August 5, 201114 yr kiya tum bhool pao gy? wo din aur wo ratien jo hum batien kerty huway guzaar jaity thy kiya tum bhool pao gy? jab hum ik doosray ko sochtay rehty thy din main khiyal ban ker sath rehty thy raat ko khuwab ban ke sath nibhaty thy kiya tum bhool pao gy? wo din aur wo ratien main tum ko ghusa kerta tum mujh ko manaya kerty tum mujh per hukam chalaty main chup chaap manta rehta kia tum bhool pao gy? wo din aur wo ratien wo baat baat per rooth jana aur ik muskrahat per maan jana din lartay huway guzaar daina raat ko payar bhara qarar daina kiya tum bhool pao gy? wo din aur wo ratien ik doojay ki yaadoon main khoye rehna. her pal ik doojay ki sapnay dekhna zara si doori per tarap jana kiya tum bhool pao gy? wo din aur wo ratein... main tho nahi bula saktha Kya tum bhool paogy ?
August 5, 201114 yr Jab sar-e-shaam us ne zulfon ko sanwara ho ga, Hath me kangan aankh me kajal aawara ho ga, Is ke jooray me saja howa wo sufaid gulaab, Raat houway kisi ne to utara ho ga, Aalun-e-tanhaee me shab bhar kerwatain ley ker, Koi to ho ga jisay us ne pukara ho ga, Haey wo neend me doobi hoie makhmoor aankhain, Jis ne daikha wo dil waheen pe hara ho ga, Our us k betaab lareztey honton per Sarosh, Humain yaqeen ha k machalta howa naam hamara ho ga.
August 5, 201114 yr HUm kia karain g wo hum ko acha lagta ha, Hum kaisy nazer bachaiyn wo hum ko acha lagta ha, Khil jati han do pankherian jab wo baat kerta ha, Sheereen se andaz me jab wo izhar-e-Muhabbat kerta ha, Us waqt to wo hum ko buhat acha lagta ha, Tani hoi kamer pur shabab si jawani us ki, Daikh ker hamain muskura daina ha meherbani us ki, Hum ko to wo mahtab se bhi haseen lagta ha, Is nazuk andam jaisa koi our nahi ha jahan me, Khuda na bhulaey wo hum ko dilnawaz lagta ha, Hum kia karain g wo hum ko acha lagta ha
August 5, 201114 yr Sakta tha aik shaeyr-e-azam k shaeyr main, Ye daikh ker to main bhi taajub main per gia, Poochi jo wajah is ki to kehny lagy, Sardi buhat shadeed thi misra suker gia,
August 5, 201114 yr Mujh se nazrain badalny k baad kuch to ho gi nadamat tujhy, Ja wafaon ki zanjeer se tujh ko aazad kerta hoon main, Apny daro deewar se mujhy ab is qader peyar ha, La k bahir se weeraniyan ghar ko aabad kerta hoon main,
August 5, 201114 yr Her shab meri taza azab me guzri, Tumhary baad tumhary hi khawab me guzri, Me ik phool hoon wo mujh ko rakh k bhool gia, Tumaam umar us ki kitaab main guzri,
August 5, 201114 yr Ay mery humsafer teri nazr han mery dil ki ye shiddatain, Mery khawab,meri basartain,meri dherkanain,meri chahtain, Mery shab-o-roz k nisab me mery paas apna to kuch nahi, Tera quds ha meri zindgi,meri sansain han teri amantain,
August 5, 201114 yr Mein Kahani Kyunkar Likhou?? Mein Kahani Kis Par Likhoun?? Bezubaan Kar Di Gayi Hai Aurat !! Sach Kahoun Ya Jhoot Likhoun.. Kache Dhagoun Par Aurat Ka Haq Rona Roun Ya Phir Haq Likhoun ?? Binn Mout Kyun Maari Jaati Hai Aurat ??????? Koi Toh Bataye Mein Kya Likhoun ??? Kore Kagaz Pe Qalam Tikaye Sonch Rahi Hoon ... Aurat Kya Hai ??? Chalo Aaj AURAT Likhoun AURAT Wafa Ka Paiker AURAT Mohabbat Ki Murat Dastan-E-Hayath Se Kyunker AURAT Qarijj Likhoun Mein Nahi..... Ab Khud Batayegi AURAT.. Kya Hai Woh Usse Mein Kaise Aur Kya Likhoun?????
Create an account or sign in to comment