August 20, 201114 yr Zindagi Bezaar si bebak si ye zindagi.. Ye zindagi ajeeb si, ajeeb si ye zindagi.. Sehraon me saans leti zindagi.. pahaaro me karwat badalti zindagi... Zindagi me panapti zindagi... Maa ke anchal me machalti zindagi... Footpathon pe soti zindagi.. tareeki me dubti zindagi... Zindagi ko bigaadti zindagi... Zindagi ko sanwarti zindagi... Zindagi ki talaash me zindagi... Zindagi ke saath bhi zindagi... Khuda ne ajeeb shae banayee zindagi... Har zi-rooh me hai ek zindagi... Sisakti aahon me hai zindagi.. Masum fariyaadon me hai zindagi.. Zulm se uthe haaton me hai zindagi... Sharm se jhuki nigaahon me hai zindagi... Zindagi Bezaar si bebak si ye zindagi.. Ye zindagi ajeeb si, ajeeb si ye zindagi..
August 20, 201114 yr Kaha Tha Na Kay Yoon Sootay Huay Mat Chor Ke Jana Mujhe Beshak Jaga Dena Bata Dena Tumhain Rusta Badalna Hai Meri Had Say Nikalna Hai Tumhian Kis Baat Kar Darr Tha Main Tumhian Jaane Nahi Deta Kahin Par Qaid Kar Leta Ary Pagal Muhabbat Ki tabiat Mein Zabardasti Nahi Hoti Jisay Rusta Badalna Ho Usay Rusta Badalna Say Jisay Hud Say Nikalna Ho Usay Hud Say Nikalna Say Na Koi Rok Paaya Hai Na Koi Rok Paaye Ga Tu Tumhian Kis Baat Ka Darr Tha Mujhe Beshak Jaga Detay Main Tum Ko Dekh Hi Leta Tumhian Koi Duaa Deta Kum Az Kum Yo To Na Hota Mere Saathi Ye Haqeeqat Hai Tumhaare Baad Khone ke Le Liye Kuch Bhi Nahi Baaki Magar Main Khone Say Darta Hoon Mein Ab Sonay Say Darta Hoon Mein Ab Sonay Say Darta Hoon Kaha Tha Na Yoon Chor Ke Na Jaana
August 20, 201114 yr Wussat-e-Dasht-e-Hijar daikh k dar jata hun Tjh say aagay ka safar daikh k dar jata hun Roz dhaltay huye suraj ki tarha shaam gaey Main b ik dard k darya mei utar jata hun Wo b chup chup c kahin baith k roti hogi Main b raaton ko zara dair say ghar jata hoon Main ne b jurm-e-baghawat k sitam jhailay hain Main bhi ab log jidhar jaen udhar jata hoon Chal para hoon main zamanay k asoolon pe MOHSIN Main bhi ab apni baton say mukar jata hoon
August 20, 201114 yr kaanch ki guria banayi hai us nai, aaj kuch choor karni hai ussey kuch galat fehmi hai mujhey hi door karni hai woh samjhta hai zameen o aasman uske haath main hai magar woh nahin jaanta yeh kisi aur ke saath main hain zamaney bhar ki roshni woh apni milk samajhta hai haqeeqat usko batani hai nazar be noor karni hai ussey kuch galat fehmi hai mujhey hi door karni hai woh samjhta hai main samjh loon gi uski baat ko mili hai bhatki si rah uskey khiyalaat ko khush fehmi ki dor thamey muskurata hai woh apni kam fehmi ki yeh baat us sey to zaroor karni hai ussey kuch galat fehmi hai mujhey hi door karni hai woh samjhta hai ke taakat ho yahi hai jeet ka rasta khareed lo usko, miley ga meet yun sasta agar sab kuch jo paana hai, akar dil main to lana hai dabdaba jo lana hai zindagi maghroor karni hai ussey kuch galat fehmi hai mujhey hi door karni hai woh kuch ajeeb rukh deta hai khiyaalaat ko magr main jaanti hoon uski har ik baat ko mayoos ho ga mera faisla sun kar mera mezbaan magar aaj to kitaab haq us par zahoor karni hai ussey kuch galat fehmi hai mujhey hi door karni hai tujhey ik jhatka dena tha tujhey sab kuch batana tha meri aadat to na thi magar yeh dard pohnchana tha ab islaah ki raah hai paas terey ja khushi dhoond yeh sab isiliye kaha tha ke teri zindgi masroor karni thi tujhey kuch galat fehmi thi mujhey hi to dor karni thi
August 20, 201114 yr wah kya baat hay! waisay yeh WASI hay kaun? anyway jo bhi ho mujeh to ghazal bhi pasand ayee aur ghazal paish karnay ka andaaz bhi! bohut khoob achi shairee karti ho aur presentation bhi achi hay tumhari! hehehehehehe
August 20, 201114 yr Tamanna lay k ulfat ki mry aangan main wo aya mhbt rog hai dil ka usay yeh main ne samjhaya kaha us ne mhbt kr shareek e gham bna mjh ko karonga main zamanay ki khushi say aashna tm ko hua majboor main yaaro kiya iqrar ulfat ka lga di jaan ki baazi samajh kr khail kismat ka hui maloom phir uski haqeeqat yeh zamanay say USAY TASKEEN MILTI HAI KISI KA DIL DUKHANAY SAY
August 20, 201114 yr Tere Shehar Teri Soch Se Nikal Jaon Ga, Ksi Udaas Sham Main Dhal Jaon Ga, Tu Jo Mukar Gya Hai Hr Baat Se Apni, Dekh Lena Ek Din Main B Badal Jaon Ga, Mat Dikha MujKo Apna Pasheman Chehra, Jb Ke Tu Janta Hai Main Pighal Jaon Ga, Chahe Lakh Tarpon Tere Intzaar Main, Mat Lot K Aana Main Sambhal Jaon Ga, Tera Hona Itna Zarori Tou Nahi Hai, Main Tou Yaadon K Khilony Say Behal Jaon Ga..
August 20, 201114 yr Shaakh-e-gul me lachak baaqi hai abhi waqt ka paimaana khali hai abhi shahar fana ka musafir hoon me bhi magar manzil ke kai muqaam baaqi hai abhi dard agar dardmandon se mile to dard hota hai magar nazarandaazi ki aadat baqi hai abhi ummid ki kishti jo bhanwar me phans jaaye agar to yaad rahe ke imaan ki lau baaqi hai abhi jamaane ki raftaar se raftaar naa mile to kya hua khushfehmi me jeene ki aadat baaqi hai abhi yun to nahi ke nakami muqaddar hai mera kaamyabi ki talash jaari hai abhi mehnatkashi ka haasil hi to manzil hai mehnatkashi ki talab baaqi hai abhi weeraanon se nafrat haidar naa kar sakoge tum ke tere weeran dil me yaaden baaqi hain abhi
August 20, 201114 yr meri aah ka asar hua hai aaj, wohi khaar tere dil me chubha hai aaj, hijr ke lamho ka rang dekh kar, tera rang bhi berang hua hai aaj, nam aankho se muskurata raha hun main, ye sabaq tujhe bhi seekh lena hai aaj, jis mod pe ruswa kiya tha tune, us mod se tu bhi guzar rahi hai aaj, tareekh k panno ko palat to sahi, tareekh ne hi khud ko dohraaya hai aaj, manzar to hai teri tauheen ka magar, kyun mera dil se ro pada hai aaj, sard jazbo ko garmi mil rahi hai kaise, ye fasla phir se kyun ghat raha hai aaj, ae khuda tu na de ye saza kissi ko, meri dhadkan phir se tham rahi hai aaj, andhera na rahe teri duniya me kahin, kyun ye dua 'haidar' maang raha hai aaj.
Create an account or sign in to comment