Hosla chor gaya tha sath nibhane wala,
Jane kis simat gaya aj wo jane wala,
Aj phir aankh me aay hazaron anso.
Aj phir yaad wo aya hy bhulane wala,
Ab kahen ja k mere zakhm bhare hain,
Dekho Ab kahen lout k a jaye na jane wala,
Ay,"Khuda"! Us ka har khuwab salamt rakhna,
Ghum na dekhe wo mere khuwab jalane wala,
Ab kahen raah mein mil jaye to itna kehna,
Mar gaya kab ka tujhe cahany wala..!