August 5, 201114 yr Hum se hota kisi maqool bahaanay se alag hum ne chaha tha jisay saaray zamaanay se alag hum se bichhRa to khhula bhaid ye ham per, ik shakhs apnay ghar se hi nahiN, tha woh gharaanay se alag tujh se wabasta tha kia dil ka sabhi chaen o qaraar dil hua mujh se tiray chhoR ke jaanay se alag mujh se kaisa juRa baithha tha woh tareeki meiN na gahaaN ho gia ik shama jalaanay se alag ghar ki taqseem se hota nahiN taqseem lahoo bhai hotay nahiN deewar uthhaanay se alag chaen lainey na dia gardish-e-dauraaN ne mujhey maera qiSSa hai mahabbat ke fasaanay se alag Tanz ka teer nishaanay pe hi lagta hai sada phhainka jaye ye kahiN khaah nishaanay se alag yooN to har shehr nain dikhlaaye kaye khaab mujhey teri basti ke thhe kuchh khaab suhaanay se alag us ke maala meiN thha ik ganj-e-jawaahar SAM khaal-e-rukhsaar ka moti thha khazaanay se alagH
August 5, 201114 yr Ajjab din thay muhabbat ke Ajjab mausam thay chahat ke Kabhi gar yaad aajayen tu palkoon per Sitaray jhilmilaatay hain Kisi ki yaad main ratoon ko aksar Jaagna mamool thaa apna Kabhi gar neend aajati tu hum yeh soch letay thay Abhi tu woh hamaare wastay roya nahee hoga Abhi soya nahee hoga Abhi hum bhi nahee rotay Abhi hum bhi nahee sotay So phir hum jaagtay aur us ko yaad karte thay Akele beth kar weraan dil abaad kartay thay Hamaare samne taaron ke jhurmat main akela chaand hota thaa Jo us ke husn ke aagay bahut hi maand hota thaa Falak per raqs karte an-ginnat raushan sitaroon ko Jo hum tarteeb detay thay Tu us ka naam banta thaa Hum agle roz jab miltay Tu guzree raat ki har be-kali ka zikar karte thay Har ek qissa bataate thay Kahaan kis wakt kis tarah se dil dharka bataate thay Main jab kehta ke janaan aaj tu main raat ek pal nahee soya Tu woh khamoosh rehti thee Per us ki neend mein doobi huwi do jheel si aankhain Achanak bol uth?tee theen Main jab us ko bataata Ke mein ne raat ko raushan sitaroon mein Tumhaara naam dekhaa thaa Tu woh kehti, ?Sam? tum jhoot kehtay ho Sitaray mein ne dekhay thay Aur un raushan sitaroon mein tumhara naam likha thaa Ajjab masoom larki thee Mujhe kehti thee lagta hai ke Ab apne sitaaray mil hi jaayenge Magar us ko khabar kya thee Kinaray mil nahee saktay Muhabbat ki kahaani mein Muhabbat karne waaloon ke Sitaray mil nahee saktay
August 5, 201114 yr Mere Sabar Ka Na Lay ImtihaaN Mere Sabar Ka Na Lay Imtihaan, Mere Khaamoshi Ko Sadaa Na Day, Jo Tare Baghair Na Jee Sake, Use Jeene Ki Tu Duaa Na Day, Tu Azeez Dill-o-nazar Se Hai, Tu Qareeb Rag-o-jaan Sai Hai Mere Jism-o-jaan Ka Yeh Faasla, Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day, Tujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon, Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon, Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar, Meri Chahatoon Ka Silaa Na Day, Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi, Mere Tan Badan Se Lipat Gayi, Jo Bujha Sake To Bujha esey, Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De, Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein, Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day, Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar , Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day
August 5, 201114 yr Mohabat Youn Nahi Hoti Wo Bigarta Hai Bigar Jaye,Bicharta Hai Bichar Jaye Mohabat Dil Se Utar Jaye Mohabat Youn Nahi Hoti Mohabat Dil Mein Basti Hai,Mohabat Lahoo Mein Chalti Hai Mohabat Be Asar Ho,Be Samar Jaye Mohabat Youn Nahi Hoti Mohabat Barishon Mein Nikharti Hai Mohabat Andhion Mein Jalti Hai Mohabat Mousamon Se Dar Jaye,Mohabat Youn Nahi Hoti Mohabat Mein Judai Kya Kisi Ki Bewafai Kya Mohabat Doorion Se Mar Jaye,Mohabat youn Nahi Hoti Mohabat Be Imaan Mohabat Bad Gumaan Nahi Mohabat Waswasoon Mein Par Jaye,Mohabat Youn Nahi Hoti Mohabat Chaon Jaisa Roop,Mohabat Sardion Ki Dhoop Mohabat Jawala Ban Ke Baphar Jaye Mohabat Youn Nahi Hoti Mohabat Karobar Nahi Mohabat Jeet Haar Nahi Mohabat Youn Charhey,Utar Jaye,Mohabat Youn Nahi Hoti !!
August 5, 201114 yr Ussay Apnay Ussay Apnay Farda Ki Fiqar Thii Woh Jo Mera Waqif-e-Haal Tha Wohi Uss Ki Subha Arooj Thii Wohi Mera Waqt-e-Zawala Tha Kahan Jao Gay Mujhay Chorr Kr Mein Yeh Pooch Pooch Kr Thuk Gaya Woh Jawab Na Mujh Ko Dey Saka Woh Tou Khud Sarapa-e-Sawal Tha Meri Baat Kaisy Wo Janta Meri Baat Kaisy Wo Manta Wo To Khud Fana Ky Safar Main Tha Usy Rokna Bhi Mohal Tha Dum Wapsi Aray Yeh Kya Hua Na Woh Roshni Na Woh Taazghia Woh Sitarara Kaisay Bikhar Gaya Jo Apni Misaal Aap Tha Woh Mila Tou Sadiyoun Baad Bhi Meray Lub Per Koi Gilah Na Tha Meri Chup Nay Usaay Rula Diya Jisay Guftaguu Mein Kamal Tha.
August 5, 201114 yr HUM YAAD AAYENGE Kabhi jo maazi main jhankoge Tumhain hum yaad aayenge Kisi lamhe kuch jo sochoge Tumhain hum yaad aayenge Kabhi yun hi akele main beet-e- dino ko soch ker Koi geet jo gungunaoge Tumhain hum yaad aayenge Sab doston ki mehfil main Kisi shokh si baat per zer-e-lab jo muskuraoge Tumhain hum yaad aayenge Zindagi ke kisi morr per Apne Dil ki baat ko Kisi se keh na paoge Tumhain hum yaad aayenge
August 5, 201114 yr Tumhyn Kis Qadar Hai Caha* Ye Jo Zeist Ka Safar Hai Ye Jo Rasta Hai Mera * Tum Aagar Na Sath Do Gy To Ye Kis TArhan Katy Ga * Meri Soch Ki Hadoon Tak Ye Guman Bhi Keasy Aay * Koi Pal Bina Tumhary Bhala Keasy Beit Jay * Mery Pas Tum Nahin Ho Mery Pas Kab Nahin HO * Meri Yaad Key Nagar Mein Mery khuwab Key Safar mein * Meri Soch Ki Tahoon Tak Meri Aankh Key Bhanwar Mein * Mery Dil O Jaan Mein Tan Mein Meri Hasratoon Key Ban Mein * Mery Dil Ki Teirgi Mein Meri Shab Ki Roshni Mein * Haan Tumhin Ho,Har Kahin HO Mery Pas Tum Nahin Ho * Mery Pas Kab Nahin Ho Meri Har DUA Ka Mhwar * Bas Aik Aarzoo Tumhari Aes Aarzoo Key Aagy
August 5, 201114 yr aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa ! kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh phir yuN hu?aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa jab apne apne haal pe ham tum na rah sake to kyaa hu?aa jo hamse zamaanaa badal gayaa qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa ko?ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa ! ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa uThTh kar chalaa gayaa ko?ii vaqfe ke darmiyaaN pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa hairat se saare lafz use dekhte rahe baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa kahne ko ek seh?n meN diivaar hii banii ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii taa?biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log ?Amjad? ye kaun shah?r kaa naqshaa badal gayaa
August 5, 201114 yr Gaye dinon ka suragh ley ker kidher se aaya kidher gaya woh Ajeeb manoos ajnabi tha mujhey to hairan kar gaya woh Bas ek moti si chab dikha kar bus ek meethi si dhun suna kar Sitara-e-sham ban ker aaya barang-e-khowab seher gaya woh Khushi ki rut ho yah gham ka mousam nazar usey dhundti hai her dam Woh bu-e-gul tha ke naghma-e-jaan mere to dil mein utter gaya woh Na ab woh yaadon ka charhta deriya na fursaton ki uddas barkha Younhi zara si kasak hai dil meiN jo zakhm gehra tha bhar gaya woh Kuch ab sanbhalney lagi hai jaaN bhi, badal chala daur-e-aasman bhi Jo raat bhari thee Tal gayi hai jo din kara tha guzer gaya woh Shakastapa rah mein khaRa houn, gaye dinon ko bula raha houn Jo qaafla mera humsafar tha misal-e-gard-e-safar gaya woh Mera to khoon ho gaya hai pani sitamgaron ki palak na bheegi Jo nalah uTha tha raat dil sey na janey kiyun beyasser gaya woh Woh me' kadey ko jaane wala woh raat ki neend uRaane wala Yeh aaj kya us ke dil mein aai keh shaam hotey hi gher gaya woh Woh hij'r ki raat ka sitara woh hum nafas hum sukhan humara Sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mur gaya woh Woh jis ke shaane pe hath rakh ker safar kya tu ne manzilon ka Teri gali se na janey kyun aaj sar jhukaye guzer gaya woh Woh raat ka bey nawa musafir woh tera shayar woh tera "Nasir" Teri gali tak to hum ne dekha tha phir na jaane kidher gaya woh
August 5, 201114 yr banaa gulaab to kaantay chubhaa gayaa ik shakhs huvaa chiraagh to ghar hii jalaa gayaa ik shakhs tamaam rang meray aur saarai khavaab meray fasaanaa kah kay fasaanaa banaa gayaa ik shakhs main kis havaa main uRhuun kis fazaa main laharaa_uun dukhon kay jaal har-suu bichhaa gayaa ik shakhs palut sakuun main, na aagay badh sakuun jis par mujhay yeh kaun sey rustay lagaa gayaa ik shakhs muhabbatain bhii ajiib us kii nafaratain bhii kamaal merii tarah kaa hii mujh main samaa gayaa ik shakhs vo mahataab thaa, marham-ba-dast aayaa thaa magar kuchh aur sivaa dil dukhaa gayaa ik shakhs khulaa ye raaz ke aa_iinaa-khaanaa hai duniyaa aur is main mujh ko tamaashaa banaa gayaa ik shakhs
Create an account or sign in to comment