Jump to content
View in the app

A better way to browse. Learn more.

URDU FUN CLUB

A full-screen app on your home screen with push notifications, badges and more.

To install this app on iOS and iPadOS
  1. Tap the Share icon in Safari
  2. Scroll the menu and tap Add to Home Screen.
  3. Tap Add in the top-right corner.
To install this app on Android
  1. Tap the 3-dot menu (ā‹®) in the top-right corner of the browser.
  2. Tap Add to Home screen or Install app.
  3. Confirm by tapping Install.

Ma sab ka Hero

Featured Replies

Breaking News Ad
ŁŁˆŲ±Ł… اپڈیٹس
  • Replies 375
  • Views 739.2k
  • Created
  • Last Reply

Top Posters In This Topic

Most Popular Posts

  • Jamal baba
    Jamal baba

    Part 8 Ā  Next day school gaya.break tak koi khaas baat naa hui.Break ma ma or Hira bahir ground ma aakar beth gae.Hira or ma kuch der to study KA hawale sa discuss karte rahe phir ma bola

  • Jamal baba
    Jamal baba

    Part 7 Ā  Ma road cross kar ke madam ki taraf barha.Madam par meri nazar pari to ma unhe dekhta reh gaya.unho na intehai tight labas pehna hua tha.Black colour ka kameez or uske neche skin ti

  • Part 17 Ā  Madam:aaj ka baad sa Hania hamare saath hi rahe gi.Ā  Ā  Me:sach ma???? Ā  Madam:Hn jee. Ā  Me:yani ab is ghar ma khoob roonak lagi rahe gi.Ā  Ā 

بہت عمدہ اپڈیٹ دی آپ نے  فل Ų§ŪŒŚ©Ų“Ł† Ų³Ū’ بھرپور

Ł„ŪŒŚ©Ł† Ś©ŪŲ§Ł†ŪŒ Ł…ŪŒŚŗ ŁˆŁ‚ŁŪ کچھ لمبا ہوگیا

بہت Ų§Ų¹Ł„ŪŒ ŲØŲ§Ł‚ŪŒ اپڈیٹ Ų§Ś†Ś¾ŪŒ تھی Ł†ŪŒŚ©Ų³Ł¹ اپ ڈیٹ کب Ų¢Ų¦Ū’ گی 

ŁˆŁ‚ŁŪ ذیادہ ہی لمبا ہوتا اپڈیٹ آنھ Ł…ŪŒŚŗ Ł…ŚÆŲ± لکھتے اچھا ہو

šŸ“¢ Post Your Ad Here
  • Author

Update 45

Ā 

Darwaaze ko bahir sa taala laga hua tha. Andar sa kuch auraatoon ki aawazein aa rahi thi lekin aaese jaise unke mu par kapra bandha gya ho or wo OONNN AANN ki aawazein nikal rahi hn. Tabhi mujhe aik aadmi ki awaaz aaiĀ 

Ā 

CHUP HO JAO WARNA GOLI SA URA DN GA TUM SAB KO.Ā 

Ā 

Phir khamooshi chaa gayi. Ma ne do fire kiye taale par taala toot gya. Darwaaza ki kundi kholi or andar gya to samne hi aik aadmi haath ma danda liye khara tha. Ma ne bina kuch bola sune uske seene ma goli utaar di. Aik dam sa larkiyo ki aawazein phir sa aane lagi. Ma larkiyoo ki taraf mutwaja huaĀ 

Ā 

Wo takreebn 16 sa lekar 25 saal ke darmayaani umar ki 12 larkiyaa thi. Unke haath pair bandhe hue the or mu par taip chipkae hui thi. Ma ne unki taraf qadam barhaya to wo aik dam sa tarapane lagin or apne aap ko churaane ki koshish karne lagi. Ma wahin ruk gya or haath khare kar ke bola

Ā 

Me:dekho ma tumhe nuksaan puhnchaane nahi aaya balke in zalimoo sa churaane ke liye aaya hn. Mera yakeen karo. Kuch nahi kahun ga.Ā 

Ā 

Wo chup to ho gae thi lekin abhi bhi kaanp rahi thi or sisak rahi thi. Ma ne aik side par bethi sab sa pehli larki ke haath khole pair khole or phir uske honto sa tape utaar kar kaha

Ā 

Me:sab ke haath or pair khol do. Aur haan koi bhi apne mu sa tape nahi utaare gi.Ā 

Ā 

Saath hi sab larkiyoo par aik nazar daali. Sab sehem gae. Us larki ne daarte daarte asbaat ma sar hilaya or phir baki larkiyoo ke haath paon kholne lagi. Takreebn 10 mint baad sabhi larkiyoo apni kalaiyoo ya takhnoo ki maalish kar rahi thi.Ā 

Ā 

Tabhi mujhe gaaryoo ka shoor sunae diya. Shayaad inke aur aadmi aagae the. Ma ne larkiyoo ko apne peche jaldi sa aane ka ishara kiya. Sab dari sehmi mere peche bhagi. Ma nechee ki taraf bhaga. Mere peeche hi tamam Larkiyaan bhi bhaagi. Seerhiyoopar puhnche to Gaariyoo ke horn sunae diye. Seerhiyaan utaar kar ma ghar ke peechle kamre ki taraf bhaga. Sab larkiyaa mere peeche thi. Room ke saath lawn tha jo ke ghar ke charo taraf tha. Ma ne kamre ke khirki kholi or phir aik aik kar ke sab larkiyoo ko khirki ke zariye ghar sa bahir nikala tab tak gaariyoo ke horn band ho chuke the shayad kissi or tareeke sa darwaaza khol rahe hn ge wo log. Sab larkiyoo ko room sa nikal kar ma ne Khirki sa gardan bahir nikali or bola

Ā 

Me:shor machae bagair aaram sa wo dewaar phalaang kar bahir kood jao sab. Jaldiiiii

Ā 

Ma itna keh kar wapis bhaga. Kitchen ma jaa kar chulhe on kar diye saare or kitchen ke darwaaze par latakne waale parde ko aag laga kar bhaaga tabhi kissi gaari ke porche ma rukne ki aawaz aai. Ma jaldi sa bhaagta hua usi room ma puhncha or khirki sa chalaang laga di. Abhi bhi 4 larkiya dewaar phalaangane ki koshish kar rahi thi. Ma ne dewaar phalaangane ma unki madad. Peche sa ghar ma shoor sunae dene laga tha. Jaise hi aakhri larki chalaang laga kar dewaar par bethi peeche sa zoordaar kisam ka shor buland hua. Ma ne peeche mur kar dekha to aag dekhae di. Ma ne bhi jaldi sa dewaar par chalang lagae or phir dusari taraf kood gya.Ā 

Ā 

Sab larkiyaa khoofzada nazaroo sa meri taraf dekh rahi thi.Us aik larki ke ilawa sab ke chehroo par tape chipaki hui thi. Ma ne sab ko Mu sa tape utaar kar chup chaap apne peeche aane ka kaha.Ā 

Ā 

Wo sab sehme andaaz ma mere peeche aane lagi. Do galiyaaan chor kar aik colony park ma ma ne sab ko aane ka ishara kiya.Sari larkiya mere peeche aa gaen. Ma ne unse kaha

Ā 

Me:Aap sab apne apne ghar jaa sakti hn. Azaad hn aap

Ā 

Aik larki boli

Ā 

YE KONSA SHEHER HA???Ā 

Ā 

me:Ye karachi ha.............Ā  Ilaka ha

Ā 

Larki boli

Ā 

LEKIN MERA GHAR TO MULTAN MA HA.ABHI ITNI RAAT KO KAHAN JAON. KARACHI KE BARE MA KUCH JAANTI BHI NAHI HUN MA TO

Ā 

Ma ne kuch der soochta raha phir mere zehen ma Aga jee ke orphanage ka khyaal aaya. Ma ne Aga jee ko call kiĀ 

Ā 

Me:Aga jee aik adreess aapko sms kar raha hn. Wahan puhnchiye gari lekar parcel uthana ha. Kafi bara ha bari gari lekar aaeye ga.Ā 

Ā 

Aga jee:Samajh gya beta. Aata hn abhi

Ā 

Takreebn aik ghante baad ma bike par or Aga jee un larkiyoo ke saath Orphanage ki taraf rawan dawan the.Ā 

Ā 

Ā  Ā  Ā  Ā  Ā  Ā  Ā  Ā  Ā ---------------------------------

Ā 

Subah hote hi Karachi waali larkiyoo ko unke ghar ke bahir chor diya gya jabke dusare sheher sa aane waali larkiyoo ki tickets karwa ke kissi ko bus ma or kissi ko train ma betha diya gya. Sab ke ghar waalo sa rabta kiya gya. Unhe asal baat batae gae or phir unki beti sa unki baat karwa ke unhein rawana kar diya gya.Ā 

Ā 

Ma wahan sa seedha garage ki taraf chala gya. Aag phir ma usi ghar ke bahir khara tha. Jahan ma aik dafa pehle bhi panah le chuka tha. Darwaza khatkhatataya to thori der baad Aleena ki awaaz aai

Ā 

Aleena:Kon???

Ā 

Me:Ma hn Razi

Ā 

Jhat sa darwaaza khul gya.

Ā 

Me:Kaisi ho?? Dada jee kaise hn???Ā 

Ā 

Aleena:andar to aaein aap. Aese darwaaze par khare ache nahi lagteĀ 

Ā 

Peeche sa uske Daada ki naheef or kamzoor si aawaz aai

Ā 

BETI KON HA DARWAAZE PAR???

Ā 

Aleena:Daada jee Razi saab aaye hn.Ā 

Ā 

BETA ANDAR BULA LO USKO

Ā 

Usne meri taraf dekha or aik side par ho gayi. Ma andar chala gya.Ā 

Ā 

Ā  Ā  Ā  Ā  Ā  Ā  Ā  Ā  Ā  Ā  ---------------------------

Aik hafta ma wahin raha. Bahir thora wakat guzar kar wapis loat aata. Us raat ma soo raha tha jab kissi ne mujhe jhinjhoor kar uthaya. Ma aankhe masalta hua uth kar bed par beth gya or bola

Ā 

Me:kon ha?? Kya hua???Ā 

Ā 

Aleene ki ghabraahat bhari awaaz aaiĀ 

Ā 

Aleena:wo wwooo.....Ā  Daada jeeeee woo.......Ā  Aapko bulaaaaa rahee hnnn....Ā 

Ā 

Itna keh kar wo waapis bhaag gae. Ma bhi uske peche dusare kamre ma puhncha to wo apne daada ki charpai ke pass ghutnoo ke bal bethi chamach sa unke mu ma paani daal rahi thi. Mujhe dekh kar un bazurg ne ne bari mushkil sa apne haath utha kar apni taraf aanebka ishara kiya

Ā 

Ma aahista aahista chalta unke kareeb puhncha.Haath ma pakra mobile Aleena ki taraf barhaya or bola

Ā 

Me:Ambulance ko call karo

Ā 

Ma khud ghutne zameen par laga kar beth gya or phir chehra unke kareeb kiya saath hu unka haath apne dono haatho ma lekar uski maalish shuru kar di. Unke haath kafi thade mehsoos ho rahe the. Unho ne meri taraf dekha or phir apni poti Aleena ki taraf dekha or phir aik dafa meri taraf dekha.Mujhe unke aankho ma bebasi lachaari minaat faryaad or pata nahi kya kuch nazar aaya. Ma ne aahistagi sa sar haan ma hila diya.

Ā 

Unke chehre par halki si muskuraahat aai or phir unke lab phurphuraaye. Saath hi unho ne aankhein band kar lein or phir unki gardan aik taraf dhalaak gae. Ma ne sar utha kar Aleena ki taraf dekha to wo kabhi meri taraf dekhti kabhi Apne Daada ki taraf.Ma ne uski taraf dekha to usne naa ma sar hilaya. Ma ne aahistagibsa haan ma sar hila diya. Wo aik dam sa zameen par gir si gayi or phir uski aankho sa aanso behne lage. Usne apna sar unke seene par rakh diya or beaawaz rona shuru kar diya.Ā 

Ā 

Ma ne uske haath sa mobile liya or ambulance ko call ki. Ambulance waale aaye unho ne death ki tasdeeq kar di.Next day unka Janaza or kafan dafan ka intezaam kiya. Unka koi jaanane waala to tha nahi mere ilam ma Aleena kuch batane ki position ma nahi thi.

Ā 

Janaza wagair or kafan dafan sa farigh ho kar ghar lota to Aleena sehen ma bichi chitaayi par bethi ghutanoo ma sar diye roo rahi thi. Aik do muhalle ki auratein uske pass bethi hui thi. Mujhe aata dekh kar wo bhi uth khari hui.Aik aurat mere kareeb aayi or boli

Ā 

Aurat:beta Ma ye saath waale ghar ma rehti hn. Tumhaare bare ma Haji sahab(Aleena ke Daada) na us wakat bata diya tha jab tum ne unka ghar khareeda tha. Yahan auraatein tumhaare or Aleena ke baare ma kayi tarha ki baatein bna rahi thi to ma ne keh diya ke tum Aleena ke mangeter ho tum sa hi Aleena ka rishta tae hua ha. Khud Haji saab ne mujhe bataya ha.

Ā 

Unho ne aik gehri saans li or phir boli

Ā 

Aurat:Beta ma nahi chahti thi ke Aleena is mushkill wakat ma auratoon ki tarha tarha ki baatoo sa mazeed pareshaan ho. Isi liye ma ne ye jhoot bola ha. Bas beta do chaar din ke baad ye sab tum dono ko bhool kar apne kaamoo ma magan ho jaen ge phir tum chale jaana or Aleena ki shadi ma kahin kar dn gi chup chupaa ke.Ā 

Ā 

Me:aapka bohot bohot shukriya. Aleena ki aap tension naa lein ma usse sambhaal ln ga

Ā 

Aurat:bohot boht shukriya beta tum meri baat ko samjh gae.Bohot maazraat jhoot bola ma ne aapse puche bagair.Ā 

Ā 

Me:koi nahi ma sambhaal ln ga. Aap befikr rahein.Ā 

Ā 

Aurat:or haan beta wo ma khaana lae thi kitchen ma rakha ha garam kar ke khud bhi khaa lena aur Aleena ko bhi khila dena

Ā 

Me:jee theek ha aunty jee

Ā 

Aahista aahista andhera chaane laga to aik aik kar ke sab auraatein chali gae. Ma ne Main gate band kiya or phir Aleena ke pass ki jaakar chitaayi par beth gaya. Us ne sar utha kar meri taraf dekha or phir sa apna sar ghutanoo ma de diya or sisakne lagi.Ma thori der uski taraf dekhta raha phir himmat kar ke bola

Ā 

Me:Dekho Aleena jo bhi aata ha usse is duniya sa jaana ha. Moat barhaq ha. Naa ma usse taal sakta hn or naa hi tum or naa hi tumhhaare ye aansu. Haan magar hum sirf itna kar sakte hn Marhoom ke aakhri maanzil ki aasani ke liye duago rahein.Ā 

Ā 

Ma ne aik gehri saans li or phir pyaar sa uske sar par haath phera or kaha

Ā 

Me:Kisse ke jaane sa ye duniyaa ruk nahi jaati. Humein aage barhna chahiye taake jaane waalon ne hum sa jo umeedein lagai thi hum un par pura utar sakein. Iske liye humein unke ghum ko bhula kar aage kadam barhaana ho ga.Ā 

Ā 

Usne sar utha kar meri taraf dekha. Ma ne haath barha kar uske rukhsaaro sa behte aanso saaf kiye or phir bola

Ā 

Me:Chalo shabash fresh ho kar aayo. Ma khaana garam karta hn tab tak.Ā 

Ā 

Wo wahin bethi rahi.Ma ne usko baazo sa pakar kar khara kiya or bola

Ā 

Me:Jaldi sa haath mu dhoo kar kitchen ma puhnchoo

Ā 

Itna keh kar ma kitchen ma chala gya. Khaana garam kiya. Bari mushkil sa usko khaana khilya.

Ā 

Aese hi 2 din guzar gae. Teesare din wo hua jis ki umeed ma khuwaaboo ma bhi nahi kar sakta tha.Friday tha. Subah hi subah ghar ka darwaaza kissi ne khatkhatataya.Ma ne darwaaza khola to samne muhalle ke saat aath naami garami bazurg khare the. Saath hi unke Imam sahab bhi thi. Unhein dekh kar mujhe kuch anhooni ka aehsaas hua. Aik bazurg ne mujhe bahir bulaya or phir saab mere ird gird khare ho gae.Ā 

Ā 

Imam sahab bole

Ā 

Imam sahab:Beta baat ko ghuma phira kar karne ki bajaye ma seedha mudde par aata hn ke ye muhalle ke tamaam bazurgoo ne faisla kiya ha ke tum or Haji sahab ki poti ka yun aik hi ghar ma akele rehna munasib nahi ha. Jaisa ke Aslam sahab (paroosi) ki zooja ne bataaya ha ke khud Haji sahab ne unhein bataya tha ke aapki or unki poti ki mangani khud unho ne karwayi thi balke wo to bohot jaldi tum dono ki shadi ka irada bhi rakhte the lekin unki zindagi ne wafa naa ki.Ā 

Ā 

Unho ne aik gehri saans li or phir boliĀ 

Ā 

Imam sahab:Sab ne ye mutfikka faisla kiya ha ke aap dono ka nikkah ab hamari zummadari ha. Is liye aaj aapka nikah karwaane ke liye hi hum jama hue hn.Ā 

Ā 

Ma pairoo taale sa zameen nikal gae. NAA PAE RAFTAN NAA JAE MANDAAN waali kaifiyaat ho gae thi meri. Ma naa karta to Haaji sahab par ungli uthati ke unho ne aik naa mehram ko apni poti ke saath ghar ma rehne diya saath hi Aleena ki kirdaarkashi bhi ki jaati. Agar haan karta to nikkah karna parta.Ā 

Ā 

Ma thori der chup raha to Imam sahab bole

Ā 

Imam sahib:beta kin soochoo ma khoo gae??Ā 

Ā 

Me:nahi nahi wo ma sooch raha tha ke kya Larki sa aik dafa uski raaye to pooch lete abhi uske daada ka ghum taaza ha. Kya wo itni jaldi nikkah ke liye raazi ho paae gi.Ā 

Ā 

Imam sahab:Beta abhi aik aurat ko bhej kar beti ki raaye bhi maaloom kar lete hn

Ā 

Saath hi unho ne saath khare Aslam sahab ko ishara kiya wo apne ghar chale gae. Kuch hi der baad unki bivi wohi aurat jis ne ye baat mashhoor ki thi ke ma Aleena ka mangetar hn wo ghar ma dakhil ho gae. Koi aadhe ghante baad wo bahir darwaaze par aai or boli jee beti nikkah ke liye raazi ha.Ā 

Ā 

Meri umeedoo par paani phir gya. Mujhe umeed thi ke Aleena mana kar de gi lekin Us ne bhi naa nahi ki.

Ā 

Phir kya tha. Qazi bhi wahin tha gawah bhi wahin the. Aur aik ghaante ma hamara nikkah parhaaya jaa chuka tha. Imam sahab or dusare bazurgoo ne Mubarak baad di. Mujhe nikkah ki fazeelaat par aik ghante baatein sunana pari. Ma zabardasti ki si hansi hansta raha. Majboori thi. Ab kya ho sakta tha. Waise bhi wakat ka kahan pata chalta ha kab kahan aapke saath kya ho jae. Aaj se 3 din pehle mere wehem gumaan ma bhi nahi tha ke yun achaanak sa mera nikkah ho jae ga. Lekin ab jo ho gya so ho gya. Ab nibhana to tha hi.Ā 

Ā 

Sab ko rukhsaat kar ke darwaaza band kar ke Aleena ke kamre ma puhncha to........Ā 

ؓاندار اپڈیٹ تھی جناب۔ 

Ł…Ų²Ų§ آگیا Ų§Ų³ Ł…ŪŒŚŗ تو ہیرو ŲµŲ§Ų­ŲØ نے کافی جنگ کر Ł„ŪŒ ہے Ų§ŲØ ŲÆŪŒŚ©Ś¾ŲŖŪ’ ہیں کہ کمرے Ł…ŪŒŚŗ Ś©ŁˆŁ† ہوتا ہے۔ 

مجھے لگتا ہے کہ یہ کالے Ų®Ų§Śŗ Ł„Ś‘Ś©ŪŒŁˆŚŗ کو سمگل کرنے کا دھندہ بھی کرتا ہے۔ 

ŲØŲ§Ł‚ŪŒ یہ تو Ų§ŚÆŁ„ŪŒ اپڈیٹ Ł…ŪŒŚŗ پتہ چلے گا۔ 

اور یہ پتا چل Ų¬Ų§Ų¦Ū’ ŚÆŲ§ کہ Ų³Ų§Ų±Ų§ کیوں Ś†Ł„ŪŒ گئی ŲØŲŖŲ§Ų¦Ū’ ŲØŲŗŪŒŲ±Ū”Ā 

ہو سکتا ہے کہ Ų§Ų³ نے ان ŲÆŁˆŁ†Łˆ کی باتیں سن Ł„ŪŒ ہوں اور Ś†Ł„ŪŒ گئی ہو اور Ų§Ų³ کو Ų§ŲØ پتہ چلا ہو کہ ہیرو تو Ł…ŪŒŲ±Śˆ ہے۔ 

Ų§ŲØ ŲÆŪŒŚ©Ś¾ŲŖŪ’ ہیں کہ کیا ہوتا ہے۔ 

šŸ“¢ Post Your Ad Here

Account

Navigation

Search

Configure browser push notifications

Chrome (Android)
  1. Tap the lock icon next to the address bar.
  2. Tap Permissions → Notifications.
  3. Adjust your preference.
Chrome (Desktop)
  1. Click the padlock icon in the address bar.
  2. Select Site settings.
  3. Find Notifications and adjust your preference.