August 6, 201114 yr Woh ajnabi ajnabi se chehray,woh khawab khaimay rawan dawan se Basay hoay hain abhi nazar mein,sabhi manazir dhuwan dhuwan se Yeh aks-e-dagh-e-shikast-e-paymaan,wo rung-e-zakhm-e-khulos-e-yaraan Main ghumgusaaroon mein sochta hoon,keh baat chheroon kahan kahan se Ye sungraizay adawtoon ke,woh aabgenay sakhawtoon ke...!! Dil-e-musafir qubool kar le, mila hai jo kuch jahan jahan se Bichharrnay walay bichherr chala tha to nisbtain bhi ganwa ke jata Teray liey shehr bhar se ab bhi main zakhm khaaon zubaan zubaan se Meri mohabbat ke wehmoon se paray tha tera wujood warna..!! Jahan jahan tera aks thera, main ho ke aya wahan wahan se Tu humsafar hai na humnafas hai,kisay khabar hai keh tu kidhar hai Main dastkain de ke pooch baitha makeen makeen se makan makan se Abhi mohabbat ka ism-e-aazam laboon pe rehnay de jan-e-MOHSIN Abhi hai chahat nai nai si, abhi hain jazbay jawan jawan se
August 6, 201114 yr Tishnagi aankhoon ma aur darya khiyalon may rahey Ham nawa gar, khush rahey jaisey bi halon may rahey Iss qader dunya key dukh aae khoobsooret zindagi Jis tara titlee ko makdi key jaloon may rahey Ham sey kiyon mangey hisab-e-jaan koyee jab umer bher Kon hain, khiya hain, kahan hain? Inn sawalon may rahey Aik dunya ko meri diwangi khush aa gayee Yaar maktab ki kitaboon key hawaloon may rahey Ishiq may dunya gawayee hey na jaan di hey Faraz Phir bi ham ahl-e-muhabat ki misaloon may rahey
August 6, 201114 yr Kabhi gham ki aag may jal uthay, kabhi daag-e-dil ne jala diya Ae junoon-e-ishq bata zara, mujhay kiyun tamasha bana diya...? Gham-e-ishq kitna ajeeb hai, ye junoon se kitna qareeb hai Kabhi ashk palkon pe ruk gaye, kabhi poora darya baha diya Abhi kar raha hai wo ibteda, mera keh raha hai ye tajruba Usay zindagi ki hai aarzu, mujhay zindagi ne mita diya........!!!!!!!
August 7, 201114 yr Ab jo bichray hain tu ihsaas hwa ha hum ko Dard kiya hota ha tanhai kisay kehtay hain Char so gonjti ruswaiee kisay kehtay hain Ab jo bichray hain tu ihsaas hwa ha hum ko Koi lamha ho teri yaad main kho jatay hain Ab tu khud ko bhi mayasar nahi aapatay hain Raat ho din ho teri yaad main gum rehtay hain Dard kiya hota ha tanhai kisay kehtay hain Ab jo bichray hain tu ihsaas hwa ha hum ko Jo bhi ghum aaie osay dil pay saha kartay thay Ek woh waqt tha hum mil kay raha kartay thay Ab aikalay hi zamanay k sitam sehtay hain Dard kiya hota ha tanhai kisay kehtay hain Ab jo bichray hain tu ihsaas hwa ha hum ko Hum nay khud apnay hi rasay main bichaiee kantay Ghar main phoolon ki jaga lay k sajiea kantay Zakham is dil main basiea hwa ab rehtay hain Dard kiya hota ha tanhai kisay kehtay hain Ab jo bichray hain tu ihsaas hwa ha hum ko Youn tu dunain ki har aik cheez haseen hoti ha Piyar sa barh kay magar kuch bhi nahi hoti ha Rasta rook kay har aik say yahi kehtay hain Dard kiya hota ha tanhai kisay kehtay hain Ab jo bichray hain tu ihsaas hwa ha hum ko
August 7, 201114 yr husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai aur baazaar se le aaye agar TooT gaya saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai be_talab daiN to maza usme siwa milta hai woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz? ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye kaam achchaa hai woh, jiska ma'aal achcha hai KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai hamko ma'aloom hai jannat ki haqeeqat lekin dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha
August 7, 201114 yr Mohabbat aisa naghma hei Zara bhee jhol ho laye mei Tau surr qayam nahee rehta Muhabbat aisaa shola hei hawa jaisay bhee chalti ho kabhi madham nahi hota Mohabbat aisa rishta hei keh jis mein bandhanay waloan k dil mei gham nahi hota ( i doubt though) Mohabbat aisa poda hei jo tab bhi sarsabz rehta hei jab mausam nahi hota Mohabbat aisa darya hei keh baarish rooth bhee jaye tau paani kam nahee hota ------------------------------------------------------------------------ apne hathon per sajana chahata hon aa tujhe mey gungunana chahata hon koi ansoo tere daman per gira kar boond ko moti banana chahata hon thak gaya mey karte karte yaad tujh ko aab tujhe mey yaad ana chahata hon cha raha hai sari basti mey andhera roshni ho ghar jalana chahata hon akhri hichki tere zanon pe aye maut bhi mey shairana chahata hon.. ------------------------------------------------------------------------ faqat ik kaam kerna chahta hoon bus ab aaram kerna chahta hoon adhoorey toote phoote se hain kuchh khwaab jinhein neelam kerna chahta hoon woh baat jo ab tak dil ki nabz mein hai use kuchh aam kerna chahta hoon buhat se un chhoe bedaam din hain mein jin ki shaam kerna chahta hoon ------------------------------------------------------------------------ Ummr bhar suntaye aye misaalyen Khizar-o-Musa ki Maan nay rakha sapoot kaa naam bhee khizzar Guzrti Hayaat manand-e Khizar aye kaash Paaye gaye Khizzar Hayat jutiaan churaatay Maggar ------------------------------------------------------------------------ Dil bhi bujha ho, shaam ki parchaiyaan bhi hon Mar jaiyey jo aisay mein, tanhaiyaan bhi hon Aankhon ki surkh lehr hai, mouj-e-sapurdagi Ye kya zaroor hai, ke angraiyan bhi hon Har husn-e-saada-loh na dil mein utar saka Kuch to mizaaj-e-yaar mein gehraiyaan bhi hon Duniya ke tazakiray to tabiyat hi lay bujhay Baat uski ho to phir, sukhan araiyan bhi hon Pehle pehal ka ishq abhi yaad hai "Faraz" Dil khud ye chaahta tha ke, rusvaaiyan bhi hon
August 7, 201114 yr Mere Humnawa Tere Berukhi Dil-e-Mubtala Ki Shikast Hai Isse Kiss Tarhan Main Kahoon Fatah Yeh Mere Aanaa Ki Shikast Hai Tu Chala Giya Mujhe Chorr Kar Main Ne Phir Bhi Tujh Ko Sadain De Mere Humsafer Tu Ruka Nahi Yeh Mere Sada Ki Shikast Hai Tujhe Laa K Dil Main Batha Diya,Tujhe Raaz Har Aik Bata Diya Tu Ne Phir Bhi Koi Wafa Na Ki Yeh Mere Wafa Ki Shikast Hai Main Chiraag-e-Kuhna Mijaaz Tha,Tujhe Bijliyoon Ki Talab Rahi Mujhe Andhiyoon Ne Bujha Diya Yeh Mere Ziyaa Ki Shikast Hai Mujhe Iss Tarhaan Na Sataoo Ge,Mujhe Zuaam Tha K Na Jaoo Ge Mera Galt Wahm-O-Gumaan Hi Meri Intehaa Ki Shikast Hai Mujhe Tujh Se Koi Gilla Nahi,Tu Milla Tha Kab.? K Bitchar Giya Mere Jurm Ki Hai Yeh Hi Saza Yeh Mere Wafa Ki Shikast Hai Wo Aleem Hai,Wo Baseer Hai,Wo Mujeeb-U-Daawaat Hai Mager Mere Aik Bhi Na Suni Gayi Yeh Mere DUA Ki Shikast Hai Mere Jaan Tassaduq Khamosh Reh,Bhala Zorr Kiss Ka Hawaoon Per K Jahan Bhi Rukh Yeh Badal Gayi Wahiin Nakhuda Ki Shikast Hai
August 7, 201114 yr Mera Haal-e-Dil Kuch aesa hai K Koi Bata Nahi Sakta, Suntay Hain Loog Per Koi Suna Nahin Sakta Hawaoon Pay Likha Hai Main Nay Qissa Apni Hayat Ka, Kay Koi Lakh Chahay Bhi To Mitaa Nahin Sakta Har Eik Ki Tamanna Hai Kay Phooloon Pay Guzaray Zindagee, Per Raah Main Padray Kantoon Ko Koi Hata Nahin Sakta Dil Main Dukh Samooo Kay Kab Tak Hunstay Rahoo Gay, Aankhoon Main Aaisay Aansowoon Ko Koi Chupa Nahin Sakta Lakh Chahay In Mast Mailoon Main Gum Ho Jayay, Mager Beetay Huay Lamhoon Ko Koi Bhulla Nahin Sakta Koi Rooth Jayay Tum Say To Mana Laina, Kay Janay Waloon Ko Koi Wapis Bula Nahin Sakta Her Rooshan Cheez Ko Paa Lainay Ki Arzoo Na Ker, Kay Suraj Nikalta Hai Per Us Ki Taraf Koi Aankh Utha Nahin Sakta Samander Ki Lehroon Pay Un Ka Naam Likhta Hoon, Kay Koi Aag Laga Bhi Day Per Jala Nahin Sakta
August 7, 201114 yr "tujhay dekh kar huwa" dil tha k khush khiyyal tujhay dekh kar huwa yeh shehar be-misal tujhay dekh kar huwa apnay khilaaf shehar k andhay hujoom mein dil ko bohut mulaal tujhay dekh kar huwa tool-e-shab-e-firaaq teri khair ho k dil amaada-e-wissal tujhay dekh kar huwa yeh hum hi jantay hein judayee k mor par iss dil ka jo bhi haal tujhay dekh kar huwa ayee na thi kabhie meray lafazon mein roshni aur mujhse yeh kamal tujhay dekh kar huwa
August 7, 201114 yr Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay, Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai Zaheen Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay, Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay, Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay, Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya Main Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay, Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain? Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay, Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay..... , Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain,, Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay, Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay......... , Woh Muntazir Mera Rehti Hay Dhoop Main Main Laut-ta Hoon To Chahoon Nikal Rakhti Hay...!
Create an account or sign in to comment