September 24, 201213 yr Kabhi Teri Rafaaqat Sey Nikalna Hi Nahin Mumkin Kabhi Daaman Chura Laina Bohat Asaan Lagta Hay Kabhi Tum Roth'tey Ho To Ajab Mushkil C Parrti Hay Kabhi Tujhko Mana Laina Bohat Asaan Lagta Hay Kabhi Samjha Karo Kuch Faisley Halaat Kartey Hain Kabhi Waaday Nibha Laina Bohat Asaan Lagta Hay Kabhi Kuch Din Tumharey Bin Guzertey Hi Nahin Laikin Kabhi Muddat Bita Daina Bohat Asaan Lagta Hay
September 24, 201213 yr Tum aao to hum bhi EID karen Hasrat hai tumhari deed karen Kuch der to dil ko chain mily Kuch roz to mann k phool khilen Kehty hain k EID ki aamad hai Hum log bhi kuch taaeed karen Tum se ik ye guzarish hai Ye apny dil ki khwahish hai Ik bar milo Ik bar milo Hr bar ye hi taakeed karen Maana k hum deewany hain Sab baaton se anjany hain Jab apny bhi begany hain, Kiya ghairon se ummeed krain Tum aao to hum bhi Eid karen Tum aao to hum bhi Eid karen.
September 24, 201213 yr ab aa bhi jao yar eid krni hai:pnice one miss g thanks ja k us ko ly ao na khudi thori aye gi wo.
October 1, 201213 yr Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo, Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan, Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..
October 4, 201213 yr Ajeeb dastan hoti hai dosti ki.. Larna milne se b acha lagta hai.. Lar k manane wale b hote hen kuch.. To kuch ko chirana acha lagta hai.. Dost k muh se kuch sunne k liye.. Kbi jhuk jana b acha lagta hai.. Safr train ka ho ya zindagi ka.. Khatm he nai hoti batein.. Phr b khamosh reh kr muskrna acha lgta hai.. 4 dosto me lgta hai mil gai puri duniya.. Baki sb bhol jana acha lgta hai.. Yaro hmesha sath rhna.. Ye tmhara yarana acha lagta hai.
Create an account or sign in to comment