Jump to content
View in the app

A better way to browse. Learn more.

URDU FUN CLUB

A full-screen app on your home screen with push notifications, badges and more.

To install this app on iOS and iPadOS
  1. Tap the Share icon in Safari
  2. Scroll the menu and tap Add to Home Screen.
  3. Tap Add in the top-right corner.
To install this app on Android
  1. Tap the 3-dot menu (⋮) in the top-right corner of the browser.
  2. Tap Add to Home screen or Install app.
  3. Confirm by tapping Install.

(._.)Milestone(._.)

Previous Members
  • Joined

  • Last visited

Everything posted by (._.)Milestone(._.)

  1. Guru G Very Nice Post Ap Ne Buhat He Ache Topic Par Likha Hai ........ Updates Ka Intazar Rhae Ga Thanks For Sharing
  2. WaHHH GGG.... Lakriyon Ki Tu Koj Ho Gai Chalo Ab Chapti Tu Machine Bna Diya Kry gai Na Aur UFC Ki Laekiton Ke Gore Gore Hath Gandy Nahi Hon GaY GGG... Maria Dear Nice Sahring Keeepp it uppp Thanks
  3. Kya Bat Hai Sam Dear Buhat He Pyari Mahndi Hai Paon Wali Aur Mahndi Se Zaida Tu Dear Ap Ke Paon Buhat KhoobSorat Hain G Gori Gori Tangy Kya Bat Hai sam GGG..... Lagta Hai UFC Ke Boys Par Ap Ne Apna Jado Kr Ke Chorna Hai Ap Ne.... Lovely Legs Yarr Aur Haton Ki Tarah Paon Bhi Buhat Pyare Hain Ap Ke...
  4. WAHH G.... Kitny Maze Maze Ki Candles hain Inhy Dekh Kr Khany Ko Dil Kry ga na... Yammy Candles Dear Very Nice G Keeepp It Up
  5. Waoooooo.. G Nice Sharing Dear Maria... Keeepp it upp
  6. Garmi-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate hain Hum charagoN ki tarah shaam se jal jaate hain Bach nikalate hain agar atih-e-sayyal se hum Shola-e-atish-e-gulfaam se jal jaate hain Khudnumaayi to nahin shewaa-e-arbaab-e-wafaa jin ko jalnaa ho wo aaram se jal jaate hain Shama’ jis aag mein jalti hai numaayish k liye Ham usi aag mein gumnaam se jal jaate hain Jab bhi aata hai mera naam tere naam ke saath Jane kyun log mere naam se jal jaate hain Rabt-baaham pe hamein kya na kahenge dushman Ashnaa jab tere paighaam se jal jaata hain
  7. Musalsal bekalee dil ko rahee hai Magar jeene ki surat to rahee hai Main kyun phirta huN tanha maara maara Ye bastee chain se kyuN so rahee hai Chale dil se ummeedoN ke musaafir ye nagari aaj Khaali ho rahee hai Na samajho tum ise shor-e-bahaaraaN KhazaaN pattoN mein chhup ke ro rahee hai Hamare ghar ki diivaaroN pe ‘Nasir’ Udaasee baal khole so rahee hai
  8. Dayaar E dil ki raat meN charaaGH saa jalaa gayaa Milaa nahiN to kyaa huaa wo Shakl to dikhaa gayaa JudaaioN ke ZakHm dard E Zindagi ne bhar diye Tujhe bhi NeeNd aa gayi mujhe bhi Sabr aa gayaa Yeh subh ki SafediyaaN yeh dopahar ki ZardiyaaN Ab Aaine meN deKhtaa hooN maiN kahaaN chalaa gayaa Pukarti haiN FursateN kahaaN gayiN wo SohbateN ZameeN nigal gayi unheN yaa Aasmaan khaa gayaa Wo dosti to kHair ab Naseeb-e-dushmanaaN hui Wo cHoTi cHoTi RanjishoN kaa lutf bhi chalaa gayaa Yeh kis kHushi ki Ret par GHamoN ko NeeNd aa gayi Wo lehr kis taraf gayi ye maiN kahaaN samaa gayaa Gaye dinoN ki Laash par paRe rahoge kab talak?? UTho amal-kasho K Aaftaab sar pe aa gayaa
  9. Is se pahale ke be-vafaa ho jaayeN KyuN na ae dost ham judaa ho jaayeN Tuu bhii hiire se ban gayaa pat_thar Ham bhii kal jane kya se kya ho jaayeN Tuu ke yakta tha, be-shumar hooa Ham bhii tooteN to jabaja ho jaayeN Ham bhii majbuuriyoN ka uzr kareN Aur kahiiN aur mubtalaa ho jaayeN Ham agar manzileN naa ban paayeN ManziloN tak kaa raastaa ho jaayeN!! Dair say soch meiN haiN parwaanay Rakh ho jaayeN, ya hawaa ho jaayeN Ishq bhii khel hai nasiibo.n kaa Khaak ho jaaye.n kimiyaa ho jaaye.n Ab ke gar tuu mile to ham tujh se Aise lipTeN terii qabaa ho jaayeN Bandagii ham ne chhoR dii hai ‘Faraz’ Kyaa kareN log jab Khudaa ho jaayeN
  10. Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Iss Shahr Mai Ji Ka Lagana Kya Wahshi Ko Sukoo’N Say Kya Matlab, Jogi Ka Nagar MaiN Thikana Kya Iss Dil K Dareeda Daaman Ko, Dekho To Sahi, Socho To Sahi Jiss Jholi Mai Sau Chaid Huay, Uss Jholi Ka Phailana Kya Shab Beeti Chaand Bhi Doob Chala, Zanjeer Pari Darvazay Mai KyuN Dair Gaaye Ghar Aaye Ho, Sajni Say Karo Gay Bahana Kya Phir Hijar Ki Lambi Raat Miaan, Sanjog Ki To Hai Aik Ghari Jo Dil Mai Hai Lab Par Aanay Do, Sharmana Kya Ghabrana Kya Uss Roz Jo Unko Dekha Hai, Abb Khuwaab Ka Aalam Lagta Hai Uss Roz Jo Unn Say Baat Huee, Wo Baat Bhi Thi Afsana Kya Iss Husan K Suchchay Moti Ko, Hum Dekh Sakain Par Chhoo Na SakaiN Jise Dekh Sakain Par Chu Na Sakain, Wo Daulat Kya Wo Khazana Kya Usko Bhi Jala Dukhtay Huay Mun, Ik Shola Aag Bhabhuka Bann Younh Aansu Mai Behh Jana Kya, Younh Maati Mai Mil Jana Kya Jab Shahr K Log Na Rasta DaiN, KyuN Bann Mai Na Ja Basraam Kare Deewano’n Ki See Na Baat Karay, To Aur Karay Dewana Kya
  11. Niyyat-e-shauq bhar na jaaye kahiN Tu bhi dil se utar na jaaye kahiN Aaj dekha hai tujh ko der k baad Aaj ka din guzar na jaaye kahiN Na milaa kar udaas logon se Husn tera bikhar na jaaye kahiN Aarzoo hai k tuu yahaan aaye Aur phir umar bhar na jaaye kahiN Jee jalaata huN aur ye sochta huN Raayegaan ye hunar na jaaye kahiN Aao kuch der ro hi len ‘Nasir’ Phir ye dariya utar na jaaye kahiN
  12. Main roya pardes mein, bheegaa maaN kaa pyaar Dukh ne dukh se baat ki, bin chit_thhi bin taar!!!! Chhotaa kar ke dekhiye jeevan kaa vistaar AankhoN bhar aakaash hai, baahoN bhar sansaar Leke tan ke naap ko, ghoomay basti gaanv Har chaadar ke gher se, baahar nikalay paanv Sab ki poojaa ek si, alag alag hai reet Masjid jaaye maulavi, koyal gaaye geet Puja ghar mein murti Meera k sang Shyam Jiski jitni chaakari, utne uske daam Nadiyaa seenchay khet ko, tota kutray aam Sooraj Thekedaar saa, sab ko baantay kaam Saaton din bhagwaan ke, kyaa mangal kyaa peer Jis din soye der tak, bhookhaa rahay faqeer Achhi sangat baithkar, sangi badalay roop Jaisay milkar aam se meethii ho gayi dhoop Sapnaa jharnaa neend kaa, jaagii aankhen pyaas Paanaa, khonaa, khojanaa saanson kaa itihaas Chaahay Geetaa baanchiye, yaa padhiye Quraan Mera tera pyaar hi har pustak kaa gyaan Raste ko bhi dosh de, aankheN bhi kar laal Chappal me jo keel hai, pahle use nikaal Seedha sada dakiya, jadu kare mahaan Ek hi thaile me rakhe, aansu aur muskan Bachchah bola dekh k masjid aalishaan ***** tere ek ko itna baRa makaan???
  13. shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai vo magar Khud ko jalaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai us ko manzuur nahiiN hai mirii gumraahii bhii, aur mujhe raah pe laana bhii nahiiN chaahtaa hai sair bhii jism ke sehraa kii Khush aatii hai magar, der tak Khaak uRaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai kaise us shaKhs se tabiir pe israar kareN jo koii Khwaab dikhaana bhii nahiiN chaahtaa hai apne kis kaam meN laayega bataata bhii nahiiN ham ko auroN pe ganvaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai mere lafzoN meN bhii chhuptaa nahiiN paikar us ka, dil magar naam bataana bhii nahiiN chaahtaa hai
  14. Dil ishq meiN bepaayaaN, sauda ho to aisa ho Darya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho Ham se nahiN rishta bhi, ham se nahiN milta bhi Hai paas wo baiTha bhi, dhoaka ho to aisa ho Wo bhi raha baygaana, ham ne bhi na pehchaana HaaN ai dil-e-deewaana, apna ho to aisa ho Ham ne yahi maaNga tha, us ne yahi baKhshaa hai Banda ho to aisa ho, daata ho to aisa ho Is daur meN kya kya hai, ruswaayi bhi lazzat bhi KaaNTa ho to aisa ho, chubhta ho to aisa ho Ai Qais junooN paisha, Insha ko kabhi dekha? Wahshi ho to aisa ho, ruswa ho to aisa ho
  15. Ranjish hi sahi, dil hi dukhaanay k liye aa Aa phir se mujhay chhoR k jaanay k liye aa Pahlay se maraasim na sahi phir bhi kabhi to Rasm-o-rah-e-dunya ko nibhaanay k liye aa Kis kis ko bataayaiNge judaayi ka sabab ham Tu mujh se Khafa hai to zamaanay k liye aa Kuchh to meray pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh Tu bhi to kabhi mujh ko manaanay k liye aa Ek umr se huN lazzat-e-giryaa se bhi mahrum Ai raahat-e-jaaN mujh ko rulaanay k liye aa Ab tak dil-e-Khush fahm ko haiN tujh se umeedaiN Yeh aaKhri sham’eiN bhi bujhaanay ki liye aa Maanaa k muhabbat ka chhupaanaa hai muhabbat Chupke se kisi roz jataane ke liye aa Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane Waise hi kisi roz na jaane ke liye aa
  16. Kitne mousam sargardaan the mujh se hath milane main Main ne shaayed dair lagadi khood sey baahar aane main Ek nighah ka san’nata hai ek aawaaz ka banjar pan Main kitna tanha baitha hun qurbat ke veerane main Bistar se karwat ka rishta toot gaya ek yaad ke saath Khaab sarhane se uth baitha takiye ko sarkaney main Aaj uss phul ki khushbu mujh main paiham shor machati hai Jis ne be had ujlat barti khilne aur murjhaane main Baat banaane wali ratein rang nikharne wale din Kin rastoN par chhoR aaya main umr ka sath nibhane main Aik malal ki gard samete main ne khood ko paar kia Kaise kaise wasl guzare hijr ka zakhm chhupane main Jitne dukh the jitni umeedein, sab se brabar kam liya Main ne apne aayinda ki ek tasweer banaane main Aik wazahat ke lamhe main mujh par ye ahwaal khula Kitni mushkil paish aati hai apna haal bataane main Pahlay dil ko aas dilaa kar beparwaaa ho jata tha Ab to Azm bikhar jata hun main khud ko bahlane main
  17. Mere husn e bayaaN me shamil thaa Woh meri daastaaN me shamil thaa Meri basti ko lootne waalaa!!!!!!!! Wafd e rahat rasaaN me shamil thaa Us ki khaatir jahaan haar gaye Kya maza us zayaaN me shamil thaa Justajoo maaNd parti jati thi Dil ajab kaarwaaN me shamil thaa Gumrahi ka wo bad numa lamhaa Meri tazyeen e jaaN me shamil thaa
  18. Kal chaudhaviiN ki raat thi shab bhar raha charchaa teraa Kuchh ne kaha yeh chaaNd hai kuchh ne kaha chehraa teraa Ham bhi vahiN maujud the, ham se bhi sab puuchhaa kiye Ham haNs diye, ham chup rahe, manzur tha pardaa teraa Is shahr meN kis se mileN ham se to chhuTiN mahafileN Har shaKhs teraa naam le, har shaKhs diivaanaa teraa Kuuche ko tere chhoR kar, jogii hii ban jaayeN magar Jangal tere, parbat tere, bastii terii, sehraa teraa Ham aur rasm E bandagi, aashuftagii, uftaadagii Ehasaan hai kya kya teraa ae husn E beparvaa teraa Do ashk jaane kis liye palkoN pe aa kar Tik gaye Altaaf kii baarish terii, ikraam kaa dariyaa teraa Ae bedaareGh O be_amaaN ham ne kabhi ki hai fuGhaaN Ham ko terii vahshat sahi ham ko sahii saudaa teraa Tu ba-vafaa tu mahrabaaN, ham aur tujh se bad-gumaaN? Ham ne to puuchhaa tha zaraa ye vasf kyuN Thahraa teraa Ham par ye saKhtii ki nazar, ham haiN faqiir E rah_guzar Rastaa kabhii rokaa teraa, daaman kabhii thaamaa teraa? HaaN haaN terii suurat hasiiN, lekin tuu aisaa bhii nahiiN Is shaKhs ke ash’aar se shohraa huaa kyaa kyaa teraa Beshak usii kaa dosh hai, kahataa nahiiN Khaamosh hai Tu aaQ kar aisii davaa, biimaar ho achchhaa teraa Bedard sun_nii ho to chal, kahtaa hai kyaa achchhii Ghazal Aashiq teraa, rusvaa teraa, shaayar teraa ‘Insha’ teraa
  19. Raat ek mehfil meiN guft_guu namu par thii Har zubaan thii saakit, har nigaah pat_thar thii Ek savaal kii lou se hoNT jhulse jaate the Ek javaab kii ThanDak aah ke baraabar thii Ek be-yaqeeN lehja khouf se larazta tha Ik Chhupi huii hairat, hairatoN se baahar thii Voh sukhan zubaN par tha jis ko dil meiN rehna tha Voh shikan jabeeN par thii jo adaaye bistar thii MaiN bahut hirasaaN tha zakhm ke na bharne se Ek shab kii mohlat thii aur jang sar par thii Shaakh-e-dil kii haryaali khaab ka bayaaN Thehri MaiN ne jis ko nam rak_Kha voh zameeN hii banjar thii Mujh meiN ek darya hai jo bipharta rehta hai Pehle ek Sehra tha jis pe chup kii chaadar thii MaiN ne us ko har lamha jism se pukaraa tha Ab Khula keh voh khaahish ruuh ke baraabar thii Ishq kii karaamat hai varnaa umr ke haathoN Khaal-o-khad kii veeraani husn ka muqaddar thii Kya huye voh lab jin se phool hii baraste the Kya huii voh shaadabi jo hameiN muyassar thii AZM be-sabab dekhha tum ne khaab-e-sairaabi Dasht ke tasalsul meiN tashnagi hii behtar thii
  20. Daikh hamaray mathay pe yeh dasht-e-talab ki dhool miyaan Hum se ajab tera dard ka nata,daikh hmain mut bhool miyaan Ahl-e-wafa se baat na karna ho ga tera usool miyaan Hum kioun phairain in galyoon k phairoN ka ma’mool miyaan Yunhi to nahi dasht main pohnchay,yunhi to nahi jog liya Basti basti kantay daikhay jangal jangal phool miyaan Yeh to kaho kabhi ishq kia ha?jag main hoye ho ruswa bhi Is k siwa hum kuch na puuchain baqi baat fazool miyaan Nasb karain mehraab-e-tamanna,deeda-o-dil ko farsh karain Suntay hain wo kooe-wafa main aaj karain gay nazool miyaan Sun to liya kisi naar ki khatir kata koh, nikali nehr Ik zara say Qissay ko ab daitay ho kioun tool miyaan Khailnay day inhain ishq ki baazi,khailain gay to seekhain gay Qais ki ya Farhad ki khatir kholain kiya iskool miyaan? Ab to hamain manzoor hai yeh bhi,shehr se niklain,ruswa hoN Tujh ko daikha, baatain kar leen,mehnat hoi wasool miyaan Insha jee kiya uzr hai tm ko, naqd-e-dil-o-jaan nazr karo Roop nagar kay nakay per yeh lagta hai mehsool miyaan!
  21. Khulegi uss nazar pe chashm-e-tar aahista-aahista Kiya jaata hai paani mein safar aahista-aahista Koi zanjeer phir waapas waheeN par le ke aati hai Kathin ho raah to chhut’ta hai ghar aahista-aahista Badal dena hai rasta ya kaheeN par baith jaana hai K thakta jaa raha hai humsafar aahista-aahista Khalish ke saath iss dil se na meri jaan nikal jaaye Khinche teer-e-shanaasaai magar aahista-aahista Hawa se sarkashi mein phool ka apna zayaaN dekha So jhukta jaa raha hai ab ye sar aahista-aahista Meri shola mijaazi ko wo jangal kaise raas aaye Hawa bhi saans letii ho jidhar aahista-aahista.
  22. Zikr-e shab-e firaaq se wehshat usay bhi thee, Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thee. Mujh ko bhi shoq tha naye chehron ki deed ka, Rasta badal k chalne ki aadal usay bhi thee. Us raat dair tak wo raha mahav-e guftagoo, Masroof main bhi kam tha faraagat usay bhi thee. Mujh se bichhar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs, Haalaanke shahar bhar se adaawat usay bhi thee. Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha jee gaya, Warna her aik saans qayamat usay bhi thee. Sunta tha wo bhi sab se puraani kahaaniyaan’ Shayad rifaaqaton ki zaroorat usay bhi thee. Tanha husa safar main to mujh pe khula ye bhaid, Saaye se pyar, dhoop se nafrat usay bhi thee. Mohsin’ main us se keh na saka yun bhi haal-e dil, Dar-pesh aik taaza museebat usay bhi thee..

Account

Navigation

Search

Configure browser push notifications

Chrome (Android)
  1. Tap the lock icon next to the address bar.
  2. Tap Permissions → Notifications.
  3. Adjust your preference.
Chrome (Desktop)
  1. Click the padlock icon in the address bar.
  2. Select Site settings.
  3. Find Notifications and adjust your preference.