August 25, 201114 yr Ye Baat Alag Hai K Haara Hoon Na Jhuka Hoon Ek Umer Magar Zulm Ki Chakki Mein Pisa Hoon Ye Kis Ne Kaha Chahat-E-Betab Nahi Mujh Mein So Baar Gira Hoon To Main So Baar Utha Hoon Zakhmi Hoon To Maghrur Samajhte Hain Mujhe Log Maghrur Sahi Janib-E-Manzil To Chala Hoon Gard Utri To Chamkun Ga Usi Taab Se Kall Bhi Kya Gham K Aaj Main Mitti Mein Mila Hon Don Sab Ko Main Apni Safayi To Bhala Kyun Main Samne Hoon Sab K Bura Hon K Bhala Hon
August 25, 201114 yr Tukron mai bikhra hua, kisi ka Jigar dikhayenge Kabhi aana Hamari Basti, Tumhe apna Ghar dikhayenge Hont kaanp jaate hain, Thar-Tharaati hai Zabaan Toote Dil se nikli hoi, Aahon ka asar dikhayenge Kabhi aana Hamari Basti, Tumhe apna Ghar dikhayenge Ek Pohunch pata nahi, Ek aur Chhalak jaata hai Palkon se Daman tak ka, Ashqon ka Safar dikhayenge Kabhi aana Hamari Basti, Tumhe apna Ghar dikhayenge Kahin Tasveer hai Teri, Kahin likhaa hai Tera Naam Mandir-Masjid jitna Paak, Ek Deewar-o-Dar dikhayenge Kabhi aana Hamari Basti, Tumhe apna Ghar dikhayenge Aksar takti rehti hai, Sunsaan Raahon ko Sanam Darwaaze par bethi hoi, Sapno ki Nazar dikhayenge Kabhi aana Hamari Basti, Tumhe apna Ghar dikhayenge
August 25, 201114 yr Kaun Kaheta Hai Woh Mere Bagair Tanha Hoga Woh Ek Chirag Hai Kahi Aur Jalta Hoga Yeh To Hum Hai Ek Saakin si Jheel Woh To Behta Huwa Ek Dariya Hoga Woh To Rehta Hai Mohabbaton Ke Desh Mein Usse Kya Khabar Koi Usko Sochta Hoga Woh Mere Dard Se Be-Khabar Nahi Tha Magar Usse Dukh Baatne Ka Na Saleeqa Hoga Itna Naadan Nahi Ki Samajh Bhi Na Sake Usi Ka zikar Meri Har Ghazal Mei Huwa Hoga Banaya Gaya Tha Hume Khulus Ki Mitti Se Hume Khabar Na Thi Woh Bad-Gumaan Hoga Maine Usse Chaha Tau Chahata Hi Gaya Meri Shiddato Se Ghabra Kar Woh Chal Diya Hoga
August 25, 201114 yr Kya Mila Tumhe Socho, Humko Azmaane Mein Aag Lag Gayi Aakhir, Har Taraf Zamane Mein. Tum To Chaar Din Mein Hi Apna Hosla Kho Bethe Umar Beet Jati Hai, Ruthne-Manane Mein... Tumne Sab Luta diye Ashq Meri Palko Ke, Ik Zamaana Lagta Hai, Aainey Sajaane Mein. Aaj hai Sabhi Masroof, Farak Sirf Itna Hai, Koi Ghar Banane Mein, To Koi Ghar Jalane Mein. Aaj Dil Hai Diwana, Uska Rukh Na Pehchana, Saazishen Bhi Shamil Hain Jiske Muskurane Mein.
August 25, 201114 yr Apni ZiNDAGi mein Shumar karta Hon, Main Tum sy itna PYAR karta hon, Main Banata Hon Tasveerain Tmhari, Phir Tm Se Batain Hazar karta hon, Tmhary Dukh b Khaloos-e-Niyat se, Apne DUKH mein Shumar karta hon, SUCH Samajhta hon JHOOT b Tmhary, Yun main Tmhara Aitbar karta Hon,
August 25, 201114 yr Tuje naaz hy k mai haseen hun Mere gulsitaan ko zawal kya, Muje fakhr hy k mai ishq hun Jo jala na don to kamal kya, Muje zindgi ki dua na de Muje zindgi ki talb nhi, Mri mout ko jo taal de Is zindgi ki majal kia, Humain manzilon ki khabr nhi Humain rah guzar ki talsh hy, Is rah guzar par nikal pare To urooj kya our zawal kya, Tere piyar mein shikwe giley Teri in aadaon pe mr chaley, Jo haiyat thi tuje war di To jawab kya our sawal kya?
August 25, 201114 yr Ek jurm hova hai hum se,,, Ek dost bana bethe hain,,, Kuch apna sa us ko samaj kar,,, Sab raaz bata bethey hain,,, Phir us k pyaar ki raah main,,, Dil-o-Jan ganwa bethay hain,,, WO yaad bohut aate hain,,, Jo HUM ko bhula bethey hain,, Ek jurm hova ha hum say,,, Ek dost bana bathey hain.
August 25, 201114 yr Mera Mohsin wafa ka youn sila Mangta hy..., Jesay soraj ksi jugnu sy zya Mangta hy...., Mere be-noor khiyalon ko ujala dy kr...., Wo Mere kchay gharonde ka diya Mangta hy...., Manid-e-dil jisy senay main dharakta paon..., Janay kyon Muj se bicherne ki Dua Mangta hy..., Azal se jis ko Dosti ka payember jana.., Wo Meri belos ebadat se panah Mangta hy.., Wo janta tha wafa k sabhi okaf-o-ramoz.., Phir b iss khel main wo Muj se nafa Mangta hy...
August 25, 201114 yr kisi nazar ko tera intezar aaj bhi hai kahan ho tum ke yeh dil beqarar aaj bhi hai wo waadiyaan wo fazaayen, ke ham milay thay jahan meri wafa ka waheen par mazaar aaj bhi hai na jaanay dekh ke kyun unko yeh hua ahsaas ke mere dil pe unhe iqtiyaar aaj bhi hai wo pyaar jis ke liay ham ne chor di dunya wafaa ki raah mei ghayal wo pyar aaj bhi hai yakeen naheen hai magar aaj bhi yeh lagta hai meri talash mei shayad bahaar aaj bhi hai na pooch kitnay mohabbat ke zakhm khaey hen ke jin ko sooch ke dil soogawar aaj bhi hai
August 25, 201114 yr Tu aur Bus Tu hi Tu Teri Tasweer Meri Aankhon main basi kyun hai? Jidhar dekhoon bus udhar Tu hi kyun hai? Teri Yadon se Wabasta Meri Takdeer hai lekin.. Tujhe na paa ker Meri Takdeer Roothi kyun hai? Mujh ko hai khabar asaan nahin Tujhe Haasil karna Phir bhi yeh Intizaar, yeh Bekarari kyun hai? Barson guzar gaye Mere Tanhai mai lekin.. Meri Baanhon ko aaj bhi Tera Intizaar kyun hai? Teri Chahat ki Qasam Khoon ke Aansoo roi hoon Ab nahi hai kuch baki phir yeh Jaan baki kyun hai? Khatam huwa Mera yeh Afsana ek Baat batadoo lekin.. Anjaam tha Malooom Mujh ko phir yeh Muhabbat kyun hai
Create an account or sign in to comment