August 18, 201114 yr Wahmay Saray tery apnay hain hum kahan tuj ko bhool saktay hain meri Aankhoo mai ek Mudet say Qaflay Rutjagoo k tehray hain Sir burhana hawaoo say Pocho Zaeqay Hijratoo k kaisay hain Baaz ouqaat Khushek pattay bhi Paaoo perty hain Cheekh Utthtay hain ishiq k Khush Gumaan Mosem mai pethroo mai Gulaab khiltay hai
August 18, 201114 yr Mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna Jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna Jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain Magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna Jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina Jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna Yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain Jab inn ki yakh bas’tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna Tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say Jo mairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna
August 18, 201114 yr Koi mujhko mera bharpoor saraapa la dey Mere baazoo meri aankhen mera chehra la dey Aisa dariya jo kisi aur samandar mai girey Is se behter hai ke mujhko mera sehra la dey Kuchh nahee chahiye tujh se meri ai umr-e-rawan Mera bachpan mere jugnoo meri gudia laa dey Jiski aankhen mujhe ander se bhi padh sakti hon Koi chehra to mere sheher mai aisa la dey Kishti-e-jaan to bhanwar mai hai kai barson se Ai Khuda ab to dubo dey ya kinara la dey
August 18, 201114 yr Dast basta shehr main kholay meri zanjeer koun Paa baa gul sab hain rehaayee ki karey tadbeer koun Mera sar haazir hay lekin mera munsif dekh lay Kar raha hay meri fard0e0jurm ko tehreer koun Meri chaadar toh chinni thee shaam ki tanhaayee main Be-riddayii ko meri phir dey gaya tash-heer koun Neend jub kawbon sey pyari ho toh aisey ehd main Khawb dekhay koun aur khawbon ki dey taabeer koun Rait abhi pichlay gharondon sey na wapis ayee thee Phir lab-e-saaahil gharonda kar gaya taameer koun Dushmano kay sath merey dost bhi azaad hain Dekhna hay kheenchta hay mujh pay pehla teer koun
August 18, 201114 yr Tujh se koi gilla nahin hai !! !! Qismat main meri silla nahin ha!! !! Bichar ke to na-janey kia haal ho !! !! Jo shakhs abhi milla nahi hai!! !! Jeeney ki to aarzu hi kab thi !! !! Marney ka bhi hosla nahin hai !! !! Jo zeest ko mu-tabir bana dey !! !! Aesa koi silsila nahin hai !! !! Khushboo ka hisaab ho chuka!! !! Aur phool abhi khilla nahi hai !! !! Sershaari-e-rehbari main dekha !! !! Peechy mera qafilla nahin hai !!
August 18, 201114 yr Itni gehri tareeki main hath pakar kar chalne wala koi agar sath hota to tum hote … dekho tum jo sath nahi to mut’thi bhar yaadon ke jugnu kab tak mere sath chaley gain
August 18, 201114 yr Wo gumaan gumaan sa Qayaas sa kbhi door sa … kbhi paas sa kbhi chandni main chupa hua kbhi khushbuon main basa hua kbhi sirf uski shabahatein kbhi sirf uski hikayatein kbhi sirf milne k silsile kbhi sirf us se hain faasle kbhi door chalti hawaon main kbhi meenha barasti ghataon main kbhi bad-gumaan … kbhi meherbaan kbhi dhoop hai … kbhi sayebaan kbhi band dil ki kitaab main kbhi lab kushan wo khwab main kbhi yun k jaise sawal ho kbhi yun k jaise jawab ho kbhi dekhne k hain silsile kbhi sochne k hain marhaly kbhi sirf rang-e-bahar sa kbhi sirf ek ghubaar sa kbhi dastaras k qareeb qareeb kbhi door … paas … kahin nahi ye jo ukhra ukhra sa shaks hai ye jo bikhra bikhra sa shaks hai
August 18, 201114 yr jo khayal thay na qayas thay wahee log humsay bichar gayay meri zindagi kee jo aas thay wahee log humsay bichar gayay jinhain maanta hee naheen yeh dil, wahee log hain mairay humsafar mujhay har tarah say jo raas thay wahee log mujh say bichar gayay mujhay lamha bhar kee rafa'qaton kay azab aur satayaingay meri umr bhar kee jo piyas thay wahee log humsay bichar gayay yeh khayal saaray hain aarzi, yeh gulab saaray hain kaaghzi gul-e-aarzo kee jo baas thay wahee log humsay bichar gayay jinhain kar saka naaa qabool main, woh shareeq-e-raah safar huway jo meri talab meri aas thay wahee log humsay bichar gayay yeh jo raat din jo mairay saath hain wahee ajnabi kay hain ajnabee woh jo dharkanon kee asas thay wahee log humsay bichar gayay
August 18, 201114 yr Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi Qurbat Kay Baad Aur Bhi Qurbat Ki Talash Dil Mutmain Nahin Hai Teray Aanay Kay Baad Bhi Go Tu Yahan Nahin Hai Mager Tu Yahein Pay Hai Tera Hi Zikar Hai Teray Janay Kay Baad Bhi Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahin Hai Ussay Adeem Dil Ka Tamam Haal Sunanay Kay Baad Bhi
August 18, 201114 yr Meri ankhon pe merta tha Meri baton pe hansta tha Najaney shkas tha kaisa Muje khoney se darta tha Muje jab be wo milta tha Yahe hr bar kehta tha Suno Agar mein bhol jaon to Agar mein rooth jaon tho Kabi Wapis na aon to Bhula pao gy ye sab kuch Yonhi hansty rho gy kia Yehi batein hen bas us ki Yehi yadein han bas us ki Muje Bas pata hai itna Muje wo pyar kerta tha Muje khone se darta tha
Create an account or sign in to comment