August 18, 201114 yr Ye dil, ye paagal dil mera kyuN bujh gayaa? aavaargii Is dasht meN ik shahar thaa wo kyaa huaa? aavaargii Kal shab mujhe be-shakl sii aavaaz ne chauNkaa diyaa MaiN ne kahaa tuu kaun hai? us ne kahaa aavaargii Ik tuu k sadiyoN se mere ham_raah bhiii ham_raaz bhii Ik maiN k tere naam se naa_aashnaa aavaargii Ye dard kii tanhaa_iyaaN, ye dasht kaa viiraaN safar Ham log to uktaa gaye apanii sunaa aavaargii Ik ajnabii jhoNke ne jab, puchhaa mere gham ka sabab Sahraa kii bhiiigii ret par maiN ne likhaa aavaargii Le ab to dasht-e-shab kii saariii vus’ateN sone lagiiN Ab jaaganaa hogaa hameN kab tak? bataa aavaargii Kal raat tanhaa chaaNd ko dekha tha maiN ne Khaab meN ‘Mohsin’ mujhe raas aayegii, shaayad sadaa aavaargii
August 18, 201114 yr Ishq mujhko nahin wahshat hi sahi Meri wahshat teri shohrat hi sahi Qat’aa kieje na taa’alluq hum se Kuchh nahin hai to adaawat hi sahi Mere hone main hai kya ruswaai Ye woh majlis nahin khalwat hi sahi Hum bhi dushman to nahin hain apne Ghair ko tujh se mohabbat hi sahi Apni hasti hi se ho jo kuchh ho Aagahi gar nahin ghaflat hi sahi Umr harchand k hai barq-E-kharaam Dil ko khuN karne ki fursat hi sahi Hum koi tark-e-wafaa karte hain Naa sahi ishq, museebat hi sahi Kuchh to de Ae falak-e-na-insaaf Aah-o-fariyaad ki rukhsat hi sahi Hum bhi tasleem ki khuu dalenge Be – neyaazi teri aadat hi sahi!!! Yaar se chheR chali jaaye “Asad” Gar nahin wasl to hasrat hi sahi
August 18, 201114 yr Maskan-e-maah o saal chhoR gaya Dil ko uss ka khayaal chhoR gaya Taaza dam jism o jaaN thay furqat meiN Wasl , uss ka nidhaal chhoR gaya Ahd-e-maazi jo tha ajab pur haal Aik weeraan haal chhoR gaya Zaala baari k marhaloN ka safar Qaaflay, paayemaal chhoR gaya Dil ko ab yeh bhi yaad ho k na ho Kaun tha , kia malaal chhoR gaya MaiN bhi ab khud se huN jawaab talab Wo mujhey , bay sawaal chhoR gaya
August 18, 201114 yr Kab talak shama’ jali, yaad naheeN Sham-e-gham kaise dhali, yaad naheeN Is qadar yaad hai apne the sabhi Kisne kya chaal chali, yaad naheeN Hum zamane mein kuch aise bhatkay Ab to unki bhi gali yaad naheen Abr tha, jaam tha, per aap na thay Woh ghaRi kaise tali yaad naheeN Kat gayi umr kisi tarh’ “Qateel” Woh buri thee k bhali yaad naheeN
August 18, 201114 yr Qaryaa-e-jaaN mein koi phool khilaane aaye Woh mere dil pe nayaa zakhm lagaane aaye Mere veeraan darichoN mein bhi khushbu jaage Woh mere ghar ke dar-o-baam sajaane aaye Uss se ek baar to roothuN main usee ki maanind Aur meri tarh’ se wo mujhko manaane aaye Isee kuche mein kayi us ke shanaasa bhi to hain Woh kisi aur se milne ke bahaane aaye Ab na puchhungi main khoye hue khaboN ka pata Woh agar aaye to kuch bhi na bataane aaye Zabt ki shehar-panaahoN ki mere maalik khair Gham ka sailaab agar mujhko bahaane aaye.
August 18, 201114 yr TohmateN, badnaamiyaaN, rusvaaiyaaN Haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN zindagii shaayed isii kaa naam hai DuuriyaaN, majbuuriyaaN, tanhaaiyaaN Kyaa zamaane meN yuuN hii kaTtii hai raat KarvateN, betaabiyaaN, angRaaiyaaN Kyaa yahii hotii hai shaam-e-intizaar AahaTeN, ghabraahaTeN, parchhaiyaaN Aik paikar meN simaT kar rah gayiiN KhuubiyaaN, zebaaiyaaN, raanaaiyaaN ZaKhm dil ke phir hare karne lagiiN BadliyaaN, barkhaa ruteN, purvaaiyaaN “Kaif” paida kar samandar kii tarah Vus’ateN, KhaamoshiyaaN, gahraaiyaaN
August 18, 201114 yr Yeh gham kya dil ki aadat hai?Nahi to Kisi sey kuch shikaayat hai?Nahi to Hai wo ik khaab-e-be taabeer us ko Bhula dene ki neeyyat hai?Nahi to Kisi k bin, kisi ki yaad k bin Jiye jaane ki himmat hai?Nahi to Kisi soorat bhi dil lagta nahi?haan To kuch din se ye haalat hai?Nahi to Tujhey jis ney kahiN ka bhi na rak_kha Wo ik zaati si wehshat hai?Nahi to Trey is haal par hai sab ko hairat Tujhey bhi iss pe hairat hai?Nahi to Hum aahangee nahi dunia sey teri Tujhey is par nadaamat hai?Nahi to Hua jo kuch yehi maqsoom tha kia? Yehi saari hikaayat hai?Nahi to Azeeyyat naak ummeedoN sey tujh ko AmaaN paaney ki hasrat hai?Nahi to Tu rehta hai khayaal O khaab meiN gum To is ki wajh fursat hai?Nahi to WahaaN waloN se hai itni muhabbat YahaaN waloN sey nafrat hai?Nahi to Sabab jo is judaai ka bana hai Wo mujh se khoobsoorat hai?Nahi to
August 18, 201114 yr Juz teray koi bhi din raat na janay meray Tu kahaN hai magr Ae dost puranay meray Tu bhi khushboo hai magr mera tujusus bekar Burg-e-awara ki maninth dikhAnay meray ShamA ki lau thi k wo tu tha magr hijr ki raat Dair tak rotA raha koi sarhanay meray Khalq ki beKhabaree hai k meree ruswayee Log mujh ko hi sunatay hain fasanay meray Lut k bhi khush huN k ashkoN se bhara hai daaman Dekh gharat gar e dil yeh bhi khazane meray Aaj ik aur baraS beet gaya us kay beghair Jis k hotay hue hotay thay zamanay meray Kaash tu bhi meri aawaaz kahiN sunta ho Phir pukara hai tujhe dil ki saada ne meray Kaash tu bhi kabhi aajaye masihayee ko Log aate hain bahut dil ko dukhane meray Kaash auroN ki tarah main bhi kabhi keH sakta Baat sun lee hai meri, aaj khuda ne meray Tu hai kis haal mein aih zood-faramosh mere Mujh ko to chheen liya ahd-e wafa ne meray Chara-gar yuN to bahut haiN magr ae jaan-e-faraz Juz teray aur koi zakhum na janay meray
August 18, 201114 yr خدا کا شکر مجھے بیش از گمان ملا تمہارے ریشمی آنچل کا سائبان ملا نہ جانے مجھ میں سمائی تھیں ہجرتیں کتنی ترے وجود سے مجھ کو مرا مکان ملا خدا نے ہم پہ حدیں کتنی باندھ رکھی ہیں حصار جسم سے نکلے تو آسمان ملا ہم اسکے جبر کا قصّہ سناتے کس کس کو یہاں تو جو بھی ملا اس کا ہم زبان ملا حکایتیں تھیں مری راویوں کے نرغے میں پھر اس کے باد جہاں مجھ سے بعد گمان ملا سنا ہے شہر کی بنیاد اس نے ڈالی تھی جو شخص کل مری بستی میں بے امان ملا Khuda ka shukr mujhe besh-az-gumaan mila Tumhare reshmi aanchal ka saayabaan mila. Na jaane mujh meN samaayi thiN hijrateN kitni Tere wajood se mujh ko meraa makaan mila. Khuda ne humpe hadeN kitni baNdh rakhkhi haiN Hisaar e jism se nikle to aasmaan mila !! Hum uske jabr ka qissaa sunaate kis kis ko YahaaN to jo bhi milaa, uska hamzaban mila. HikayateN thiN meri raaviyoN ke narghe meN Phir uske baad jahaaN mujh se bad gumaan mila Suna hai shahr ki buniyaad usne daali thi Jo shakhs kal meri basti me be amaan mila. Ye shayeri mujhe maqdur bhar mili hi nahin Magar abhi bhi koi le to mujh se taan mila.
August 18, 201114 yr Zikr-e shab-e firaaq se wehshat usay bhi thee, Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thee. Mujh ko bhi shoq tha naye chehron ki deed ka, Rasta badal k chalne ki aadal usay bhi thee. Us raat dair tak wo raha mahav-e guftagoo, Masroof main bhi kam tha faraagat usay bhi thee. Mujh se bichhar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs, Haalaanke shahar bhar se adaawat usay bhi thee. Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha jee gaya, Warna her aik saans qayamat usay bhi thee. Sunta tha wo bhi sab se puraani kahaaniyaan’ Shayad rifaaqaton ki zaroorat usay bhi thee. Tanha husa safar main to mujh pe khula ye bhaid, Saaye se pyar, dhoop se nafrat usay bhi thee. Mohsin’ main us se keh na saka yun bhi haal-e dil, Dar-pesh aik taaza museebat usay bhi thee..
Create an account or sign in to comment