Disable Screen Capture Jump to content
ALL ADULT SECTION CLOSED IN MONTH OF RAMZAN ×
URDU FUN CLUB

Recommended Posts

کچھ ممبرز مسلسل  رومن اردو میں کمنٹس کر رہے ہیں جن کو اپروول کی بجائے مسلسل ڈیلیٹ کیا جا رہا ہے ان تمام ممبرز کو مطلع کیا جاتا ہے کہ یہ کمنٹس رولز کی خلاف ورزی ہے فورم پر صرف اور صرف اردو میں کیئے گئے کمنٹس ہی اپروول کیئے جائیں گے اپنے کمنٹس کو اردو میں لکھیں اور اس کی الائمنٹ اور فونٹ سائز کو 20 سے 24 کے درمیان رکھیں فونٹ جمیل نوری نستعلیق کو استعمال کریں تاکہ آپ کا کمنٹ با آسانی سب ممبرز پڑھ سکیں اور اسے اپروول بھی مل سکے مسلسل رومن کمنٹس کرنے والے ممبرز کی آئی ڈی کو بین کر دیا جائے گا شکریہ۔

  • Replies 41
  • Created
  • Last Reply

Top Posters In This Topic

Top Posters In This Topic

""Wo Shakhs Raat Phir Meri Hasti Pe Chaa Gaya,

""Itna Qareeb Aya K DiL Mein Smaa Gaya,

""W0 Ek PaL Jo Dey Gaya Aasodgi Ki Leher,

""Jazbon Ki Taaza Dh00p Mein Pagal Bna Gaya,

""PehLe Mere Waj00d Par Utra W0 B00nd B00nd,

""Barsa To Phr Ghata Ki Tarah Mujh Pe Chaa Gaya,

""W0 Jb MiLa To PiYaS Se Lab Khushk Thy Bohat,

""Louta To Hasraton Ko W0 Paani PiLa Gaya,

""Paband Kr Gaya Mujhe Lamhon Ki Qaid Mein,

""Aankhon Pe Apni Yaad k Pehray Bitha Gaya""

Link to comment

Meri chahat k takazay na nibhane wale

Kitne Be-dard hain ye Log Zamane wale

Koi Apna Nahi Matlab ki hai dunya saari

Ab kaha Milte hain wo dost purane wale,

Me dua-go hoon sada Neendain ho Mubarik tujh ko

Hijr ka dard Mujhe de k Jagane wale

Bas yehi soch k har Baar Manatey hen tuje

Lot k Aate Nahi Rooth k Jane wale

Hamare Seenay Me kabhi Jhaank k dekho to sahi

Kitne Afsurda hain ham auron ko Hasanay wale :-(

Link to comment

Do Ghoont Ka Aey Saaqi Ehsaan Nhi Loon Ga,

Mai Tishna Labi De Kr Ek Jaam Nhi Loon Ga,

Izhaar-e Tamanna Hy Toheen-e Tamanna,

Tum Khud Hi Samjh Jao Mai Naam Nhi Loon Ga,

Jo Shaam Jagati Ho Jo Subha Rulati Ho,

Wo Subha Nhi Loon Ga Wo Shaam Nhi Loon Ga,

Ae Ehl-e-Chaman Rakh Lo Ye Tohfa-e-Gul Apna,

Haq Mera Muje Dy Do Inaam Nhi Loon Ga,

Mai Raah K Saaye Se Khairaat-e-Sukoon Q Loon?

Mai Maang K Manzil Se Aaram Nhi Loon Ga,

Ek Sajda-e-Masti Ki Tum De Do Ejazat Ab,

Baad iS K Mohabt Ka Kbi Naam Nhi Loon Ga

Link to comment

Pal main doori ho jati hai,

Zaat adhoori ho jati hai,

Aankhon main neend aati nahi,

Raat poori ho jati hai,

Pehle to hoti hai chahat,

Phir majboori ho jati hai,

Kuch logo'n ki lamha bhar main,

Khuwahish poori ho jati hai,

Aur

Hadd say pyar guzar jaye to,

Aksar doori ho jati hai..

Link to comment

Jab sar-e-sham us ne zulfon ko sanwara ho ga,

Hath me kngan aankh me kajal awara ho ga,

Us kay jooray me saja wo sufaid gulaab,

Raat ko sote me kisi ne to utara ho ga,

Aalm-e-tanhaai me shab bhar karwtain lay kar,

Koi to ho ga jisay us ne pukara ho ga,

Haye! Wo neend me doobi hui makhmoor aankhain,

Jis ne daikha wo dil wahen pe hara ho ga,

Us k betaab laraztey huway honton pe Saqi,

Humein yaqeen hai machlta huwa wo naam humara hoga

Link to comment

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
×
×
  • Create New...