Jump to content
View in the app

A better way to browse. Learn more.

URDU FUN CLUB

A full-screen app on your home screen with push notifications, badges and more.

To install this app on iOS and iPadOS
  1. Tap the Share icon in Safari
  2. Scroll the menu and tap Add to Home Screen.
  3. Tap Add in the top-right corner.
To install this app on Android
  1. Tap the 3-dot menu (⋮) in the top-right corner of the browser.
  2. Tap Add to Home screen or Install app.
  3. Confirm by tapping Install.

Ma sab ka Hero

Featured Replies

On 6/11/2021 at 3:57 PM, Jamal baba said:

Update 31

 

Subah nashtaa kar ke ma seedha Madam Nida ka ghar puhncha. Darawaza khatkhatata raha lekin darwaza naa khula. Darwaza bahir sa lock bhi nahi tha. Yani ghar waale ghar par hi the. Ma na gate phalaanga or ghar ma daakhil ho gaya. Drawing room ma puhncha to sara samaan bikhra hua tha. Center table ka sheeshe sa lekar chote bare guldaan or showpiece tak har cheez tooti or bikhri pari thi. Wahan sa unke  bedroom ma aaya to room ki haalat drawing room sa bhi buri thi. Har taraf samaan bikhra para tha. Khud wo bed par oondhe mu laiti soo rahi thi. Kapre bhi wohi raat waale the.Aik haath pa khoon jama hua tha.Ma na goor sa dekha to hatheli pa kafi bara cut nazar aaya. Bandage bandhi hui thi lekin wo bhi khoon sa bheegi hui thi. Khoon sookh chuka tha. Chehre par bhi kharashein pari hui thi.

 

Unko is haalat ma dekh kar apne aap ko kosne laga.Ma na unka zakhmi haath apne haatho ma lekar chooma phir unke chehre par haath pherte hue awaaz di. 

 

Me:Ma'am 

 

Unho na koi response nahi diya. Ma na unhein kandhe sa pakar kar hilaya to unho na halki si aankhein kholi

 

Me:Good Morning! uth jaen ab 

 

Madam na larkharaati aawaz ma kaha

 

Madam Nida:kiiiiuuunn aaaaayeee hhooo aaabb??? 

 

Me:fresh ho jaen aap phir baatein karte hn. 

 

Madam na rundhi hui aawaz ma kaha

 

Madam Nida:chale jao yahan se koi baat nahi karni mujhe tum se

 

Itna bol kar Madam na karwaat li or phir seedhi ho gae.Unho na bed sa uthane ki koshish ki lekin kamzoori ki waja sa naa uth sakin. Ma na unko sahara de kar bed par bethaya. 

 

Me:kiun kiya ye saab hnn??? 

 

Madam Nida na kuch kehne ki bajae phoot phoot kar rona shuru kar diya. Ma na unka sar apne seene sa laga liya or unki kamar ka gird haat lapait kar unki kamar ko thapthapaane laga. Wo roti rahi aakhir khud hi chup kar gae. 

 

Ma unhein sahara dekar washroom tak laya.Towel geela kar ke unka chehra saaf kiya phir unki shirt ka button kholne laga.Unho na mazaahmat ki koshish ki lekin ma na unhe aankho ke ishare sa tasali di. Shirt utaar kar unho aik sleeping gown pehnaya or phir unki jeans bhi utaar di. Gown ki doori bandi or phir unka haath ka zakham par bandhi pati kholi or haath par jamaa hua khoon saaf kiye. Phir unhein bed par laa kar betha diya. Unke zakham par marham laga kar paati ki.phir pucha

 

Me:raat ko dinner kiya tha kya?? 

 

Madam Nida na naafi ma sar hila diya. Ma unhe sahara dekar kitchen ma le aaya. Wahan unhe dining table ki chair par betha kar unke liya doodh garam kiya. Thori haldi mix kar ke unhein peene ka liye diya.

 

Kissa mukhtassir unko halka phulka nashta karwane ke baad ma unhe unki gaari ma betha kar hospital ma le gaya. Wahan sa haath pa proper bandage karwae or medicine lekar unhein apne ghar le aaya yaani Madam Asma ke ghar. Ghar ma us wakat koi bhi nahi tha. Madam Asma factory gae hui thi jabke Hania school gae hui thi.

 

Unhein apne kamre ma bed par lita diya.

 

Madam Nida:mujhe yahan kiun lekar aaye ho??

 

Me:jab tak aap theek nahi ho jaati yahin rahein ge. Yahan aapki dekh bhaal ka liye hum hn.

 

Madam Nida:Ma apni dekh bhaal khud kar sakti hn. 

 

Me:Is maamle ma mujhe aap pe yakeen nahi raha. 

 

Ma kamre sa bahir jaane laga to Madam Nida boli

 

Madam Nida:Mujhe tum sa zaroori baat karni hn 

 

Me:aap aaraam karein.Lunch ka baad baatein hoti rahein gi. 

 

Ma unhein room ma chor kar ghar sa bahir nikal aaya. Paidal hi Madam Nida ka ghar ki taraf chal para. Dimagh ma mukhtalif soochein gad mad ho rahi thi. Kya karun.Mukhtalif soochein gaad maad hoti rahi. Is masle ka koi hal nazaar naa aaya. Mere sa me dard hone laga.Madam Nida ka ghar sa apni bike li or Seedha Nazia ka ghar puhnch gaya. 

 

Nazia ki Ami na darwaza khola. Mujhe dekh kar muskurate hue boli

 

Aunty:pure time par aaye ho. Abhi Nazia college ka liye nikali ha. 

 

Ma thake hue lehje ma bola

 

Me:uska college open ho gaya???? 

 

Aunty:hn uska college to kal sa hi open ha. Khairiyat to ha naa aaj bare pareshaan or thaake thaake sa lag rahe ho. 

 

Wo sofe par bethi hui thi. Ma apna sar unki goad ma rakh kar sofe par lait gaya.Aunty mere sar par pyaar sa haath pherte hue boli

 

Aunty:kya baat ha ???koi pareshaani ha to batao dono mil kar uska solution nikalte hn. 

 

Ma bola

 

Me:koi masla nahi ha?? Aaj thori thakaan ho rahi ha bas

 

Wo chup chaap mera sar dabaane lagi. Kuch der ma khamoosh raha phir bola

 

Me:aunty agar aapko aapki pasand ki do cheezein mil rahi hn lekin aapko aik pasand karni ho to aap konsi cheez pasand karain gi.

 

Aunty:jis sa mujhe faida hasil ho ga. Wohi cheez hasil karun gi. 

 

Me:agar dono sa aik jaisa faida hasil ho to?? 

 

Aunty:to jo dil ko achi lage gi wohi cheez hasil karun gi. 

 

Me:agar dono cheezein hi dil ko achi lagein to??? 

 

Aunty:to ma dono ko har keemat par hasil karne ki koshish karun gi 

 

Unki baat sun kar ma aik dam sa chonk gaya. Ye to ma ne soocha hi nahi tha. Yani ma dono sa bhi to shadi kar sakta hn naa.ye soochte hi meri sari pareshaaniyaa door ho gae. Ma na karwaat li or phir apna chehra unke pait ma daba diya or phir bola

 

Me:thank you.aap ne meri saari pareshaani door kar di. 

 

Aunty muskuraa di. Ma wahi unki goad ma sar rakhe TV dekhta dekhta soo gaya. Dopeher ko Aunty na uthaya

 

Aunty:beta utho lunch kar lo. 

 

Ma aankhein maalte hue uth betha. Washroom sa hath mu dhoo kar bahir aaya to Nazia mujhe dekh kar Muskurati hui boli

 

Nazia:apne ghar ma tumhe koi sone nahi deta kya jo hamare ghar aa kar soo jaate ho. 

 

Me:Ma to tum sa milne aaya tha lekin pata chala ke tum college gae ho. Tumhara intizaar karte karte yahin soo gaya. 

 

Nazia:acha jee Hazraat saab mujh sa milne aaye thi. 

 

Ma na muskuraate hue bola

 

Me:tum sa kon milne aaya ha. Ma to apni aunty sa milne aaya hn. 

 

Nazia:to phir aunty sa hi baatein karo. Hunnn.... 

 

Itna keh kar usne mu pher liya or boli

 

Nazia:Ami jaldi khaana le aaein bohot bhook lag rahi ha. 

 

Aunty:laati hn thora sabar bhi karo. 

 

Aise hi lunch ka doraan nook jhonk chalti rahi. Khaana khaa kar Ma ghar ka liye Nikal gaya. Ghar puhncha to Hania Madam Asma or Madam Nida khaana khaa rahi thi. Ma bhi unke saath jaakar beth gaya. Khaana to khaa kar aaya tha phir bhi un sab ke saath beth kar thora sa khaa liya.

 

Khaane ke baad Ma TV dekhne lag gaya. Ghar ma aaj ajeeb tarha ki khamoshi pheli hui thi. Warna har wakt hum teeno ke kahkaahoo ki aawazein aati rehti thi. Ma na Hania ko awaaz di 

 

Me:Haniii beta..... Haniaaa.. 

 

Hania ki bajae Madam Asma na kitchen sa awaaz lagai

 

Madam Asma:wo orphanage gae hui ha. 

 

Ma dubara TV dekhne lag gaya. Thori der baad uth kar kitchen ma chala gaya. Madam Asma dhulle hue bartan shelves ma laga rahi thi. Ma na unse pucha

 

Me:aap naraaz to nahi hn naa mujh se??? 

 

Madam Asma na Muskuraa kar mujhe dekha or phir boli 

 

Madam Asma:ma bhalaa kiun naraaz hn gi tum sa?? 

 

Me:wo Madam Nida ki waja sa

 

Madam Asma:are uski waja sa kiun naraaz hn gi tum sa. Ye to bohot acha hua ka tum meri baat maan kar unko dekhne chale gae or agar naa jaate to wo shayaad..... 

 

Me:ab mujhe is masle ka hal bhi bataen

 

Madam Asma:kis masle ka haal bataun tumhe??? 

 

Me:aap jaan bhooj kar aanjaan ban rahi hn.. 

 

Madam Asma:tum Nida sa payaar karte ho??? 

 

Me:jawaab aap jaanti hn. 

 

Madam Asma:wo meri khushfehmi bhi ho sakti ha. Apni zubaan sa batao. 

 

Me:Aashikoo walaa payaar to nahi ha unse. Sirf dilli lagao ha. 

 

Madam Asma:lekin wo tumhe apne dil ma basa bethi ha?? 

 

Me:yehi to maslaa ha?? 

 

Madam Asma:kya apna ghar banaane ka liye dusare ka ghar toorna jaiz ha?? 

 

Me:bilkul bhi jaiz nahi.Apne saath saath dusaroo ka bhi khayaal rhakhna chahiye 

 

Madam:Maslaa to tum na khud hi solve kar diya

 

Me:mtlb???

 

Madam Asma:Mtlb ye ka tum Nida sa shadi kar lo. 

 

Me:or aap??? 

 

Madam Asma:ma to 35 36 saal umar guzaar chuki hn.aage bhi guzaar ln gi lekin wo abhi 27 28 saal ki ha. Uski abhi zindagi pari ha.use tumhaari zaroorat ha. Usi sa shadi kar lo. 

 

Me:ye sab fazool baatein hn. Mere pass aik darmayaani raasta ha. 

 

Madam Asma:konsa raasta ha tumhaare paas??? 

 

Me:Ma aap dono sa shadi kar leta hn. Waise bhi mujhe 4 shadiyoo ki ijaazat ha. 

 

Madam Asma:kar to sakte ho lekin duniyaa waale kya kahain ge. Aik saath do do shadiyaa or wo bhi apne sa 8 10 saal bari umar ki auraatoon sa..... 

 

Me:Duniyaa ko to ma usi wakaat raadi ki tookri ma phenk chuka tha jab ma footpath par sona shuru hua tha. Isi liye aap duniyaa ki parwaa naa karain mujhe bataen ye faislaa aapko manzoor ha ya nahi. 

 

Madam Asma:mujhe koi aitraaz nahi ha tum Nida sa puch lo. 

 

Me:theek ha phir ma unse bhi puch leta hn

 

Jaise hi ma peche mura to aik dam sa chonk gaya. Madam Nida kitchen ka darwaaze par khaari hui thi or unki aankho sa aanso beh rahe the. Ma teezi sa unki taraf lapka or unki aankho sa aanso saaf karte hue poocha

 

Me:kya hua aap roo kiun rahi hn??? 

 

Madam Nida kuch kehne ki bajae aage barhi or seedha Madam Asma ka kadmoo ma jaa kar beth gae or boli

 

Madam Nida:tum aurat nahi ho farishta ho.Ye jaante hue bhi ka Razi mujh sa nahi tum sa payaar karta ha phir bhi tum usse mere saath shadi karne par razamand karti rahi sirf is liye ka ma Razi sa payaar kar bethi hn. Mujhe maaf kar do.Ma ne jaa bujh kar Razi sa pyaar nahi kiya wo to pata nahi kab mere dil ma bas gaya. Ma nahi jaanti. A.....  Ki kasam.

 

Madam Asma na Madam Nida ko sahara de kar khara kiya phir boli

 

Madam Asma:ma jaanti hn tumhaara koi kasoor nahi ha. Tum koi zabardasti hamari zindagi ma daakhil nahi hui.Naa tumhaara kasoor ha na meta ye to takdeer ma likha tha ke hum dono aik hi aadmi ki biviyaan bne gi. So takdeer na hamein mila diya. Tum kiun roo rahi ho.

 

Me:acha ye emotional scene bohot ho gaya. Ab to khush ho jaen aap dono. Phans to ma gaya hn naa. Ab dono sa 8 8 bache paida ho gae to unhe sambhaale ga kon?? 

 

Wo dono meri baat sun kar pheeki si hansi hans di. 

 

Kissa mukhtasar aik saal baad college khatam hua to aik chooti si takreeb ma dono sa mera Nikkah parha diya gaya. 

 

 

Ab aap log sooch rahe hn ge ke ma kahun ga Nikkah hua phir suhaagraat hui phir hamare bache hote gae.Zindagi yunhi chalti rahi. Naa jee naa asal story to shuru hi yahan sa hoti ha. Abhi to aap na mera pyaar karne walaa roop dekha ha Mera Action to abhi baaki ha. 

Bohat awla update next b upload kren 👌🏻

Breaking News Ad
فورم اپڈیٹس
  • Replies 375
  • Views 739.2k
  • Created
  • Last Reply

Top Posters In This Topic

Most Popular Posts

  • Jamal baba
    Jamal baba

    Part 8   Next day school gaya.break tak koi khaas baat naa hui.Break ma ma or Hira bahir ground ma aakar beth gae.Hira or ma kuch der to study KA hawale sa discuss karte rahe phir ma bola

  • Jamal baba
    Jamal baba

    Part 7   Ma road cross kar ke madam ki taraf barha.Madam par meri nazar pari to ma unhe dekhta reh gaya.unho na intehai tight labas pehna hua tha.Black colour ka kameez or uske neche skin ti

  • Part 17   Madam:aaj ka baad sa Hania hamare saath hi rahe gi.    Me:sach ma????   Madam:Hn jee.   Me:yani ab is ghar ma khoob roonak lagi rahe gi.   

  • Author
9 hours ago, Mustafa 12 said:

Nice boss next

Update kab ayegi boss

 

bohot jald aa rahi ha next update 

  • Author
3 hours ago, Flirt268 said:

Bohat awla update next b upload kren 👌🏻

Bohot jald aa rahi ha next update bhi

📢 Post Your Ad Here
  • Author

Update 32

 

College ka baad aaj kal ma free hota tha. Sara din ya to farigh karachi ki galiyoo or sarkoo ma ghoomta phirta rehta or ya phir apne software par kaam karta rehta. Nida or Hania school chali jaati or Asma factory chali jaati. Ma akela ghar par hota tha. Kabhi dil karta to Nighat or Nazia ki taraf chakar laga aata.Raat ko apni dono biviyoo ka saath masroof rehta.

 

Aik maah ma hi ma apni is routine sa bore ho gaya tha. Ma na socha ka kiun naa apna koi kaam dhaandha shuru kiya jae. Kab tak hath par hath rakh kar apni biviyo ki kamaye khata rahun ga. Lekin kaam konsa kiya jae. Kuch samajh nahi aa raha tha. 

 

Ma aik din Nazia ka ghar gaya to baato hi baato ma aunty na bataya ka Shahera par majood unki dukaano ma sa aik dukaan ka kirayedaar is maheene apni dukaan khali kar raha ha. Unhe naye kirayedaar ki talaash ha. Ma na socha chalo koi nahi kuch arsa dukaan kiraye par laite hn. Us me maal rakhwaate hn agar dukaan chal nikli to theek warna koi kirayedaar dhoondh kar dukaan uske hawaale karain ge or kiraya Aunty ko dete rahein ge. 

 

Ma na aunty sa kaha

 

Me:aunty aap aisa karain wo dukaan mujhe kiraaye par de dein. 

 

Aunty:Beta kaisi baatein kar rahe ho. Tumhaari apni dukaan ha.Kiraaye ki kya zaroorat ha to waise hi rakh lo.

 

Me:aunty kiraaya lein gi to ma dukaan rakhun ga warna aap kissi or ko kiraaye par de dein. 

 

Unho na kaafi israar kiya lekin ma naa maana.Akhir wo kiraaya lene par raazi ho gae. Ma wahan sa dukaan dekhne chala gaya. Puraane kiraayedaar sa mila. Dukaan ki haalat dekhi. Ird gird ki dukaanein dekhi. Dil ko tasali hui.kafi achi halat thi dukaan ki. 

 

Raat ko sone ka liye laita to Asma hasb e adaat apna sar mere seene par rakh kar laiti hui thi. Nida apne kamre ma thi. Bari bari aik aik din dono ka saath sota thaa. 

 

Ma Asma ka baalo ma ungliyaa pherte hue bola

 

Me:Mujhe thore paise chahiye the batoor e qaraaz. Tum de sakti ho kya?? 

 

Asma:Are qaraaz kiun??tumhe jitne paisoo ki zaroorat ha mujhe batao ma de deti hn 

 

Me:Jab paise chahiye hote hn tab paise maang leta hn tum sa lekin abhi qaraaz chahiye isi liye qaraaz maang raha hn. 

 

Asma:lekin....

 

Me:lekin wekin kuch nahi mujhe batao de rahi ho qaraaz ya ma kissi or sa maang ln. 

 

Asma:gussa kiun hote hn aap. Jitne chahiye bta do subah tumhaare account ma transfer kar dn gi. 

 

Me:8 lakh tak ki zaroorat ha filhaal. Tumhe 8 maah ma waapis kar dn ga. 

 

Asma:wapsi ki koi tension nahi ha. Jab marzi kar dena. Subah tumhaare account ma 8 lakh ruppes puhnch jaen ge. 

 

Takreebn aik hafte baad pechle kiraayedaar dukaan khaali kar gae to Ma na do hafte theek thak mehnaat ki or dukaan ready karwae. Saath ma dukaan ka liye maal bhi khareedna shuru kar diya. Akhir 3 hafte baad dukaan bilkul set ho chuki thi. Maal bhi puhnch chuka tha.

 

Ma na Motorcycle or Gariyoo ka samaan rakha tha saath ma 2 Gariyoo ka or 2 motorcycle mechanic bhi rakh liye. 

 

Main road tha or posh ilaake ka kareeb to is liye dusare hi din sa gariyaa repairing ka liye aani shuru ho gae.Samaan mera hota or mehnat mechanic ki hoti. Wo apni mazdoori leta or ma samaan ka paise. Kafi acha kaam chal nikla tha.

 

Aik maheene baad dukaan ki saakh kafi ban chuki thi. Mechanic bhi kafi tajurbekaar the. Mujhe ab rozaana 10 sa 15 hazaar ka munaafa aane lag gaya. Yani maheene ka takreebn 3 lakh munafa tha. Us me sa 80 hazaar dukaan ka kiraaya nikal jaata baki 50 hazaar ka kareeb bills wagaira aa jaate. Koi 20 sa 30 hazaar ka degaar akhraajaat the. Yani mujhe 1 sa 1.5 lakh tak ki bachat ho jaati thi. 

 

Us din ma raat ko 12 baje ghar puhncha to ghar ma sirf Hania thi. Uske saath orphanage ki 2 or bachiyaa thi. Asma or Nida nazar naa aai. Ma na Hania sa pucha

 

Me:Hania bete tumhaari Mama kahan hn?? 

 

Hania:Bhaiya wo Mama ki tabiyaat achanak kharaab ho gae thi to Nida bhabhi unhe doctor ka pass le kar gae hn. 

 

Me:kya hua ha unhe?? 

 

Hania:pata nahi aik dam sa chakkar aaya or saath ma vomiting bhi ho rahi thi. 

 

Me:kis doctor ka pass gae hn??? 

 

Hania:Pata nahi. Abhi thori der pehle Nida bhabhi na call ki thi. Wo keh rahi thi ka ab Mama ki tabiyaat theek ha. Wo thori der tak waapis aa jaen gi. 

 

Me:tum mujhe call nahi kar sakti thi kya??? 

 

Hania:bhaiya wo Mama naa hi mana kiya tha ke aapko kuch na bataon. 

 

Ma na Nida ko call lagai.Usne call attend ki or boli

 

Nida:Hum puhnch gae hn. Aap darwaza kholein. 

 

Ma na call cut ki or bahir nikal kar darwaaza khola

 

Nida na car andar ki.Car sa dono utri to ma unki taraf barha. Asma mujhe dekh kar muskurane lagi or phir boli 

 

Asma:kuch nahi hua ma theek hn. Pareshaan naa ho aap. 

 

Me:bnda aik call hi kar deta ha. Pata ha kitni tension ho gae thi mujhe.

 

Nida:kuch nahi hua inko.

 

Hum baatein karte hue drawing room ma puhnch gae.

 

Nida:aap ke liye do do khushkhabriya hn. 

 

Me:kaisi khushkhabri??? 

 

Nida:ye reports parh lein aap. 

 

Wo mujhe reports pakraate hue boli

 

Ma na pehli report ki file kholi to wo boli

 

Nida:last ma parahain kya likha ha?? 

 

Ma na neche dekha or phir unchi awaaz ma parha

 

THE PREGNANCY TEST RESULTS IS POSITIVE. THE PATIENT IS ALMOST 2 MONTHS PREGNANT. 

 

Ma na report pa likha name parha to likha tha MRS ASMA WIFE OF MR. RAZI. 

 

Ma na khushi sa Asma ki taraf dekha to wo boli

 

Asma:dusari report bhi parhain

 

Ma na dusari report kholi or unchi awaaz ma parha

 

THE PREGNANCY TEST RESULT IS POSITIVE. PATIENT IS ALMOST 2 MONTHS PREGNANT. 

 

name dekha to likha tha MRS NIDA ARIF WIFE OF MR. RAZI. 

 

Ma na report wahin phenki or aage barh kar dono ko gaale laga liya. 

 

Asma mere gaale lagte hue kaan ma boli

 

Asma:are sharam karo bachiyaa samne khari hn kya sochein gi. 

 

Ma jheemp kar alehdaa ho gaya. Sone ka liye room ma gaya to Nida or Asma dono majood thi. 

 

Me:Khairiyat to ha naa aaj?? 

 

Nida:jee han khairiyat hi ha. Aaj sa hum teeno ilhathe aik kamre ma aik bed pa spya karain ge. 

 

Me:mera to faidaa hi ha. Ikhaathe dono ka saath.......

 

Mere baat mukamaal hone sa pehle hi Asma boli

 

Asma:zayaada khush mat ho. Ab 9 mahinoo tak chuti ha aapki. 

 

Ma na full afsurda mu bnaya to dono muskuraa di. 

 

2 maah baad ma na University ma Mechanical engineering ma admission ho gaya. Kamraan bhi mere saath hi tha. 

 

Pehle din hum Uni gae. Apne department  ma enter hue to saath hi hume kissi na unchi awaaz ma pukara

 

OYEE LANGOROOO IDHAR AAO DONO. 

 

Hum na awaaz ki simaat dekha to larko ka aik group khara hua tha or aik larka haath ke ishare sa humein apni taraf aane ke liye keh raha tha. Kamraan bola 

 

Kamraan:maare gae beta. Wahan clg ma to wo mummy daddy bachoo ka samne badmash bna rehta tha. Lekin inhein dekh sare ke sare biceps or six packs waale londe hn. Koi panga mat karna warna bohot pitein ge. 

 

Me:chal aa jaa thora shughal hi sahi. 

 

Kamraan:beta shughal shughal ma teri phaar ke rakh dein ge. Khud to do do bachoo ka baap banane waala ha meri to abhi shadi bhi nahi hue. Kahin ghalat jaga pa laga di inho na to meri nasal to khatam ho jae gi. 

 

Me:abhi to kuch hua nahi or teri phat rahi ha. Jab kuch ho ga tab dekh lein ge. 

 

Hum unke karreb puhnche to Kamraan bola 

 

Kamraan:AOA.kaise ho bhaiyoo aap sab??

 

Larka 1:Bhai to aise keh taha ha hume jaise tumhaari maa roz hamare baapo ka saath sooti ha

 

Me:tumhaare baapo ka to pata nahi lekin tumhaari Maaein roz raat ko hamare ghar bari bari aati hn. 

 

Aik larka gusae sa bola

 

Larka2:abe zayada badmash bn raha ha tu?? 

 

Kamraan :nahi bhai badmashi or ye. Kaisi baatein kar rahe hn aap. Ye to bohot phaato kisam ka aadmi ha. Bas aapki baat ka jawaab de raha tha. 

 

Larka 3:acha.chal phir abhi bhai ke paon pakar kar maafi maang. 

 

Kamraan na meri taraf dekha or ma ne usse aankh maar di. Phir aahista aahista neche baithata gaya or phir uske taakhnoo ke kareeb sa uski taangein pakar kar aik dam sa apni taraf kheencha. Wo balance naa rkah saka to peche ki taraf gira.Uske dostoo na usse sambhaala.Ma bola

 

Me:I am really very very sorry. 

 

Us ne aage barh kar mera girebaan pakar liya. Ma kapkapaati hui awaaz ma bola 

 

Me:bahi ye ye kyaaa kaaarrr rahee hoo tummm. Choor roo mera girebaan ab to maa ma ne maafi bhi maang li ha. 

 

Larka:zyada chalaaki dikha rahe ho tum. Ruko abhi btatata hn tumhe

 

Kamraan :bhai aap ne jo bhi btana ha wo baad ma bta lena abhi hume class ma jaana ha. 

 

Larke na Kamraan ko thapar maarne ka liye haath uthaya to ma na uska bazoo pakar liye or phir bola

 

Me:bhai kya kar rahe ho single pasli to ha ye. Aik thapar khaa kar behosh ho jaae ga ye. 

 

Saath hi ma na uski bazoo maroor di. Wo cheekhne laga. Ma na aik jhatka de kar uska bazoo chora to wo khoonkhaar nazaroo sa mujhe ghoorne laga. Ma bola

 

Me:dekho bhai itne bnde ho tum sab or hum do kamzoor sa bnde hn. Kuch to sharaam karo. 

 

Itne ma Kamraan mere kaan ma bola

 

Kamraan:oyee peche dekh

 

Ma na peche dekha to aik aadmi kafi acha soot boot pehne guzar raha tha. Kamraan bola

 

Kamraan :ye hamara dean jaa raha ha. 

 

Me:confirm??

 

Kamraan:Hn.

 

Ma unchi awaaz ma bola

 

Me:oye langoor kidhar jaa raha ha. 

 

Dean na hamari taraf mur kar dekha to ma Use haath ka ishara karte hue bola

 

Me:Haan tumhe hi bula raha hn Neele pent coat waale langoor idhar aa. 

 

Sab larke hairaani or pareshaani sa mujhe dekhne lage. Ma phir bola 

 

Me:sunta nahi ha kya?? Jaldi aa idhar. Pata nahi kahan kahan sa uth kar aa jaate hn engineer banane. Jaldi aa idhar. 

 

Wo meri taraf qadam barhane laga. Un larko ke haath pair sun hone lage. Wo mere kareeb aaya to ma bola

 

Me:Naam kya ha tumhaara?? 

 

Dean:Dr.Ishtiaq Ahmad. 

 

Me:Dr.Ish....... Ishtiaq

 

Itna keh kar ma na thook nigla or phir bola 

 

Me:Deeeann

 

Dean:yes

 

Kamraan:siiirrrr jeeee Sorryy sir. Hume in seniors na kaha tha ka us aadmi ko langoor keh kar idhar bulao to tumhaari ragging nahi karain ge. Sab aadhe ghante sa taang kar rahe hn ye log. 

 

Me:yessssss yeesss sir we areeee extremely sorry siirrrrrr... 

 

Un larko ma sa aik bola

 

Larka:Sir jee ye jhoot bol rahe hn aisi koi baat nahi kahi hum ne. 

 

Dean khamoshi sa hume dekhta raha phir muskuraate hue bola 

 

Dean:tum dono apni class ma jao or tum sab mere office ma ao. Jaldi

 

Me:Thank you sir. Thank you very much. 

 

Dean:jao ab. 

 

Ma na un larko ko dekh kar aankh maari or phir wahan sa khisaak liye. 

 

Class ma puhnche.Sab sa pehla lecture hi mathematics ka tha.Sir Professor Ijaz the. Wohi huliyaa jo aam tor par Maths ka professors ka hota ha. Ganja sar or pait bahir ko nikla hua.Kafi shughal mele waale aadmi the. Introduction ho raha tha. Meri saath bethe Kamraan ki baari aayi to wo bole

 

Sir Ijaz:Dono langoor khare ho jaen. Sari class hame ghoorne lag gae. 

 

Ma or Kamraan khare ho gae or aik saath thora unchi awaaz ma bole

 

               YESS SIIRRR

 

Sir Ijaz:Langooron ke naam?? 

 

Hum na apne naam bataye.phir sara introduction liya unho na. Konse college sa parhe. Kitne marks liye. Maths ma  kitne marks aaye. Ye wo har cheez

 

Sir:Kal se dono langoor mere samne betha karain ge. 

 

Kamraan halki awaaz ma bola 

 

Kamraan:maare gae. 

 

Me:ab kya karain bhugatna to pare ga hi. 

 

Sir unchi awaaz ma bole

 

Sir:kya khusar phusar laga rakhi ha?? 

 

Me:Nothing sir. Sir actually we don't feel comfortable while sitting on the first desk. 

 

Sir:So you got piles when you sit on the first desk. 

 

Kamraan ke mu sa phisal gaya ya shayaad wo jaan boojh kar bola

 

Kamraan:yes Sir. 

 

Sari class hansane lag gae. Sir muskuraate hue bole

 

Sir:So your bleeding stops when you sit on last bench. 

 

Kamraan:yes Sir

 

Sir muskuraate hue achaanak sanjeeda ho gae or phir bole

 

Sir:you Mr. Kamraan come and stand here  near the class room's door. You Mr. Razi sit down. 

 

Ma Kamraan sa bola

 

Me:jaa beta bn jaa chokidaar.teri bawaseer door ho jae gi. 

 

Kamraan :koi nahi beta kabhi tu bhi churi ka neche aaye ga hi naa. 

 

Next class Applied Physics ki thi. Wo bhi aik adheer umar ke sanjeeda sa professor the. Tesaara  Introduction To Engineering ka tha. Wo bhi aik adheer umar professor hi the. 

 

Classes khatam hui. Class sa bahir nikalte hue Kamraan bola

 

Kamraan:yar bahir to bohot shor suna tha ke yahan female professors or wo bhi patakha kisam ki female professors parhati hn lekin ye to kuch or hi ha. 

 

Me:Sharaam kar kuch. 

 

Kamraan:upar sa hamari class ki larkiyaa bhi..... farigh hn. Koi dhaang ki shakal suraat waali ha hi nahi. Mu utha ke chali aati hn

 

Me:haat jaa.Naa kar. 

 

Kamraan:kiun haat jaon. Yar fee pay ki ha kuch to mahool milna chahiye naa. 

 

Me:tu yahan parhane aaya ha ya larkiyaa taarne??? 

 

Kamraan :khairiyat to ha naa. Tu aaj naik parveen kiun bn gaya ha. 

 

Ma na peche ki taraf ishara kiya 

 

Usne peche mur kar dekha to hamari class ki sari larkiyaa gusse sa use hi ghoor rahi thi. Takreebn 10 ke kareeb larkiyaa thi. Kamraan aik dam sa side par ho gaya. Wo sab bari bari usse ghoor kar aage jane lagi. Jab sab hum sa aage chali gae to hum unke peche chalne lage. Kamraan aahista aawaz ma bola

 

Kamraan:yar lassi karwa di tune sari class ke samne. Bta nahi skta tha.

 

 

Me:Ishare to de raha tha lekin tu samjha hi nahi. 

 

Kamraan:aaj ka din hi manhoos ha. 

 

Me:subah sab neend sa uthate saath aaena dekha tha kya?? 

 

Kamraan:haan.

 

Me:is liye aaj ka din tere liye manhoos ha. 

 

Kamraan:laga le beta jitni jugaatein lagani hn. Aaj tera din ha. 

 

Aise hi hansi mazaak karte hue dukaan par aa gaya.Wahan subah sa ab tak ka hisaab kitaab kiya phir Lunch time ghar chala gaya. Khaana khaaya thori der aaram kiya or dubara phir Shop par aa gaya. 

📢 Post Your Ad Here

Account

Navigation

Search

Configure browser push notifications

Chrome (Android)
  1. Tap the lock icon next to the address bar.
  2. Tap Permissions → Notifications.
  3. Adjust your preference.
Chrome (Desktop)
  1. Click the padlock icon in the address bar.
  2. Select Site settings.
  3. Find Notifications and adjust your preference.