August 11, 201114 yr Tum aao to hum bhi EID karen Hasrat hai tumhari deed karen Kuch der to dil ko chain mily Kuch roz to mann k phool khilen Kehty hain k EID ki aamad hai Hum log bhi kuch taaeed karen Tum se ik ye guzarish hai Ye apny dil ki khwahish hai Ik bar milo Ik bar milo Hr bar ye hi taakeed karen Maana k hum deewany hain Sab baaton se anjany hain Jab apny bhi begany hain, Kiya ghairon se ummeed krain Tum aao to hum bhi Eid karen Tum aao to hum bhi Eid karen.
August 11, 201114 yr Labon ki sersarahat se. badan k choor hony tak. Main tujh ko is tarah chahoon. K meri saans ruk jaye. Khataon par khata'ain hon. Na ho kuch baat kehne ko. Main tujh main yoon sama jaoun. K meri saans ruk jaye. Na himmat tujh main ho baqi. Na himmat mujh main ho baqi. Magar itna qareeb aaoun. K meri saans ruk Jaye. Tere honton pe jab rakhoon. Main apny hont kuch aise. Ya teri pyaas bujh jaye. YA MERI SAANS RUK JAYe.
August 11, 201114 yr Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi, Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi ! Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel, Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi ! Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha, Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi ! Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud, Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi ! Apani tamam shokh adaaon ke bawajud, Bahla saki na jee mera eek pal bhi zindagi ! Bojhil hai rat chand sitaron ke bawajud, Suraj ke bawajud andhera hai zindagi ! Barbaad hamko hona tha barbad ham huye, Duniya hai sari nek salahon is zindagi ! Kaatil the jitane mere sabhi ho gaye bari, Aur chup khadi thi chasmdeed gawahon si zindagi !
August 11, 201114 yr Shaam e Gham Ki Qasam Aaj GhamgEen Hain Hum Aa Bhe Jaa Aa Bhe ja Aaj Meray Sanam Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai Dekh Ja Kis Trah Aaj tAnhA Hain Hum Shaam e Gham Kii Qasam Khail Kaisa Jo PehlOo Mein tOo Hi Nahien Maar Dalay Na dArd e jUdaii Kahien Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya Chandhi Zulam Hai Or jUdaii Sitam Shaam e Gham Ki Qasam Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii DhOondhatii Hai Nazar tOo Khaan Hai Magar Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam Shaam e Gham Ki Qasam
August 11, 201114 yr Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey! Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad, Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye Hogay Rukhsat Duaayen De Ke Parwana Mujhey
August 11, 201114 yr "Kahun K Kia Ho Tum....?" Mere liye meri Duniya ho Tum, Cho k jo Guzre wo Hawa ho Tum, Maine jo Mangi wo Dua ho Tum, Kya maine Mehsos wo Ehsas ho Tum, Meri Nazar ki Talash ho Tum, Meri Zindagi ka Qarar ho Tum, Maine jo Chaha wo Pyar ho Tum, Mere Intizar ki Rahat ho Tum, Mere Dil ki Chahat ho Tum, Tum ho tu Duniya hai Meri, Kaise Kahun k Sirf Pyar Nahin, Meri JAAN ho Tum.
August 12, 201114 yr Ab ke us ki aankhon main be'sabab udaasi thi ab ke us ke chehrey par dukh tha, be'hawaasi thi.. Ab ke yu'n mila mujh se yu'n ghazal suni, jaisey main bhi na'shanaasa hoon wo bhi ajnabi jaisey.. Zard khaal o khad us ke so'gawaar daaman tha ab ke us ke lehjey main kitna khurdra'pan tha.. Wo ke umar bhar jis ne sheh'r bhar ke loogo main mujh ko ham'sukhan jana khud se meh'ruban samjha mujh ko Dilruba likha.. Ab ke sada kaaghaz par surkh raoshnai se us ne talkh lehjey main merey naam se pehley sirf Be'wafa likha..
August 13, 201114 yr Zikr us parii-wash ka, aur phir bayaaN apnaa Ban gaya raqib aaKHir thaa jo raazdaaN apnaa Mai wo kyuN bahut pite bazm E ghair meN yaarab Aaj hi hua manzoor, un ko imtihaaN apna Manzar ik bulandee par aur ham banaa sakte ‘arsh se udhar hotaa kaash K makaaN apnaa DeN vo jis qadar zillat hum haNsi meN TaleNge Baaray aashna nikla unka paasbaaN apna Dard E dil likhuN kab tak? jaauN unko dikhlaa duN UNgliyaaN figaar apni KHaamaa KHuN_chakaaN apnaa Ghiste-ghiste mit jaata aap ne ‘abas badlaa Nang E sajdaa se mere sang E aastaaN apna Ta kare na ghammazee, kar liya hai dushman ko Dost kii shikaayat meN hum ne hum-zabaaN apna Ham kahaaN ke daanaa the? kis hunar meN yaktaa the? Be_sabab huaa ‘Ghalib’ dushman aasmaaN apnaa
August 13, 201114 yr Dil ki baat laboN per laa kar ab tak hum dukh sahte haiN Hum ne sunaa tha is basti me dil waale bhi rahte haiN Beet gaya saawan ka mahina, mausam ne nazreN badleeN Lekin in pyasi aankhoN me ab tak aaNsu bahte haiN Ek hamaiN aawaara kahnaa koi baRaa ilzaam nahiN Duniya waale dil waaloN ko aur bahut kuchh kahte haiN Jin ki khaatir shahr bhi chhoRa, jin k liye badnaam hue Aaj wohi hum se begaane bagaane rahte haiN Woh jo abhi is raah guzar se chaak garebaaN guzraa tha Us aawaara deewaane ko ‘Jalib’ ‘Jalib’ kahte haiN
August 13, 201114 yr TamannaaoN meN uljhaayaa gaya hooN Khilaune de ke bahlaayaa gaya hooN HooN us kuuche ke har zarre se aagaah Udhar se muddatoN aayaa gaya hooN Dil E muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm Main Khud aayaa nahi laayaa gayaa hooN Saweraa hai bahut ai shor E mahashar Abhii bekaar uThavaayaa gayaa hooN Lahad meN kyuN na jaaooN muNh chhupaye Bharii mahafil se uThawaayaa gayaa hooN kujaa main aur kujaa ai ‘Shad’ duniyaa kahaN se kis jagah laayaa gayaa hooN
Create an account or sign in to comment