August 15, 201114 yr Lashkar E ishq ne jab se kheeme kiye, kuchh na kuchh roz sarhad baRhaa li gayi Aur phir ek din mere dil ki zameeN, dard ki mamlekat meN milaa li gayi Raat ko ruk k sehraa jagayaa gaya, jab thakan se badan ki tanaabeN giriN Apne haathoN k takiye banaye gaye, apni mitti ki chadar bichhaa li gayi Ek chiRiyaa ki aawaaz aati rahi mere bachchoN ko mujh se chhuRaayaa gaya Meri basti se mujh ko nikaalaa gaya, mere jangal me basti basaa li gayi Dast E khaali pe kya hausla kijiye, kaise jeene ki Qeemat adaa kijiye Abke darbaar meN nazr E sar bhej kar bach nikalne ki surat nikaa li gayi Kucha E rahzanaaN se guzarte hue, kuchh lutaanaa bhi tha kuchh bachaana bhi tha Apni sadiyoN ka sona lutaaya gaya apni khaaboN ki jannat bachaa li gayi Khatm hota hai us raat ka majraa, ab ye kya poochte ho k phir kya hua Phir chiraGhoN ki aaNkheN bujha di gayiN, phir guloN ki zabaaN kaat dali gayi Saare manzar Ghubaar E pas E kaarwaaN hogaye, baam O dar sab dhuaaN hogaye Ab munaajaat ka waqt hai ghar chalo! sair ki jaa chuki, khaak uRaa li gayi
August 15, 201114 yr Shauq ka rang bujh gaya, yaad ke zakhm bhar gaye Kya meri fasl hochuki, kya mere din guzar gaye? Hum bhi hijab dar hijab chhup na sake, magar rahe Woh bhi hujoom dar hujoom rah na sake, magar gaye Rahguzar E khyal meN dosh ba dosh the jo log Waqt ki gard O baad meN jane kahaN bikhar gaye Sham hai kitni be tapaak, shahr hai kitna sahmnaak Hum nafaso kahaaN ho tum, jane ye sab kidhar gaye Aaj ki raat hai ajeeb, koi nahi mere qareeb Aaj sab apne ghar rahe, aaj sab apne ghar gaye Hifz E hyaat ka khyal hum ko bahut bura laga Pas ba hujuum E ma’rekaa, jaan k be sipar gaye MaiN to safoN k darmiyaaN, kab se paRa hun nim-jaaN Mere tamaam jaaN-nisaar mere liye to mar gaye Rounaq E bazm E zindagi, turfaa haiN tere log bhi Ek to kabhi na aaye the, aaye to rooth kar gaye Khush nafasaan E be nava, be khabaraan E khush ada Teerah naseeb the magar shahr meN naam kar gaye Aap meN ‘Joan Alia’ sochiye ab dharaa hai kya Aap bhi ab sidhaariye, aap k chaara gar gaye
August 15, 201114 yr Ye tabi’at hai to Khud aazaar ban jaayeNge ham Charaagar royeNge aur Gam_Khvar ban jaayeNge ham Ham sar-E-chaak-E-vafa haiN aur tera dast-E-hunar Jo bana degaa hameN ai yaar ban jaayeNge ham Kya Khabar thi ai nigaar-E-she’r tere ishq meN Dil_baraan-E-shahr ke dil_daar ban jaayeNge ham SaKht jaaN haiN par hamaari ustavaari par na ja Aise TuuteNge teraa iqaraar ban jaayeNge ham Aur kuch din baiTne do ku-E-janaaN meN hamen Rafta rafta saayaa-E-divaar ban jaayeNge ham Is qadar aasaaN na hogi har kisii se dosti Ashnayi meN tera me’yaar ban jaayeNge ham Mir-O-Galib kya K ban paaye nahin Faiz-O-Firaq Zo’m ye thaa Ruumi-O-’Ataar ban jaayeNge ham Dekhne meN shaKh-E-gul lagte haiN lekin dekhna Dast-E-gulchiN ke liye talvaar ban jaayeNge ham Ham chiraGhoN ko to tariki se laRana hai ‘Faraz’ Gul hue par subh ke aasaar ban jaayeNge ham
August 16, 201114 yr chuu le aasaman zamin ki talaash na kar jee le zindagi khushi ki talaash na kar takdir badal jayegi apne aap hi muskurana sikh le wajah talaash na kar
August 16, 201114 yr Aap paas raho ya door, Hum dil se dil ki aawaaz mila sakte hain, Na khat ke na telephone ke Mohtaajh hain hum, Per aapke dil ko ek hichkii se hila sakte hain.
August 16, 201114 yr Door Thay To Bebus Thay Hum Pass Hain To Majboor Hain Voh Kaisa Faasla Tha Yeh Kaise Nazdikiyan Hain..
August 16, 201114 yr Woh khush naseeb hain ki unhe auron ka pyar mila, Hum apni takdeer se ladte reh gaye, Hum to unki yaadon ko bhi samet na paaye, Woh humare ashqon Ke Zariye beh gaye........
August 16, 201114 yr Door kahin wadi main rahti hai woh! Her lamha khayalon main rahti hai woh! Kaisi hai woh kis haal main hai woh! Dil kay har sawal main rahti hai woh!
August 16, 201114 yr Mita dain gay yeh doori, yeh faslay sabhi! Kaho gi ik baar kay milo aa kay kabhi! Na hon gay door phir tum say is zindagi main! Khula rakho tum dar apna, Hum atay hain abhi!
August 16, 201114 yr Har Inkaar Tere Ikraar Se Aacha Hoga Mera Har Din Teri Us Raat Se Aacha Hoga Na Ho Yakin To Jhaak Lena Apni Doli Se Mera Janaza Teri Baarat Se Aacha Hoga
Create an account or sign in to comment