August 18, 201114 yr Niyyat-e-shauq bhar na jaaye kahiN Tu bhi dil se utar na jaaye kahiN Aaj dekha hai tujh ko der k baad Aaj ka din guzar na jaaye kahiN Na milaa kar udaas logon se Husn tera bikhar na jaaye kahiN Aarzoo hai k tuu yahaan aaye Aur phir umar bhar na jaaye kahiN Jee jalaata huN aur ye sochta huN Raayegaan ye hunar na jaaye kahiN Aao kuch der ro hi len ‘Nasir’ Phir ye dariya utar na jaaye kahiN
August 18, 201114 yr Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Iss Shahr Mai Ji Ka Lagana Kya Wahshi Ko Sukoo’N Say Kya Matlab, Jogi Ka Nagar MaiN Thikana Kya Iss Dil K Dareeda Daaman Ko, Dekho To Sahi, Socho To Sahi Jiss Jholi Mai Sau Chaid Huay, Uss Jholi Ka Phailana Kya Shab Beeti Chaand Bhi Doob Chala, Zanjeer Pari Darvazay Mai KyuN Dair Gaaye Ghar Aaye Ho, Sajni Say Karo Gay Bahana Kya Phir Hijar Ki Lambi Raat Miaan, Sanjog Ki To Hai Aik Ghari Jo Dil Mai Hai Lab Par Aanay Do, Sharmana Kya Ghabrana Kya Uss Roz Jo Unko Dekha Hai, Abb Khuwaab Ka Aalam Lagta Hai Uss Roz Jo Unn Say Baat Huee, Wo Baat Bhi Thi Afsana Kya Iss Husan K Suchchay Moti Ko, Hum Dekh Sakain Par Chhoo Na SakaiN Jise Dekh Sakain Par Chu Na Sakain, Wo Daulat Kya Wo Khazana Kya Usko Bhi Jala Dukhtay Huay Mun, Ik Shola Aag Bhabhuka Bann Younh Aansu Mai Behh Jana Kya, Younh Maati Mai Mil Jana Kya Jab Shahr K Log Na Rasta DaiN, KyuN Bann Mai Na Ja Basraam Kare Deewano’n Ki See Na Baat Karay, To Aur Karay Dewana Kya
August 18, 201114 yr Is se pahale ke be-vafaa ho jaayeN KyuN na ae dost ham judaa ho jaayeN Tuu bhii hiire se ban gayaa pat_thar Ham bhii kal jane kya se kya ho jaayeN Tuu ke yakta tha, be-shumar hooa Ham bhii tooteN to jabaja ho jaayeN Ham bhii majbuuriyoN ka uzr kareN Aur kahiiN aur mubtalaa ho jaayeN Ham agar manzileN naa ban paayeN ManziloN tak kaa raastaa ho jaayeN!! Dair say soch meiN haiN parwaanay Rakh ho jaayeN, ya hawaa ho jaayeN Ishq bhii khel hai nasiibo.n kaa Khaak ho jaaye.n kimiyaa ho jaaye.n Ab ke gar tuu mile to ham tujh se Aise lipTeN terii qabaa ho jaayeN Bandagii ham ne chhoR dii hai ‘Faraz’ Kyaa kareN log jab Khudaa ho jaayeN
August 18, 201114 yr Dayaar E dil ki raat meN charaaGH saa jalaa gayaa Milaa nahiN to kyaa huaa wo Shakl to dikhaa gayaa JudaaioN ke ZakHm dard E Zindagi ne bhar diye Tujhe bhi NeeNd aa gayi mujhe bhi Sabr aa gayaa Yeh subh ki SafediyaaN yeh dopahar ki ZardiyaaN Ab Aaine meN deKhtaa hooN maiN kahaaN chalaa gayaa Pukarti haiN FursateN kahaaN gayiN wo SohbateN ZameeN nigal gayi unheN yaa Aasmaan khaa gayaa Wo dosti to kHair ab Naseeb-e-dushmanaaN hui Wo cHoTi cHoTi RanjishoN kaa lutf bhi chalaa gayaa Yeh kis kHushi ki Ret par GHamoN ko NeeNd aa gayi Wo lehr kis taraf gayi ye maiN kahaaN samaa gayaa Gaye dinoN ki Laash par paRe rahoge kab talak?? UTho amal-kasho K Aaftaab sar pe aa gayaa
August 18, 201114 yr Musalsal bekalee dil ko rahee hai Magar jeene ki surat to rahee hai Main kyun phirta huN tanha maara maara Ye bastee chain se kyuN so rahee hai Chale dil se ummeedoN ke musaafir ye nagari aaj Khaali ho rahee hai Na samajho tum ise shor-e-bahaaraaN KhazaaN pattoN mein chhup ke ro rahee hai Hamare ghar ki diivaaroN pe ‘Nasir’ Udaasee baal khole so rahee hai
August 18, 201114 yr Garmi-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate hain Hum charagoN ki tarah shaam se jal jaate hain Bach nikalate hain agar atih-e-sayyal se hum Shola-e-atish-e-gulfaam se jal jaate hain Khudnumaayi to nahin shewaa-e-arbaab-e-wafaa jin ko jalnaa ho wo aaram se jal jaate hain Shama’ jis aag mein jalti hai numaayish k liye Ham usi aag mein gumnaam se jal jaate hain Jab bhi aata hai mera naam tere naam ke saath Jane kyun log mere naam se jal jaate hain Rabt-baaham pe hamein kya na kahenge dushman Ashnaa jab tere paighaam se jal jaata hain
Create an account or sign in to comment