August 15, 201114 yr Kis liye phirtaa huN tanha!! na kisi ne poochhaa KyuN kahiN ji nahiN lagta!! na kisi ne poochhaa Zehn aawaaraa, dil aawaaraa, nazar aawaaraa Kaise is haal ko pahuNcha? na kisi ne poochhaa Kaun hai, aayaa hai kis des se, kis se milne Sab ne dekha magar itna na kisi ne poochhaa Jaane kya kahte!! agar puchhtaa ahwal koi Khair yeh bhi hua achchha na kisi ne poochhaa Be ta’alluq hue ‘Ruhi’ ajab andaaz se log Kis pe kya haadsa guzra, na kisi ne poochhaa
August 15, 201114 yr Khaa kar zakhm duaa di ham ne Bas yuuN umr bitaa dii ham ne Raat kuchh aise dil dukhtaa tha Jaise aas bujhaa dii ham ne Yaad ko teri toot ke chaahaa Dil ko khoob sazaa dii ham ne Sannaate ke shahr meN tujh ko Be aawaaz sadaa dii ham ne Dekh ke jis ko dil dukhtaa tha Woh tasveer jalaa dii ham ne Aa ‘Shahzad’ tujhe samjhaayeN KyuN kar umr gaNvaa dii ham ne
August 15, 201114 yr Safar E manzil E shab yaad nahiN Log rukhsat hue kab yaad nahiN Dil meN har waqt chubhan rahti thi Thi mujhe kis ki talab yaad nahiN Wo sitaara thi K shabnam thi K phul Ek soorat thi ajab yaad nahiN Aisa uljha huN gam E duniya meN Ek bhi khaab E tarab yaad nahiN Bhoolte jaate haiN maazi ke dayaar Yaad aayeN bhi to sab yaad nahiN Ye haqeeqat hai K ahbaab ko hum Yaad hi kab thhay jo ab yaad nahiN Yaad hai sair E charaaGhaaN ‘Nasir’ Dil ke bujhne ka sabab yaad nahiN
August 15, 201114 yr Dekhaa hua sa kuchh hai to sochaa hua sa kuchh Har waqt mere saath hai uljhaa hua sa kuchh Hotaa hai yuuN bhii raastaa khultaa nahiN kahiN Jangal sa phail jaataa hai khoyaa hua sa kuchh Saahil kii geelii ret pe bachchoN ke khel saa Har lamhaa mujh meN bantaa bikhartaa hua sa kuchh Fursat ne aaj ghar ko sajaayaa kuchh is tarah Har shay se muskuraataa hai rotaa hua sa kuchh DhuNdhlii sii ek yaad, kisii qabr kaa diyaa Aur mere aas paas chamkataa hua sa kuchh
August 15, 201114 yr Hum haiN mataa-E-koochaa-E-baazaar ki tarah UThtii hai har nigaah khareedaar ki tarah Is koo-E-tishnagi maiN buhat hai k aik jaam Haath aa gaya hai daulat-E-bedaar ki tarah Wo to kahiN haiN aur magar dil k aas paas Phirti hai koi shay nigah-E-yaar ki tarah Seedhi hai raah-E-shauq pe yuN hi kabhi kabhi Kham ho gayi hai gesoo-E-dildaar ki tarah Ab ja k kuch khulaa hunar-E-naakhun-E-junuN Zakhm-E-jigar hue lab-O-rukhsaar ki tarah ‘Majruh’ likh rahe haiN wo ahal-E-wafaa ka naam Hum bhi khaRe hue haiN gunahagaar ki tarah
August 15, 201114 yr Nazar bujhi to karishmay bhi roz O shab ke gaye K ab talak nahi aaye haiN log jabb ke gaye Sunegaa koun teri bewafaaiyoN ke gilay Yahi hai rasm-E-zamana to ham bhi ab ke gaye Magar kissi ne hamaiN ham safar nahi jaanaa Yeh aur baat K ham saath saath sab ke gaye Ab aaye ho to yahaaN kya hai dekhnay ke liye Ye shahr kab se hai weeraN wo log kab ke gaye Giraftaa dil thay, magar houslaa na haaraa tha Giraftaa dil haiN magar housslay bhi ab ke gaye Tum apni shamm’a tamanna ko ro rahe ho ‘Faraz’ In aaNdhiyoN meN to pyare charaGh sab ke gaye
August 15, 201114 yr Mujh ko yaQeeN hai sach kahti thiN jo bhi ammi kahti thiN Jab mere bachpan k din thay, chaNd me pariyaaN rahti thiN Ek ye din jab apnoN ne bhi hum se naataa toR liyaa Ek wo din jab peR ki shaakheN bojh hamara sahti thiN Ek ye din jab sari saRkeN rooThi rooThi lagti haiN Ek wo din jab ‘Aao khelaiN’ saari galiyaaN kahti thiN Ek ye din jab jaagi raataiN deewaaroN ko takti haiN Ek wo din jab shamoN ki bhi palkeN bojhal rahti thiN Ek ye din jab zehn me saari aiyyaari ki bateN haiN Ek wo din jab dil me bholi bhaali bateN rahti thiN Ek ye din jab laakhoN Gham aur kaal paRa hai aansu ka Ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyaaN bahti thiN Ek ye ghar jis ghar me mera saaz O saamaaN rahta hai Ek wo ghar jis ghar me meri buRhi naani rahti thiN
August 15, 201114 yr Kahaniyan na suno aas paas logoN Ki Ke mera shaher hai basti udaas logoN Ki Na koi samt na manzil so Qaafila kaisa RawaaN hai bheeR faqat be-Qayas logoN Ki Kisi se pooch hi lete wafa ke baab meN hum Kami nahiN thi zamaanaa-shanaas logoN Ki MuhabbatoN ka safar khatm to nahiN hota Baja K dosti aayi na raas logoN Ki HamaiN bhi apne Kayi dost yaad aate haiN Kabhi jo baat chale na-sipaas logoN Ki Karo na apni bala-noshion Ke yuun charchay K is se aur bhi barhti hai pyaas logoN Ki MaiN aany wale ZamaanoN se dar raha huN ‘Faraz’ K maiN ne dekhi haiN aaNkheN udaas logoN Ki
August 15, 201114 yr Sarfroshi ki tamanna ab hamare dil meN hai Dekhna hai zor kitna baazu E Qatil meN hai Ae shahid E mulk O millat, maiN tere uper nisaar Ab teri himmat ka charcha Ghair ki mahfil meN hai Rah rav E raah E muhabbat, rah na jaana raah meN Lazzat E sehra navardi doori E manzil meN hai Aaj phir maQtal meN Qatil kah raha hai baar baar AayeN woh shauQ E shahadat jinke jinke dil meN hai Marne walo aao ab gardan kataao shauQ se Yeh Ghaneemat waqt hai, khanjar kaf E Qaatil meN hai Waqt aane par dikhadeNge tujhe ae aasmaaN Hum abhi se kyuN batayeN kya hamare dil meN hai Ab na agle walwale haiN aur na woh armaan ki bheeR Sirf mit jaane ki hasrat ek dil E bismal meN hai
August 15, 201114 yr BaGh saaraa to bayaabaaN na hua tha, so hua Jo khazaaN ka kabhi ehsaaN na hua tha, so hua Hum to bedaar hue khaab se apne lekin Woh bhi khaaboN meN preshaaN na hua tha, so hua Hum bhi kuchh soch k kar baithe bilaakhir shikwaa Woh bhi pahle to pashemaaN na hua tha so hua Mish’aleN sar ki sajaayi gayiN tasht E zar meN Kab se maqtal meN chiraaGhaaN na hua tha, so hua Safar E jaaN ki hui ab kahiN jaa kar takmeel Yaani maiN be sar O saamaaN na hua tha, so hua Dekhte dekhte aa pahunchaa saroN tak paani Ab tak andaaza E toofaaN na hua tha, so hua Aur kya mujh ko silaa milta khuloos E dil ka Hadaf E tohmat E yaaraaN na hua tha, so hua DostoN meN jo ta’alluQ tha woh baaQi na rahaa DushmanoN meN koi paimaaN na hua tha, so hua Dasht meN abr to barsaa woh do ek booNd sahi Pahle itna bhi to imkaaN na hua tha, so hua ‘Mohsin’ achchha hi hua us ne palat di jo naQaab Rang us ka jo numaayaaN na hua tha, so hua
Create an account or sign in to comment