August 8, 201114 yr Agar Mujhay Tum Mil Jao! Bohat Mumkin Hai, Mairay Rastay Aur Paon Kay! Kantay Nikal Jain, Jahan Ab Rait Urti Hai, Wahan Taza Phool Khil Jain, Mairay Rastay Main Anay Walay, Woh Sab Pathar Hat Jain, To Dhaikhtay Hain Hum Khawab, Sab Tabiron Main Badal Jain, Yeh Raat Aur Din Badal Jain, Andaishay Sab Tal Jain, Yeh Sab Kuch Mumkin Hai Jana! Agar Hum Tum Mil Jain! Bohat Udas Hai Sumandar! Bohat Preshan Hai Yeh Sahil, Bohat Tanha Hai Sehra Zindagi Ka! Tab Aisa Kuch Nahi Ho! Agar Mujhay Tum Mil Jao! Yeh Khawahish Hai Humari, Yeh Arzoo Hai Humari, Tum Zindagi Ho Humari, Tum Bandagi Ho Humari! Sab Adhuray Khawab Sach Ho Jain, Agar Mujhay Tum Mil Jao! Agar Mujhay Tum Mil Jao! Agar Mujhay Tum Mil Jao! Bohat Mumkin Hai, Mairay Rastay Aur Paon Kay! Kantay Nikal Jain, Jahan Ab Rait Urti Hai, Wahan Taza Phool Khil Jain, Mairay Rastay Main Anay Walay, Woh Sab Pathar Hat Jain, To Dhaikhtay Hain Hum Khawab, Sab Tabiron Main Badal Jain, Yeh Raat Aur Din Badal Jain, Andaishay Sab Tal Jain, Yeh Sab Kuch Mumkin Hai Jana! Agar Hum Tum Mil Jain! Bohat Udas Hai Sumandar! Bohat Preshan Hai Yeh Sahil, Bohat Tanha Hai Sehra Zindagi Ka! Tab Aisa Kuch Nahi Ho! Agar Mujhay Tum Mil Jao! Yeh Khawahish Hai Humari, Yeh Arzoo Hai Humari, Tum Zindagi Ho Humari, Tum Bandagi Ho Humari! Sab Adhuray Khawab Sach Ho Jain, Agar Mujhay Tum Mil Jao! Agar Mujhay Tum Mil Jao!
August 8, 201114 yr Shaam e Gham Ki Qasam Aaj GhamgEen Hain Hum Aa Bhe Jaa Aa Bhe ja Aaj Meray Sanam Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai Dekh Ja Kis Trah Aaj tAnhA Hain Hum Shaam e Gham Kii Qasam Khail Kaisa Jo PehlOo Mein tOo Hi Nahien Maar Dalay Na dArd e jUdaii Kahien Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya Chandhi Zulam Hai Or jUdaii Sitam Shaam e Gham Ki Qasam Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii DhOondhatii Hai Nazar tOo Khaan Hai Magar Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam Shaam e Gham Ki Qasam
August 8, 201114 yr Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey! Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad, Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye Hogay Rukhsat Duaayen De Ke Parwana Mujhey
August 8, 201114 yr Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain Ab to khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay aik saath hum mil ker raha kertey thay Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko Hum Nay khud apni raahon mai bichaye kantay Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko
August 8, 201114 yr Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna Buhut asaan nahiin hota judayi mangtay rehna Zara sa ishq karlena zara si aankh bhar lena Phir us kay baab main saari khudayi maangtay rehna Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena Kabhi wehshat main uski narsayi mangtay rehna Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati hai Kahaani main zara si bay wafayi mangtay rehna Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kay adat ho gayi dil ki Sukoot-e-sham-e-ghum se hum navayi mangtay rehna Kabhi bachay ka nanhe haath per titli kay per rakhna Kabhi phir us kay rangon say rehayi mangtay rehna
August 8, 201114 yr Hawa ko awara kehne walon Kabhi tu socho kabhi tu likho Hawayein kyun apni manzilon se bhatak gayi hain Na unki aankhon main khawab koi Na khawb main intezaar koi Ab unkay saaray safar main subhay yaqeen koi Na shaam-e-sada aitbar koi Na unki apni zameen koi na aasman per koi sitarah Na koi mausam na khushboo ka istaara Na roshni ki lakeer koi na unka apna safer koi Jo unkay dukh per kitaab likhay Musafirat ka azaab likhay Hawa ko awaara kehnay walon kabhi tu socho!
August 8, 201114 yr Fiza main jaisay koi khushbouon ka raqs jaaga hai Sunheri titliyaan phir se gulaabon kay labon ko choo kar aayi hain Darakhton ki khuli banhon main saye baat kartay hain Udaasi ashak ankhon main liye ab door nikli Isi dhaltay hue din ki mundeeron per Chiraagh-e-shaam jalta hai Tu dast-e-meherbaan jaise.. Meray aanchal kay konay se wafa ka aik lamha bandh deta hai Meray sehen-e-hunar main hurf-o- maani ki talaawat saans leti hai Koi roshan sitarah aasmaan per muskuraata hai Samander geet gaata hai Kamala-e-ahd-e-masti hai Jahaan pe mausam-e-jaan bhi hairaan lagta hai Koi chehra meray dil kay badan se aan lagta hai Yeh hi chupkay se kehta hai� ��Mujhay tumse mohabbat hai�� ��Mujhay tumse mohabbat hai��
August 8, 201114 yr Kabhi ithkaliyan karna hawa se Kabhi tilti ki khawahish main machalna Humein bhi raas aata jaa raha hai Tumharay ghum ki bahon main sambhalna *********************************** Aankhein tanha ho jaati hain Dard ka sehra ho jaati hain Dil ka kya hai dil ki baatein Aksar ruswaa ho jaati hain Tu hota hai laiken shaamein Kaisay tanha ho jaati hain Teray bin yeh chandni raatein Ghum ka naksha ho jaati hain Asal ki janib laut kay akhir Naslein ik ja ho jaati hain Kyun har baar safar ki shamein Tera chehra ho jaati hain
August 8, 201114 yr Meri beti! Meray honay ki dalil Sach yeh hi hai..tu meri Kisi takhleek kay be missal hunar se mehroom Zard si kaukh ka hissa to nahiin hai laikn Teray hi lams kay masoom tuqadas kay tufeel Main en maaon kay tafakhar ka sukon paaya hai Soch ne ik naya ndaaz-e- namon paaya hai Main juda tujh se hui tu yub mehsoos hua Kay meri maan bhi mujh se yun bichar jaanay per Raaat bhar kaise tarapti hogi Bat be baat pe sisakti hogi Uska aanchal bhi sitaaron kay talay Meri tauqer ki khawahish kartay Subah tak phaila hi rehta hoga Who bhi tu meri tarhan! Apni beti kay mqadar kay liye Kabhi mehtaab kabhi jugnoo se Roshni mangti hogii Mujhko bhi teray har ik khawab ko paanay ki talab ne beti! Aaj yehj wasaf dua sikhlaya Kis ko khte hain wafa samjhaya Meri beti Meri tazeen-e-haya Tu na hoti tu kahan yeh bheed khulta mujh per Kyun meray pyaaray nabi(s.a.w)saeedna Apni beti kay liye chasham-e-rah rehte the Jab mulaaqaat ko who aati thi Chandni jaisi dua dete the Aur takreem-o-pazeerayi ko Apni sau rehmaton waali kamli Aisi dharti pe bicha dete the Aasmaan jaisay meherbaan hua karta tha Meri beti! Meray rab ki tasweer Tera is rooh setazeem ka rishta bhi Ajab rishta hai.... Wasi Shah.
August 8, 201114 yr Humein khabar hai Tamaam dukh hai Yeh zindaagi ko jo aasmaano ki wasaaton say Hazaar sadiyon se mil raha hai Piyaam dukh hai Jo karzaar-e-zawaal-e-hasti ko Dhoop chauon ki aahaton se chal raha hai Nizaam-e-dukh hai.. Seher tu ikn mukhtasir sag hum hai Tauveel din ki havailiyon kay Jo raaston main thair gayi hain.. Who sham dukh hai.. Who shaam dukh hai Kay iski shay per kayi dino se Musaafiran-e-abad ka aisay firaaq asaar raaston per Safar tu khair ik ulmiya hai Qayaam dukh hai Yeh as dukh hai‚niraas dukh hai Udaasiyon ka libaas dukh hai Yeh tashangi jo azaab ban kart hair gaayi hai Badan kay boseedah saahilon per Tu uska ahd-e-dawaam dukh hai Yeh shor karti hawa ka sara kharaam dukh hai Humein khabar hai Tyamaam dukh hai Yeh tum mohabbat nibahtay ho Tu us mohabbat ka naam dukh hai Yeh wasal mausam jo ik musalsal mughalta hai Tu us rifaaqat ka naam dukh hai Aur aisi wehshat numaan fiza main Khamosh rehna bhi ik saza hai Magar kisi se kalaam dukh hai Humein khabar hai Tamaam dukh hai
Create an account or sign in to comment