August 11, 201114 yr Ho raat akeli pichlay paiher or Chand gagan main aa jaye, Tum chand ki manend tanha ho ye baat tumhay tarpa jaye. Kuch khuwab saja kr palkoun pay Tum chand say batein kr laina, Hum yaad tumhay to kartay hain tumYaad humain bhi ker laina. Kuch bat na ho jb aisay he num ankh Tumhari ho jaye, Tum bat kahi per karty ho, dil or Kahi per kho jaye. Jazbat k aisay alam main Muskan laboun par bhar laina, Hum yaad tumhe to krtay hain, Tum yaad humain bhi kr lena..
August 11, 201114 yr Iss baar kuch aisa mein chahta hoon Tum ko apna banaana chahta hoon Bhula kar apne sab gham Tumhe dilse apnana chahta hoon Tumhe tumhari ijazaat se Apne dil mein basana chahta hoon Apne naam k saath joar kar tumhara naam Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane Tumhe har dua mein mangna chahta hoon Ho jaao tum meri aur main tumhara Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon Tum se hi ki bass mohabbat main ne Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon Karta hoon aaj main ye iqraar Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon Haq ke saath kahoon tumhe main apna Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon
August 11, 201114 yr Meri Laghzishen na Chuna karo Meri Ghaltiyan na Gina Karo, Ye Qadam Qadam ki Hudood kya Mere sath sath chala karo, main khulay mizaj ka shakhs hoon main takallufat se Marwa, ye jo Mehrbani ka lafz hai, ise tum na mujh se kaha karo, Kahin tum na ho jao besakun koi Bad'dua na tumhain lage ye jo khoye khoye se log hain inhe dekh kar na hasa karo ye dua hai Rab-e-Rahim se Teri Tazgi ko khizan na ho ye bahar tujh se jala kare sada muskurate raha karo Sada muskurate raha karo....
August 11, 201114 yr Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai, K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai, Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon? Gali Kochon Mein sannata bohut Hai, Na milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne, Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai, Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko, Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bohut Hai, Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso, Shayid mujhe Rona bohut hai, Tujhe maloom To hoga mere humdum, Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.! ********************************** Jab kabhi tera dil ghabraey ager tujhe meri yad aay tu lou ana, Ager tera sath koi choray ager koi tera dil turey tu lout ana, Kuch waqat achca guzra hai sath tumare who waqat jab yaad aay tu lout ana, Yahe waqat akser sath nai dete dil walon ka, pas reh kar b ager koi sath na de tu lout ana, Na jane teri itni yad q atti hai, Ager yahe pegaam pohnch jaye tu lout ana,
August 11, 201114 yr Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye Ho jaaye begaane aap shauq se sanam Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye Karna hai ishq aapse karte rahenge hum Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye
August 11, 201114 yr Ab kia likhain hm kaghaz par Ab likhne ko kia baki ha, ik dil tha so wo toot gya ab tootne ko kia baki hay, ik shakhs ko hm ne chaha tha ik rait pr naksh banaya tha, wo naksh kahan ab baki ha ab kia likhain hm kaghaz par ab likhne ko kia baki ha, wo jin ko ham apni nazmo ka unwan bnaya krte thay lafzon ka banaa kar taj mahal kaghaz par sajaya kerte the wo shakhs jo hum ko chorr gya sab rishton se mun mor gaya ab kia likhain hum kaghaz par ab likhne ko kia baki hay ik dil tha so wo toot gya ab tootne ko kia baki ha
August 11, 201114 yr Baray-e-naam sahi koi meharbaan to he, Hamare sar pe Bhi hone ko Aasamaan to he Teri faraakhdili ko duaen deta hun, Mere labon pe tere lams ka nishaan to he Ye aur bat k vo ab yahan nahi rahta, Magr ye us ka basaya hua makaan to he Alavaa is k na kuch aur parda rakh mujhse Fasiil-e-jism mere tere darmiyan to he Bichar k zinda nahi rah sakenge ham 2no, Mujhe ye vaham to hai un ko ye gumaan to he Saron pe saya_figan abr-e-Aarzu na sahi, Hamare pas saraabon ka sayabaan to he
August 11, 201114 yr Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai, Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota, bay niazi say, magar kanptey awaz k sath, Tu nay gabhra k mera naam na pocha hota, younhi be wajha bhataknay ki zarorat kiya thi, Dam-e-rukhsat mai, agar yaad na aaya hota, Hosla tujh ko na tha mujh say juda honay ka, Warna kajol teri ankhon ka na phela hota Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai, Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota, Meri har aik shab taza azab main guzree Tumharay baadh tumharay he khawab main guzri Main aik phool thi jisay woh rakh ker bhool gaya Phir tamam umr usee ke kitab main guzri.
August 11, 201114 yr Mujhy bekhudi ki hai arzoo Mujhe qurbaton ka kumar dey Mery ang ang mei youn uter K mujhi mein khud ko utar de Tu jo rug rug mein bus gea Tu hai dorion ka jawaz kiya Meri zindgi mery pass aa Meri bekhudi ko qarar de Hai nazar nazar teri joostaju Tu meri wafa ki hia aabro Kabi tu bi hu mere roobaro Mujhe jaan say hi guzaar de Mujhe iss terha say tu yad aa Teri yad ka bi guman na ho Tu mery khayal mein youn sama K mera hrf hrf nikhar de Meri zindagi mery pass aaaa **************************** Mujhy jeenay ki umeed dobara day do, Meri doobti kashti ki kinara dy do, Main dard k sahil pay tanha khara hun, Phir aa k apni baahon ka sahara day do, Tera daaman to bhara hay sitaron say, Mujhy sadqay may ik sitara day do, Mery aangan my aj andhera ha bohat, Meri dehleez ko phir apna nazara dy do, Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas, My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do....!
August 11, 201114 yr Main Roi To Nahi Hoon...... Najaney Kiyoon Mera Kajal Jab Bhi Dalo Ankhon Main Ab Aksar Phail Jata Hai Tum To Jantey Ho In Dino Bohat Hi Thand Hoti Hai Tab Hi Hai Surkh Meri Naak Main Roi To Nahi Hoon...... Kaha To Hai Yunhi Buss Bheega Hai Aanchal Ka Kona Choro Tum Fiker Mat Karo Main Roi To Nahi Hoon...... Nahin, Udaas Kab Hoon Main Ziyada Kaam Kay Baies Thakawat Ho Hi Jati Hai Main Roi To Nahi Hoon...... Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi Nahin Aata To Na Aaye Ab Us Ki Yaad Mai Dekho Main Roi To Nahin Hoon..... Bata Dena Us Ko Ja Ker Koi Khush-Fehmi Na Palley Waisey Hi Surkh Hain Ankhin Main Roi To Nahin Hoon.....
Create an account or sign in to comment