August 6, 201114 yr Duniya Se Muje Piyar Tha, Sab Bhoolna Chahta Hoon, Ik Shakhs Mera Yaar Tha, Sab Bhoolna Chahta Hoon Wo Hijar ki Raaton Ke Sulagtay Huay Lamhay, Ankhon Pe Koi Baar Tha Sab Bhoolna Chahta Hoon Haan Meri Khataa Thee Ke Tujhe Toot K Chaaha, Haan Main He Gunahgaar Tha Sab Bhoolna Chahta Hoon Yeh Kis Ne Mujhe Dhoop Ka Ik Roop Diya Hai, Main Saaya-a-Deewar Tha Sab Bhoolna Chahta Hoon Ab Gham Mujhe Deemak Ki Tarhaa Chaat Rahay Hain, Main Khushiyon Se Sarshaar Tha Sab Bhoolna Chahta Hoon Bakhshi Hai Muje Piyar K Badlay Mein Judaee Jo Bhi Tera Kirdaar Tha Sab Bhoolna Chahta Hoon Aankhein Shab-a-Furqat Mein Raha Karti Theen Pur Nam Main Teraa Talab Gaar Tha Sab Bhoolna Chahta Hoon Bas Itna Mujhe Yaad Hai Ik Wasal Ki Shab Thee Iqraar Ke Inkar Tha Sab Bhoolna Chahta Hoon Sach Maan K Ab Yaad Mujhe Kuch Bhi Nahi Hai Tu Kis Ka Tarafdaar Tha Sab Bhoolna Chahta Hoon Ik Shakhs Ne Paagal Sa Banaa Rakhaa Hai Wasiq Main Kitna Samajhdaar Tha Sab Bhoolna Chahta Hoon
August 6, 201114 yr Har baar mere samnay aati rahi ho tum Har baar tum se mil k bichharrta raha hoon main Tum kaun ho yeh khud bhi janti nahin ho tum Main kaun hoon yeh khud bhi janta nahin hoon main Tum mujh ko jaan kar hi parri ho azaab mein Aur is tarah khud apni saza ban gaya hoon main . . Tum jiss zameen par ho main uska khuda nahin Pas sar-ba-sar azziyat-o-aazaar hi raho Baizaar ho gayee ho buhat zindagi se tum Jab bas mein kuch nahin hai tau baizaar hi raho Tum ko yahan k saaya-o-Par-tau se kiya garaz Tum apnay haq mein beech ki deewaar hi raho Main ibtedaa-e-ishq se bay mehr hi raha Tum intiha-e-ishq ka mayyaar hi raho Tum khoon thookti ho sun kar khushi hui Is rang is adaa mein bhi pur-kaar hi raho Mainay yeh kab kaha tha muhabbat mein hai nijaat Mainay yeh kab kaha tha wafa daar hi raho Apni mataa-e-naaz luta kar mere liye Baazaar-e-iltifaat mein naadaar hi raho . . Jab main tumhain nishaat-e-muhabbat na day saka Gham mein kabhi sukoon-e-rafaqat na day saka Jab mere saray charagh tamanna hawa k hain Jab mere saray khawab kissi bewafa k hain . . PHIR MUJHE CHAHANAY KA TUMHAIN KOI HAQ NAHIN TANHA KARAAHANAY KA TUMHAIN KOI HAQ
August 6, 201114 yr " Kitab-e-dil " Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay hee afsaanay., Kuch qissay naye thay aur kuch berson puranay.. Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se thay qareeb, Kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay.. Kaash aisi koi rut koi mosam aaye, Khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay.. Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hai, Aik roz tow aayein gay wo hum ko mananay.. Safha-e-dil ko koi hamare perh ker dekhay, Khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay.. Guzra hua zamana bhula doo zehen se apnay, Aatay nahi hain kionkeh beetay huay zamanay
August 6, 201114 yr lab-e Khaamosh se afshaa hogaa raaz har rang main rusvaa hogaa dil ke saharaa main chalii sard havaa abrr gul-zaar pe barasaa hogaa tum nahi they to sar-e-baam-e-Khayaal yaad kaa koi sitaaraa hogaa kis tavaqqo pe kisi ko dekhein koi tum se bhii hasin kyaa hogaa ziinat-e-halqaa-e-aaGosh bano duur baiThoge to charchaa hogaa zulmat-e-shab mein bhi sharmaate ho dard chamakegaa to phir kyaa hogaa jis bhii fankaar kaa shaahakaar ho tum us ne sadiyon tumhen sochaa hogaa kis qadar karb se chataki hai kali shaaKh se gul koi Tuutaa hogaa umr bhar roye faqat is dhun mein raat biitii to ujaalaa hogaa saari duniyaa hamein pahachaanati hai koi ham-saa bhii na tanhaa hogaa
August 6, 201114 yr Dil ki Batain bata deti hain Aankhein Dhadkanon ko Jaga deti hain, Aankhein Dil pe chalta nahi Jadoo Chehron ka kabhi Dil ko tu Deewana bana deti hain Aankhein Woh hum se baat nahi karti tu na kare Haal sara un ke dil ka Suna deti hain Aankhein Gham sada rehta nahi Aadmi ke saath Ashk bana kar Chalka deti hain Aankhein Aata hai jab dor - e - Jawani , tu aye Dosto Sunder Sapne Zehan main Basa deti hain Aankhein Mana ke Neend aati hai Aankhon hi ke raste Magar kabhi kabar Neend uda deti hain Aankhein asgher shukar hai Khuda ne Aata ki Aankhon ki Neyamat humain Dard -o-Gham sare Dil ke Chupa deti hain Aankhen ********************************************************************* Yeh aankhain bhi ek dariya bahati hain Sab jaanti hoon magar phir bhi ... Kyun tumko bhula nahin paati.... Is dil se teri tasveer hata nahin paati.... Muskurane ki koshish karti hoon lekin Ankhon ke motiyon ko chupa nahin paati... Jab sochti hoon ki ... Tum ho kisi aur ka muqaddar Jalan si hoti jise mita nahin paati.... Jab barasta hai saawan toot ke kahin... Yeh aankhain bhi ek dariya bahati hain.... Sulagti hai rooh teri ek jhalak ko..... Is khwaaish se main dil ko bacha nahin paati
August 6, 201114 yr Aaj roothe huwe sajan ko bohat yaad Kiya Aaj roothe huwe sajan ko bohat yaad Kiya Apne ujde huwe gulshan ko bohat yaad kiya Jab Kabhi gardish-e-taqdeer ne ghera hai humein Gesu-e-yaar ki uljhan ko bohat kiya Shamma ki joot peh jalte huwe parwanon ne ik tere shaula-e-Daman ko bohat yaad kiya Jis ke maathe peh nai subha ka jhoomar ho ga hum ne us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiya Aaj toote huwe sapnon ki bohat yaad ayi Aaj beete huwe sawan ko bohat yaad kiya Hum sur-e-toor bhi mayoos tujli hi rahe Us dar-e-yaar ki jhilman ko bohat yaad kiya Mutmaeen ho hi gaye daam-o-kafs mein sagar* Hum aseeron ne nasheman ko bohat yaad kiya
August 6, 201114 yr meri jaan wapsi ka aik rasta rakhna perta hai taluk toot bhi jae tu rishta rakhna perta hai jinhain hum dil ki gehraion se sacha piyar kerte hain jab un se baat ho tu khaas lehja rakhna perta hai humari rooh ki hiddat ko jo na serd perne de humain apne badan main esa shola rakhna perta hai tujhe ger apni batain na sunaon!tu kahan jaon? k tere samne iss dil ka shisha rakhna perta hai sada aabad rakhe jo teri yadon ko iss dil main k ane saath ik esa bhi lemha rakhna perta hai humare dil main chahe chand jesi lakhon galian hon andhere k liy bhi aik rasta rakhna perta hai bhale jitne bhi dukh,jitne bhi gham hum ko milain mizaj apna her ik soorat shugufta rakhna perta
August 6, 201114 yr Woh Aakhri Lamhoon ham hijar k rasty par safar kar nahi sakty eik lamha tery bina basar kar nahi sakty woh aakhri lamhoon main mujhy maang raha hai yeh waqt hai aesa k guzar kar nahi sakty khud hath say apny usay khona hi pary ga yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakty yoon apni nigahoon ko chora layty hain tujh say k dil k iradoon ki khabar kar nahi sakty tum khwaab jalaty rahy ham aaj tak chup thy ab dil k yoon jalny par sabar kar nahi sakty yeh aankh andheroon main hoi pyaas ka sehra is noor k darya par nazar kar nahi sakty har chand k meri aankh main aansoo hain larazty jalty hoy sholay es par asar kar nahi sakty ab chahin bandh lain gay tumhin apni nazar say ham is liye khuda say khafa ho nahi sakty
August 6, 201114 yr Dard ki daastaan. Raat sunti rahi, main sunata raha, Dard ki daastaan, main btata raha, Loog loogoon se chahat nibhatay rahay, Ik wo tha mera dil jalata raha, Dhoop chaoon si uski tabiyat rahi, Wo nigahain milata churata raha, Ik main hi piyasa raha doosto, Loog peetay rahay wo pilata raha, Dil k mehmaan khanay main roonaq rahi, Koi aata raha koi jaata raha, Hum Maktab ne sara sabq parh liya, Main tera naam likhta mitata raha.
August 6, 201114 yr har tamashai faqat sahil se manzar dekhta kaun dariya ko ulatata kaun gauhar dekhta wo to duniya ko meri divangi khush a gai tere hathon main vagarna pahala patthar dekhta ankh main ansu jare the par sada tujh ko na di is tavaqqo par ki shayad tu palat kar dekhta meri qismat ki lakirain mere hathon main na thin tere mathe par koi mera muqaddar dekhta zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ki tarah kis ko itana hausala tha kaun ji kar dekhta dubane vala tha aur sahil pe cheharon ka hujum pal ki mohalat thi main kis ko ankh bhar ke dekhta tu bhi dil ko ik lahu ki bond samajha hai 'Faraz' ankh gar hoti to qatre main samandar dekhta.....
Create an account or sign in to comment