August 5, 201114 yr Kat Hi Gai Judai Bhi Kab Ye Hua Ke Mer Gaye Tere Bhi Din Guzar Gaye Mere Bhi Din Guzar Gaye Tere Leay Chale Thay Hum Tere Leay Theher Gaye Tuu Ne Kaha To Jee Uthay Tuu Ne Kaha To Mer Gaye Waqt Hi Kuch Judai Ka Itna Taweel Ho Gaya Dil Main Tere Wisaal Ke Jitne Thay Zakhm Bhar Gaye Hota Raha Muqabla Paani Ka Aur Piyaas Ka Sehra Umad Umad Paray Darya Bipher Bipher Gaye Woh Bhi Ghubar-e-Khuwab Tha Hum Bhi Ghubar-e-Khuwab Thay Woh Bhi Kahin Bikhar Gaya Hum Bhi Kahin Bikhar Gaye Raah Main Milay Thay Hum Raahain Naseeb Bann Gaeen Tuu Bhi Na Apne Ghar Gaya Hum Bhi Na Apne Ghar Gaye Koi Kinar-e-Aab-e-Joo Betha Hua Hay Sir'Nigoon Kashti Kidhar Chali Gai Janay Kidher Bhanwar Gaye Aaj Bhi Intizar Ka Waqt Hanoot Ho Gaya Aisay Laga Ke Hashr Tak Saray Hi Pal Theher Gaye Barish-e-Wasal Wo Hoi Saraa Ghubaar Dhul Gaya Woh Bhi Nikhar Nikhar Gaya Hum Bhi Nikhar Nikhar Gaye Aab-e-Muheet-e-Ishq Ka Beher Ajeeb Beher Hay Tairay To Gharq Ho Gaye Doobay To Paar Utar Gaye Itne Qareeb Ho Gaye Itne Raqeeb Ho Gaye Woh Bhi Adeem Dar Gaya Hum Bhi Adeem Dar Gaye Uss Kay Salook Per Adeem Apni Hayat-o-Maut Hay Woh Jo Mila To Jee Uthay Woh Na Mila To Mar Gaye
August 5, 201114 yr Tujhay tehreer kartay hain tujhay tasveer kartay hain hum apnay aap ki itni kahan tashheer kartay hain in he zulfon ko hum kali ghata ka naam detay hain in he zulfon main khud ko hum kabhi zanjeer kartay hain hamari wo ghazal her bazm main mashhoor hoti hai tumhara naam jismain shamil-e-tehreer kartay hain koe dewaar nafrat ki nazar aaey giratay hain gharounday chahaton k her jagha tameer kartay hain khuda ki rehmaton se behrawar honay ki khawahish main kabhi hum touba kartay hain kabhi taqseer kartay hain milain hum tu bicharnay ki tamanna jaag uthti hai bichar kar pher se milnay ki sada tadbeer kartay hain koe bhe ghum milay hum apnay senay se lagataya hain khushi lekin tumharay naam se tabeer kartay hain pazerai kabhi kartay nahi hum ehlay nafrat ki magar ehlay muhabbat ki bari touqeer kartay hain
August 5, 201114 yr Meray ham nawa tere be rukhe dil-e-mubtala ki shikast hai esay kis tarha main kahon fatah yeah mere aana ki shikast hai tu chala gaya mujhay choor k main nay pir b tujh ko sadda`iin di meray hamsafar tu ruka nahi yeah mere sada ki shikast hai tujhay la k dil main bitha diya tujhay raaz har ik bata diya tonay pir b koi wafa na ki yeah mere wafa ki shikast hai main charaag kuhna mizaj tha tujhay bijleyon ki talab rahe mujhay aandheyon nay bujha diya yeah mere zeya ki shikast hai mujhay es tarha na satao gay mujhay zaa`am tha na jao gay mera galat weham wa guman hai yeah mere intaha ki shikast hai mujhay tujh say koi gila nahi tu mila tha kab bichar gaya meray jurm ki hai yeah saza yeah mere wafa ki shikast hai woh ALEEM hai woh BASEER hai woh MUJEEB UL DAWAAT hai mere ik b nahi sune gae yeah mere dua ki shikast hai
August 5, 201114 yr Aan milo ya milney sey inkaar karo Faisla jo b kerna hai ik bar karo Dill main reh ker baat asar kho baithey ghee Hont hain chup tau aankhon sey ikraar karo Nasikh ban ker aa jati hai sangdilee Mano mairee baat kissi sey piyyar karo Ik din tum ko b thoker lag saktee hai Oonchi nichi rahon ko hamwar karo Derkan ki awaaz b kafi hotee hai shor macha k mat hamain baydar karo Hum dono k sayon ko jab milna hai Beech ki sab deewaron ko masmar karo Jaan dainey sey kia hota hai yaar QATEEL Ooncha or muhabbat ka mayyar karo
August 5, 201114 yr "dukh dard ke maro se mera zikar na karna ghar jao to Yaro se mera zikar na karna wo zabt na kar paen gay Ankho ke samandar tum gum guzaro se mera zikar na karna pholon ke Nasheman Main raha hon sada se dekho kabhi gairoon se mera zikar na karna shahyad ye andehre he mujhe rah dekhai ab chaand sitaro se mera zikar na karna wo meri kahani ko ghalat rang na de day afsana nigaro se mera zikar na karna shayad wo mere haal pe be-sakhta roo de is bar baharo se mera zikar na karna le jaingay gehrai mai tum ko bhi baha kar darya ke kinaro se mera zikar na karna wo shakhs mile tou ussay har baat batana tum sirf isharo se mera zikar na karna"
August 5, 201114 yr Seemab Akbarabadi Nasiim-e-subah gulashan men gulon se khelatii hogii Kisii kii aakhirii hichakii kisii kii dillagii hogii Tumhain daanistaa mahafil men jo dekhaa ho to mujarim houn Nazar aakhir nazar hai be-iraadaa uth gaii hogii Mazaa aa jaayegaa mahashar men kuchh sunaney sunaaney kaa Zubaan hogii hamaarii aur kahaanii aap kii hogii Sar-e-mahafil bataa doungaa sar-e-mahashar dikha doungaa Hamaare saath tum hoge ye duniyaa dekhatii hogii Yahii aalam rahaa pardaanashiinon kaa to zaahir hai Khudaaii aap sey hogii na ham se bandagii hogii Ta'ajjub kyaa lagii jo aag aye 'seemab' siiney men Hazaaron dil men Angaarey bharey thay lag gaii hogii
August 5, 201114 yr Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Ho Mare Khaloos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hay Woh Koi Bhi Ho Kahin Bhi Ho Kaisa Bhi Ho Jo Khuwab Denay Ko QaDir Ho Meri Aankhon Ko Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say To Muskra K Manaye Woh Aisa Ho Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sake Iradon Mein Woh Apne Chahtaoon Jaisa Ho Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho Ik Aisa HumSafar Jo Samander Ki Tarha Gehrah Ho Us K Pyar Ki Thandak Ho Mare Liyae Aisi K Woh To Bilkul Aasman K Chand Jaisa Ho Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaon Main Haya Rakhta Ho Umar Bhar Sath Chale Woh Aisa Ho
August 5, 201114 yr chupke chupke raat din uska bartan manjvana yaad hai humko aab tak kapdey doney ka woh Zamana yaad hai doppher ki dhoop main kaprey sukhaney ke liye woh mera khothey pe bhi nangey paoon jana yaad hai Aa gaya jab sunday ki shab bhi kabhi zikr-e-shopping woh mera meri biwi se, ATM card chupana yaad hai saas sasur ki doston ab kya sunao dastaan sasuraal na janey ka mujhey har ik bhana yaad hai daru pee ke jab bhi ghar main aana para mujhey woh mera dantoon taley, illaichi chabana yaad hai dekh liya jab bhi kabhi rastey main kissi dusri ladki ko Biwi ka gussey ko dekh ker mera tarthrana yaad hai wakt-e-rukhsat office, Ab bhi yaad aata hai Mujhy biwi ke pars se car ki chabi churana yaad hai secound show dekh kar woh mera raat ko ghar deer say Ana Biwi ka gussay se darwaza na kholna yaad hai Jub Kabhi Itifaqan taway pey roti jal janay per woh mera tere belan se sir phorwana yaad hai Jub kabhi tuj se teri umar poochnay per who tera duppatay main Sharmana aur 34 ko 17 bata tey hova muskurana yaaad hai Apni umer chupanay ka liyeh woh tera munnay ko peetna Aur Tujhe Mummy nahi baaji bulanay ko kahna yaad hai haftey baad hi muhh utha ker meihkey chaley jana tera aur mera ghar mein jhaddu pochaa lagana yaad hai khinch lena woh tera salary ka lifafa dafataan aur tera beauty parlor pe woh passey udana yaad hai yaad hai begum ab bhi woh tera belan se mujhey pitna aur baad pitney ke tera woh marham lagana yaad hai aaye din saley saliyoon ka aana ghar pe mere woh tera unkey samney mujhey murga bnana yaad hai shuker hai 'HumTum' teri shaadi nahi hoi abhi shaadi shuda YarooN ka woh rona rulana yaad hai.!
August 6, 201114 yr Mohabbat karne walay dil Bas unka aik hi mahwar Bas unka aik hi markaz Bas unki aik hi manzil Bas unki justaju ka aur tarap ka Aik hi haasil Unhain bas aik hi dhun hai KHUDA mehboob ko unke Hamesha shaadman rakhay Na uska dil kabhi tootay Na koi saneha guzray Koi ghum choo nahi paaye Udaasi pass na aaye Mohabbat karnay walay dil Buhat hassaas hotay hain Mohabbat karnay walay dil Kabhi sauda nahi kartay Na koi shart rakhte hain Na unke mo’afzey ki hiras hoti hai Kisi rad-e-amal se ya badal se Unko kya matlab Ana se unka kya rishta Jafa se kya ilaqa Unhe to aik hi dhun hai KHUDA mehboob ko unke Hamesha shadma rakhey
Create an account or sign in to comment