April 11, 201214 yr Meri ZINDAGI.! Mujhay yeh bata Mujhay bhool kar Tujhe kya mila. Meri hasratoon Ka hisab day, Dil toor kar, Tujhe kya mila Tere 4 din k Pyar se mujhe, Umar bhar ka Ghum mila Me toot kar Bhikhar gye, Mujhe toor kar Tujhe kia mila...?
April 11, 201214 yr ghum-e-hijr ka mehwar ab bhi taari hai... udasiyon ka tasalsul ab bhi jaari hai... ..... us ki yaadon main ye kisi khumari hai "Aizaz" hunton pe hasi or aanso aankhun se jari hai..
April 11, 201214 yr Bahaar rutt mein ujaar rstay, thka karo gay to ro parro gay, Kisi se milnay ko jab bhi Mohsin, saja karo gay to ro parro gay, Barasti barish mein yad rakhna, tmhein sata'yein gi meri aankhein, Kisi wali k mzaar pr jab, Dua kro gy to ro parro gy!
April 18, 201214 yr Mujhay aur kahin le chal sanwal jahan raat kabhi b soi na ho jahan subah kissi pe roi na ho jahan hijer ne wehshat boi na ho jahan koi kissi ka koi na ho Mujhay aur kahin le chal sanwal jahan shaher hoon sare wairane jahan loog sabhi hoon baigane jahan sab k sab hoon dewane jahan koi humain na pehchane Mujhay aur kahin le chal sanwal jahan nafrat dil mein bus na sake jahan koi kissi ko dus na sake jahan koi kissi pe huss na sake jahan koi b gunjal kass na sake ! Mujhay aur kahin le chal sanwal jahan dard kissi ko raas na ho jahan koi b uddas na ho jahan zulmat ki boo bass na ho jahan too b ziada pass na ho Mujhay aur kahin le chal sanwal
May 16, 201214 yr Wo Kehti Hai “Batao Tum mujhse Kyu Ruth Jate Ho..?” May Kehta Hoon “Zara Mujh Ko Manao ... ... Acha Lagta Hay…” Wo Kehti Hai “Mera Dil Tum Say Aakhir Kyo Nahi Bharta..?” May Kehta Hoon “Mohabat Ki Koi Had Hi Nahi Hoti…”
Create an account or sign in to comment