August 28, 201114 yr Bara mayoos Bara chup saa Woh khara tha tanha saa Main ney dheerey sey kaha Koi baat hoi?? Khuch masla hai kiya? Dheemey qadmo sey Who chal key Dhehleez per sey Khuch sooch bichar kertey Na janey kidher ko Janey lagey thy key Main ney hath tham key Poocha mujhye sey koi Khata hoi koi gilahai kiya? Kehney lagey who Mujhye Dekh ker... Mery sarey sapney Sarey Arman Sarey Khuwab Sarei Arzoiye Kahi khogai hain Jab sey main ney Tum ko dekha hai.........
August 28, 201114 yr Faslay aese bhi hongay kabhi soocha na tha samnay betha tha woh per woh mera na tha woh to khushbo ki terha phaila tha merey chaar suu mey ussey mahssuus ker sakta tha per chuu sakta na tha raat bher siskion se aahat kaan mey aati rahi meray jhaankna chaahta tha gali may per jhaank sakta na tha aaj us ne apnay dard bhi alag ker liye mujh say may rona chahta tu tha magar may ro sakta na tha ye sabhi weraaniya ussi ki judaiye se theen aankh namkeen tu hoween theen magar namak ka bahana na tha
August 28, 201114 yr Unko Fursat Nahi Zamane Se, Humko Sapne Naye Sajane Se, Waadi-E-Khwab Hi To Hai Ke Jahan, Phool Khilte Hai Muskurane Se, Aur Badh Jayegi Ye Ruswayi, Zakhm-E-Dil Aap Ko Dikhane Se, Dard Ke Is Bayaan Se Kya Hoga, Kuch Bhi Haasil Nahi Sunane Se, Tu Sitamgar Sahi Magar Phir Bhi, Kya Milega Hamein Rulane Se, Yaad-E-Maazi Tu Laut Ke Maat Aa, Baaz Aa Jaa Hamein Satane Se, Bhool Jaa Hum Khata Shuaron Ko, Koi Jaake Kahe Zamane Se, Ab Tu Aajiz Hi Aa Chuke Hai Hum, Dard Ke Bojh Ko Uthane Se...
August 28, 201114 yr BeWafa" Likkha!!! Ab K Oss Ki Aankhon Main BaySabab Udaasi Thi Ab K Oss K Chehray Per Dukh Tha BadHavasi Thi Ab K Yun Mili Mujh Say Yun Ghazal Suni Jaisay Main Bhi NaShanasa Hoon Wo Bhi Ajnabi Jaisay Zard Khal-o-Khad Oss K Sogawar Daman Tha Ab K Oss K Lehjay Main Kitna Khurdara Pan Tha Wo K Umar Bhar Jis Nay Shehar Bhar K Logoun Main Mujh Ko Hum Sukhan Jana Khud Say Meherbaan Samjha Dil Say Aashna Likkha Ab K Saada Kaghaz Per Surkh Roshnayee Say Oss Nay Talkh Lehjay Main Mairay Naam Say Pehlay Sirf "BeWafa" Likkha!!!
August 28, 201114 yr Shab-e-firaaq ka manzar meri nazar main hai... Aalam teri judayi ka zakhm-e-jigar main hai... Tadpaa hun teri yaad main bewajha bepanah... Hasrato ka janaza meri chashm-e-tar main hai... Manzil na rasta na humnasheen na humsafar... Tareeq zindagi ki ghutan har nagar main hai... Thukra na du is bejaan hasti ko aye dil... Dil tadap ke pukaar utha manzil teri nazar main hai.. Gumnamiyo ke saye se ghabra gaya ye dil... Aye dost aake thaam le dil teri dagar main hai... Aayega tu laut ke dil ko hai ye guman kyu... Aaja ke ankhain teri raah-o-bar main hai... Ek nazar ka pyasaa pagal main nadaan... Dhoondu tujhe kaha zindagi qahar main hai...
August 28, 201114 yr Saakiya aaj mujhe neend nahi aayegi Suna hai teri mehfil mein ratjagaa hai Aankhon hi aankhon mein raat guzar jaayegi Suna hai teri mehfil mein ratjagaa hai Saaki hai aur shaam bhi ulfat ka jaam bhi Taqdeer hai usi ki jo le inse kaam bhi Rang-e-mehfil hai raat bhar ke liye Sochna kya abhi sehar ke liye Tera jalwa ho teri surat ho Aur kya chahiye nazar ke liye Aaj surat teri beparda nazar aayegi Mohabbat mein jo mit jaata hai wo kuch keh nahi sekta Ye wo kucha jisme dil salamat nahi reh sakta Kiski duniya yahan tabah nahi Kaun hai jiske lab pe aah nahi Uss pe dil zaroor aayega jiske bachne ki koi raah nahi Zindagi aaj nazar milte hi lutt jaayegi
August 28, 201114 yr Tum Meri saansoon ki garmi.. Tum, Mere jeene ki wajah.. Tum Meri dhadakanoo ki Khaamosh goonj.. Tum Meri andheri aankhoon ki roshni.. Tum Meri naaumeedi ki tanha ummeed.. Tum Tumharee muskuraahati aankhen, Galoon ke wo gaddhe,* Pairoon ki chaap, Inse, mujhe jeene ko majboor karti.. Tum Apni khikhilahatoon se mere andheroon ko roshan karti.. Tum Iss khwaahish ke saath saansoon ki dor thaame.. main Ki mere khuda iss qayanaat mein mujhe ek inyaat baksh de.... woh ho.. Tum...sirf tum
August 30, 201114 yr Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,, Woh Urh Gaya Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,, Woh Gharoob Ho Gaya Main Ne Chand Se Pyaar Kya To, Woh Badlon Main Chup Gaya Main Ne Pani Se Pyaar Kya To, Woh Beh Gaya Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To, Woh Pighal Gaya Main Ne Barish Se Pyaar Kya To, Woh Baras K Thum Gaya Main Ne Aag Se Pyaar Kya To, Woh Bujh Gai Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To, Woh Murjha Gaya Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To, Wo Toot Gaya Or Jab..Main Ne Insaan'on Se Pyaar Kya To, Woh Be-Wafa Niklay
August 30, 201114 yr Nai dil mein koi to bata.... wo khat mein salaam kiska tha Naa raqiib tha tera to wo naam kiska tha Mujhse chupaoge to kya paoge akhir tera "dil" hu Jo har roz bheja hai narzon se wo payam kiska tha Hunar chaiye Ishq k rutbe ko chupane k liye Chalo wo koi nai par tujhpar likha yeh kalaam kiska tha Aj kal sajne lage ho niharne lage ho khudko aino mein Teri ankho ko yeh bebq intezaar kiska tha Kehdo mujhse to khud bhi karar paoge is se Zehan mein yeh khayal subh o shaam kiska tha Mujhse kehti ho k Ishq hota kaise hai aye "Dil" Par ab bata tujhpe jaan yeh shumar kiska tha ek nazar mein tujhe ghayal karke wo betabi inaam kargaya Baali umar mein bata yeh nazar- e- katl ka kaam kiska tha?
August 30, 201114 yr Jab Tumhari Aankh Say Girey Khoon Aanso-on Ki Jagah Tab Jaano Gey Tum Judai, Kis Cheez Ko Kehtey Hain Jab Har Koi Tumhein Be-wafa Sa Lagney Lagey Kuch Aisey Tab Jaano Gey Tum Be-wafai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain Jab Saadgi Ke Badley Mein, Tumhein Kuch Na Haasil Ho Tab Jaano Gey Tum Buraai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain Jab Dil Pey Haath Phairney Say,Uss Ka Naam Likha Mehsoos Ho Tab Jaano Gey Tum Likhaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain Jab Pyar Mein Tumhein Ghamon Ki Dolat Haasil Ho Jayey Tab Jaano Gey Tum Kamaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain Jab Tumhara Dil Tumhari Maney, Na Ke Tum Uss Ki Maano Tab Jaano Gey Tum Rihaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain !
Create an account or sign in to comment