Part 11
Khaana khaate hue ma bola
Me:Madam subah principal na bulaya ha aapko.
Madam:kheriyaat to ha naa????
Me:jee kheriyat hi ha.
Madam:chalo phir subah ma unse mulakat kar lu gi
Ma na haan ma sar hilaya or khaana khaane laga.khana khaate hue ma ne madam sa pucha
Me:Madam aik baat puchu bura to Nahi maanein gi
Madam:kheriyaat to ha naa aisi knsi baat karne lage ho jis ka liye meri ijazat ki zarorat par gae.
Me:baat aap ka maazi sa related ha
Madam:abhi khaana khao raat ko tasali sa puch Lena Jo puchna hua
Me:OK Madam
Khana khaya or phir Hum ghar aa gae.routine wohi orphanage gaya wahan sa aaya raat ko khaana khaya or phir school ka kaam yaad kiya.
Homework karne ka baad ma TV dekhne lag gaya.Madam kitchen ma thi.Kuch der baad Madam bahir aai or mere saath sofa par aa kar beth gae.unke jisam sa paseene or scent ki Milli Julli khusbu aa rahi thi.Ma madhosh hone laga.Meri nazarein TV par or dimaagh madam ka jisam ki khusbu par bhatak raha tha.Madam ki awaz sa nazar or dimagh dono madam ki taraf mutwaja hue
Madam:tum mujh sa kuch puchna chahate the???
Me:wo darasal ma ye puchna chahata tha ke aaap... aaaaaap....
Madam:kya aap???
Me:Madam aap na apne hubby ki death ka baad dusari shadi kiun Nahi ki mujhe hi adopt kiun kiya????
Madam na aik gehri sans li or phir kuch der meri taraf ajeeb si nazaroon sa dekhne ka baad boli
Madam:ma dusari shadi to apni iidaat mukkamal karne ka baad hi kar leti Lekin mujhe Jo shaksh bhi mila wo mujh sa zayada mere Paisoo ka lalachi Nikla.Is liye ma na dusari Shadi Nahi ki.
Me:or agar ma bhi dusaro ki tarha paisoo ka lalachi nikla to????
Madam:tumhari jaan le ln gi.
Itna keh kar madam muskarane lagi.Phir kuch der hamare darmayan khamoshi chae rahi phir madam boli
Madam:ye tumhari principle na mujhe kiun bulaya ha????
Me:bas thori si problem ho gae thi school ma.choti si larae ho gae thi.
Madam gusse sa boli
Madam:tafseel sa batao mujhe.
Ma na madam ko tafseel batae to wo boli
Madam:ye choti si larae thi kya???
Me:haan jee choti si hi to thi.
Madam:agar koi mar jaata to???
Me:tab ki tab dekhi jaati abhi koi Mara to Nahi naa
Madam:acha ye batao us larki ka saath tumhara koi chakar to Nahi ha na jis ka liye tum lare the.
Me:Madam aap ka saath mera konsa chakar chal raha tha phir bhi aap ki madad ki naa.
Madam:yani ab tumhara bandobast Karna ho ga.
Me:kaisa bandobast??
Madam:subah tumhe pata chal jae ga.abhi apne kamre ma jao.
Me:abhi Nahi plzzz
Madam na remote sa TV band kiya or boli
Madam:jaate ho ya do lagao.
Me:acha jaata hn
Subah school puhncha to assembly ka foran baad principle ka bulawa aa gaya.Ma unke office ma puhncha to wo boli
Principle:koi aaya Nahi tumhare ghar sa???
Me:ma'am wo aa Jaen ge thori der tak.
Madam:acha jao class ma or agar naa aaya koi to kal school aane ki zehmat naa Karna
Me:ma'am agar aap na mujhe school sa nikala to aap bhi apni nokari chorne ka liye tayar rahiye ga.
Principal:wo kiun???
Me:aapke pass mujhe school sa nikalne ki koi valid reason hi Nahi ha.Kis bunyaad par aap mujhe school sa nikalein gi.
Principal:un larko ko Marne ki waja sa ma tumhe school sa nikal sakti hn
Me:How sweet of you.pehle sabot to laen ka unhe ma ne Mara ha.
Principal:mujhe sabot ki zaroorat Nahi ma waise hi tumhe nikal sakti hn.
Me:ye shook bhi pura kar ke dekhi lein
Itna keh kar ma classroom ma aakar beth gaya.Routine ki classes hoti rahi.Recess sa aadha ghanta pehle mujhe Sara or Nazia teeno ko principal na apne office ma bulaya.principal office ma principal or Madam Asma ka saath saath 2khawatein or 3 mard majood the.
Hamare kamre ma dakhil hone par sab na chonk kar hamari taraf dekha or phir principal na Hume aik side par khara hone ka kaha or phir un mardo ma sa 2 Jo alehda aik taraf Bethe the unko kehne lagi
Principal:sir ye hi teeno bache us wakat library ma majood the jab ye wakiyaa pesh aaya Lekin heraankun baat ye ha ka inhe kuch Nahi hua sirf aapke betoo or uske dosto ko hi Mara gaya tha.
Un dono ma sa aik aadmi hamari taraf mutwaja hua or bola
Aadmi 1:beta kya wakiyaa hi Hawaii cheezoo na mere bete par hamla kiya tha???
Ma na darne ki acting shuru kar di or khoofzada nazaroo sa sab ki taraf dekha or bola
Me:jjjeeee jjeee ssirrr wooooo kkooii bbhiii nazar Nahi aa raha tha bas lathiyaa chal rahi thi.
Mere saath saath Nazia or Sara na bhi dar ka maare kanpane ki acting shuru kar di thi.
Aadami 2:bilkul yehi baat wo bache bhi keh rahe the.sirf lathiyaa hi chali thi yaa kuch or bhi hua tha.
Un dono larko na shayad apni izzat rakhne ka liye keh diya ho ga.Agar asal baat bata dete to log unka hi mazak uraate ka do larkiyo sa maar kha li dono na
Me:woo oo woo oo woooo....
Aadmi 1:kya wo???
Me:woo woo aawazein aa rahi thi ka in ka baapoo na mere plot par kabza karne ka liye mujhe mere bivi bacho samait maar diya ma inko maar kar in dono ka waalidein sa badla ln ga.
Ma na andhere ma teer chalaya magar jab ma na un dono ka chehroo ko goor sa dekha to mujhe unki aankho or chehroo pa khoof ka saaye mandalaate hue nazar aaye.yani wo dono meri Hawaii firing ki zaad ma aa chuke the.
Ma chup hua to Madam Asma ka saath bethi aurat boli
Aurat 1:bhai sahab mera mashwara maanein to kissi Bazurg sa dua or dam wagaira karwain warna aage bhi aise wakiyaat pesh aate rahein ge.
Aadmi 1:jee Behan jee karte hn kuch.
Aurat 2:Jald sa jald koi hal nikalein agli baar shayad zayada nuksaan naa ho jae.
Aadmi 2:jee behen jee.
Ma bola
Me:Ma'am can we go now???
Principal:yes you may go now.
Hum jaate is sa pehle hi Madam boli
Madam Asma:Ma'am bache daare hue hn is halat ma in se kuch parha Nahi jae ga agar aap 2 3 din ki leave de deti to.....
Principal:dekhein Sara or Nazia ka to koi maslaa Nahi ye to chutiyaa ki waja sa hone wale study loss ko cover kar sakti hn lekin Razi ko admit hue abhi 2 hafte bhi mushkil sa hue ha aik to Jo pehle iska itna loss ho Chuka ha wo or phir ab dubara chutiyaa kya ye cover kar pae ga.
Madam Asma:jee aap darust farma rahi hn Lekin is halat ma bhi ye study par tawaja Nahi de pae ga.
Principal:dekhein agar to ye ghar beth kar syllabus cover kar sakta ha to 2 sa 3 din ki off de Sakti hn ma.kiun Razi kar lo ge cover????
Me:Jeeeee jee ma'am I'll try my best.
Principal:OK than I am granting you a leave for 3 days only.waapis aate hi test ho ga tumhara.
Me:OK ma'am
Phir wo un dono auratoo ki taraf mutwaja Hui or boli
Principal:kya Nazia or Sara ko bhi leave de dn 3 din ki???
Aurat 1:jee bilkul ab is halat ma ye parhae par tawajaa to de Nahi paaen gi.
Aurat 2:do teen din ma is waakiyaa ka asar kam ho ga to phir thora dil lage ga parhae ma.Sara ke saath saath phir Asim ko bhi leave de dein.
Yani ye Sara or Asim ki waalidah thi or dusari Nazia ki waalidah thi.phir kuch der baad ma Sara Asim or Nazia Charo apne school bags pakre gate ki taraf jaa rahe the.jabke hamare guardians principal sa salaam dua ma masroof the.
Gate sa bahir nikalte hi Nazia boli
Nazia:guys 3 din hn hamare pass.kiun naa enjoy kiya jae.
Asim:mtlb????
Nazia:kal mere ghar ma sab get together karte hn parso tumhare ghar or phir next day Razi ka ghar ma
Asim:haan theek rahe ga ye
Nazia:to kal sham 6 baje meri taraf tum sab log aa Jana.
Sara:address to bata do apna apna.
Address exchange karne ka baad Asim bola
Asim:yani 3 din jam ke halaa gulaa ho ga phir.Done samjhoo naa ma.
KIYAAA DONE KAR RAHE HO BETA JEE.
Ye awaz us tesare aadmi ki thi Jo principal office ma tamaam wakat khamosh tamashae bna raha tha.
Asim:Dad ma na in teeno ka minds to refresh karne ka mansooba bna liya ha.
Asim's father:kaisa plan banaya ha???
Asim:aik din to hum Nazia ka ghar ikathe hn ge or dusare din hamare ghar or tesare din Razi ka ghar or khoob enjoyment Karain ge.
Asim's father:yani school sa nikalte hi 3 din enjoy karne ka program bn gaya or yehi agar tumhe 3 din parhne ka time table banana par jae to tumhari jaan nikal jae gi.
Sara:oh come on dad phir parhae.aisa karte hn hum wapis school chale jaate hn.
Itna keh kar Sara school ki taraf muri to uncle bole
Asim's father:are ruko to.I'am just joking.Ye 3 din tum log full enjoy Karo.
Sara:Thanks dad
Itna keh kar dono bhai behen apne waalid sa lipat gae.Dusari taraf ma ne apni aankhoo ma aane wali nami ko Bari mushkil sa roka.dusari taraf nazia ki halat bhi mujh sa mukhtalif naa thi.
Ma bharai Hui awaz ma bola
Me:OK phir kal mulakaat hoti ha.
Itna keh kar ma or Nazia apni apni car ki taraf barh gae.Car ma beth kar ma na apne dil ma bhara gubaar aankho ka zariye dil khol kar nikala.
Takreebn 10 mint tak ma apne ird gird sa bekhabar dil khol kar rota raha.Mujhe hosh tab aaya jab mujhe aik jhatka laga.dekha to hum ghar puhnch chuke the.Madam gari sa neche utar rahi thi.Ma bhi aastein sa apni aankhein or naak saaf karte hue neche utara or seedha drawing room ma sofe par jaa kar beth gaya.Madam mere saath aakar beth gae or chup chap meri taraf dekhne lagi.
Ma unki taraf dekh kar aik dafa phir sa biluk biluk kar Rone lag gaya.Madam mujhe apne saath laga kar chup karwaane lagi ma mazeed biluk biluk kar Rone laga.Aahista aahista mera sar madam ka kandhe sa khisak kar unki jhooli ma puhnch gaya.Madam payar sa mere baalo ma ungliyaa chalaane lagi.kuch der ma rota raha phir pata Nahi kab meri aankh lag gae.
Jab aankh khuli to ma sofe par leta hua tha.Meri shirt shoes or socks utari Hui thi.Ma sirf banyan or pents ma tha.Idhar udhar nazar daurai to madam kahi nazar naa aayi.Ma utha or apne kamre ki taraf chal diya.Naha ke wapis jab drawing room ma aaya to Madam sofe par bethi TV dekh rahi thi.Mujhe aata dekh kar un ho ka TV off kar diya or boli
Madam:idhar mere pass aa kar betho.
Ma unke saath sofa par jaa betha.kuch der khamosh rahi phir kehne lagi
Madam:dekho Razi mujhe pata ha ka tum apne waaldein ko yaad kar ke roo rahe the.Meri aik baat hamesha yaad rakhnaa zindagi na hum sa Jo kuch Cheen liya uski yaad ma roo roo kar khud ko halkaan mat Karna or apna keemati wakat barbaad mat Karna balke zindagi na Jo kuch hamme diya ha usse nemat samajh kar uski kadar Karna.
Itna keh kar wo kuch der khamosh rahi phir boli
Madam:ma mazeed kuch Nahi kahoo gi.tum khud samajhdaar ho.
Ma na haan ma sar hila diya.
Madam:chalo utho phir khaana kha lo.
Hum na khamoshi sa khaana khaya.Khana kha kar ma uthane laga to Madam boli
Madam:aaj orphanage sa jaldi ghar wapis aa jaanaa.
Me:OK.
Itna keh kar ma orphanage ki taraf chal diya.............
Umeed karta hn ka ab kissi ko post ki length ka gila Nahi ho ga.Pehle Jo bhi hota raha uske liye maazarat.ab 2 ya 3 din baad update aa jaya kare gi.Thanks.