Jump to content
View in the app

A better way to browse. Learn more.

URDU FUN CLUB

A full-screen app on your home screen with push notifications, badges and more.

To install this app on iOS and iPadOS
  1. Tap the Share icon in Safari
  2. Scroll the menu and tap Add to Home Screen.
  3. Tap Add in the top-right corner.
To install this app on Android
  1. Tap the 3-dot menu (⋮) in the top-right corner of the browser.
  2. Tap Add to Home screen or Install app.
  3. Confirm by tapping Install.

Ma sab ka Hero

Featured Replies

Breaking News Ad
فورم اپڈیٹس
  • Replies 375
  • Views 739.2k
  • Created
  • Last Reply

Top Posters In This Topic

Most Popular Posts

  • Jamal baba
    Jamal baba

    Part 8   Next day school gaya.break tak koi khaas baat naa hui.Break ma ma or Hira bahir ground ma aakar beth gae.Hira or ma kuch der to study KA hawale sa discuss karte rahe phir ma bola

  • Jamal baba
    Jamal baba

    Part 7   Ma road cross kar ke madam ki taraf barha.Madam par meri nazar pari to ma unhe dekhta reh gaya.unho na intehai tight labas pehna hua tha.Black colour ka kameez or uske neche skin ti

  • Part 17   Madam:aaj ka baad sa Hania hamare saath hi rahe gi.    Me:sach ma????   Madam:Hn jee.   Me:yani ab is ghar ma khoob roonak lagi rahe gi.   

  • Author
5 hours ago, ᖱʜᴀᴄᴋᴇʀ said:

Update Kamal ki thi or suspense m update khatam krna to koi ap sy sikhy✌️

Shukriya jnb

  • Author
12 hours ago, Faiq ali said:

Baba g kamal update zbrdast and thanku ap ny update di pr bht choti thi maza aty hi khtm ho gyi thori lambi update dia kry ap ki story axhi hai intersting hai.

Masroofiyaat thori barh gae hn isi liye time kam milta ha story likhne ka. Lekin koshish karta hn ka update regularly dn chahe choti update dn. 

  • Author
On 6/9/2021 at 3:45 PM, Sharartikaka said:

Good ho gaya ab kahani main twist aye ga nida or asma main se razi kaise aik ke sath shadi karta hay kamal writer ho g

Kaka jee har update ka baad aap ke cmnt ka hi intazaar rehta ha.Samjhein aap ke cmnts ki wajaa sa hi story chal rahi ha

📢 Post Your Ad Here
  • Author

Update 31

 

Subah nashtaa kar ke ma seedha Madam Nida ka ghar puhncha. Darawaza khatkhatata raha lekin darwaza naa khula. Darwaza bahir sa lock bhi nahi tha. Yani ghar waale ghar par hi the. Ma na gate phalaanga or ghar ma daakhil ho gaya. Drawing room ma puhncha to sara samaan bikhra hua tha. Center table ka sheeshe sa lekar chote bare guldaan or showpiece tak har cheez tooti or bikhri pari thi. Wahan sa unke  bedroom ma aaya to room ki haalat drawing room sa bhi buri thi. Har taraf samaan bikhra para tha. Khud wo bed par oondhe mu laiti soo rahi thi. Kapre bhi wohi raat waale the.Aik haath pa khoon jama hua tha.Ma na goor sa dekha to hatheli pa kafi bara cut nazar aaya. Bandage bandhi hui thi lekin wo bhi khoon sa bheegi hui thi. Khoon sookh chuka tha. Chehre par bhi kharashein pari hui thi.

 

Unko is haalat ma dekh kar apne aap ko kosne laga.Ma na unka zakhmi haath apne haatho ma lekar chooma phir unke chehre par haath pherte hue awaaz di. 

 

Me:Ma'am 

 

Unho na koi response nahi diya. Ma na unhein kandhe sa pakar kar hilaya to unho na halki si aankhein kholi

 

Me:Good Morning! uth jaen ab 

 

Madam na larkharaati aawaz ma kaha

 

Madam Nida:kiiiiuuunn aaaaayeee hhooo aaabb??? 

 

Me:fresh ho jaen aap phir baatein karte hn. 

 

Madam na rundhi hui aawaz ma kaha

 

Madam Nida:chale jao yahan se koi baat nahi karni mujhe tum se

 

Itna bol kar Madam na karwaat li or phir seedhi ho gae.Unho na bed sa uthane ki koshish ki lekin kamzoori ki waja sa naa uth sakin. Ma na unko sahara de kar bed par bethaya. 

 

Me:kiun kiya ye saab hnn??? 

 

Madam Nida na kuch kehne ki bajae phoot phoot kar rona shuru kar diya. Ma na unka sar apne seene sa laga liya or unki kamar ka gird haat lapait kar unki kamar ko thapthapaane laga. Wo roti rahi aakhir khud hi chup kar gae. 

 

Ma unhein sahara dekar washroom tak laya.Towel geela kar ke unka chehra saaf kiya phir unki shirt ka button kholne laga.Unho na mazaahmat ki koshish ki lekin ma na unhe aankho ke ishare sa tasali di. Shirt utaar kar unho aik sleeping gown pehnaya or phir unki jeans bhi utaar di. Gown ki doori bandi or phir unka haath ka zakham par bandhi pati kholi or haath par jamaa hua khoon saaf kiye. Phir unhein bed par laa kar betha diya. Unke zakham par marham laga kar paati ki.phir pucha

 

Me:raat ko dinner kiya tha kya?? 

 

Madam Nida na naafi ma sar hila diya. Ma unhe sahara dekar kitchen ma le aaya. Wahan unhe dining table ki chair par betha kar unke liya doodh garam kiya. Thori haldi mix kar ke unhein peene ka liye diya.

 

Kissa mukhtassir unko halka phulka nashta karwane ke baad ma unhe unki gaari ma betha kar hospital ma le gaya. Wahan sa haath pa proper bandage karwae or medicine lekar unhein apne ghar le aaya yaani Madam Asma ke ghar. Ghar ma us wakat koi bhi nahi tha. Madam Asma factory gae hui thi jabke Hania school gae hui thi.

 

Unhein apne kamre ma bed par lita diya.

 

Madam Nida:mujhe yahan kiun lekar aaye ho??

 

Me:jab tak aap theek nahi ho jaati yahin rahein ge. Yahan aapki dekh bhaal ka liye hum hn.

 

Madam Nida:Ma apni dekh bhaal khud kar sakti hn. 

 

Me:Is maamle ma mujhe aap pe yakeen nahi raha. 

 

Ma kamre sa bahir jaane laga to Madam Nida boli

 

Madam Nida:Mujhe tum sa zaroori baat karni hn 

 

Me:aap aaraam karein.Lunch ka baad baatein hoti rahein gi. 

 

Ma unhein room ma chor kar ghar sa bahir nikal aaya. Paidal hi Madam Nida ka ghar ki taraf chal para. Dimagh ma mukhtalif soochein gad mad ho rahi thi. Kya karun.Mukhtalif soochein gaad maad hoti rahi. Is masle ka koi hal nazaar naa aaya. Mere sa me dard hone laga.Madam Nida ka ghar sa apni bike li or Seedha Nazia ka ghar puhnch gaya. 

 

Nazia ki Ami na darwaza khola. Mujhe dekh kar muskurate hue boli

 

Aunty:pure time par aaye ho. Abhi Nazia college ka liye nikali ha. 

 

Ma thake hue lehje ma bola

 

Me:uska college open ho gaya???? 

 

Aunty:hn uska college to kal sa hi open ha. Khairiyat to ha naa aaj bare pareshaan or thaake thaake sa lag rahe ho. 

 

Wo sofe par bethi hui thi. Ma apna sar unki goad ma rakh kar sofe par lait gaya.Aunty mere sar par pyaar sa haath pherte hue boli

 

Aunty:kya baat ha ???koi pareshaani ha to batao dono mil kar uska solution nikalte hn. 

 

Ma bola

 

Me:koi masla nahi ha?? Aaj thori thakaan ho rahi ha bas

 

Wo chup chaap mera sar dabaane lagi. Kuch der ma khamoosh raha phir bola

 

Me:aunty agar aapko aapki pasand ki do cheezein mil rahi hn lekin aapko aik pasand karni ho to aap konsi cheez pasand karain gi.

 

Aunty:jis sa mujhe faida hasil ho ga. Wohi cheez hasil karun gi. 

 

Me:agar dono sa aik jaisa faida hasil ho to?? 

 

Aunty:to jo dil ko achi lage gi wohi cheez hasil karun gi. 

 

Me:agar dono cheezein hi dil ko achi lagein to??? 

 

Aunty:to ma dono ko har keemat par hasil karne ki koshish karun gi 

 

Unki baat sun kar ma aik dam sa chonk gaya. Ye to ma ne soocha hi nahi tha. Yani ma dono sa bhi to shadi kar sakta hn naa.ye soochte hi meri sari pareshaaniyaa door ho gae. Ma na karwaat li or phir apna chehra unke pait ma daba diya or phir bola

 

Me:thank you.aap ne meri saari pareshaani door kar di. 

 

Aunty muskuraa di. Ma wahi unki goad ma sar rakhe TV dekhta dekhta soo gaya. Dopeher ko Aunty na uthaya

 

Aunty:beta utho lunch kar lo. 

 

Ma aankhein maalte hue uth betha. Washroom sa hath mu dhoo kar bahir aaya to Nazia mujhe dekh kar Muskurati hui boli

 

Nazia:apne ghar ma tumhe koi sone nahi deta kya jo hamare ghar aa kar soo jaate ho. 

 

Me:Ma to tum sa milne aaya tha lekin pata chala ke tum college gae ho. Tumhara intizaar karte karte yahin soo gaya. 

 

Nazia:acha jee Hazraat saab mujh sa milne aaye thi. 

 

Ma na muskuraate hue bola

 

Me:tum sa kon milne aaya ha. Ma to apni aunty sa milne aaya hn. 

 

Nazia:to phir aunty sa hi baatein karo. Hunnn.... 

 

Itna keh kar usne mu pher liya or boli

 

Nazia:Ami jaldi khaana le aaein bohot bhook lag rahi ha. 

 

Aunty:laati hn thora sabar bhi karo. 

 

Aise hi lunch ka doraan nook jhonk chalti rahi. Khaana khaa kar Ma ghar ka liye Nikal gaya. Ghar puhncha to Hania Madam Asma or Madam Nida khaana khaa rahi thi. Ma bhi unke saath jaakar beth gaya. Khaana to khaa kar aaya tha phir bhi un sab ke saath beth kar thora sa khaa liya.

 

Khaane ke baad Ma TV dekhne lag gaya. Ghar ma aaj ajeeb tarha ki khamoshi pheli hui thi. Warna har wakt hum teeno ke kahkaahoo ki aawazein aati rehti thi. Ma na Hania ko awaaz di 

 

Me:Haniii beta..... Haniaaa.. 

 

Hania ki bajae Madam Asma na kitchen sa awaaz lagai

 

Madam Asma:wo orphanage gae hui ha. 

 

Ma dubara TV dekhne lag gaya. Thori der baad uth kar kitchen ma chala gaya. Madam Asma dhulle hue bartan shelves ma laga rahi thi. Ma na unse pucha

 

Me:aap naraaz to nahi hn naa mujh se??? 

 

Madam Asma na Muskuraa kar mujhe dekha or phir boli 

 

Madam Asma:ma bhalaa kiun naraaz hn gi tum sa?? 

 

Me:wo Madam Nida ki waja sa

 

Madam Asma:are uski waja sa kiun naraaz hn gi tum sa. Ye to bohot acha hua ka tum meri baat maan kar unko dekhne chale gae or agar naa jaate to wo shayaad..... 

 

Me:ab mujhe is masle ka hal bhi bataen

 

Madam Asma:kis masle ka haal bataun tumhe??? 

 

Me:aap jaan bhooj kar aanjaan ban rahi hn.. 

 

Madam Asma:tum Nida sa payaar karte ho??? 

 

Me:jawaab aap jaanti hn. 

 

Madam Asma:wo meri khushfehmi bhi ho sakti ha. Apni zubaan sa batao. 

 

Me:Aashikoo walaa payaar to nahi ha unse. Sirf dilli lagao ha. 

 

Madam Asma:lekin wo tumhe apne dil ma basa bethi ha?? 

 

Me:yehi to maslaa ha?? 

 

Madam Asma:kya apna ghar banaane ka liye dusare ka ghar toorna jaiz ha?? 

 

Me:bilkul bhi jaiz nahi.Apne saath saath dusaroo ka bhi khayaal rhakhna chahiye 

 

Madam:Maslaa to tum na khud hi solve kar diya

 

Me:mtlb???

 

Madam Asma:Mtlb ye ka tum Nida sa shadi kar lo. 

 

Me:or aap??? 

 

Madam Asma:ma to 35 36 saal umar guzaar chuki hn.aage bhi guzaar ln gi lekin wo abhi 27 28 saal ki ha. Uski abhi zindagi pari ha.use tumhaari zaroorat ha. Usi sa shadi kar lo. 

 

Me:ye sab fazool baatein hn. Mere pass aik darmayaani raasta ha. 

 

Madam Asma:konsa raasta ha tumhaare paas??? 

 

Me:Ma aap dono sa shadi kar leta hn. Waise bhi mujhe 4 shadiyoo ki ijaazat ha. 

 

Madam Asma:kar to sakte ho lekin duniyaa waale kya kahain ge. Aik saath do do shadiyaa or wo bhi apne sa 8 10 saal bari umar ki auraatoon sa..... 

 

Me:Duniyaa ko to ma usi wakaat raadi ki tookri ma phenk chuka tha jab ma footpath par sona shuru hua tha. Isi liye aap duniyaa ki parwaa naa karain mujhe bataen ye faislaa aapko manzoor ha ya nahi. 

 

Madam Asma:mujhe koi aitraaz nahi ha tum Nida sa puch lo. 

 

Me:theek ha phir ma unse bhi puch leta hn

 

Jaise hi ma peche mura to aik dam sa chonk gaya. Madam Nida kitchen ka darwaaze par khaari hui thi or unki aankho sa aanso beh rahe the. Ma teezi sa unki taraf lapka or unki aankho sa aanso saaf karte hue poocha

 

Me:kya hua aap roo kiun rahi hn??? 

 

Madam Nida kuch kehne ki bajae aage barhi or seedha Madam Asma ka kadmoo ma jaa kar beth gae or boli

 

Madam Nida:tum aurat nahi ho farishta ho.Ye jaante hue bhi ka Razi mujh sa nahi tum sa payaar karta ha phir bhi tum usse mere saath shadi karne par razamand karti rahi sirf is liye ka ma Razi sa payaar kar bethi hn. Mujhe maaf kar do.Ma ne jaa bujh kar Razi sa pyaar nahi kiya wo to pata nahi kab mere dil ma bas gaya. Ma nahi jaanti. A.....  Ki kasam.

 

Madam Asma na Madam Nida ko sahara de kar khara kiya phir boli

 

Madam Asma:ma jaanti hn tumhaara koi kasoor nahi ha. Tum koi zabardasti hamari zindagi ma daakhil nahi hui.Naa tumhaara kasoor ha na meta ye to takdeer ma likha tha ke hum dono aik hi aadmi ki biviyaan bne gi. So takdeer na hamein mila diya. Tum kiun roo rahi ho.

 

Me:acha ye emotional scene bohot ho gaya. Ab to khush ho jaen aap dono. Phans to ma gaya hn naa. Ab dono sa 8 8 bache paida ho gae to unhe sambhaale ga kon?? 

 

Wo dono meri baat sun kar pheeki si hansi hans di. 

 

Kissa mukhtasar aik saal baad college khatam hua to aik chooti si takreeb ma dono sa mera Nikkah parha diya gaya. 

 

 

Ab aap log sooch rahe hn ge ke ma kahun ga Nikkah hua phir suhaagraat hui phir hamare bache hote gae.Zindagi yunhi chalti rahi. Naa jee naa asal story to shuru hi yahan sa hoti ha. Abhi to aap na mera pyaar karne walaa roop dekha ha Mera Action to abhi baaki ha. 

Kamal ho gaya pore story ke sb se kamal update maza aya ustad g lage raho or hamesha ke tarhan suspense  chor dya next update ke lye good 

📢 Post Your Ad Here

Account

Navigation

Search

Configure browser push notifications

Chrome (Android)
  1. Tap the lock icon next to the address bar.
  2. Tap Permissions → Notifications.
  3. Adjust your preference.
Chrome (Desktop)
  1. Click the padlock icon in the address bar.
  2. Select Site settings.
  3. Find Notifications and adjust your preference.