Jump to content
View in the app

A better way to browse. Learn more.

URDU FUN CLUB

A full-screen app on your home screen with push notifications, badges and more.

To install this app on iOS and iPadOS
  1. Tap the Share icon in Safari
  2. Scroll the menu and tap Add to Home Screen.
  3. Tap Add in the top-right corner.
To install this app on Android
  1. Tap the 3-dot menu (⋮) in the top-right corner of the browser.
  2. Tap Add to Home screen or Install app.
  3. Confirm by tapping Install.

(._.)Milestone(._.)

Previous Members
  • Joined

  • Last visited

Everything posted by (._.)Milestone(._.)

  1. Dekh hamari deed ke karan kaisa Qaabil E deed hua Ek sitaara baiThe baiThe taabish meN khursheed hua Aaj to jaani, rastaa takte, shaam ka chaNd padeed hua Tu ne to inkaar kiya tha, dil kab naa-ummeed hua?? Aan ke is beemaar ko dekhe!! tujh ko bhi taufeeQ hui? Lab pe us ke naam tha tera, jab bhi dard shadeed hua HaaN us ne jhalak dikhlayi, ek hi pal ko dreeche meN Jaano ek bijli lahraayi, aalam ek shaheed hua Tu ne hum se kalaam bhi chhoRa, arz E wafaa k sunte hi Pahle kaun Qareeb tha hum se, ab to aur ba’eed hua Duniya ke sab karaj chhoRe, naam pe tere ‘Insha’ ne Aur use kya thoRe Gham the? tera ishq mazeed hua
  2. Ajam ke shahroN meN ek shahar ka hai ye qissa Yeh raft O bood ka ek silsilaa jo qaayam hai BhaNvar meN jis ke har ek cheez doob jaati hai Suna hai us meN kisi qasbe ka rayees baRa PhaNsa kuchh aisa, koi chaal kaargar na hui Har ek tibbee madad, har dawa, ilaaj, gharaz Woh sab jo qabza E insaan O mumkinat meN tha Kiya, tamam maseeha qareeb O door jo the Talab kiye gaye, sab ko zar E kaseer diya Magar khuda ko jo manzoor tha woh ho ke raha Ajal ne beTe se mahboob baap chheen liya Khabar yeh phail gayi door paas pal bhar meN Har ek rota tha zaar O qataar sun sun kar Pisar ke bain ka dil par asar shadeed hua Woh seena peet ke kahta tha baar baar, ‘Pidar! Chale ho aisi jagah chhoR kar hameN sab ko JahaaN na dost na hamdam na koi hai munis Andheri kothri hogi, akele rahna hai Na khana paani jahaaN hai na roushni ka guzar WahaaN pe jaisi bhi guzregi khud hi sahna hai Har ek chez ko tarsoge haaye haaye wahaaN Koi madad ko na aayega aisi duniyaa hai!!’ Ghareeb bhi koi shamil tha us janaaze meN Aur apne noor E nazar ko bhi saath laaya tha Suni jo aah O buka us ne kuchh nahi samjha Palat ke baap se poochha bahut hi saadgi se ‘Hamare ghar liye jaate haiN kya unheN baba?’
  3. TamannaaoN meN uljhaayaa gaya hooN Khilaune de ke bahlaayaa gaya hooN HooN us kuuche ke har zarre se aagaah Udhar se muddatoN aayaa gaya hooN Dil E muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm Main Khud aayaa nahi laayaa gayaa hooN Saweraa hai bahut ai shor E mahashar Abhii bekaar uThavaayaa gayaa hooN Lahad meN kyuN na jaaooN muNh chhupaye Bharii mahafil se uThawaayaa gayaa hooN kujaa main aur kujaa ai ‘Shad’ duniyaa kahaN se kis jagah laayaa gayaa hooN
  4. Waoooo... amazing Yarrr ... very Nice and Beuatifull Jaga Hai... Nice Post Dear... Keeepp it uppp
  5. Waoooooooo... Really Amazing yarrr Great Sharring Hai Dear.... Ajoba He Hai GGG Nice One Keeep It uppp thanks
  6. Waooo... jasmin g Nice Post Dear ........ Great China Wall Kamal Hai GGG Thanks For Sharing...
  7. Ye tajrubaa bhi karuN, ye bhi kar dikhaauN maiN K Khud ko yaad rakhuN us ko bhul jaauN maiN Fareb-kaar meN kuchh to hai, koi baat to hai K jaan boojh ke itne fareb khaauN maiN Vo pal kahaN haiN jo duniyaa se joRta tha mujhe Jo paauN tujh ko to sab ke qarib aauN maiN Kabhi to ho mere ehasaas E kam-tari meN kami Kabhi to ho K use khul ke aazmaauN maiN Vo shaKhs hai K nasim E sahar ka jhoNkaa hai Bikhar hi jaauN jo us ko gale lagaauN maiN AzaaN ke baad duaa ko jo haath uThaaye voh ‘Imam’ apani namaazeN bhi bhul jaauN maiN
  8. Be-qaraari si be-qaraari hai Wasl hai aur firaaq taari hai Jo guzaari na ja saki hum se Hum ne woh zindagi guzaari hai Us se kahiyo K dil ki galioN meN Raat din teri intezaari hai Ik mehak samt-E-jaaN se aayi thi MaiN yeh samjha teri sawaari hai Haad-soN ka hisab hai apna Warna har aan sab ki baari hai Bin tumhare kabhi nahiN aayi Kya meri neeNd bhi tumhari hai Nig-habaaN kya hue K logoN par apna saaya bhi ab to bhaari hai Khush rahe tu ke zindagi apni Umr bhar ki ummeed waari hai Aap meN kaisay aauN maiN tujh bin SaaNs jo chal rahi hai aari hai Hijr ho ya wisal ho kuchh ho Hum haiN aur us ki yaadgaari hai
  9. Wo har jumla adhoora bolta hai Phir uske baad chehra bolta hai Wo taht-ul-lafz ho ya ho tarannum Ghazal kiski hai lahja bolta hai Jahannum naam likhwa lega apne Buzurgon se jo ooNcha bolta hai Hai aaurat ek saleeqe mand ghar me Sajawat ka tareeqa bolta hai Ghazal ‘Javed’ ne chheRi hai jab se Jidhar dekho ujaala bolta hai
  10. Jurm E inkaar ki sazaa hi de Mere haq meN bhi kuch sunaa hi de Ishq meN ham nahiN zyaadaa-talab Jo teraa naaz E kam-nigaahi de Tu ne taaroN se shab ki maaNg bhari Mujh ko ek ashk subh-gaahi de Tu ne banjar zamiN ko phuul diye Mujh ko ek zakhm dil-kushaa hi de BastiyoN ko diye haiN tu ne chiraaG Dasht E dil ko bhii koii raahi de Umr bhar ki navaa-gari kaa silaa Ae Khudaa! koii ham-navaa hi de Zard-roo hain waraq KhyaaloN ke Ae shab E hijr, kuch siyaahii de Gar majaal E sukhan nahiN ‘Nasir’ Lab E khaamosh se gavaahi de
  11. Very Nice Post GG... Marium Dear Buhat Pyari Collection hai Dear... Nice Post GG...
  12. Waoooooo... Dear Very Informative Dear .......Buhat zabadast information di hai ap ne gg keeepp it uppp
  13. Wahhhhhhhhhhh.... GGG Kya Halments Hai Yarrr Asie helments milty kahan se hain yarrr nice thread g
  14. Ajam ke shahroN meN ek shahar ka hai ye qissa Yeh raft O bood ka ek silsilaa jo qaayam hai BhaNvar meN jis ke har ek cheez doob jaati hai Suna hai us meN kisi qasbe ka rayees baRa PhaNsa kuchh aisa, koi chaal kaargar na hui Har ek tibbee madad, har dawa, ilaaj, gharaz Woh sab jo qabza E insaan O mumkinat meN tha Kiya, tamam maseeha qareeb O door jo the Talab kiye gaye, sab ko zar E kaseer diya Magar khuda ko jo manzoor tha woh ho ke raha Ajal ne beTe se mahboob baap chheen liya Khabar yeh phail gayi door paas pal bhar meN Har ek rota tha zaar O qataar sun sun kar Pisar ke bain ka dil par asar shadeed hua Woh seena peet ke kahta tha baar baar, ‘Pidar! Chale ho aisi jagah chhoR kar hameN sab ko JahaaN na dost na hamdam na koi hai munis Andheri kothri hogi, akele rahna hai Na khana paani jahaaN hai na roushni ka guzar WahaaN pe jaisi bhi guzregi khud hi sahna hai Har ek chez ko tarsoge haaye haaye wahaaN Koi madad ko na aayega aisi duniyaa hai!!’ Ghareeb bhi koi shamil tha us janaaze meN Aur apne noor E nazar ko bhi saath laaya tha Suni jo aah O buka us ne kuchh nahi samjha Palat ke baap se poochha bahut hi saadgi se ‘Hamare ghar liye jaate haiN kya unheN baba?’
  15. Ek naye roop me nazar aaya Wo kahiN jake kya saNwar aaya Mere yadoN ke thum gaye hain paon Us haweli ka jab khaNdar aaya Apne daaman ko phaaR kar rona MuddatoN baad ek hunar aaya Log izzat se tak rahe haiN mujhe Mera kirdaar ab nikhar aaya ChaaoN jaisi thi shakhsiyat jiski Dhoop oRhay hue nazar aaya Apne par ko samet kar ‘Javed’ AasmanoN se maiN utar aaya
  16. یہ جو زیر عتاب ہیں سارے حامی انقلا ب ہیں سارے شہر ہے جن کے دم سے با رونق ہم سے خانہ خراب ہیں سارے دام خوش منظری میں قید ہو کیوں ؟ بے وقوفو !! سراب ہیں سارے اپنے خوابوں کی لاش اٹھاے ہیں لوگ جو کامیاب ہیں سارے وہ گلی ، وہ مکان ، وہ کھڑکی کچی عمروں کے خواب ہیں سارے ***** Yeh jo zer E ataab haiN saaray Haamii E inqilaab haiN saaray Shahr hai jin ke dam se ba rounaq Hum se khaanaa kharaab haiN saaray Daam E khush manzari meN qaid ho kyun? Be waqoofo! saraab haiN saaray Apne khaaboN ki laash uthaaye haiN Log jo kaamyaab haiN saaray Woh gali, woh makaan, woh khiRki Kach_chi umroN k khaab haiN saaray Aa kisi din tujhe main dikhlaun Dukh mere lajawab hain saare
  17. Shab wohi lekin sitara aur hai Ab safar ka iste’ara aur hai Ek muththi rait men kaise thame Is samandar ka kinara aur hai Mauj k murne men kitni der hai Nao dali aur dhara aur hai Jang ka hathyar tai kuch aur tha Teer seene men utara aur hai Matn men to jurm sabit hai magar Haashiya, sare ka sara aur hai Sath to mera zamiN deti mager Aasman ka hi ishara aur hai Dhoop men dewaar hi kaam ayegi Tez barish ka sahara aur hai Haarne men ek anaa ki baat thi Jeet jane men khasara aur hai Sukh ke mausam ungliyoN pe gin liye Fasl E gham ka goshwara aur hai Der se palkeN nahi jhapkiN meri Pesh E jaN abke nazara aur hai Aur kuch pal us ka rasta dekh lun Aasman par ek tara aur hai Had chiraghon ki yahan se khatm hai Aaj se rasta hamara aur hai
  18. Maslak -e- jabr woh apnaate hue Hum baGhaavat pe tule jaate hue Apni bebaak muhabbat ki wajah Ek mulaqaat thi, ghabraate hue Dekhte rahte hain hum hijr naseeb Saa’at E wasl guzar jate hue Husn-e-afsurda ki taazim me sab phool paaye gaye murjhate hue Kya mere baa’d bhi koi aaya Dar E maqtal pe ghazal gaate hue Sar E baazaar tamaashaayi sab Jaan se aik bashar jaate hue Humne us k liye kuchh she’r likhe Dil e babas pe taras khate hue Rooh ko hogaye battiis baras Habs E be-ja ki sazaa paate hue
  19. TamannaaoN meN uljhaayaa gaya hooN Khilaune de ke bahlaayaa gaya hooN HooN us kuuche ke har zarre se aagaah Udhar se muddatoN aayaa gaya hooN Dil E muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm Main Khud aayaa nahi laayaa gayaa hooN Saweraa hai bahut ai shor E mahashar Abhii bekaar uThavaayaa gayaa hooN Lahad meN kyuN na jaaooN muNh chhupaye Bharii mahafil se uThawaayaa gayaa hooN kujaa main aur kujaa ai ‘Shad’ duniyaa kahaN se kis jagah laayaa gayaa hooN
  20. Dil ki baat laboN per laa kar ab tak hum dukh sahte haiN Hum ne sunaa tha is basti me dil waale bhi rahte haiN Beet gaya saawan ka mahina, mausam ne nazreN badleeN Lekin in pyasi aankhoN me ab tak aaNsu bahte haiN Ek hamaiN aawaara kahnaa koi baRaa ilzaam nahiN Duniya waale dil waaloN ko aur bahut kuchh kahte haiN Jin ki khaatir shahr bhi chhoRa, jin k liye badnaam hue Aaj wohi hum se begaane bagaane rahte haiN Woh jo abhi is raah guzar se chaak garebaaN guzraa tha Us aawaara deewaane ko ‘Jalib’ ‘Jalib’ kahte haiN

Account

Navigation

Search

Configure browser push notifications

Chrome (Android)
  1. Tap the lock icon next to the address bar.
  2. Tap Permissions → Notifications.
  3. Adjust your preference.
Chrome (Desktop)
  1. Click the padlock icon in the address bar.
  2. Select Site settings.
  3. Find Notifications and adjust your preference.