August 13, 201114 yr TamannaaoN meN uljhaayaa gaya hooN Khilaune de ke bahlaayaa gaya hooN HooN us kuuche ke har zarre se aagaah Udhar se muddatoN aayaa gaya hooN Dil E muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm Main Khud aayaa nahi laayaa gayaa hooN Saweraa hai bahut ai shor E mahashar Abhii bekaar uThavaayaa gayaa hooN Lahad meN kyuN na jaaooN muNh chhupaye Bharii mahafil se uThawaayaa gayaa hooN kujaa main aur kujaa ai ‘Shad’ duniyaa kahaN se kis jagah laayaa gayaa hooN
August 13, 201114 yr Ajam ke shahroN meN ek shahar ka hai ye qissa Yeh raft O bood ka ek silsilaa jo qaayam hai BhaNvar meN jis ke har ek cheez doob jaati hai Suna hai us meN kisi qasbe ka rayees baRa PhaNsa kuchh aisa, koi chaal kaargar na hui Har ek tibbee madad, har dawa, ilaaj, gharaz Woh sab jo qabza E insaan O mumkinat meN tha Kiya, tamam maseeha qareeb O door jo the Talab kiye gaye, sab ko zar E kaseer diya Magar khuda ko jo manzoor tha woh ho ke raha Ajal ne beTe se mahboob baap chheen liya Khabar yeh phail gayi door paas pal bhar meN Har ek rota tha zaar O qataar sun sun kar Pisar ke bain ka dil par asar shadeed hua Woh seena peet ke kahta tha baar baar, ‘Pidar! Chale ho aisi jagah chhoR kar hameN sab ko JahaaN na dost na hamdam na koi hai munis Andheri kothri hogi, akele rahna hai Na khana paani jahaaN hai na roushni ka guzar WahaaN pe jaisi bhi guzregi khud hi sahna hai Har ek chez ko tarsoge haaye haaye wahaaN Koi madad ko na aayega aisi duniyaa hai!!’ Ghareeb bhi koi shamil tha us janaaze meN Aur apne noor E nazar ko bhi saath laaya tha Suni jo aah O buka us ne kuchh nahi samjha Palat ke baap se poochha bahut hi saadgi se ‘Hamare ghar liye jaate haiN kya unheN baba?’
August 13, 201114 yr Dekh hamari deed ke karan kaisa Qaabil E deed hua Ek sitaara baiThe baiThe taabish meN khursheed hua Aaj to jaani, rastaa takte, shaam ka chaNd padeed hua Tu ne to inkaar kiya tha, dil kab naa-ummeed hua?? Aan ke is beemaar ko dekhe!! tujh ko bhi taufeeQ hui? Lab pe us ke naam tha tera, jab bhi dard shadeed hua HaaN us ne jhalak dikhlayi, ek hi pal ko dreeche meN Jaano ek bijli lahraayi, aalam ek shaheed hua Tu ne hum se kalaam bhi chhoRa, arz E wafaa k sunte hi Pahle kaun Qareeb tha hum se, ab to aur ba’eed hua Duniya ke sab karaj chhoRe, naam pe tere ‘Insha’ ne Aur use kya thoRe Gham the? tera ishq mazeed hua
August 13, 201114 yr Pur shikastoN ki na chheRo daastaaN is martabaa BaiTh jaye ga yeh khastaa aasmaaN is martabaa Dha chuki mera kharaabaa lekin ae reg E rawaaN Itna Gham tu le ke jaye gi kahaaN is martabaa Baat karna jurm hai im-saal mere shahr meN Aur zoroN par meri tab’ E rawaaN is martabaa Kya khabar abke bhaNwar se hath nikle ya nahi Dekhiye kya gul khilaye badbaaN is martabaa Be salaaKh ab aik bhi khiRki nahi rah jayegi Her taraf se uTh rahi haiN aaNdhiyaaN is martabaa Wo dareechaa band hai pichhle baras aisa na tha Door kitni ho gyee hai kahkashaaN is martabaa Ae ‘Muzaffar’ jam’a hoNgai saari basti ke chiraaGh Aag se bachnaa nahi koyii makaaN is martabaa
August 13, 201114 yr Ab kya hai jo tere paas aauN Kis maan par tujhko aazmaauN Zakhm ab ke to saamnehi khaaauN Dushman se na dosti buRhaaauN Titli ki tarah jo uR chuka hai Wo lamha kahaN se khoj laaauN Girvi haiN samaa’ateN bhi ab to Kya teri sadaa ko muNh dikhaaauN Ae mere liye na dukhne waale Kaise tere dukh samet laaauN YuN teri shanaakht mujh meN utre Pahchaan tak apni bhool jaaauN Tere hi bhalay ko chaahti huN MaiN tujh ko kabhi na yaad aauN Qaamat se baRi salib paa kar Dukh ko kyuN kar gale lagaaauN Deewar se bel baRh gyee hai Phir kyuN na maiN bhi phail jaaauN
August 13, 201114 yr جانے کیوں پیرہن پہ دھول نہ تھی یہ مسافت تو بے حصول نہ تھی جذبۂ دل کو کب پتا تھا اسے اتنی وارفتگی قبول نہ تھی میری چاہت میں سرد وقفے تھے بے وفائی تری فضول نہ تھی دکھ ہوا جب میری وہ حالت پر دل گرفتہ نہ تھی ملول نہ تھی موت دھوکے سے لے گیی جاں کو زندگی بھی تو با اصول نہ تھی ***** Jane kyuN pairahan pe dhool na thi Yeh musafat to be husool na thi Jazba E dil ko kab pata tha use Itni waraftagi qubool na thi Meri chahat meN sard waQfe the Bewafaayi teri fazool na thi Dukh hua, jab wo meri haalat par Dil giraftaa na thi, malool na thi Maut dhoke se le gayi jaaN ko Zindagi bhi to ba usool na thi
Create an account or sign in to comment