August 18, 201114 yr Khulegi uss nazar pe chashm-e-tar aahista-aahista Kiya jaata hai paani mein safar aahista-aahista Koi zanjeer phir waapas waheeN par le ke aati hai Kathin ho raah to chhut’ta hai ghar aahista-aahista Badal dena hai rasta ya kaheeN par baith jaana hai K thakta jaa raha hai humsafar aahista-aahista Khalish ke saath iss dil se na meri jaan nikal jaaye Khinche teer-e-shanaasaai magar aahista-aahista Hawa se sarkashi mein phool ka apna zayaaN dekha So jhukta jaa raha hai ab ye sar aahista-aahista Meri shola mijaazi ko wo jangal kaise raas aaye Hawa bhi saans letii ho jidhar aahista-aahista.
August 18, 201114 yr Daikh hamaray mathay pe yeh dasht-e-talab ki dhool miyaan Hum se ajab tera dard ka nata,daikh hmain mut bhool miyaan Ahl-e-wafa se baat na karna ho ga tera usool miyaan Hum kioun phairain in galyoon k phairoN ka ma’mool miyaan Yunhi to nahi dasht main pohnchay,yunhi to nahi jog liya Basti basti kantay daikhay jangal jangal phool miyaan Yeh to kaho kabhi ishq kia ha?jag main hoye ho ruswa bhi Is k siwa hum kuch na puuchain baqi baat fazool miyaan Nasb karain mehraab-e-tamanna,deeda-o-dil ko farsh karain Suntay hain wo kooe-wafa main aaj karain gay nazool miyaan Sun to liya kisi naar ki khatir kata koh, nikali nehr Ik zara say Qissay ko ab daitay ho kioun tool miyaan Khailnay day inhain ishq ki baazi,khailain gay to seekhain gay Qais ki ya Farhad ki khatir kholain kiya iskool miyaan? Ab to hamain manzoor hai yeh bhi,shehr se niklain,ruswa hoN Tujh ko daikha, baatain kar leen,mehnat hoi wasool miyaan Insha jee kiya uzr hai tm ko, naqd-e-dil-o-jaan nazr karo Roop nagar kay nakay per yeh lagta hai mehsool miyaan!
August 18, 201114 yr Raat ek mehfil meiN guft_guu namu par thii Har zubaan thii saakit, har nigaah pat_thar thii Ek savaal kii lou se hoNT jhulse jaate the Ek javaab kii ThanDak aah ke baraabar thii Ek be-yaqeeN lehja khouf se larazta tha Ik Chhupi huii hairat, hairatoN se baahar thii Voh sukhan zubaN par tha jis ko dil meiN rehna tha Voh shikan jabeeN par thii jo adaaye bistar thii MaiN bahut hirasaaN tha zakhm ke na bharne se Ek shab kii mohlat thii aur jang sar par thii Shaakh-e-dil kii haryaali khaab ka bayaaN Thehri MaiN ne jis ko nam rak_Kha voh zameeN hii banjar thii Mujh meiN ek darya hai jo bipharta rehta hai Pehle ek Sehra tha jis pe chup kii chaadar thii MaiN ne us ko har lamha jism se pukaraa tha Ab Khula keh voh khaahish ruuh ke baraabar thii Ishq kii karaamat hai varnaa umr ke haathoN Khaal-o-khad kii veeraani husn ka muqaddar thii Kya huye voh lab jin se phool hii baraste the Kya huii voh shaadabi jo hameiN muyassar thii AZM be-sabab dekhha tum ne khaab-e-sairaabi Dasht ke tasalsul meiN tashnagi hii behtar thii
August 18, 201114 yr Kal chaudhaviiN ki raat thi shab bhar raha charchaa teraa Kuchh ne kaha yeh chaaNd hai kuchh ne kaha chehraa teraa Ham bhi vahiN maujud the, ham se bhi sab puuchhaa kiye Ham haNs diye, ham chup rahe, manzur tha pardaa teraa Is shahr meN kis se mileN ham se to chhuTiN mahafileN Har shaKhs teraa naam le, har shaKhs diivaanaa teraa Kuuche ko tere chhoR kar, jogii hii ban jaayeN magar Jangal tere, parbat tere, bastii terii, sehraa teraa Ham aur rasm E bandagi, aashuftagii, uftaadagii Ehasaan hai kya kya teraa ae husn E beparvaa teraa Do ashk jaane kis liye palkoN pe aa kar Tik gaye Altaaf kii baarish terii, ikraam kaa dariyaa teraa Ae bedaareGh O be_amaaN ham ne kabhi ki hai fuGhaaN Ham ko terii vahshat sahi ham ko sahii saudaa teraa Tu ba-vafaa tu mahrabaaN, ham aur tujh se bad-gumaaN? Ham ne to puuchhaa tha zaraa ye vasf kyuN Thahraa teraa Ham par ye saKhtii ki nazar, ham haiN faqiir E rah_guzar Rastaa kabhii rokaa teraa, daaman kabhii thaamaa teraa? HaaN haaN terii suurat hasiiN, lekin tuu aisaa bhii nahiiN Is shaKhs ke ash’aar se shohraa huaa kyaa kyaa teraa Beshak usii kaa dosh hai, kahataa nahiiN Khaamosh hai Tu aaQ kar aisii davaa, biimaar ho achchhaa teraa Bedard sun_nii ho to chal, kahtaa hai kyaa achchhii Ghazal Aashiq teraa, rusvaa teraa, shaayar teraa ‘Insha’ teraa
August 18, 201114 yr Mere husn e bayaaN me shamil thaa Woh meri daastaaN me shamil thaa Meri basti ko lootne waalaa!!!!!!!! Wafd e rahat rasaaN me shamil thaa Us ki khaatir jahaan haar gaye Kya maza us zayaaN me shamil thaa Justajoo maaNd parti jati thi Dil ajab kaarwaaN me shamil thaa Gumrahi ka wo bad numa lamhaa Meri tazyeen e jaaN me shamil thaa
August 18, 201114 yr Kitne mousam sargardaan the mujh se hath milane main Main ne shaayed dair lagadi khood sey baahar aane main Ek nighah ka san’nata hai ek aawaaz ka banjar pan Main kitna tanha baitha hun qurbat ke veerane main Bistar se karwat ka rishta toot gaya ek yaad ke saath Khaab sarhane se uth baitha takiye ko sarkaney main Aaj uss phul ki khushbu mujh main paiham shor machati hai Jis ne be had ujlat barti khilne aur murjhaane main Baat banaane wali ratein rang nikharne wale din Kin rastoN par chhoR aaya main umr ka sath nibhane main Aik malal ki gard samete main ne khood ko paar kia Kaise kaise wasl guzare hijr ka zakhm chhupane main Jitne dukh the jitni umeedein, sab se brabar kam liya Main ne apne aayinda ki ek tasweer banaane main Aik wazahat ke lamhe main mujh par ye ahwaal khula Kitni mushkil paish aati hai apna haal bataane main Pahlay dil ko aas dilaa kar beparwaaa ho jata tha Ab to Azm bikhar jata hun main khud ko bahlane main
August 18, 201114 yr Ranjish hi sahi, dil hi dukhaanay k liye aa Aa phir se mujhay chhoR k jaanay k liye aa Pahlay se maraasim na sahi phir bhi kabhi to Rasm-o-rah-e-dunya ko nibhaanay k liye aa Kis kis ko bataayaiNge judaayi ka sabab ham Tu mujh se Khafa hai to zamaanay k liye aa Kuchh to meray pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh Tu bhi to kabhi mujh ko manaanay k liye aa Ek umr se huN lazzat-e-giryaa se bhi mahrum Ai raahat-e-jaaN mujh ko rulaanay k liye aa Ab tak dil-e-Khush fahm ko haiN tujh se umeedaiN Yeh aaKhri sham’eiN bhi bujhaanay ki liye aa Maanaa k muhabbat ka chhupaanaa hai muhabbat Chupke se kisi roz jataane ke liye aa Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane Waise hi kisi roz na jaane ke liye aa
August 18, 201114 yr Dil ishq meiN bepaayaaN, sauda ho to aisa ho Darya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho Ham se nahiN rishta bhi, ham se nahiN milta bhi Hai paas wo baiTha bhi, dhoaka ho to aisa ho Wo bhi raha baygaana, ham ne bhi na pehchaana HaaN ai dil-e-deewaana, apna ho to aisa ho Ham ne yahi maaNga tha, us ne yahi baKhshaa hai Banda ho to aisa ho, daata ho to aisa ho Is daur meN kya kya hai, ruswaayi bhi lazzat bhi KaaNTa ho to aisa ho, chubhta ho to aisa ho Ai Qais junooN paisha, Insha ko kabhi dekha? Wahshi ho to aisa ho, ruswa ho to aisa ho
August 18, 201114 yr shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai vo magar Khud ko jalaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai us ko manzuur nahiiN hai mirii gumraahii bhii, aur mujhe raah pe laana bhii nahiiN chaahtaa hai sair bhii jism ke sehraa kii Khush aatii hai magar, der tak Khaak uRaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai kaise us shaKhs se tabiir pe israar kareN jo koii Khwaab dikhaana bhii nahiiN chaahtaa hai apne kis kaam meN laayega bataata bhii nahiiN ham ko auroN pe ganvaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai mere lafzoN meN bhii chhuptaa nahiiN paikar us ka, dil magar naam bataana bhii nahiiN chaahtaa hai
August 18, 201114 yr Main roya pardes mein, bheegaa maaN kaa pyaar Dukh ne dukh se baat ki, bin chit_thhi bin taar!!!! Chhotaa kar ke dekhiye jeevan kaa vistaar AankhoN bhar aakaash hai, baahoN bhar sansaar Leke tan ke naap ko, ghoomay basti gaanv Har chaadar ke gher se, baahar nikalay paanv Sab ki poojaa ek si, alag alag hai reet Masjid jaaye maulavi, koyal gaaye geet Puja ghar mein murti Meera k sang Shyam Jiski jitni chaakari, utne uske daam Nadiyaa seenchay khet ko, tota kutray aam Sooraj Thekedaar saa, sab ko baantay kaam Saaton din bhagwaan ke, kyaa mangal kyaa peer Jis din soye der tak, bhookhaa rahay faqeer Achhi sangat baithkar, sangi badalay roop Jaisay milkar aam se meethii ho gayi dhoop Sapnaa jharnaa neend kaa, jaagii aankhen pyaas Paanaa, khonaa, khojanaa saanson kaa itihaas Chaahay Geetaa baanchiye, yaa padhiye Quraan Mera tera pyaar hi har pustak kaa gyaan Raste ko bhi dosh de, aankheN bhi kar laal Chappal me jo keel hai, pahle use nikaal Seedha sada dakiya, jadu kare mahaan Ek hi thaile me rakhe, aansu aur muskan Bachchah bola dekh k masjid aalishaan ***** tere ek ko itna baRa makaan???
Create an account or sign in to comment