August 16, 201114 yr Phul, khushbu, sahaab honaa to Ae du’aa mustajaab honaa to Main gahan tak tujhe na lagne duN Tum mera maahtaab honaa to Manzilen intezaar meN hoNgi Hauslo!! ham rekaab honaa to Waaqif e sard o garm bhi hona Haami E inqelaab honaa to Nuqs tujh me bhi sab nikaleNge Ek zara kaamyaab honaa to MaiN use dekh kar hi jita huN Ho gaya us ka khaab hona to?
August 16, 201114 yr Wafa meN ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai Woh sach kahay na kahay aaitebaar karna hai Yeh tujh ko jaagtay rahnay ka shouq kab say huaa? Mujhay to khair teraa intezaaar karna hai Hawa ki zad meN jalanay haiN ansoN kay chiraagh Kabhi yeh jashan sar E rahguzaar karna hai Woh muskura kay naye waswasoN meN daal gaya Khayaal tha K usay sharamsaar karna hai Misaal E shaakh E barhana khizaN ke rut meN kabhi Khud apnay jism ko be – barg O baar karna hai Teray firaaq meN din kiss tarah kattaiN apnay K shuGhal E shab to sitaray shumaar karna hai Chalo yeh ashak hi moti samajh kay baich aayaiN Kissi tarah to hamaiN rozgaar karna hai Kabhi to dil meN chhupay zakhm bhi numayaaN hoN Qaba samajh kay badan taar taar karna hai Khuda khabar yeh koi zid K shouq hai ‘Mohsin’ Khud apni jaan kay dushman say payaar karna hai
August 16, 201114 yr Tujhse bichhaR ke ham bhii muqaddar ke ho gaye Phir jo bhii dar mila hai usii dar ke ho gaye Phir yuN huaa ke Ghair ko dil se lagaa liyaa Andar vo nafrateN thiiN ke baahar ke ho gaye Kyaa log the ke jaan se baRh kar aziiz the Ab dil se mahv naam bhii aksar ke ho gaye Ai yaad-e-yaar tujh se kareN kyaa shikaayateN Ai dard-E-hijr hum bhii to pat_thar ke ho gaye Samjhaa rahe the mujh ko sabhii nasehaan-E-shahr Phir raftaa raftaa Khud usii kaafir ke ho gaye Ab ke na intizaar kareN chaaragar kaa ham Ab ke gaye to kuu-E-sitamgar ke ho gaye Rote ho ek jaziira-E-jaaN ko “Faraz” tum Dekho to kitne shahr samandar ke ho gaye
August 16, 201114 yr Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak Kaun jitaa hai teri zulf ke sar hone tak Daam har mauj meN hai halqaa-E-sad_kaam-E-nahang DekheN kyaa guzre hai qatare pe guhar hone tak Aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab Dil kaa kyaa rang karuuN Khuun-E-jigar hone tak Ham ne maanaa ke taGhaaful na karoge lekin Khaak ho jaayeNge ham tum ko Khabar hone tak Partav-E-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim MaiN bhii huuN ek inaayat kii nazar hone tak Yak_nazar besh nahiiN fursat-E-hastii Ghaafil Garmii-E-bazm hai ik raqs-E-sharar hone tak Gham-E-hastii kaa ‘Mudasar’ kis se ho juz marg ilaaj Shamm’aa har rang meN jaltii hai sehar hone tak
August 16, 201114 yr Hoti Hai Tere Nam Se Wahshat Kabhi Kabhi Barham Hui Hai YuN Bhi Tabi’at Kabhi Kabhi Ai Dil Kise Nasib Ye Taufiq-E-Iztirab Milti Hai Zindagi Main Ye Rahat Kabhi Kabhi Tere Karam Se Ai Alam-E-Husn-E-Afrin Dil Ban Gaya Hai Dost Ki Khilwat Kabhi Kabhi Dil Ko Kahan Nasib Ye Taufiq-E-Iztirab Milti Hai Zindagi Main Ye Rahat Kabhi Kabhi Josh-E-Junun MeN Dard Ki TuGhyaniyoN K Sath AshkoN MeN Dhal Gayi Teri Surat Kabhi Kabhi Tere Qarib Rah K Bhi Dil Mutma’in Na Tha Guzri Hai Mujh Pe Ye Bhi Qayamat Kabhi Kabhi Kuch Apna Hosh Tha Na Tumhara Khayal Tha Yun Bhi Guzar Gayi Shab-E-Furqat Kabhi Kabhi Ai Dost Ham Ne Tark-E-Muhabbat K Baawajud Mahsoos Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi
August 16, 201114 yr Dubo kar khoon meN lafzoN ko angaaray banaataa hooN Phir angarooN ko daheka kar ghazal paaray banaataa hooN ZamiN par hi rafooo ka dher sara kaam baqi hai KhalaaoN say na kahe dena K saiyaaray banaataa hooN Mere hathoN ke chhalay phool ban jatay haiN kaghaz par Meri aankhooN say poocho raat bhar taaray banaataa hooN Jidhar maati uRaa dooN aftaab E taazaa paidaa ho Abhi bachchoN main hoon saabun ke ghubbaaray banaataa hooN Zamaanaa mujh se barham hai mera sar is liyee kham hai K mandir ke kalas, masjid ke meenaaray banaataa hooN Mere bachchay khaRe haiN balti le kar qataaroN meN KuiaiN, taalaab, nahraiN aur fawwaaray banaataa hooN Muzaffar waaqayi be dast-O-paa hooN maiN to kya Gham hai Yeh kya kam hai ke mansoobay bahoot saaray banaataa hooN
August 16, 201114 yr Pura dukh aur aadha chaand Hijr ki shab aur aisa chaand Din meN wahshat bahal gayi thi Raat hui aur nikla chaand Kis maqtal se guzra hoga Itna sahmaa sahmaa chaand YaadoN ki aabaad gali meN Ghoom raha hai tanha chaand Meri karwat per jaag uthey NeeNd ka kitna kachcha chaand Mere muNh ko kis hairat se Dekh raha hai bhola chaand Itnay ghanay baadal ke peechhe Kitna tanha hoga chaand AaNsu roke noor nahaaye Dil dariya, tann sehra chaand Itne roshan chehre per bhi Suraj ka hai saya chaand Jab paani meN chehra dekha Tunay kisko socha chaand? Bargad ki aik shaakh hata ker Jaanay kisko jhaaNka chaand Baadal ke resham jhoolay meN Bhor samay tak soya chaand Raat ke shaanoN per sar rakkhe Dekh raha hai sapna chaand Sookhay pattoN ke jhurmat per Shabnam thi ya naNnha chaand Haath hila ker rukhsat hoga Uski surat hijr ka chaand Sehra sehra bhatak raha hai Apne ishq meN sacha chaand Raat ke shayed aik bajey haiN Sotaa hoga mera chaand !!
Create an account or sign in to comment