August 18, 201114 yr bohat achi kooshis ke hai aap nay dearkeep it up Shkuria Maria Dear Hosla Azfai ka shkuria
August 18, 201114 yr Ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN Sab ke dil se utar gayaa huuN maiN Kaise apnii haNsii ko zabt karuuN?? Sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN Kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa Jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN Ab hai bus apna saamnaa darpesh Har kisii se guzar gayaa huuN maiN Vohii naaz-o-adaa, vohii Ghamze Sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN Ajab ilzaam huuN zamaane kaa Ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN Kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa Jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN Tum se jaanaaN milaa huuN jis din se Be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN Kuu–e–jaanaaN meN sog barpaa hai Ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN
August 18, 201114 yr Terii Khushbu kaa pataa karti hai Mujh pe ehasaan hawaa karti hai Shab ki tanhaai meN ab to aksar Guftagu tujh se raha karti hai Dil ko us raah pe chalanaa he nahiN Jo mujhe tujh se judaa karti hai Zindagi meri thi lekin ab to Tere kahne meN raha karti hai Us ne dekhaa hi nahiN warnaa ye aaNkh Dil kaa Ahawaal kahaa karti hai Be-niyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht Ret par naam likhaa karti hai Shaam parte he kisi shaKhs ki yaad Kuuchaa-e-jaaN meN sadaa karti hai Mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk Haal jo teraa ana karti hai Dukh huaa kartaa hai kuchh aur bayaaN Baat kuchh aur huaa karti hai Abr barse to inaayat us ki ShaaKh to sirf duaa karti hai Humne dekhi hai wo ujli saa’at Raat jab she’r kaha karti hai Mas’ala jab bhi chiraagooN ka uThe Faisalaa sirf hawaa kerti hai
August 18, 201114 yr Gaahe gaahe bas ab yahi ho kya? Tumse mil kar bahut khushi ho kya? Mil rahi ho bare tapaak ke saath, Mujhko yeksar bhula chuki ho kya? Yaad hain ab bhi apne khaab tumheN? Mujhse mil kar udaas bhi ho kya? Bas mujhe yun hi ik khayal aaya, Sochti ho to sochti ho kya? Ab meri koi zindagi hi nahin, Ab bhi tum meri zindagi ho kya? Kya kaha, ishq jaawidaani hai? Aakhri baar mil rahi ho kya? Haan, faza yaan’ ki soyi soyi si hai To bahut taiz roshni ho kya? Mere sab tanz be-asar hi rahe, Tum bohat door ja chuki ho kya? Dil mein ab soz-e-intezar nahin, Shamm-e ummeed bujh gayi ho kya? Is samandar pe tashna kaam huN maiN, ‘Baan’ tum ab bhi beh rahi ho kya
August 18, 201114 yr Jab kisii se koii gilaa rakhanaa Saamane apne aaiiinaa rakhanaa YuuN ujaaloN se vaasta rakhanaa Shammaa ke paas hii hava rakhanaa Ghar ki taa’miir chaahe jaisi ho Is meN rone ki kuchh jagah rakhanaa MasjideN haiN namaaziyoN ke liye Apane ghar meN kahiiN Khudaa rakhanaa Milnaa julanaa jahaaN zaruurii ho Milne-julane kaa hausalaa rakhanaa
August 18, 201114 yr Aaraaish-e Khayaal bhii ho dil kushaa bhi ho Wo dard ab kahaaN jise jee chahta bhi ho! Ye kya k roz aik saa gham aik see umeed, Is ranj-e be-khumaar ki ab intehaa bhi ho. Ye kyaa k aik tor se guzare tamaam umr, Jee chaahtaa hai ab koi tere sivaa bhi ho. Toote kabhi to khuwab-e shab-o-roz ka tilism, Itne hujoom main koi chehraa naya bhi ho. Dewangii-e shoq ko ye dhun hai in dinon, Ghar bhi ho aur be-dar-o-deewaar sa bhi ho. Juz dil koi makaan nahin dahar main jahaan, Rah-zan ka khof bhi na rahe dar khulaa bhi ho. Har zarra aik mahamil-e-ibrat hai dasht ka, Lekin kise dikhaaoon koi dekhtaa bhi ho. Har shay pukaaratii hai pas-e pardaa-e-sukoot, Lekin kise sunaaoon koi hum-navaa bhi ho. Fursat main sun shaguftagii-e Gunchaa ki sadaa, Ye wo sukhan nahin jo kisii ne kahaa bhi ho. Baithaa hai aik shakhs mere paas dair se, Koi bhalaa-saa ho to humain dekhtaa bhi ho. Bazm-e sukhan bhi ho sukhan-e garm k liye, Taa-uus boltaa ho to jangal haraa bhi ho.
August 18, 201114 yr Raqs karne kaa milaa hukm jo dariyaaoN meN Ham ne Khush hoke bhaNvar baaNdh liye paaoN meN Un ko bhi hai kisi bhige hue manzar ki talaash Boond tak bo na sake jo kabhii saharaaoN meN Ae mere ham-safaro tum bhii thaake-haare ho Dhuup ki tum to milaavaT na karo chaaoN meN Jo bhi aataa hai bataataa hai nayaa koi ilaaj Bat na jaaye teraa biimaar masiihaaoN meN Hausalaa kis meN hai Yusuf ki Kharidaari kaa Ab to mahNgaayi ke charche haiN zuleKhaaN meN Jis barahman ne kaha hai k ye saal achchha hai Us ko dafnaao mere haath ki rekhaaoN meN Woh khuda hai kisi tootay hue dil me hoga MasjidoN me use dhoondho na kalissaaoN meN Hum ko aapas me muhabbat nahi karne dete Ik yahi aib hai is shehr k daanaaoN meN Mujh se karte haiN Qateel is liye Kuch log hasad KyuN mere she’r hain maqbool haseenaaoN men
August 18, 201114 yr Teri bataain hi sunaanay aaye Dost bhi dil hi dukhaanay aaye Phool khilte hain to hum sochte hain Tere aanay ke zamaanay aaye Aisi kuch chup si lagi hai jaise Hum tujhe haal sunaanay aaye Ishq tanha hai sar-e munzil-e ghum Kaun yeh bojH uthaanay aaye Ajnabi dost humeN dekh! keh hum Kuch tujhe yaad dilaanay aaye Dil dharakta hai safr ke hungaam Kaash phir koi bulaanay aaye Ab to ronay se bhi dil dukhta hai Shayed ab hosh thikaanay aaye Kya kaheeN phir koi basti ujRi Log kyoN jashun manaanay aaye So raho maut ke pahlU mein Faraz Neend kis waqt na jaanay aaye
August 18, 201114 yr Kuchh to ehasaas-e-zayaaN thaa pahle Dil kaa ye haal kahaaN thaa pahle Ab to manzil bhii hai Khud garm-e-safar Har qadam sang-e-nishaaN thaa pahle Safar-e-shauq ke far_sang na puuchh Waqt be-qaid-e-makaaN thaa pahle Ye alag baat ki gham raas hai ab Is me andeshaa-e-jaaN thaa pahle YuuN na ghabaraaye huye phirte the Dil ajab kunj-e-amaaN thaa pahle Ab bhii tuu paas nahii hai lekin Is qadar duur kahaaN thaa pahle Dere Daale haiN bagoloN ne jahaaN Us taraf chashm-e-ravaaN thaa pahle Ab vo dariyaa na vo bastii na vo log Kyaa Khabar kaun kahaaN thaa pahle Har Kharaabaa ye sadaa detaa hai MaiN bhii aabaad makaaN thaa pahle Kyaa se kyaa ho ga_ii duniyaa pyaare Tuu vahiiN par hai jahaaN thaa pahle Ham ne aabaad kiyaa mulk-e-suKhan Kaisaa sun_saan samaaN thaa pahle Ham ne baKhshii hai Khamoshii ko zubaaN Dard majabuur-e-fuGaaN thaa pahle Ham ne roshan kiyaa maamuur-e-gham varnaa har samt dhuaaN thaa pahle Gham ne phir dil ko jagaayaa ‘Nasir’ Khaanaa_barbaad kahaaN thaa pahle
August 18, 201114 yr Ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahiin imkaaN jaanaaN yaad kyaa tujh ko dilaayeN teraa paimaaN jaanaaN YuuN hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai Kis qadar jald badal jaate hain insaaN jaanaaN Zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai Ham ne jaise bhii basar kii teraa ehasaaN jaanaaN Dil ye kahataa hai ki shaayad ho fasurdaa tuu bhii Dil kii kyaa baat karen dil to hai naadaaN jaanaaN Avval-avval kii muhabbat ke nashe yaad to kar Be-piye bhi tera cheharaa thaa gulistaaN jaanaaN AaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahiin Rag-e-miinaa sulag uThii ki rag-e-jaaN jaanaaN Muddaton se hai ye aalam na tavaqqo na ummiid Dil pukaare hii chalaa jaataa hai jaanaaN jaanaaN Ham bhii kyaa saadaa the ham ne bhii samajh rakhaa thaa Gam-e-dauraaN se judaa hai Gam-e-jaanaaN jaanaaN Ab kii kuchh aisii sajii mahafil-e-yaaraaN jaanaaN Sar-ba-zaanuu hai ko_ii sar-ba-girebaaN jaanaaN Har ko_ii apanii hii aavaaz se kaaNp uThataa hai Har ko_ii apane hii saaye se hiraasaaN jaanaaN jis ko dekho vahii zanjiir-ba-paa lagataa hai Shahar kaa shahar huaa daaKhil-e-zandaaN jaanaaN Ab teraa zikr bhii shaayad hii Gazal men aaye Aur se aur huaa dard kaa unvaaN jaanaaN Ham ki ruuThii hu_ii rut ko bhii manaa lete the Ham ne dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraaN jaanaaN Hosh aayaa to sabhii Khaab the rezaa-rezaa Jaise uDate huye auraaq-e-pareshaaN jaanaaN
Create an account or sign in to comment