Part 16
Khaana khaya to Madam bartaan uthate hue boli
Madam:areee Razi wooooo mujhe yaad nahi raha tumhe batana wo tumhe bulaane ka liye Aga Gee na aik bache ko bheja tha.
Mujhe yaad aaya ke Kal bhi aik bacha aaya tha mujhe bulaane.Ma bhaagta hua Orphanage gaya or seedha Aga Gee ka dafter(room) ma gaya. Aga Gee bechaini sa apne dafter ma tehal rahe the.Mujhe dekh kar unki peshaani par fikarmandi ka aasar nazar aaye. Ma na Salaam kiya or phir unse phucha
Me:khairiyat thi aaga jaan?
Aga Gee :han wo Hania ki Tabiyat theek nahi thi. Tumhe yaad kar rahi thi.
MA unki baat sunte hi Hania ka room ki taraf bhaaga. Hania par aik nazar pari to ma pallkein jhappakna bhool gaya. Sirf 3 Hafte ma us sa nahi milla or uski halaat Aisi thi ka mujhe sa pehchana nahi jaa raha tha.
Baal bikhare hue or aankhein roo roo kar sooji hui thi.wo bed par aankhein band kiye leti hui thi.Ma ka Kareeb gaya or uske maathe par bossa diya to us ne apni aankhein khol dein.Mujhe dekh kar uski aankhoo sa aansoo behnaa shuru ho gaye.Ma na use ghoorte hue kaha
Me:agar ab aik bhi aansoo niklaa naa to ma waaps chala jaungaa phir nahi aaon ga kabhi
Uski aankhein aik dam sa khushak ho gae or us ne uthe ka mujhe gale laga Liya.kehne ko to sirf aik 10 saal ki choti si bachi thi lekin uske pass jazbaat apne sa bari umar ki larkiyoo jaise the. Jo bhi bacha apne maa baap or behen bhaiyoo ka bagair zindagi guzarata ha wo wakat sa Pehle mature ho jaata ha. Uske jazbaat choti umar ma hi bare bare logo ka ahsasaat ko jhinjhoor ka rakh dete hn.
Baat pata nahi kaha sa kahan nikal gae.Hania mere gale lag kar dubara sa rone lagi or rote hue boli
Hania:bhai aap Itne din Kidhar the.milne hi nahi aaye. Rafi bhai ko bhi koi apne saath le gaya ha. Ma Itne din Akeli aap dono ko yaad ma rooti rahi lekin koi bhi mujh sa milne naa aaya.
Ma na uski kamar sehlate hue kaha
Me:Mujhe maaf kar do Hani mere papers the issi waja sa ma nahi aa paya lekin ma Waada karta hn ka aaj ke baad Kabhi bhi koi din aisa nahi guzare ga jis ma tum sa mil naa ln. Chalo ab Rona band Karo or jaldi sa naha kar kapre change Karo phir tumhari favorite game Ludoo khelte hn.
Hania excitement ma uchalne lagi or phir boli
Hania:ye hui naa baat.aaj to ma aap ko haraa hi dn gi.
Itna keh kar wo bhagti hui washroom ma chali gae.Ma wahan sa seedha Aga Gee ka pass gaya. Unse Rafi ka bare ma pucha to pata chala ke usko koi beaulaad joraa apne saath le gaya ha.
Phir aik baje tak Hania or orphanage ke digar bachoo ke saath khel kood or masti chalti rahi phir Aahista Aahista sab soo gaye. Hania soo gaye to ma Wapis Madam Asma ki kothi ma aa gaya.
Madam sofe sa tek lagaye soo rahi thi.samne TV chal raha tha.Madam Shayad mera intazaar karte karte soo gae thi.Ma sofe par unke saath jaakar Beth gaya or phir unke forehead par halki si kiss ki to madam na apni aankhein khool di or Neend sa makhmoor awaaz ma boli
Madam:aa gae tum. Acha ruko tumhare liye doodh Lekar aati hn.
Madam uthane lagi to ma bola
Me:aap bethein ma Khud pee leta hn.
Ma utha or kitchen ki taraf chal diya. Do glasses ma dhoodh garam kar ke daala or phir waapis TV lounge ma Madam ke pass aa gaya.
Madam phir sa soo chuki thi.Ma na unhe uthaya or phir doodh Pila kar unhe unke kamre ma le gaya or bed par Lita kar ma waapis jaane laga to Madam boli
Madam:aaj tum bhi idhar hi soo jao naa.
MA bhi madam ke saath bister ma ghus gaya or phir hum dono aik dusare ko gale laga kar soo gaye.
Subah aankh khuli to Madam dressing table ke samne khari apne baal banane ma masroof thi. Ma bed sa tek laga kar Beth gaye or tiktiki bandhe madam ko dekhne laga.
Madam mujhe neend sa bedaar hota dekh kar boli
Madam:chalo utho naha kar jaldi sa tayaar ho jao
Ma apni aankhein masalte hue bola
Me:kidhar jaana ha???
Madam:aaj tumhe factory ka chakar lagwaati hn.parhai sa farigh ho kar tumhe hi to sambhalni ha
Me:aaj ki bajaye agar Kal......
Madam meri baat katate hue boli
Madam:chup chap utho or tayar ho kar 15 minutes ma mujhe naashte ka table par milo
Ma bedilli sa acha keh kar utha or apne kamre ki taraf jane laga to Madam boli
Madam:kahin jaane ki zaroorat nahi ha. Tumhare kapre wo samne chair par rakhe ha mere washroom ma nahao or jaldi sa tayaar ho kar aao.
Ma na aik nazar kaproo ko or aik nazar madam ko dekha phir madam ki taraf barha or unke kandhoo pa paraa towel khenchaa or washroom ma ghus gaya.
Nahaya tayar hua or Naashte ke baad ma or Madam Factory ki taraf nikal khare hue.Raste ma Ma na madam sa pucha
Me:Madam aap factory waalo ko kaya bataaenge mere bare ma
Madam:wo mera maslaa ha.tum ye batao Aga Gee na khairiyat sa tumhe bulaya tha???
Me:hn jee khairiyat hi thi. Wo bas Rafi ko kissi couple na adopt kar Liya tha or ma bhi papers ki waja sa jaa nahi paya to wo upset ho gae thi.bas use manane ka liye bulaya ha
Madam:acha.ye batao ab aage kya irada ha???
Me:kya Mtlb???
Madam:10th ma bhi aankhri 3 maah ma tayari Karo ge ya abhi sa parhai shuru kar do ge.
Me:abhi sa hi shuru kar deni ha.
Madam:achi baat ha.
Me:Madam aapki factory ma bnta kya ha???
Madam:leather items. Purse, jacket,shoes wagaira......
Aise hi halki phulki baatein karte hum factory puhnche. Wahan khub boor hue or phir sa waapis shaam ko ghar loot aaye.car sa utre or jab TV lounge ma puhncha to lightoff thi or har taraf andhera tha. MA na light on ki to mujhe herat ka aik jhatkaa laga.samne Hania,Aga Gee,Hira, Asim,Nazia,Nazia ki Ami or Orphanage ke tamaam bache the or birthday celebration ki decoration ki hui thi.
Jaise hi ma na light on ki aik dam sa har taraf sa "Happy Birthday to you" ki aawazein aana shuru ho gae.Ma heraat sa mu khole un sab ko dekh raha tha.kuch der yunhi khara raha to peche sa madam Ki awaaz aayi
Madam:aab yahin khare rahoo ge ya aage jaa kar cake bhi kaatoo ge
Ma aage barh gaya. Aur sab sa bari Bari millkar ma Hania ka pass puhncha or usse gale sa lagaya or unse peche Aga Gee khare unko aankhoo hi aankhoo MA sawal kiya ka ye sab kya ha to unho na unho na halki awaaz ma kaha
Aga Gee:23rd of March......
Or phir mujhe sab yaad aa gaya.Hua ye tha ka Aga Gee orphanage ka tamaam bachoo ki birthday party aik saath 25 October ko manaya karte the. Lekin Aaj sa 3 saal Pehle ma ne or Rafi na unse request ki ka mera or Rafi ka birthday aik saath kissi dusare din manaya jae. Phir 23 March ko subah hi subah humme Hania jaise behen aata hui. Hania ka maa baap ki aik accident ma death hui to uske rishtedaar use yahan chor gae the. Us din sa hum na faisla kiya ka hum teeno ki birthday 23 ko manaya jae ga. Aga Gee na bhi koi aitraaz naa kiya.
((((((((((Ma Hania ko gale lagaye roone lag gaya.Mujhe wo Wakat yaad aa gaya jab Hania orphanage aai thi. Wo bohot roo rahi thi.Hum usse chup karwaane uske uske Kareeb jaate to wo aage sa thapaar Maarti or baal noochti. Ma gaya or uske samne ghutnoo ka bal par beth gaya.usne Pehle to mere baal noche phir mere chehre par apne naanhe haathoo sa thapaar Maarne shuru kar diya Kuch der baad wo thak gae to khudi mere gale lag kar rone lagi.Ma na thori der usse rone diya phir uska chehra apne haathoo ma Liya or uske aansoo saaf kar ke bola
Me:aaj ka baad aagar meri behnaa royi to ma use bohot maarun GA.ainda sa koi Rona dhoona nahi.
Hania khamosh nazarroo sa mere chehre ko takti rahi phir Kuch bole bina mujh sa lipat gae lekin is dafa wo roo nahi rahi thi.))))))))))
Mujhe kissi na hilaya to ma maazi sa haal ma aa gaya or phir Hania sa alehda ho kar apne aansoo saaf karte hue Hania sa pucha
Me:Hani Aaj thapaar to nahi maro gi naa?
Hania:han maroon gi agar aapne rona dhoona band naa kiya to?????
Me:ok ye abhi khatam.
Itna keh kar ma na apni aankhein masalI or bola
Me:chalo cake kaatoo
Phir hum na cake kaata.sab ko khilaya or phir Dinner ka baad sab bache orphanage chale gaye siwaaye Hania ka.
Phir ma or Hania Sara Nazia or Asim ka saath ghupshap lagane lage. Baatoo hi Baatoo ma Hira na pucha
Hira:to mosoof 2 Hafte ki chutiyoo ma kya kar rahe hn???
Ma na Hania ko kandhee ka saath lagaya or bola
Me:apni sister ka saath full enjoy karun ga.
Hania jhaat sa boli
Hania:jhoot bilkul jhoot bol rahe hn ye Hira aapi.sara din or sari raat sooye ge or shaam ko sirf 2 ghante mere saath guzaarein ge
Nazia Hania ka rukhsaaro ko khenchatee hue boli
Nazia:Sach ma.phir to tumhare bhaiyaa ki neend kharaab karni pare gi.
Hania:bhaiyaa ka ilawaa koi mere galloo ko Choo nahi saktaa or mere ilawaa bhaiyaa ki neend koi kharaab kar nahi saktaa.kiun bhaiyaa???
Ma na uske rukhsaaro ko choom kar kaha
Me:hn jee bilkul
Nazia kaan pakarte hue boli
Nazia:acha sorry baba.
Hania:are aap ko mazaak or serious baat ka farak hi nahi pataa. Itni jaldi serious ho gae aap to.
Hira:acha ye baatein choro. Hania ye batao ka kab aa rahi ho apne bhaiyaa ke saath hamare ghar
Hania na Hira ka naak pakar kar right left ghumaya phir boli
Hania:are meri laado Rani aap bulaen or hum naa aaye ye ho saktaa ha bhula???
Hania na bilkul meri nakal utaari. (jab bhi ma orphanage jaata to Hania bhaag kar mere pass aati or kehti
Hania:bhaiyaa aap aa gae???
Ma uska naak left right karta or kehta
Me:Are meri laado Rani aap bulaen or hum naa aaen aisa ho hi nahi sakta.)))))
Hania ki baat par sab khilkhilaa kar Hans diye. Phir Hania boli
Hania:Ma bhai ka saath mashwara karun gi phir aapko bataen ge hum.
Is dafa phir sab Hans diye.
Me:Hania Baji Aaj Khair to ha na. Patar pataar boli jaa rahi ha.
Hania:aapke liye aik surprise ha. Lekin ma bataon gi nahi.aapko Khud hi pata chal jae ga.
Me:acha jee
Hira:tum na meri baat ka jawab nahi diya Hania????
Hania:agar bhaiyaa maan gae to subah hi aa jaen ge.
Phir Aise hi hansi mazaak chalta raha phir Aahista Aahista sab chale gae. Sab sa aakhir ma Aga Gee jaane lage to ma Hania sa bola
Me:Hania jao Aga Gee jaa rahe hn unke saath chali jao tum bhi.
Hania sa Pehle Madam boli
Madam:Hania Kahin nahi jaa rahi..........