnaak ho gaye Saahil pe jitne aabguzeeda thhay sab ke sab Dariya ke rukh badalte hi tairaak ho gaye
August 17, 201114 yr Kuchh bhi nahiN, koi nahiN, khaab k ekhtiyaar meN Raat guzaar dee gayii !!! subh k intezaar meN Baab e ataa k saamne, ahl e kamaal ka hujoom Jin ko tha sarkashi pe naaz, woh bhi usi qataar meN Aayega aayegaa wo din, ho k rahega har hisaab Waqt bhi intezaar meN, khalq bhi intezaar meN Jaise fasaad e khuun se jil e badan pe daagh e bars Dil ki siyaahiyaaN bhi haiN, daaman e daghdaar meN Waqt ki thokaroN me hai, uqdaa kushaiyoN ko zo’m Kaisei ulajh rahi hai dor, naakhun e hoshiyaar meN Jaisi lagi thi dil me aag, waisie ghazal bani nahiN Lafz Tthahar nahiN sake, Dard ki tez dhaar meN
August 17, 201114 yr Wo sahiloN pe gaane waale kya hue Wo kashtiyaN Chalane waale kya hue wo dil meN khubne waali aankheN kya huiN Wo hoNt muskuraane waale kya hue Wo subh aate aate rah gayi kahaN Jo qaafle the aane waale kya hue MaiN jin ki raah dekhta hun rat bhar Wo raushani dikhane waale kya hue Ye kaun log haiN mere idhar udhar Wo dosti nibhaane waale kya hue ImaarateN to jal k rakh ho gayiN ImaarateN banaane waale kya hue Ye aap ham to bojh haiN zamin ka ZamiN ka bojh uthaane waale kya hue
August 17, 201114 yr Dil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyuN RoyeNge ham hazaar baar koi hameiN sataaye kyuN Dair nahi, haram nahi, dar nahi, aastaN nahi Baithe hain rahguzar pe ham, ghair hamein uthaaye kyuN Jab wo jamal-e-dilfaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz Aap hi ho nazaarasoz, parde mein munh chupaaye kyuN Dashna-e-gamza jansitaN, nawak-e-naz bepanaah Tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aaye kyuN Qaid-e-hayat-o-band-e-gham asl mein donoN ek haiN Maut se pahle aadmi gham se najat paaye kyuN Husn aur us pe husn-e-zan rah gayi bulahawas ki sharm Apne pe etimaad hai ghair ko aazamaaye kyuN WaN wo ghuroor-e-izz-o-naz, yaN ye hijab-e-pas waz’a Raah mein ham milen kahaN, bazm mein wo bulaaye kyuN HaaN wo nahi khudaparast, jaao wo bewafa sahi Jisko ho din-o-dil aziz, us ki gali mein jaaye kyuN “Ghalib”-e-khastaa k baghair kaun se kam band haiN Roiye zar-zar kyaa, kijiye haaye-haaye kyuN
August 17, 201114 yr Khaatir se ya lihaaz se maiN maan to gayaa JhooTi Qasam se aap ka eemaan to gayaa Dil leke muft kahte haiN kuch kaam ka nahiN UlTi shikaayateiN rahiN ehsaan to gayaa Afshaay E raaz E ishq me go zillataiN huiN Lekin use jataa to diya, jaan to gayaa Dekha hai butkade meN jo ae sheikh kuch na kuch Eemaan ki to ye hai k eemaan to gayaa Darta hooN dekh kar dil E be-aarzu ko maiN Sunsaan ghar ye kyuN na ho mehmaan to gayaa Go naamaabar se khush na hua par hazaar shukr Mujhko wo mere naam se pahchaan to gayaa Hosh O hawaas O taab O tavaaN “Daag” ja chuke Ab hum bhi jaane waale haiN saamaan to gayaa
August 17, 201114 yr Na gaNvaao naavak-e-niim-kash, dil-e-reza reza gaNvaa diyaa Jo bache haiN sang samet lo, tan-e-daagh daagh lutaa diyaa Mere chaaraagar ko naved ho, saf-e-dushmanaaN ko Khabar karo Wo jo qarz rakhate the jaan par, wo hisaab aaj chukaa diyaa Karo kaj jabiiN pe sar-e-kafan, mere qaatiloN ko gumaaN na ho K ghuruur-e-ishq kaa baaNkapan, pas-e-marg hamne bhulaa diyaa Udhar ek harf k kushtanii, yahaaN laakh uzr thaa guftanii Jo kahaa to sun ke uDaa diyaa, jo likhaa to padh ke mitaa diyaa Jo ruke to koh-e-garaaN the ham, jo chale to jaaN se guzar gaye Rah-e-yaar hamane qadam qadam, tujhe yaadagaar banaa diyaa
August 17, 201114 yr Huii hai shaam to aankhoN mein bas gayaa phir tuu Kahaan gayaa hai mere shahr ke musaafir tuu Bahut udaas hai ik shakhs, tere jaane se Jo ho sake to chalaa aa usii kii khaatir tuu Merii misaal k ik nakhl-e-khushk-e-sahraa huuN Teraa Khayaal k shaakh-e-chaman kaa taair tuu Main jaantaa huun ke duniyaa tujhe badal degii Main maantaa huuN ke aisaa nahiin bazaahir tuu Hansii Khushii se bichhaR jaa agar bichaRnaa hai Ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aakhir tuu ‘Faraz’ tune use mushkiloN mein daal diyaa Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayir tuu
August 17, 201114 yr woh hain kon Samjhdaar Ko Ishara Kafi Hay! Khoon-e-Jigar Ka Nazara Kafi Hay! Jo Samjh Sakay to Nuqta Hay Bohut! Nahi To Samjhana Na Kafi Hay! Jis Ke Liye Kaha Hay Woh Khud Hi Khud Mann Hi Mann Main Muskura Rahi Hay!
August 17, 201114 yr Wah ji L4P bro lagta hai aap ny jis ko kaha hai "WO" yahi kahi hai heheheheheh.......... shayad aap jawab b dia ho heheheheh........
Create an account or sign in to comment