August 11, 201114 yr Aankhain khuab dekhti hain Kisi say mil janey ka Ya khud ko kho denay ka Tanha reh janay ka Khud ko aar denay ka, Chahat haar denay ka Aankhain khuab dekhti hain Bichray huye lamhon ka Kisi raastay per mil janay ka Zakhmon kay sil janey ka Zamanay kay guzer janay ka Khuab kay hasil ki haqeeqat ka Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka Bikhray khuabon ki takmeel ka Tum to khud ik khuwab ho Husn ka, jawani ka Ik dard bhari kahani ka!!
August 11, 201114 yr Meri aankhon main raho meri aankhon main raho, Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.! Tera wada bhi na siyasi ho, Ab fazaon mein na udasi ho! Chuu k qadmon ko her khushi guzray, Kash ab yun hi zindagi guzray! Tum meray sath meray din meri raaton main raho, Meri aankhon main raho meri aankhon main raho! Pyaar mera tujh say kahta hay, Dil ki dharkan mein tu hi rehta hay! Preet main teri ban k kho jaon, Meera k jaisi tu bhi hoo jayai! Ban k radha tum meri murli ki tano main raho, Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho.!! Tujhey chaha hay tujhay chahonga, Mai na chahat say ba'az aaonga, Teri ulfat k jhulay ain jhulun, Saath tu day tou aasman chu lun, Gungunaon main tujhay, dil k taron main raho, Meri aankhon mein raho, Meri aankhon mein raho
August 11, 201114 yr Apna Ehsas mar na jaye kahin Dard had se Guzar na jaye kahin Un ko dekhey hoye hoi Sadyan Un ka Chehra bikhar na jaye kahin Ab k Awaz doon to aa jana Dil Deewana Sudhar na jaye kahin Un ka Wada to hai magar Dil ko Darr hai k kafir mukar na jaye kahin Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin Meri Dunya hai Dard ki Surat Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin Khak se Aab tak to aa pohnchey Ab yeh Darya Utar na jaye kahin Yeh Mohabbat b ek Bala theri Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin Is liye Muskuraye phirta hoon Un ki Aankh b na bhar jaye kahin Dil se guzra to hai magar Saqi Apni Jaan se guzar na jaye kahin
August 11, 201114 yr Main sun k uski sub batain, Faqat itna hi kehta tha, Khafa hona mana laina, Yeh sadiyon say riwayat hay, Gilay shikway karo mujh say, Tumhain janan ijazat hay, Magar ik baat meri bhi, Tum yaad rakh laina, Kabhi aisa bhi hota hay, Hawa'ain rukh badalti hain, Khata'ain ho hi jati hain, Khafa hona bhi mumkin hay, Khata hona bhi mumkin hay, Hamaisha yaad rakhna tum, Ta'aluq toot janay say, Kabhi toota nahin kertay...!
August 11, 201114 yr Merey sabar ka na ley Imtehaan Meri khaamoshi ko sada na dey Jo terey baghair na jee sakey Usey jeeney ki to duaa na dey Tu azeez Dil-o-nazar sey hai Tu qareeb Rag-o-jaan sey hai Merey Jissm-o-jaan ka yeh faisla Kaheen waqat aur barha na dey Tujhe bool ke bhi na bulaa sakoon Tujhe chah ke bhi na pa sakoon Meri hasraton ko shumaar kar Meri chahaton ka silaa na dey Wo tarap jo shula-e-jaan mein thi Merey tan badan sey lypat gaye Jo bujha sakey to buja isey Na bujha sakey to hawa na dey Tujhe agar milein kabhi fursatein Meri shaam phir sey sanwaar dey Agar qatal karna hai to qatal kar Yoon judayioon ki saza na dey
August 11, 201114 yr Bachpan Ka Zamana Hota Tha, Khushio.N Ka Khazana Hota Tha. Chahat Chaand Ko Paane Ki, Dil Titli Ka Deewana Hota Tha. Rone Ki Wajha Na Hoti Thi, Hasne Ka Bahana Hota Tha. Khaber Na Thai Kuch Subho Ki, Na Shamo Ka Thikana Hota Tha. Daadi Ki Kahani Hoti Thi, Pariuon Ka Fasana Hota Tha. Daadi Ki Kahani Hoti Thi, Pariuon Ka Fasana Hota Tha. Pedho Ki Shakhe Chutey They, Mitti Ka Khilona Hota Tha. Gam Ki Zuban Na Hoti Thi, Na Zakhmo Ka Paymana Hota Tha. Barish Mein Kagaz Ki Kashti, Har Mousam Suhana Hota Tha. Wo Khel Wo Sathi Hotey They, Har Rishta Nibhana Hota Tha.
August 11, 201114 yr Jo Meri aankhon se Khuwab dekho To Aik shab bhi na So sako Gay K Laakh Chaho Na Hans sako gay Hazaar chaho na Ro Sako gay' K Khuwab kya hain Azaab Hain yeh Mere Dukhon ki kitaab hain yeh Rifaqatain In main Chotti hain Mohabbatain in main Roothti hain Pinapti Hain In main Vahshatain see Aziatain In main Photti hain Un hi ke Dar se Khizaan Hain Jazbay Un hi se shakhain see tot'ti hain Ghamon ki Bandish hain Khuaab mere Ahal Raha hai Dukhon ka Lava Rahen Aatish hain khuwab Mere Khayal sare Jhulaas gay hain Sulagti Khuahish hain khuaab Mere Ukharrti Sansain hain Zindagi ki Lahu ki Sazish hain Khuaab Mere Jo Meri aankhon se Khuaab dekho To Aik shab bhi na So sako Gay!
August 11, 201114 yr Pyaar ka meetha "Ehsaas" dilane laga hai tu Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar Har pal har jagah nazar aane laga hai tu Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu Har pal mujhe hota hai bas tera hi "Ehsaas" Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu Kya is baat ka tujhey "Ehsaas" hai "Jaan" Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu
August 11, 201114 yr Hum nazuk nazuk dil waley Kabhi hastey hain kabhi rotey hain Kabhi dil mein khwab parotey hain, Kabhi mehfil mehfil phirtey hain, Kabhi zaat mein gum ho jatey hain, Kabhi chup ki mohar sajatey hain, Kabhi geet labon par atey hain, Kabhi sab ka dil behlatey hain, Kabhi khud tanha ho jate hain, Kabhi shab bhar jagtey rehtey hain, Kabhi lambi taan k sotey hain, Hum nazuk nazuk dil waley Bas, apney aap mein rehtey hain... Jin rahon pe ik umer tere sath raha hun, Kuch roz se wo raste sunsan bohat hain.. Mil jao kabhi laut k phir aon na shayed, Kamzor hun mein rah mein tufan bohat hain.. Ik tum hi nahi meri judai mein pareshan, Hum bhi tu teri chah mein veeran bohat hain.. Ik tark-e-wafa pe mein usay kaise bhula dun, Mujh per abhi os shakhs k ehsan bohat hain.. Bhar aaien na aankhein tu mein ik bat bataon, Ab tujh se bicher jane k imkan bohat hain.. ..
Create an account or sign in to comment