June 16, 201213 yr saadgi to hamari zara dekhiye etbaar aap ke waade par kar liya baat ek raat ki thi magar intazaar aap ka umr bhar kar liya ishq main uljhane pahle hi kam na thi or paida naya dard-e-sar kar liya log darte hain kaatil ki parchai se hum ne kaati ke dil main bhi ghar kar liya zikr ek bewafa or sitamgar ka tha aap ka aise baaton se kya waasta aap to bewafa or sitamgar nahi aap ne kis liye muh udar kar liya zindagi bhar ke shikwe gile the bahut waqt itna kahan tha ke duharate hum ek hichiki main keh daali sab daastan hum ne kisse ko yon dukht-e-sar kar liya bekarari milegi na mujhko sukoon chain chin jayega neend ud jayegi apna anzaam sab hum ko maloom tha aap se dil ka sauda magar kar liya.
June 16, 201213 yr Maine soch'On main trashaY hain khadokhaal teraY Jaltay hot'on pe tabassum jo machalta hai kabhi Zakham dhuljatay hain sawan jo barasta hai kabhi Maine soch'on main tarashay hain khadokhaal teray Mere baray main bata tu ne bhi socha hai kabhi? Charhtay sooraj say kabhi tu ne milai hay nazar? Tu ne kirn'on ki taraf ghor say dekha hai kabhi? Log pather main khilatay hain umeed'on k gulaab ye bhi mumkin ay? bata aisa bhi hota hai kabhi? Tu ne samjha tha main lot k ajaonga Ankh say bichra hua Ashk bhi lauta hai KabHi?
June 16, 201213 yr Mohabbat is trahan chora nahi kartay Taaluq is tarhan tora nahi kartay k phir say jorna dushwar hojaye hayat ik zehar main dubi hoi talwar ki manind mohabbat is tarahan chora nahi kartay rawadari ka hargiz rasta chora nahi kartay mohabbat main sabhi aik dosray ko azmatay hain magar aesa nahi kartay k har umeed har imkan tot jaye kahan tak kehenchi ho dor yeh andaza rakhtay hain hamesha char dewari main ik darwaza rakhtay hain judai mustaqil ho to zindagi zandan ho jaye to suno! jeenay say munh mora nhi kartay mohabbat is tarhan chora nahi kartay
June 16, 201213 yr Gam kaa vo zor ab mere andar nahii.n rahaa is umr me.n mai.n itanaa samar_var nahii.n rahaa is ghar me.n jo kashish thii ga_ii un dino.n ke saath is ghar kaa saayaa ab mere sar par nahii.n rahaa mujh me.n hii kuchh kamii thii ki behatar mai.n un se thaa mai.n shahar me.n kisii ke baraabar nahii.n rahaa rahabar ko un ko haal kii ho kis tarah Khabar logo.n ke daramiyaa.N vo aakar nahii.n rahaa vaapas na jaa vahaa.N ki tere shahar me.n 'Munir' jo jis jagah pe thaa vo vahaa.N nahii.n rahaa
June 16, 201213 yr kuchh to ehasaas-e-ziyaan thaa pahale dil kaa ye haal kahaa.N thaa pahale ab to manzil bhii hai Khud garm-e-safar har qadam sang-e-nishaa.N thaa pahale safar-e-shauq ke far_sang na puuchh vaqt beqaid-e-makaa.N thaa pahale ye alag baat ki Gam raas hai ab is me.n andeshaa-e-jaa.N thaa pahale yuu.N na ghabaraaye huye phirate the dil ajab kunj-e-amaa.N thaa pahale ab bhii tuu paas nahii.n hai lekin is qadar duur kahaa.N thaa pahale Dere Daale hai.n bagolo.n ne jahaa.N us taraf chashm-e-ravaa.N thaa pahale ab vo dariyaa na bastii na vo log kyaa Khabar kaun kahaa.N thaa pahale har Kharaabaa ye sadaa detaa hai mai.n bhii aabaad makaa.N thaa pahale kyaa se kyaa ho ga_ii duniyaa pyaare tuu vahii.n par hai jahaa.N thaa pahale ham ne aabaad kiyaa mulk-e-suKhan kaisaa sun_saan samaa.N thaa pahale ham ne baKhshii hai Khamoshii ko zubaa.N dard majabuur-e-fuGaa.N thaa pahale ham ne roshan kiyaa maamuur-e-Gam varnaa har simt dhuaa.N thaa pahale Gam ne phir dil ko jagaayaa 'Nasir' Khaanaa_barbaad kahaa.N thaa pahale
August 11, 201213 yr Sochta Hoon Kay Usay Neend Nhi Aati Sochta Hoon Keh Usay Neend Bhi Aati Hogi Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali Apni Tasweer Say Kia Aankh Milati Hogi Is Zameen Per Bhi Hay Seilaab Meray Ashkon Say Meray Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi Shaam Hotay Hi Wo Chokhat Pay Jala Kar Shamain Apni Palkon Pay Kaii Khowab Sulati Hogi Us Nay Silwa Bhi Liye Hongay Siya Rang Lebaas Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi Hoti Hogi Meray Bosay Ki Talab Main Pagal Jab Bhi Zulfon Main Koii Phool Sajati Hogi Meray Tareek Zamano Say Nikalnay Wali Roshni Tujh Ko Meri Yaad Delati Hogi
September 21, 201213 yr Ajeeb dastan hoti hai dosti ki.. Larna milne se b acha lagta hai.. Lar k manane wale b hote hen kuch.. To kuch ko chirana acha lagta hai.. Dost k muh se kuch sunne k liye.. Kbi jhuk jana b acha lagta hai.. Safr train ka ho ya zindagi ka.. Khatm he nai hoti batein.. Phr b khamosh reh kr muskrna acha lgta hai.. 4 dosto me lgta hai mil gai puri duniya.. Baki sb bhol jana acha lgta hai.. Yaro hmesha sath rhna.. Ye tmhara yarana acha lagta hai.
September 21, 201213 yr Kabhi waqt mile to aajao, Ham jheel kinare ja baithen, Tum apne sukh ki baat karo, Hum apne dukh ki baat karain, Aur un lamhoon ki baat karain, Jo sung tumhare beet gaye, Aur ehd-e-khizan ki nazar howy, In sabz ruton k daman mai, Hum pyar ki khushbo mehkain, In bikhray sabz nazaron ko, Ham aankhon men tasveeer karain, Phir apne pyar k jado se, Hum lamhoon ko jageer karain, Kabhi waqt milaye to ajao... Hum jheel kinare ja baithen
September 21, 201213 yr Hawa Ke Hote Hue Roshnii Toh Kar Jaaye, Merii Tarah Se Koi Zindagii Toh Kar Jaaye. Tamam Umar Tasaf Mein He Basar Ho Gii, Terii Taraf Se Nazar Be'Rukhii Toh Kar Jaaye. Charag-E-DiLL Tehe Mehrab-E-Jaa'n Na Chorde Gii, Hawa Ke Saath Koi Dushmani Toh Kar Jaaye. Phir Is Ke Baad Jaha'n Mein Kahin Panah Nahin, Tere Huzoor Yeh Jaa'n Sar'Kashi Toh Kar Jaaye. Woh Dushmani Ke Bhii QabiL Na Mujh Ko Chorde Ga Shakir, Us Aadmi Se Yeh DiLL Dosti Toh Kar Jaaye.....*/
Create an account or sign in to comment