September 11, 201114 yr Author Kare Shikyatein, Jo Gilaa kare Mujeh Cher ker jo Hansa kare Mera Gussa dekh ker Khouf se, Mere aagey pichey phira kare Koi Aisi Hasti Hua kare.. Kabi Rooth jaoon, to Manaye Wo Kisi aur se na mila kare Sirf Mujh ko hi dekh ker Jiya kare Aur Mare lye hi Mara kare Koi Aisi Hasti Hua kare.. Meri Chahaton ko samet le Meri Qurbaton ka Ameen ho Mujhe paane ki jise aas ho Mere milne ki jo Duaa kare Koi Aisi Hasti Hua kare.. Mere Hansne Rone mai saath ho Mere Marne, jeene mai saath ho Wo pal do pal k lye na ho Wo her Ghari saath Mere raha kare Koi Aisi Hasti Hua kare.. Rahoon Qareeb us ki Yaadon mai Mera Naam Wird-e-Zubaan kare Kabi Mere Dil ki Dharkaein, Wo apne Dil mai suna kare Koi Aisi Hasti Hua kare.. Kabi Sardiyon ki Raaton mai Rakhe Sar Mera apne Haathon mai apni Ungliyan Mere Baalon mai Wo Dheere Dheere Phera kare Koi Aisi Hasti Hua kare.. Kabi Garmiyon ki Shaamon mai Chale Mere saath jo Baaghon mai Khilte dekhe Phool Bahar k Wo khood b aise khila kare Koi Aisi Hasti Hua kare.. Kabi Baarishon kay moosam mai jo thandi hawa chala karay woh muj ko cofee bana kay diya karay mai jo kabhi hansa karo muj ko hi ankh bhar taka karay kash asi koey hasti hua karay
September 11, 201114 yr Author Ik Din Milla Tha Wo Mujhay Zra Shaam Se Pehlay. Main Bhi Khush Tha Bohat Zra Shaam Se Pehlay. Phir Honay Lagi Judaie Zra Shaam Se Pehlay. Main Ne Roka,Toka Samjhaya Bhi. Uss Ki Rah Main Khud Ko Bichaya Bhi. Mere Zindagi Ki Shaam Hoi Maggar Zara Shaam Se Pehlay. Ik Din Milla Tha Wo Mujhay Zra Shaam Se Pehlay. Main Bhi Khush Tha Bohat Zra Shaam SE Pehlay. Aankhain To Mere Bhi Nam Thin Baber Judaie K Waqt. Roya Wo Bhi Bohat Tha Zara Shaam Se Pehlay. Ik Din Milla Tha Wo Mujhay Zra Shaam Se Pehlay. Main Bhi Khush Tha Bohat Zra Shaam SE Pehlay.
September 11, 201114 yr Author Dil ki Chokhat pe ek Deep jala rakha hai Tere Laut aane ka Imkaan saja rakha hai Saans tak bhi nahin lete hain Tujhe sochte waqt Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai Rooth jaate ho to kuch aur Haseen lagte ho Hum ne yah soch ke hi Tum ko Khafa rakha hai Tum jise Rota hua chhorr gaye the ek din Hum ne us Shaam ko Seeney se laga rakha hai Chain lene nahi deta yeh kisi tor Mujhe Teri yaadon ne jo Toofaan utha rakha hai Jane wale ne kaha tha k wo Laut ayega zaroor Ek isi Aas pe Darwaza khula rakha hai Tere jane se jo Dk Dhool uthi thi Ghum ki Hum ne us Dhool ko Ankhon mai basa rakha hai Mujh ko kal Shaam se wo boht yaad aane laga Dil ne Muddat se jo ek Shaks Bhula rakha hai Aakhri baar jo aaya tha Mere Naam Wasi Mai ne is Khat ko kalejey se laga rakha hai
September 11, 201114 yr Author Aansu jo beh rahey hein inhein behney do Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do! Mila to kia mila tumhein chahney kay baad Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do Mar gaye auroon kay liye main Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do.. Ae dil, tu mohabbat karta kyun hai..? jo karta hai to phir tadapta kyun hai..? Main dhadkan hun uske dil ki,kehta tha mujhse, phir aaj uska dil mere bina dharkata kyun hai...??
September 11, 201114 yr Author Kash K Kabhi December Ki Barishoon Main Tum…… Haan Tum Mere Dil Ka Haal Sunoo Mere Aankhoon Se Mere Laboon Se Tum Apna Naam Sunoo Us Waqt December Ki Barishain Mere Aankoon Ka Kaam Karain Gi Bs Ik Shaam Udhari Mere Naam Kar Doo Mere Dil Ka Hall Sun Kr Shayad Tum Apni Zindagi Ka Har Pal Mere Naam Kr Doo……………!
September 11, 201114 yr Author Koi Chupke Chupke Kehta Hai Koi Geet Likhoo Meri Ankhoon Par Koi Shair Kahoo Mere Lafzoon Par In Khushboo Jesi Batoon Par Chup Chap Sunta Rehta Hoon Phir In Jheel Se Gheri Ankhoon Par IK Taza Gazal Likh Deta Hoon In Phool Si Jesi Batoon Par Ik Shair Neya Likh Deta Hoon Ye geet Gazal Ye Shair Mere Sab Us Ke Piyar Ka Darpan Hai Sab us Ke Roop Ka darshan Hai Sab us ki Ankh Ka Kajal Hai
September 11, 201114 yr Super Jassi Very Nice Yarr Wasi Shah Ki Potery Main Aik Dard Trap Hai Good One Dear
Create an account or sign in to comment