August 16, 201114 yr Kitne parvane jale raaz ye jaan nay ke liye, Shamma jalnay ke liye hoti hai ya jalanay ke liye, Rone walay tujhay ronay ka salika bhi nahi, Ashak peenay kay liye hotay hayn ya bahanay kay liye.
August 16, 201114 yr Sab log liye sang-E-malaamat nikal aaye Kis shahr meN ham ahal-E-muhabbat nikal aaye Ab dil kii tamannaa hai to ai kaash yahii ho AaNsuu kii jagah aaNkh se hasarat nikal aaye Har ghar kaa diyaa gul na karo tum K na jaane Kis baam se Khurashiid-E-Qayaamat nikal aaye Jo dar_paa-E-pindaar haiN un qatl_gahoN se JaaN deke bhii samajho K salaamat nikal aaye Ae ham_nafaso kuchh to kaho ahad-E-sitam kii Ek harf se mumkin hai hikaayat nikal aaye Yaaro mujhe masaluub karo tum K mere baad Shaayad K tumhaaraa qad-O-qaamat nikal aaye
August 16, 201114 yr Safeenay hi ko tere wastay toofaan kar dega Samundar ek din mushkil teri aasaan kar dega Agar muNh zor maujoN ko lagaamaiN de nahiN saktay To yeh dariya tumharay khait raigistaan kar dega Muhabbat aarzo_oN ki nayi basti basaaye gee JunuuN baRh kar dar-O-diwar ko maidaan kar dega Samajhta hai mere ash’aar par tanqeed likhnay say Wo meri saat pushtoN par baRa ehsaan kar dega Abhi ummeed baqi hai ke wo bichRa huaa saathi Kisi bhi moR par mill kar hamaiN hairaan kar dega Teri qurbat meN rah kar mujh ko bhi izaat mili lekin Yahi saamaan aapas meN hamaiN anjaan kar dega Usay nazdeek aa kar door rahna khooob aata hai Wo zalim muskura kar bhi tera apmaan kar dega Baher surat basher hai dost, paiGhamber nahiN koi Wo apnay naf’a par beshak tujhay qurbaan kar dega Ajab kamzor lamhay meN sada di hai sadaqat ne ‘Muzaffar’ aaj har qatra lahoo ka daan kar dega
August 16, 201114 yr Safar meN dhoop to hogi jo chal sako to chalo Sabhi haiN bheeR meN tum bhi nikal sako to chalo Idhar udhar kayi manzil haiN chal sako to chalo Bane banaaye haiN saaNche jo Dhal sako to chalo Kisi ke waaste raaheN kahaaN badalati haiN Tum apane aap ko Khud hi badal sako to chalo YahaaN kisi ko koyii raastaa nahi detaa Mujhe giraake agar tum sambhal sako to chalo Yahi hai zindagi, kuchh Khaak, chand ummeedeN Inhi khilonoN se tum bhi bahal sako to chalo Har ik safar ko hai mahafooz raastoN ki talaash HifaazatoN ki rivaayat badal sako to chalo KahiN nahi koi sooraj dhuaaN dhuaaN hai fizaa Khud apane aap se baahar nikal sako to chalo
August 16, 201114 yr Sochtaa huuN K mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah ThoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah Yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar laa mere haath meN haath de Tuu havaa-E-sar-E-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-E-raayegaaN kii tarah Haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baaNdh kar le chalaa Mera maazii mere saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maaN kii tarah sang-E-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachne ka koii tariiqaa na thaa Raftaa raftaa sabhii ne saroN par koyii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah KhaahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-E-balaa-Khez bantii gayii Jism kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah
August 16, 201114 yr Gaisu-E-shaam meN aik sitaaraa aik khyaal Dil meN liye phirte haiN tumharaa aik khyaal Baam-E-falak par sooraj,chaaNd, sitaara tha Ham ne beyaaz-E-dil pe utaaraa aik khyaal Kabhi to un ko bhi dekho, jin logoN ne Umr gaNwaai aur saNwaaraa aik khyaal Yaad k shahr k shor se kaale kosoN door Dasht-E-faraamoshi se pukaaraa aik khyaal YuN bhi hua hai dil k muqaabil duniya thi Phir bhi na haaraa phir bhi na haaraa aik khyaal Mujh par zarb paRi to khalqat ne dekha Meri bajaaye paaraa paaraa aik khyaal Aik musaafat, aik udaasii, aik ‘Mudasar’ Aik tamannaa, aik sharaaraa, aik khyaal
August 16, 201114 yr Kabhi jo cheR gayee yaad-E-raftagaaN Mohsin Bikhar gayee haiN nigaaheN kahaaN kahaaN Mohsin Hawa ne raakh urraaii to dil ko yaad aayaa K jal bujheeN mere khaabon ki bastiyaaN Mohsin Kuch aaise ghar bhi miley jin meN ghooNgatoN k iwaz Hui haiN dafn dopattoN meN larrkiyaaN Mohsin KhaNdar hai ahd-E-guzishta na chhu na chheR isay KhuleN to band na hoN is ki khirrkiyaaN Mohsin Bujha hai kaun sitaaraa k apni aankh k saath Huey haiN saare manaazir dhuaaN dhuaaN Mohsin Nahi k us ne ganwaaye haiN maah O saal apne Tamaam umr kaTi yuun bhi raaegaaN Mohsin Mila to aur bhi taqseem kar gaya mujh ko SameiTna theeN jisay meri kirchiyaaN Mohsin KahiN se us ne bhi toRa hai khud se rabt-E-wafa Kahin se bhool gaya maiN bhi daastaaN Mohsin
August 16, 201114 yr Woh firaaq aur woh vissal kahaN Woh shab-O-roz-O-maah-O-saal kahaaN Fursat-E-karobaar-E-shauq kise Zauq-E nazzaara-E jamaal KahaaN Dil to dil vo dimagh bhi na raha Shor-E-sauda E khatt-O-Khal KahaaN Thi wo ik shakhs ke tasawwur se Ab wo raanaayi-E-khayal kahaaN Aisaa aasaaN nahiN lahoo ronaa Dil meN taaqat jigar meN haal kahaaN Humse chhuta Qumaar-khana E-ishq WaaN Jo JayeN girah meN maal kahaaN Fikr-E-duniya meN sar khapata HuN MaiN kahaaN aur yeh vabaal kahaaN Muzmahil ho gaye Quwaa ‘Ghalib’ Woh anaasir meN aitedaal kahaaN
August 16, 201114 yr Main mar mita to wo samjha ye inteha thi meri Usay khabar hi na thii, khaak kimiya thi meri MaiN chup hua to wo samjha k baat khatam hui Phir us k baad to aawaaz ja ba ja thi meri Jo taa’na zan tha meri poshish E dardidaa par Usi ke dosh pay rak_khi houi qaba thi meri MaiN us ko yaad karuN bhi to yaad ata nahiN MaiN us ko bhool gaya huN, yahi saza thi meri Shikast de gaya apna Ghoroor hi us ko Wagarna us k muqabil basaat kya thi meri KahiN dimaGh kahiN dil kahiN badan hi badan Har ek se dosti yaari juda juda thi meri Koi bhi koo E muhabbat say phir nahin guzra To shahr E ishq maiN kya akhri sada thi meri Jo ab ghamand say Sar ko uThaaye phirti hai Isi tarah ki to makhlooq khaak E pa thi meri Har aik shair na tha dar khor E qaseeda dost Aur us say tab’ae E rawaaN khub aashna thi meri MaiN usko dekhta rahta tha hairatoN se ‘Mudasar’ Ye zindagi se ta’aaruf ki ibtedaa thi meri
August 16, 201114 yr NahiN nigaah meN manzil to justajuu hii sahii NahiN visaal muyassar to aarazuu hii sahii Na tan meN Khuun faraaham na ashk aankhon meN Namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hii sahii Kisii tarah to jame bazm!! maikade vaalo NahiN jo baadaa-O-saaGhar to haa-O-hu hii sahii Gar intezaar kathin hai to jab talak ai dil Kisi ke vaada-E-fardaa ki guftaguu hii sahii Dayaar-E-Ghair meN maharam agar nahiN koii To ‘Faiz’ zikr-E-vatan apne ruubaruu hii sahii
Create an account or sign in to comment