Part 12
Ma ginti ginane laga or WO larke hamari taraf barhne lage.Mere das ginane tak wo hamare kareeb puhnch chuke the.
Larke na kareeb puhnchte hi haath ma pakri chain mujhe maarne ki koshish ki lekin ma na chain haath ma pakar kar usko apni taraf khencha or phir uski kamar par aik zoordaar andaaz sa lakri uski kamar ma maari to wo wahin gir kar chilane laga.
Baki larko na aik saath mujh par hamla kiya to ma unchi awaz ma chillaya
Me:shuru ho jao dono chorna mat kisi ko
Ma neche jhuk gaya or andha dhund lakri un sab boys ki taango ma maarne laga.jis ka lagti wo chilla kar dher ho jaata.
Thori der baad ma na sat uthaya to dekha ka Nazia aik larke ki kamar par dande barsa rahi ha jabke dusara larka uske baalo ko khench raha ha.
Ma na jaldi sa aik waar us larke ka baazo par kiya to wo Nazia KA baal chor kar apna baazo pakar kar tarapne laga
Ma na Nazia ka kandhe par thapki di or bola
Me:carry on
Wo dubara us larke ko pitane lagi or ma Hira ki janib matwaja hua to usse dekh kar meri hansi choot gae.wo apne samne neche gire hue larke ko aise maar rahi thi jaise payar kar rahi ho.
Ma uske kareeb gaya to wo mujhe dekh kar muskurae.Ma bola
Me:tum machar ko nahi maar rahi aise nahi aise maaro
Saath hi ma na aik zordaar waar us larke ka baazo par kiya to wo chilane laga or saath hi aik zordaar cheekh Hira ki bhi nikal gae.
Ma na Hira sa kha
Me:tum isse choro or library ka teeno cameras ma sa hamari larai ki footage delete kar do.ye to kar lo gi naa
Hira na haan ma sar hilaya or computer ki taraf barhi.Ma dubara Nazia ki taraf mutwaja hua to dekha ka wo aik larke ka seene ka upar bethi uske chehre par thapar maarne ma masroof thi.
Sab larke zameen par lete karah rahe the.kissi na apna baazo pakar rakha tha to kissi na taang.
Wo do larke Jo Nazia ko taang karte the in me sa aik behosh ho chuka tha jabke aik apni kalai pakar kar karah raha tha.
Itne ma Hira ki awaz aaye.
Hira:Razi security cameras security room sa operate hote hn or CCTV footage wahin sa delete ho sakti ha.
Me:Tum Nazia ka aur apna huliyaa darust karo ma kuch karta hn.
Ma na lakri sa librarian ka table kar glass tora or phir teeno security camera ki wires kaath kar unhe utaara or phir lakri sa unhe toor kar unke memory cards nikal liye.
Itni der ma library ka darwaza khatakna shuru ho gaya tha.Ma na jaaldi sa apni shirt pent ka andar ki or phir baalo ma haath pher kar un dono ki taraf matwaja hua to wo bhi apna huliya darust kar chuki thi.
Ma na unhe darwaze ka peche khara kiya or phir.......