October 9, 201114 yr Author Khizaan raseeda chaman mein bahaar mushkil hai! Tumharay baad kaheen aitbaar, mushkil hai! Kisi se is liye dushwaar hai khafa hona Mananay aye ga hum ko bhi yaar, mushkil hai! Ajeeb raaz-e-junoon tha jo meray dil pe khula Teri gali mein bhi aa kar qaraar, mushkil hai! Humara kon hai ehl-e-jafa ki basti mein? Milay ga koi humain gham gusaar, mushkil hai! Kahan chalay ho mohabbat khareednay Mohsin? Baghair sood k milna udhaar, mushkil hai!
Create an account or sign in to comment