April 16, 201313 yr Kaha us ne mohabbat mein yeh gham kyon sath miltey hain, Kaha mene yeh kantey phool bhi to sath paltey hain, Kaha us ne ke lamhey pyar ke kyon kam se hotey hain, Kaha mene ke khushbu kab hamesha sath deti hai, Kaha us ne ghamon se kyon is qadar pyar karte ho, Kaha mene yehi to hain jo apna sath dete hain, Kaha us ne bichar jayen agar hum to acha hai, Kaha mene tum apni bheegti palkain zara dekho, Kaha us ne ke kitna chahtey ho tum mujhe Arshad, Kaha mene samandar ki kabhi gehraayi dekhi hai..
April 16, 201313 yr Roshni kar raha hai is dil mein, Ik diya sa jala hai is dil mein, Dar hai aankhen na phir chalak jayen, Ik kaanta chubha hai is dil mein, Jis ke saarey makaan khali hain, Sheher aesa basaa hai is dil mein, Gungunaane lagi hain saansain bhi, Koi rehne laga hai is dil mein, Koi jis ka nahin ilaaj Arshad, Dard aesa uthaa hai is dil mein..
April 23, 201313 yr Tumhari yaadon ka aik taara sa jhil’milata hai, i miss you, Udaas raton mein dil akela tumhain bulaata hai, i miss you, Jab aasman par dhannak ka manzar tamaam rangon ke sath aye, To aese aalam mein naam tera labo’n pe ata hai, i miss you, Kabhi jo baarish ki tezz boondain tere tasawur mein nachti hain, To aese aalam mein tera Arshad bhi gungunaata hai, i miss you..
April 23, 201313 yr Ik ik zakham dikhaaon tum ko aao to, Kese kese phool khile hain dekho to, Sheiron jese jhilmil karte lamhon mein, Kangan ghazlon ka pehnaaon aao to, Hanste gaatey logon ki is dunya mein, Hum kyon itne chup rehte hain socho to, In chahat ki tarsi pyassi ankhon mein, Sapnon ka ik sheher bassaa hai dekho to, Janaan in dunya walon ki nazaron se, Door kahin le jaaon tum ko aao to, Ik ik kar ke sare saathi chorr gaye, Tum bhi raah badal sakte ho chaho to, Deewana sab log samajhne lagte hain, Arshad bass khamosh raho ghar aao to..
April 23, 201313 yr Ab phool yeh wafaon ke chunta nahin koi, Guldaan udaas they usey takta nahin koi, Gham baantne ki aas pe na rehna dosto, Auron ki aag mein yahan jalta nahin koi, Yu’n roshni ne khalaq se cheena hai aitbar, Tareekiyon se ab yahan darta nahin koi, Dunya to teri yaad ka paikar bhi cheenti, Sad-shukar is pe dastaras rakhta nahi koi, Wakif hain is safar ki sau’bat se sarey log, Is raah-guzaar e ishq pe chalta nahin koi, Dukh ki kisi sadaape paltey nahin hain hum, Seenay mein ab to dard bhi uthta nahin koi..
April 23, 201313 yr Zindagi rukh badal gayi hoti, Kash tu mujh ko mil gayi hoti, Zindagi ko galey laga leta, Har tamana pighal gayi hoti, Kash tu mujh ko mil gayi hoti, Khawab palkon pe mein sajaa leta, Tujh ko seeney se mein laga leta, Apne dil mein tujhe basaa leta, Meri kismat badal gayi hoti, Kash tu mujh ko mil gayi hoti, Aahh nikle gi hont si loon ga, Jis tarah ho sake ga jee lon ga, Zeher bhi hanste hanste pee loon ga, Gham ki yeh dhoop dhal gayi hoti, Kash tu mujh ko mil gayi hoti, Ab tere gham ko dil mein paloon ga, Haan judai ka zakham kha loon ga, Maut ko bhi galey laga loon ga, Maut bhi aa ke tall gayi hoti, Kash tu mujh ko mil gayi hoti..
April 23, 201313 yr Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna, Ab us ki yaad mein jeena muhaal kya karna, Mein janta hoon ke woh bewafa na maaney ga, Wohi jawab miley ga, Sawal kya karna, Tu hijar de gaya aur pyar ko bhula betha, Woh bewafa tha ab us ka khayal kya karna, Usey bhulana hi Arshad teri bhalayi hai, Dil-e-tabaah ko ab hasta haal kya karna..
April 23, 201313 yr Suno yu’n umar ghat’ti hai, Bohat socha nahin karte, Mohabbat karke aayina, Bohat dekha nahin karte, Yu’n hathon ki lakeeron ko, Bohat chooma nahin karte, Kisi dil men woh kehta hai, Bohat thehra nahin karte, Jo khud apna ho aayina, Usey dhundla nahin karte, Jahan tareek sochain hon, Wahan chamka nahin karte, Jo aansu dil se ubhre hon, Unhe roka nahin karte, Akele khud to rehte hain, Nahin tanha nahin karte, Kisi ke hijar mein Arshad, Bohat jaaga nahin karte, Suno yu’n umar ghat’ti hai, Bohat socha nahin karte,
Create an account or sign in to comment