December 28, 201213 yr December ab kay aao to Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana Kay jis may jugnoo'n ki kehkashaain jhilmilaati hain Jahan titlee kay rangoo'n sey fazaain muskuraati hain Wahan chaaro'n taraf khushboo wafa ki hai Aur uss ko jo bhi pouron sey Nazar sey chhoo gaya pal bhar Mehek uthaa December ab kay aao to Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana Jahan per rait kay zarey sitaarey hain Gul-o-bulbul, maah-o-anjum wafa kay istiaarey hain Jahan dil woo samander hai , jiss kay kaee kinaarey hain Jahan qismat ki daive muthiyon mein jagmagaati hai Jahan dhakan ki lay per bey-khudi nagmein sunaati hai December hum sey na poocho hamaarey sheher ki baabat Yahan aankhoun mein guzrey kaarwaan ki gard thehri hai Labo'n per al-atsh hain, batan mein faaqey pinaptey hein Muhabbat barff jaisee hai yahaan Aur dhoop kay khaitoun mein ugti hai Yahan jab subah aati hai Tou shab kay saarey sapney Raakh kay aik dhair ki soorat mein dhaltey hein Yahan jazboun ki tooti kirchiyaan aankhoon mein chupbhti hain Yahan dil kay lahoo mein Apne Laikh'on ko dabo ker ham Sunehray khwaab buntey hein Phir unn khwaaboun mein jeetay hein Inhi khwaaboun pey martey hein Dareedah rooh koo lafzoon sey seena goo nahin mumkin Magar phir bhi December Ab KaY AaOoO Tu Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana.....!!!
January 25, 201313 yr jo shehre aarzoo aabaad hay wo raakh ka toada nah ban jay zara si aanch kaafi hay bahut shuala biani main naheen rehna i
January 25, 201313 yr Us kay koochay say guzarany ki ayyashi jo karoon Us ki yaadain mery seenay ko jalanay lag jaeen muafi chahta hoon in page ya urdu font likhna naheen aata is leey isi baher radeef aur qafiay main aik aur shear hazer hay"
January 25, 201313 yr Wah bai wah Mohsin naqvi. Nasir Kazmi Shahoon kay kia kehnay. Aur pher Galib e Khasta Urf Mirza Nausha ***** kary Zoar e Qalam Aur ziada
January 25, 201313 yr Chand lamhey hi shi tum bee mery sath chalao Warna her lamha mera qaid hay Aghyar kay sath
January 25, 201313 yr Toa meray saath bee hey pher bee buhat door hay too khud ko daria kay kinarey bee piasa daikhoan
January 25, 201313 yr Kiss nay apnay khoon say is ko seencha hay lahu mehk hay ngandam kay her danay main
May 19, 201313 yr Sochuun Tou Wo Saath Chal Raha Hai Dekhuun Tou Nazar Badal Raha Hai Kiun Baat Zabaan Se Keh Ke Khoyi ? Dil Aaj Bhee Haath Mal Raha Hai Raaton Ke Safar Mein Wehem Sa Tha Ye Mein Hun Ke Chaand Chal Raha Hai ? Hum Bhee Tere Baad Jee Rahain Hain Aur TU Bhee Kaheen Behel Raha Hai Samjha Ke Abhee Gayi Hain Sakhiaan Aur Dil Hai Ke Phir Machal Raha Hai Hum Hee Buray Ho Gaye —- Ke Tera Mayaar-e-Wafaa Badal Raha Hai ?
Create an account or sign in to comment