August 25, 201114 yr Author greattt 1 g nd boht mushkil ilfaz use kiay hain ap nay jo is poetry ko apna he rang de rayhain great shring
August 26, 201114 yr Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga Naraz agar wo hain Mere Nasheman se Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga
August 26, 201114 yr Poochte ho to suno kaun hoon main Chand simte hue ashaar hoon main Sirf tareef se yahan kuch nahi hota Aapki duaon ka talabgaar hoon main Bayaan-e-dil pesh karta hoon jabh Log kehte hai dil-e-beemar hoon main Bolun agar khara to hoon shamsheer Aur agar likh daalon to talvaar hoon main Tareef karne par agar utar aaon kabhi To gulfaam hoon mai, gulzaar hoon main Jazbaat ko savaarna jaanta hoon bahut khoob Shayeri ka sar-Taj hoon, shahkaar hoon main Lafzon se yun khelna sabko nahi aata Mujhe aata hai, samajhdaar hoon main Hain aur bhi sukhanwar is hunar ke dost Mat bolo ke Tanha gunhagaar hoon main
August 26, 201114 yr Kash Hum Bezubaan Hote, Naa Phir Gham Yun Bayaan Hote !! Kash Naa Hoti Zindagi Ki Samajh, Naa Phir Yun Afsaane Jawaan Hote !! Kash Naa Khwahish Hoti Kuch Paane Ki, Naa Phir Kuch Khone k Gham Yahan Hote !! Gar Tor Jaata Koi AshiyaaN Humara, Phir Bhi Khoobsurat Saare Samaan Hote !! Lut Jaati Gar Roshni-e-Zindagi, Phir Bhi Andhere Naa Yahan Hote !! Toot-te Hue Bhi Be-Shubhaah Hote ! Kash Hum Bezubaan Hote !!
August 26, 201114 yr Fir wahi fasaana afsaana sunaati ho, dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho, beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko, to Fir kyon nahi pyaar jataati ho dil ki basti bikhar gayi hoti, ki rooh ke ye zakhm bhar gaye hote, yeh zindagi to aap ki amaanat thi warna, hum to kab ke mar gaye hote!! Zindagi jaise ek saza si ho gayee hai, gham ke saagar mein is qadar kho gayee hai, tum aa jao waapis yeh guzaarish hai meri, mujhe shayad tumaari aadat si ho gayee hai. aakhon ki zuban wo samajh nahi pate, honth hain magar kuch keh nahi pate, apni bebasi kis tarah kahen, koi hai jinke bina hum reh nahi paathe. tujhe chahne wale kum na honge, waqt ke sath shayad hum na honge, chahe kisi ko kitna bhi pyaar dena, lekin teri yaadoN ke haqdar sirf hum hi hoNge mila nahi koi dilbar aisaa, jo hamse dil lagaataa, hum to hain diljale aur, yu hi koi dil nahi jalaataa. Haqeeqat karo byaan to mazaak lagta hai, ibadat karo jab to jhootha khwab lagta hai, Are ye dil hai dil, aur dil ki hai ye sdaa, aur tum kehte ho ki tumhe ye haseen ittfak lagta hai
August 26, 201114 yr Simti Simti si barish ki ek boond Adhron par Simti barish ki ek boond Dard se parey barish ki ek boond Aazad gagan mein firtee barish ki ek boond Simti Simti si barish ki ek boond Adhron par simti bareesh ki woh boond Ankhon mein baseey barish ki woh boond Ankhon se na chalkhtee barish ki woh boond Sansoon mein simti barish ki woh boond Simti Simti si baarish ki woh boond Dil mein basee barish ki woh boond Aaj bhi dil par dastak datee barish ki woh boond aaj bhi kanon mein goonjtee barish ki woh boond Hamaree Ankhon mein chupee barish ki woh boond. Simti simti si barish ki woh boond Hamaree Ankhon mein chupee barish ki woh boond
August 26, 201114 yr Who Teri Mulaqatain Who Pyari Pyari Batain Dil Main Na Janay Kyoun Halchal Machain …… Tu Mujhay Mill Jaye Main Tujhay Mill Jaon Jevan Teray Sang…….. Apna Betaon Who Tera Angan Main Anaa Sargosheoun Main Batana Dil Kay Daharaknay Ki Batain Ankhoon Hi Ankhoon Main Janaa Betabeyoun Ko Barhanaa Kahan Bhoolon Ga Woh Din Woh Kahani Bohat Yaad Ayaaa Gii Woh Aik Nadanii Main Kiya Tha Aur Kahan Tha Madhosh Sara Jahan Tha Aik Moorr Kay Faslay Par Tanhayoun Ka Sama Tha Khoyaa Howa Asman Tha Kahan Dhondoon Gaa Woh Din Woh Kahani Kiss Ko Sunaoon Gaa Batain Pooranii Woh Teri Mulaqatain Woh Pyari Pyari Batain Dil Main Najanay Kyoun Halchal Machain Diljala
August 26, 201114 yr Kuch is tarha meri ankho mein basy hein Ansu Hont chup hein to zuban ban k sajey hein Ansu khud hi dy kar meri Ankho mein yah sary Ansu Poochta hai key baata kisney diya hein Ansu Faarq itna sa hai chaahat mein meri aur uski usko khushia hi milen mujhko mily hein Ansu Jisko her ghum sy bachaya tha meri chahat ny Aaj us shaks ney Ankho mein diye hein Ansu Dekhty kia ho meri Aankh sey niklaa Ansu Ankh meri ha magar us key sajy hein Ansu Khud to aram sey wo mujhko bhola betha ha jiski chahat ki saza mein yeh miley hein Ansu Yeh meri ankh nahi raait ka sehra hai jahan khushk ankho mein kali ban k khely hein Ansu Apny jis hath sey likha tha usey sari umar kup kapati usi ongli sey meety hein Ansu.......
Create an account or sign in to comment