Jump to content
View in the app

A better way to browse. Learn more.

URDU FUN CLUB

A full-screen app on your home screen with push notifications, badges and more.

To install this app on iOS and iPadOS
  1. Tap the Share icon in Safari
  2. Scroll the menu and tap Add to Home Screen.
  3. Tap Add in the top-right corner.
To install this app on Android
  1. Tap the 3-dot menu (⋮) in the top-right corner of the browser.
  2. Tap Add to Home screen or Install app.
  3. Confirm by tapping Install.

Featured Replies

Kat Hi Gai Judai Bhi Kab Ye Hua Ke Mer Gaye

Tere Bhi Din Guzar Gaye Mere Bhi Din Guzar Gaye

Tere Leay Chale Thay Hum Tere Leay Theher Gaye

Tuu Ne Kaha To Jee Uthay Tuu Ne Kaha To Mer Gaye

Waqt Hi Kuch Judai Ka Itna Taweel Ho Gaya

Dil Main Tere Wisaal Ke Jitne Thay Zakhm Bhar Gaye

Hota Raha Muqabla Paani Ka Aur Piyaas Ka

Sehra Umad Umad Paray Darya Bipher Bipher Gaye

Woh Bhi Ghubar-e-Khuwab Tha Hum Bhi Ghubar-e-Khuwab Thay

Woh Bhi Kahin Bikhar Gaya Hum Bhi Kahin Bikhar Gaye

Raah Main Milay Thay Hum Raahain Naseeb Bann Gaeen

Tuu Bhi Na Apne Ghar Gaya Hum Bhi Na Apne Ghar Gaye

Koi Kinar-e-Aab-e-Joo Betha Hua Hay Sir'Nigoon

Kashti Kidhar Chali Gai Janay Kidher Bhanwar Gaye

Aaj Bhi Intizar Ka Waqt Hanoot Ho Gaya

Aisay Laga Ke Hashr Tak Saray Hi Pal Theher Gaye

Barish-e-Wasal Wo Hoi Saraa Ghubaar Dhul Gaya

Woh Bhi Nikhar Nikhar Gaya Hum Bhi Nikhar Nikhar Gaye

Aab-e-Muheet-e-Ishq Ka Beher Ajeeb Beher Hay

Tairay To Gharq Ho Gaye Doobay To Paar Utar Gaye

Itne Qareeb Ho Gaye Itne Raqeeb Ho Gaye

Woh Bhi Adeem Dar Gaya Hum Bhi Adeem Dar Gaye

Uss Kay Salook Per Adeem Apni Hayat-o-Maut Hay

Woh Jo Mila To Jee Uthay Woh Na Mila To Mar Gaye

Breaking News Ad
فورم اپڈیٹس
  • Replies 1.7k
  • Views 299.7k
  • Created
  • Last Reply

Top Posters In This Topic

Most Popular Posts

  • Silent Tear
    Silent Tear

    Tum Kitni Achi Lagti Ho" Jb gehri socho me doby Tum holy holy chalti ho Jb tanhai k sholo me Tm rfta rfta jlti ho Jb bhegy bhegy mosm me Tm lamha lamha sochti ho Jb apni kaali ankho se Tm mujh

  • Silent Tear
    Silent Tear

    Aae khuda karde us shaks ke hawale mujhko, Ke apne seene se wo ek baar laga le mujhko, Bikhar gai hun mein toot kar kai tukroon mein, De usse taufeeq ke aake sambhale mujhko, Ya tu uska saath aata

  • Silent Tear
    Silent Tear

    koi ghazal suna ker kia karna yun bat barha ker kia kerna tum mere thay tum mere ho dunya ko bata ker kia karna tum ehad nibhao chahat se koi rasam nibha ker kia kerna tum khafa bhi ache lagte h

Tujhay tehreer kartay hain tujhay tasveer kartay hain

hum apnay aap ki itni kahan tashheer kartay hain

in he zulfon ko hum kali ghata ka naam detay hain

in he zulfon main khud ko hum kabhi zanjeer kartay hain

hamari wo ghazal her bazm main mashhoor hoti hai

tumhara naam jismain shamil-e-tehreer kartay hain

koe dewaar nafrat ki nazar aaey giratay hain

gharounday chahaton k her jagha tameer kartay hain

khuda ki rehmaton se behrawar honay ki khawahish main

kabhi hum touba kartay hain kabhi taqseer kartay hain

milain hum tu bicharnay ki tamanna jaag uthti hai

bichar kar pher se milnay ki sada tadbeer kartay hain

koe bhe ghum milay hum apnay senay se lagataya hain

khushi lekin tumharay naam se tabeer kartay hain

pazerai kabhi kartay nahi hum ehlay nafrat ki

magar ehlay muhabbat ki bari touqeer kartay hain

Meray ham nawa tere be rukhe dil-e-mubtala ki shikast hai

esay kis tarha main kahon fatah yeah mere aana ki shikast hai

tu chala gaya mujhay choor k main nay pir b tujh ko sadda`iin di

meray hamsafar tu ruka nahi yeah mere sada ki shikast hai

tujhay la k dil main bitha diya tujhay raaz har ik bata diya

tonay pir b koi wafa na ki yeah mere wafa ki shikast hai

main charaag kuhna mizaj tha tujhay bijleyon ki talab rahe

mujhay aandheyon nay bujha diya yeah mere zeya ki shikast hai

mujhay es tarha na satao gay mujhay zaa`am tha na jao gay

mera galat weham wa guman hai yeah mere intaha ki shikast hai

mujhay tujh say koi gila nahi tu mila tha kab bichar gaya

meray jurm ki hai yeah saza yeah mere wafa ki shikast hai

woh ALEEM hai woh BASEER hai woh MUJEEB UL DAWAAT hai

mere ik b nahi sune gae yeah mere dua ki shikast hai

Aan milo ya milney sey inkaar karo

Faisla jo b kerna hai ik bar karo

Dill main reh ker baat asar kho baithey ghee

Hont hain chup tau aankhon sey ikraar karo

Nasikh ban ker aa jati hai sangdilee

Mano mairee baat kissi sey piyyar karo

Ik din tum ko b thoker lag saktee hai

Oonchi nichi rahon ko hamwar karo

Derkan ki awaaz b kafi hotee hai

shor macha k mat hamain baydar karo

Hum dono k sayon ko jab milna hai

Beech ki sab deewaron ko masmar karo

Jaan dainey sey kia hota hai yaar QATEEL

Ooncha or muhabbat ka mayyar karo

📢 Post Your Ad Here

"dukh dard ke maro se mera zikar na karna

ghar jao to Yaro se mera zikar na karna

wo zabt na kar paen gay Ankho ke samandar

tum gum guzaro se mera zikar na karna

pholon ke Nasheman Main raha hon sada se

dekho kabhi gairoon se mera zikar na karna

shahyad ye andehre he mujhe rah dekhai

ab chaand sitaro se mera zikar na karna

wo meri kahani ko ghalat rang na de day

afsana nigaro se mera zikar na karna

shayad wo mere haal pe be-sakhta roo de

is bar baharo se mera zikar na karna

le jaingay gehrai mai tum ko bhi baha kar

darya ke kinaro se mera zikar na karna

wo shakhs mile tou ussay har baat batana

tum sirf isharo se mera zikar na karna"

Seemab Akbarabadi

Nasiim-e-subah gulashan men gulon se khelatii hogii

Kisii kii aakhirii hichakii kisii kii dillagii hogii

Tumhain daanistaa mahafil men jo dekhaa ho to mujarim houn

Nazar aakhir nazar hai be-iraadaa uth gaii hogii

Mazaa aa jaayegaa mahashar men kuchh sunaney sunaaney kaa

Zubaan hogii hamaarii aur kahaanii aap kii hogii

Sar-e-mahafil bataa doungaa sar-e-mahashar dikha doungaa

Hamaare saath tum hoge ye duniyaa dekhatii hogii

Yahii aalam rahaa pardaanashiinon kaa to zaahir hai

Khudaaii aap sey hogii na ham se bandagii hogii

Ta'ajjub kyaa lagii jo aag aye 'seemab' siiney men

Hazaaron dil men Angaarey bharey thay lag gaii hogii

Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho

Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Ho

Mare Khaloos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hay

Woh Koi Bhi Ho Kahin Bhi Ho Kaisa Bhi Ho

Jo Khuwab Denay Ko QaDir Ho Meri Aankhon Ko

Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho

Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say To

Muskra K Manaye Woh Aisa Ho

Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sake

Iradon Mein Woh Apne Chahtaoon Jaisa Ho

Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho

Ik Aisa HumSafar Jo Samander Ki Tarha Gehrah Ho

Us K Pyar Ki Thandak Ho Mare Liyae Aisi

K Woh To Bilkul Aasman K Chand Jaisa Ho

Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaon Main Haya Rakhta Ho

Umar Bhar Sath Chale Woh Aisa Ho

chupke chupke raat din uska bartan manjvana yaad hai

humko aab tak kapdey doney ka woh Zamana yaad hai

doppher ki dhoop main kaprey sukhaney ke liye

woh mera khothey pe bhi nangey paoon jana yaad hai

Aa gaya jab sunday ki shab bhi kabhi zikr-e-shopping

woh mera meri biwi se, ATM card chupana yaad hai

saas sasur ki doston ab kya sunao dastaan

sasuraal na janey ka mujhey har ik bhana yaad hai

daru pee ke jab bhi ghar main aana para mujhey

woh mera dantoon taley, illaichi chabana yaad hai

dekh liya jab bhi kabhi rastey main kissi dusri ladki ko

Biwi ka gussey ko dekh ker mera tarthrana yaad hai

wakt-e-rukhsat office, Ab bhi yaad aata hai Mujhy

biwi ke pars se car ki chabi churana yaad hai

secound show dekh kar woh mera raat ko ghar deer say Ana

Biwi ka gussay se darwaza na kholna yaad hai

Jub Kabhi Itifaqan taway pey roti jal janay per

woh mera tere belan se sir phorwana yaad hai

Jub kabhi tuj se teri umar poochnay per who tera duppatay main

Sharmana aur 34 ko 17 bata tey hova muskurana yaaad hai

Apni umer chupanay ka liyeh woh tera munnay ko peetna

Aur Tujhe Mummy nahi baaji bulanay ko kahna yaad hai

haftey baad hi muhh utha ker meihkey chaley jana tera

aur mera ghar mein jhaddu pochaa lagana yaad hai

khinch lena woh tera salary ka lifafa dafataan

aur tera beauty parlor pe woh passey udana yaad hai

yaad hai begum ab bhi woh tera belan se mujhey pitna

aur baad pitney ke tera woh marham lagana yaad hai

aaye din saley saliyoon ka aana ghar pe mere

woh tera unkey samney mujhey murga bnana yaad hai

shuker hai 'HumTum' teri shaadi nahi hoi abhi

shaadi shuda YarooN ka woh rona rulana yaad hai.!

Mohabbat karne walay dil

Bas unka aik hi mahwar

Bas unka aik hi markaz

Bas unki aik hi manzil

Bas unki justaju ka aur tarap ka

Aik hi haasil

Unhain bas aik hi dhun hai

KHUDA mehboob ko unke

Hamesha shaadman rakhay

Na uska dil kabhi tootay

Na koi saneha guzray

Koi ghum choo nahi paaye

Udaasi pass na aaye

Mohabbat karnay walay dil

Buhat hassaas hotay hain

Mohabbat karnay walay dil

Kabhi sauda nahi kartay

Na koi shart rakhte hain

Na unke mo’afzey ki hiras hoti hai

Kisi rad-e-amal se ya badal se

Unko kya matlab

Ana se unka kya rishta

Jafa se kya ilaqa

Unhe to aik hi dhun hai

KHUDA mehboob ko unke

Hamesha shadma rakhey

📢 Post Your Ad Here

Create an account or sign in to comment

Account

Navigation

Search

Configure browser push notifications

Chrome (Android)
  1. Tap the lock icon next to the address bar.
  2. Tap Permissions → Notifications.
  3. Adjust your preference.
Chrome (Desktop)
  1. Click the padlock icon in the address bar.
  2. Select Site settings.
  3. Find Notifications and adjust your preference.