August 14, 201114 yr Naaz E begaangi meN kya kuchh tha Husn ki saadgi meN kya kuchh tha Laakh raahaiN thiN laakh jalwe the Ahd E aawaargi meN kya kuchh tha AaNkh khulte hi chhup gayi har shai Aalam E be-khudi meN kya kuchh tha Yaad haiN marhalay muhabbat ke Haye us be-kali meN kya kuchh tha Kitne beete dinoN ki yaad aayee Aaj teri kami meN kya kuchh tha Kitne manoos log yaad aaye Subh ki chaNdni meN kya kuchh tha Raat bhar ham na so sake ‘Nasir’ Parda E khaamushi meN kya kuchh tha
August 14, 201114 yr Shaam ne apnee zulfaiN kholiN phaila saayaa saayaa ghar Kya jaane kya dil par beetii aaj bahut yaad aayaa ghar !!! Is se achchha tha sapnoN ki chhat k neeche rah lete Rait pe diwareN uThwayiiN pani par banwaayaa ghar Mitti tujh se kya rishta hai jis din hum ne chhoRa gaoN Dair talak diwaareN royiN, door talak saath aayaa ghar Socha tha maidaan meN shayad kuchh din chain se cut jayeN Dil bhi kaisa hai bunjaaraa sath uTha kar laayaa ghar Kya karte! diwaar O dar ki kuchh tahzeeb hi aisi thii Apna ghar mahsus hua hai aksar hamaiN paraayaa ghar ToR ke ek pholoN ki dali baiThe sehra ke us paar Ae jaaN teri yaad ne aakar aaj bahut mahkaayaa ghar
August 14, 201114 yr ChaNdni tha K Ghazal tha K sabaa tha – KYA THA MaiN ne ek baar tera naam sunaa tha – KYA THA Ghar meN too bhi to nahi jo koyi bartan TuTe Ye jo kamre meN abhi shor hua tha – KYA THA Khudkushi kar ke bhi bistar se uTha huN zindaa MaiN ne kal raat meN jo zahr piyaa tha – KYA THA Ab ke bhichhRe haiN to lagta hai K kuchh TooT gaya Mera dil tha K tera ahd E wafaa tha – KYA THA Zid nahiN hai K isay tu bhi ta’lluQ samjhe Wo jo ek din mujhe diwana kaha tha – KYA THA Tum to kahte the Khuda tumse khafa hai ‘Qaisar’ Doobte waQt jo ek haath baRhaa tha – KYA THA
August 14, 201114 yr Ishq minnat kash E qaraar nahi Husn majboor E intezaar nahi Teri ranjish ki intehaa maloom HasratoN ka miri shumaar nahi Apni nazreN bikher de saaqee Mai ba-andaazaa E khumaar nahi Zer E lab hai abhi tabassum E dost Muntashir jalwa E bahaar nahi Apni takmeel kar raha hun maiN Warna tujh se to mujh ko pyar nahi Charaa E intezaar kaun kare Teri nafrat bhi ustawaar nahi ‘Faiz’ zinda raheN wo haiN to sahi Kya huaa gar wafa shu’aar nahi
August 14, 201114 yr Jab dahr ke gham se amaaN na milii, hum logoN ne ishQ eejaad kiya Kabhi shahr E butaaN me kharaab phire kabhi dasht E junuN aabaad kiya Kabhi bastiyaaN ban, kabhi koh O daman, raha kitne dinoN yahi ji ka chalan JahaaN husn mila wahaaN baith rahe, jahaaN pyar mila wahaN saad kiya Shab E maah me jab bhi yeh dard uTha, kabhi bait kahe (likhi ‘Chand Nagar’) Kabhi koh se jaa sar phoR mare, kabhi kabhi Qais ko jaa ustaad kiya Yahi ishQ bil-aakhir rog banaa, K hai chaah k saath bijog banaa Jise ban_na tha aish woh sog banaa, baRa man ke nagar me fasaad kiya Ab qurbat O sohbat E yaar kahaaN, lab O aariz O zulf O kinaar kahaN Ab apna bhi ‘Meer’ sa aalam hai, Tuk dekh liya, ji shaad kiya
August 14, 201114 yr Dil E naadaaN tujhe huaa kya hai Aakhir iss dard kii davaa kya hai Hum haiN mushtaaQ aur woh bezaar Yaa ilaahee yeh maajraa kya hai MaiN bhi muNh me zabaan rakhta huN Kaash poochho K muddu’aa kya hai Jab K thujh bin naheeN koi maujood Phir yeh hangaamaa ae Khuda kya hai Yeh paree chehra log kaise haiN Ghamza O ishwa O adaa kya hai Shikan E zulf E anbareeN kyuN hai Nigah chashm E surma sa kya hai Sabza O gul kahaaN se aaye haiN Abr kyaa cheez hai, havaaa kya hai Hum ko un se wafa ki hai ummeed Jo naheeN jaante wafa kya hai HaaN bhala kar tera bhala hogaa Aur darvaesh kee sadaa kya hai Jaan tum par nissaar karta hooN Main naheeN jaanta du’aa kya hai MaiN ne mana K kuchh nahi ‘Ghalib’ Muft haath aaye to buraa kya hai
August 14, 201114 yr Haalat E haal ke sabab, haalat E haal hi gayi Shauq meN kuch nahiN gaya, shauq ki zindagi gayi Ek hi haadsaa to hai aur vo yeh K aaj tak Baat nahi kahi gayi, baat nahi suni gayi Baad bhi tere jaan E jaaN dil meN rahaa ajab samaaN Yaad rahii teri yahaaN, phir terii yaad bhi gayi Uske badan ko di namud hamne suKhan meN aur phir Uske badan ke vaaste ek qabaa bhi si gayi Uskii ummid E naaz kaa hamse ye maan tha ke aap Umr guzaar deejiye, umr guzaar di gayi Uske visaal ke liye, apne kamaal ke liye Haalat E dil, K thi Kharaab, aur Kharaab ki gayi Teraa firaaq jaan E jaaN aish thaa kyaa mere liye Yaanii tere firaaq meN Khuub sharaab pi gayi Uski gali se uTh ke maiN aan paRaa thaa apne ghar Ek gali ki baat thi, aur gali gali gayi
Create an account or sign in to comment