Jump to content
View in the app

A better way to browse. Learn more.

URDU FUN CLUB

A full-screen app on your home screen with push notifications, badges and more.

To install this app on iOS and iPadOS
  1. Tap the Share icon in Safari
  2. Scroll the menu and tap Add to Home Screen.
  3. Tap Add in the top-right corner.
To install this app on Android
  1. Tap the 3-dot menu (⋮) in the top-right corner of the browser.
  2. Tap Add to Home screen or Install app.
  3. Confirm by tapping Install.

Ma sab ka Hero

Featured Replies

چھا گئے آپ تو 

بہت عمدہ انداز میں کہانی کو آگے بڑھایا 

درخواست ہے کہ اگر کچھ جلدی اپڈیٹ مل جائے تو عنایت ہو گی

Breaking News Ad
فورم اپڈیٹس
  • Replies 375
  • Views 739.3k
  • Created
  • Last Reply

Top Posters In This Topic

Most Popular Posts

  • Jamal baba
    Jamal baba

    Part 8   Next day school gaya.break tak koi khaas baat naa hui.Break ma ma or Hira bahir ground ma aakar beth gae.Hira or ma kuch der to study KA hawale sa discuss karte rahe phir ma bola

  • Jamal baba
    Jamal baba

    Part 7   Ma road cross kar ke madam ki taraf barha.Madam par meri nazar pari to ma unhe dekhta reh gaya.unho na intehai tight labas pehna hua tha.Black colour ka kameez or uske neche skin ti

  • Part 17   Madam:aaj ka baad sa Hania hamare saath hi rahe gi.    Me:sach ma????   Madam:Hn jee.   Me:yani ab is ghar ma khoob roonak lagi rahe gi.   

Very nice brother, kahani apni track per tezi se aagay barh rhi hay, keep it up bro

  • Author

Update 46

 

Aik dam sa bethe bethaye achaanak kya sa kya ho gya. Ma ne kabhi khawaaboo ma bhi aaesa nahi soocha tha. Lekin ab jo ho gya tha usko qabool kar lena hi sab sa bari samajhdaari thi. Ma kamre ma puhncha to Aleena bed par ghutanoo ma sar diye bethi thi. Ma kamre ma dakhil hua to ysne sar utha kar meri taraf dekha. Uski aankhein roo roo kar sooj chuki thi. Shayad aanso khushaak ho chuke the.Usne aik nazar meri aankhoo ma dekha to mujhe uski aankhoo ma bas weraani hi nazar aayi. Naa koi ghum naa khushi naa herat naa pareshaani kuch bhi nahi uski aankho ma koi jazba nahi tha. 

 

Ma uske kareeb jaa kar bed par beth gya or phir bola

 

Me:jo kuch bhi hua tum jaanti ho naa hi is ma tumhaara koi kasoor ha or naa hi mera. Naa aapke wehem o gumaan ma tha ye sab or naa hi ma ne aesa kuch socha tha.lekin.........

 

Itna keh kar ma ne aik gehri sans li or phir bola

 

Me:jo ho gya ha acha hi hua ho ga. Kismat ka likha samajh kar kabool kar lete hn dono or agar tum is rishte ko kaem nahi rakhna chahti to ma kuch din baad tumhe yahan sa kahin door le jaa kar tumhe talaak de dn ga or phir jis sa tum kaho gi ma tumhaari shadi karwa dn ga. 

 

Usne aik dafa nazar utha kar meri taraf dekha. Us ki aankhein wese hi bilkul jazbaat sa aari thi. Meri nazarein khud ba khud jhuk gae. Ma utha or ghar sa bahir nikal gya. Yunhi Kaale khan ke mukhtalif aadoo par gya to har taraf khalbali si maachi hui thi. Log gaariyoo par aa rahe the jaa rahe the. Saare sheher ma mujhe dhoondha jaa raha tha ma unki nazaroo ke samne hote hue bhi uski nazaroo sa oojhaal tha. Khair raat ko takreebn 10 baje khaane lekar ghar puhnchaa.Darwaaza khatkhatataya to thori der baad Aleena ki dari sehmi si awaaz aai 

 

Aleena:Kon ha??? 

 

Me:Ma hn Razi darwaaza kholo

 

Usne darwaaza khol diya. Uski haalaat dekh kar samajh gya ke wo akele ma ghbraa gae thi.Mujhe apni himaakat par afsooa hua ke usse akele yun ghar ma chor kar mujhe nahi jaana chahiye tha. Khair ma ne khaana use pakraaya or phir bola

 

Me:ye lo khaana or lagao table par tab tak ma fresh ho kar aata hn. 

 

Usne ne mere haath sa khaane ka bag liya or phir sar jhukaaye kitchen ki taraf chali gae. Ma bhi fresh ho kar kitchen ma puhnch gaya tab tak wo khaana laga chuki thi. Ma kursi par betha to wo kitchen sa bahir jaane lagi. Ma ne thora unchi awaaz ma kaha

 

Me:Kahan jaa rahi ho??? 

 

Wo wahin ruk gae lekin koi jawaab nahi diya. Ma ne thori der uska intezaar kiya jab wo kuch naa boli to ma phir sa bola

 

Me:idhar aao betho khana khao

 

Kuch der wo khamooshi sa wahin khaari rahi phir boli

 

Aleena:bhook nahi ha mujhe

 

Me:bhook to mujhe bhi nahi ha lekin khaa raha hn naa tum bhi aao betho khao

 

Aleena:jee wooo.... 

 

Ma apni chair sa utha or aage barh kar usko baazo sa khench kar dining table tak lekar aaya or aankhon sa usse kursi par bethane ka ishara kiya.Wo chup chaap beth gae.Ma ne khana plate ma daal kar uske samne rakha or bola

 

Me:chup chap khaana khao

 

Usne sar jhuka kar khaana shuru kar dia. Khana khaa kar wo waapis apne kamre ma chali gae. Ma bhi thori der baad uske room ma chala gya. Wo bed par laiti hui thi. Ma bhi dusari taraf sa jaa kar uske saath bed par lait gaya.Usne karwat lekar meri taraf dekha or phir dubara mu dusari taraf kar liya. Ma bhi bina kuch bole laita raha. Kafi der hum dono yunhi khamoshi sa laite rahe phir usne achaanak karwaat badal kar meri taraf dekha or phir sehmi hui awaaz ma pucha

 

Aleena:Wo aapki pehle shadi hui hui ha naa??? 

 

Me:Haan 2 bache bhi hn. Kiun khairiyat ha naa??? 

 

Aleena:jee wo aapki pehli bivi ko koi aitraaz to nahi??? 

 

Me:us sa puchne ka moka hi kahan mila tha. Phir bhi mujhe umeed ha ke wo kuch nahi kahe gi. 

 

Aleena:Jee mujhe unse baat karni ha. Aap milwa sakte ho kya unse??? 

 

Me:wo to Pakistan sa bahir ha. Or shayad hi ab waapis aaye. Mera khud us sa koi rabta nahi ha filhaal. 

 

Aleena:jee acha. 

 

Saath hi usne karwaat le li or mu dusari taraf kar liya. Ma ne us sa pucha

 

Me:Kya soocha ha phir mere saath hi raho gi ya phir......

 

Ma itna keh kar khamosh ho gya to wo boli

 

Aleena:aapko ab tak samajh jaana chahiye tha

 

Ma samajh gya. Thori der ma ne intezaar kiya phir uska baazo pakar kar usse apne upar kheench liya or apne hont uske honto par rakh diye.......... 

 

 

                       ------------------------------

Agli subah aankh khuli to Aleena mere seene par sar rakhe soo rahi thi. Uske baal mere seene par or chehre par bikhre hue the. Uska sanwala jisam khirki sa aati suraj ki kirnoo sa chamak raha tha. Ma ne aaram sa uske neche sa nikla or khirki ke aage parda kar dia. Phir apne kapre lekar washroom ma ghuss gaya. Naha dhoo kar bahir nikla to Aleena bed sa taik lagae bethi thi. Mujhe dekh kar usne sharam ke maare apni nazarein jhuka lein. 

 

Ma aage barha or uske pass jaakar bed par beth gya or phir uski peshaani par boosa dekar kaha

 

Me:Jaldi sa fresh ho jao. Ma nashta bnata hua tab tak. 

 

Usne nazarein utha kar meri taraf dekha or phir boli 

 

Aleena:aap.... Aap kiun nashta banaen ge. Maa...  Maa bnao gi naa

 

Me:acha tumhi bna dena lekin pehle fresh to ho jao. 

 

Phir nashta kar ke ma bahir nikal gya. Is dafa ma ne kaale khan ke saath directly do do haath karne ka sooch liya tha or uske liye mujhe moka chahiye tha or ma kaale khan ke tamaam aadoon ka jaizaa leta raha. Kaale khan ki mukkamal routine par nazar rakhi hui thi. Ma chaahta tha ke Kaale khan jis ke liye kaam karta ha uske baare ma maaloom ho jae to phir hi kaale khan ko nimptaon. Iske liye ma ne Kaale khan ka ird gird ke tamaam saathiyoo par nazar rakhni shuru kar di. Aese hi aik hafta guzar gya lekin koi suraag naa mila. Shayaad wo muhtaat ho chuke the. 

 

2 hafte baad Chuha khud bakhud apne bill sa nikal aaya. Us din ma Raat ke 10 baje Kaale khan ke sabse se bare aade ke bahir betha wahan sa jaane ke liye par tool raha tha ke tabhi Kaale khan ki gaari bahir nikli. Ma use dekh kar chukana ho gya. Gaari aage barhi to ma ne aik khaas fasla rakh kar muhtaat andaaz sa uska taaqub shuru kar diya. Gaari takreebn aik ghante baad shehr sa thora bahir aik farm house ma chali gae.Ma ne bike ghumae or farm house ke pechli taraf chala gaya. Chardewaari kafi unchi thi upar sa uspar khardaar taarein bhi laagi hui thi.Ma ne dewaar ke saath bike khari ki or phir uspar khara ho gya. Mere haath dewaar ke upar tak puhnch gae khaardaar taaroon sa bach kar ma ne apne haath dewaar par tikaaye  or phir dono haatho par zoor de kar upar uth gya. Phir aik dam sa haatho par zoor de kar uchla or khaardaar taaroon ke upar sa hota hua neche farm house ke andar puhnch gya. 

 

Phir aahista kadamo sa chalta hua farm house ki main building ki taraf barha. Ma ne chehra dhaakne ki bhi zaroorat mehsoos nahi ki.Baal ma ne barha raakhe the saath hi daarhi bhi shave naa karne ki waja sa kafi barhi hui thi. Pechli taraf aik darwaaza tha.Ma ne handle ghumaya to darwaz khul gya. Ma daabe paon chalta hua andar chala gya. Ma daabe paon corridor ma aage ki taraf barha.Corridor ma dono taraf kamaroo ke darwaaze the. Ma corridor ke end par puhncha to aik hall nazar aaya. Hall ma jhanka to Kaale khan tha lekin uske saath maujood aadmi ko dekh kar ma chaunk gya. Shayad ma ne isse kahin dekga tha lekin yaad nahi aa raha tha ke kahan or kab dekha tha. Ma ne unki baarein sunana shuru kar di

 

Kaale khan :Sir jee sare sheher ma aadmi kuttoo ki tarha dhoondhate phir rahe hn lekin nahi pata chal raha ke kis ne kiya ha ye sab. Sab kuch tabah kar diya saara maal or larkiyaa bhi upar sa aade bhi tabah kar diye. 

 

Dusara aadmi bola

 

HAA KOI APNA DUSHMAN HI. MA NE APNE AADMIYOO KE SHEHER KE UN TAMAAM LOGON KI NIGRAANI PAR LAGA RAKHA HA JO MERE SA KHAAR RAKHTE HN YA MUJH SA KOI DUSHMANI RAKHTE HN. 

 

Kaale khan:Kuch samajh nahi aa raha sir. Pata nahi konsa dushman ha jo chup chaap waar kar raha ha???

 

Wohi aadmi dubara bola

 

LAG JAE GA PTA USKA BHI FILHAAL TO TUMHE IS LIYE BULAYA HA KE KAL RAAT MAAL AAYE GA TUMHE WO UTAARNA HA OR KISSI MEHFOOZ THIKAANE PAR PUHNCHAANA HA. APNE BHAROOSE KE AADMIYOO KO HI BATANA BAS. MUJHE SHAK HA KE KOI GADAAR HA TUMHAARE AADMIYOO MA JO APNE THIKAANOO KI MUKHBAARI KAR RAHA HA. 

 

Kaale khan:Jee sir jee ma dheyaan rakhun ga. Is dafa kissi ko iski hawa bhi nahi laage gi. Bas wo police waale or Coustm waale thora taang karein ge unka kuch...... 

 

Wo aadmi uski baatt kaatate hue bola 

 

UN SAB KO MA NE PAISE PUHNCHAA DIYE HN. AB KOI APNE RAASTE MA NAHI AAYE GA TUM DHEYAAN SA KAAM PURA KARNA. 

 

Ma ne apna pistol nikala or phir corridor sa bahir nikal kar unke samne aa gya.Dono mujhe dekh kar chaunk gae. Kaale khaane ne apna haath table par pare pistol ki taraf barhaya to ma ne goli chala di jo seedha uske haath par lagi. Wo sofe par jaa gira. Ma ne aage barh kar table par pari uski pistol utha li or tabhi mujhe apne peche sa aik shanasa si awaaz aai

 

BABA KYA HUA??YE GOLI KIS NE CHALAI HA?? AAP THEEK TO HA NAA?? 

 

Ma ne peche mur ka dekha to Sara ko wahan dekh kar heraan reh gaya.Tabhi mujhe yaad aaya ke wo dusara shakhs koi or nahi Sara ka baap hi tha us sa aik do dafa chote hote mila tha ma. Sara mere kareeb sa bhaagti hui apne baap tak puhnchi or phir pareshaani sa unse poochane lagi

 

Sara:Baba aapko kuch hua to nahi naa?? Aap theekkk too ha nnaa??

 

Uske waalid bola

 

BETA MA BILKUL THEEK HN. TUM ABHI JAO YAHAN SA. BAAD MA BAAT KARTE HN.

 

Me:Koi kahin nahi jae ga. Sab apni apni jagah par beth jao. 

 

Uske waalid bole

 

DEKHO TUM JO KOI BHI HO MERI BETI KO JAANE DO PLZZ MA TUMHAARE AAGE HAATH JORTA HN. 

 

Me:Sardar Sahab (Sara ke waalid ka name Sardar Afzal Shah tha) apni beti par aai to minatoo par utaar aae or jab dusaroo ki behen betiyoo ko nashe par lagte ho unki izaatein lootate ho unko smugal kar ke logon ke bistaroon par daalte ho tab kabhi sharam nahi aai kya aapko. Wo bhi to kissi ki behen beetiyaan ho gi naa. 

 

Sara boli

 

Sara:mere baba aaese nahi ha tum un par jhoote ilzaam laga rahe ho. Wo ye sab nahi karte. 

 

Me:Sardar sahab aap apni zubaan sa batain ge sach ya ma bataon

 

Sardar Afzal:dekho hum beth kar baat kar.... 

 

Ma ne Kaale khan ki taang ma goli maari to Sara or Kaale khane dono ki cheekh aik saath goonji. 

 

Me:Sardar sahab sab sach bataen warna agli goli aapki beti ki taang ma bhi lag sakti ha. 

 

Is sa pehle ke Afzal kuch bolta Sara unchi awaaz ma boli

 

Sara:Razi ye kya pagal pan ha. Tum or ye sab ye kya kar rahe ho??? Tumhe nahi pta kya ye mere baba hn or tum ne unke dost ko goli maari. Kya kya ho gya ha tumhe??? 

 

Saath hi wo meri taraf barhi.Ma ne Sara ki taraf pistol ka rukh kiya or phir bola

 

Me:Sara wahin apni jagah par khari ho jao warna kahin aesa na ho ke ghusaa ma kahin ma koi ghalat kadam utha ln. 

 

Sara jahan thi wahin ruk gae. Ma phir sa uske baap ki taraf mutwaja hua or bola 

 

Me:Janana chahti ho ke ma ne in dono par bandook kiyun taani ha?? Ye to bataen ge nahi ma hi bta deta hn. Suno Nazia ko to jaanti ho gi tum tumhaari school ki sab sa achi dost. Haan wohi Nazia usko university ma drugs par laga diya tumhaare baap or Kaale Khan ki mushtarka rakhail ne. Pata ha phir kya hua??? 

 

Ma ne aik gehri sans li or bola

 

Me:usne ghalati sa over dose le li to uska dimagh khatam. Jisam ka dimagh sa rabta khatam. Naa bol sakti thi wo naa sun sakti thi wo.Ma ne inki ussi rakhail ko maar diya Phir jaanti ho is kamine Kaale Khan ne kya kiya???? Is ne mere sab iklote dost ko uske baap samait katal kar dia.Kiun ke usne inki rakhail ko dhoondhane ma meri madad ki thi. Jiski usse sazaa mili phir.aur phir yahin par bas nahi ki Nazia bechari jo hil jul nahi sakti thi usko pani ma diboo kar maar diya. Bechaari tarap bhi naa saki. Uski maa ko bhi maar diya. 

 

Ma ruka phir saans lekar bola

 

Me:Yahin par bas nahi ki. Mere dono betoo or Hania ko zinda jalaane ki koshish ki jis tarha ma ne inki rakhail ko zinda jalaaya. Asma ki ungliyaa kaat dein. Batao ma kya karun ab?? Inko katal naa karun to kya karun. Batao mujhe.

 

Hania ne apne baap ki taraf dekha or boli 

 

Hania:Baba kya ye sach keh raha ha??? 

 

Afzal:Beta baat to suno meri

 

Hania:Haan ya naa??? 

 

Afzal:Beta wo ghalati ho gae bas.

 

Hania:Ghalati bas. Kitni ghalatiyaa karo ge aap. Kitne ghar barbaad karo ge aap. Aapki wajah sa hi Maa mar gae jiski wajah sa bhai drugs lene lag gae or phir unki bhi death ho gae. Ab ye Razi ke sab pyaare aapne inse cheen liye or kya kya cheeno ge. 

 

Hania ne apne baap ko girebaan sa jhinghoorte hue pucha

 

Ma ne ghari ki taraf dekha or phir bola

 

Me:Tumhaare liye khushkhabriyaa aane waali hn. 

 

Tabhi uska Mobile ki ghanti baji. 

 

Me:uthao isse or speaker par daal kar baat karo

 

Usne speaker par daal kar Hlo kaha to aage sa ghabrae hui aawaz aai 

 

SIR JEE HAMARI DONO FACTORIES MA BOMB BLAST HUA HA.HAR CHEEZ TABAH HO GAE. HAMARA MAIN OFFICE BHI JAL KAR RAKH HO GYA. 

 

tabhi Kaale Khan ka Mobile baja

 

Ma ne ishare sa usse phone kaatne ka kaha. Usne phone band kar diya. Dusari taraf kaale khan ne apne iklote haath sa jaib sa mobile nikala or phir kaan sa lagaya. Jaise jaise dusari taraf sa baatein sunata gya uska chehra zard parta gya. Aakhir uske haath sa mobile choot gya. Wo bola

 

Kaale khan :Sir jee hamare saare thikaane tabah ho gae hn. Aik bhi nahi bacha. 

 

Me:Kiun kaale khan tumhe kaha tha naa ke mujhe maar do warna pichtaoge lekin tum ne tum ne kya kahan tha ke dekh lo ge mujhe ab dekh lo mujhe tumhaare samne khara hn. Bigaar lo jo bigaar sakte ho. Or ma ne kaha tha tarpao ga ma tumhe. Ye lo itna kehte hi ma ne uski dusari taang par bhi fore kar diya wo phir sa chilaaya. 

 

Saath hi ma Sardar Afzal ki taraf barha or bola

 

Me:Ab aap kya karain ge Sardar Afza sahab??? 

 

Afzal:Nahi ye jhoot ha.aesa nahi ho sakta. 

 

Ma ne sara sa kaha 

 

Me:Sara zra TV to on karna. Inhein yakeen aa jae ga khud ba khud hi. 

 

Sara ne table sa remote pakar kar TV on kiya to wahan Breaking News chal rahi thi 

 

SHEHER MA 6 MUKHTALIF MUKAMAAT PAR BOMB DHAMAAKE.AFZAL AND SONS KI DONO FACTORIES JAAL KAR RAKH JABKE MAIN OFFICE KI BUILDING BHI DHAMAKE SA TABAH. SAATH HI MAZEED 3 MUKAMAAT PAR DHAMAKE HUE. 

 

Me:aa gya yakeen tumhe ya ab bhi kuch kasar baki ha. 

 

Saath hi ma ne aik goli Kaale khan ke kandhe ma utaar di. Wo behosh ho gaya. Ma ne aik goli uske sar ma utaar di or khel khatam. Sardar Afzal chilaata reh gya. 

 

Ma Sardar Afzal ki taraf barha to Sara ne mujhe rok diya or boli

 

Sara:Aik mint ruk jao. 

 

Ma ruk gya to wo boli

 

Sara:Aap mere do sawaalo ka saach saach jawab de dein to ye aapko nahi maare ga. 

 

Afzal ne haan ma sar hilaa diya. Sara boli

 

Sara:Meri Maa ko buisness deals ka liye logo ke samne chare ki tarha phenkte the kya??? 

 

Unho ne Haan ma sar hilaate hue kaha

 

Afzal:Beta wo ghalti ho.....

 

Sara:Mat kaho apni gandi zubaan sa mujhe beti. Meri maa ko dusaroo ke samne daalte rahe or jab unho ne inkaar kiya to unko katal kar diya or humein bataya ke unko raat ko sote ma heart attack aa gya.jab bhai ko pta chala wo aapko kuch keh to sakte nahi the to unhoo ne drugs shuru kar diye. Jaante ho inhi haatho ma ma ne apne bhai ko khoya. Bechara tarap raha tha or tarapte hue keh raha tha ke Ye hamara baap nahi ha darinda ha is par bharoosa mat karna.aapki sari asliyaat batae mujhe usne lekin ma ne uski baat ka yakeen nahi kiya kabhi. 

 

Usne achanaak sa mere haath sa pistol cheeni or apne baap par goli chala di. Uske seene ma goli lagi. Phir usne sari magzine apne baap par khaali kar di. 

 

Or phir pistol phenk kar apne haatho ma chehre ko chupa kar rone lag gae. Ma ne uske seene sa laga liya. Wo mere seene sa  lagi phoot phoot kar rone lagi.Meri bhi aankhein naam ho gae. Kamran,Jenny,Nazia,uski Ami, Asma apne bachoo sab ki suraatein meri nigaahoo ke samne ghomne lag gae.Meri aankho sa bhi aansoo nikal aaye. 

  • Author

Update 47(Last episode)

 

Ye bomb blasting waala scene jo hua wo bohot pehle sa taeshuda tha. Jab ma ne Kaale khan sa badla lene ki thaani thi tabhi sooch lia tha. Isi liye jab aslehaa wagaira hasil karne ke liye Taalukaat banaye to sab sa pehle ma ne Time bombs hi ikhaathe kiye. Bari mushkil sa mile the. Takreebn 2 maah khajal khawar hua tha tab jaa kar mujhe ye mile the. Iske liye bhi kai bhais baadle the or kai name apnaaye the. Jaise hi aik time bomb milta usse uski factory ke aaese hisse ma nasab karta ke agar agar tabahi ho to phir mukkamal tabahi ho koi cheez reh naa jae. Factories ma bomb nasab karna koi mushkill baat nahi thi. Unke office ma bhi bari aasani sa ye kaam ho gya. Office ke neche maujood parking area ma aik khufiyaa jagah dhoondh kar wahan laga diya tha. 

 

Kaale khan ke aadoo par thora mushkill hui. Lekin paisa har cheez ka ilaaj hota ha MERI JAAN. Kaale khan ke aik aadmi ko khareed liye. Us ne aasani sa har thikaane ma aik aesi jagah wo time bomb set kiye jahan kisso ko shubah bhi naa ho. Jaise hi wo aakhri time bomb nasab kar ke mere pass paisoo ki aakhri kisat lene aaya ma ne usse upar puhncha diya. 

 

Time bomb ka mechanisam ye tha ke un sab ke saath aik aik mobile phone attached tha. Sab ma aik number save tha jaise hi us number sa call aati pehli ring bajane sa pehle hi wo phaat jaate. Ma ne Un logo ke samne jaane sa pehle conference call kar di or phir unke samne aaya tha. Yani hamari jaan pehchaan hone sa pehle hi kaam khatam ho chuka tha. 

 

                ------------------------------------

Sara kafi der mere seene sa lagi roti rahi. Ma ne bhi usse rone diye. Achanaak kafi der baad wo roote hue boli

 

Sara:Razi jaante ho jab mera bhai mere haatho ma dam toor raha tha to kya kaha tha usne??? 

 

Me:Kya kaha tha??? 

 

Sara:Usne kaha tha ke Sara ye hamara baap nahi aik darinda ha ye drugs bechata ha ye Larkiyaan samagal karta ha. Ye apne kaam nikalwaane ke liye tumhe bhi kissi ke aage daal sakta ha. Yehi isne maa ke saath bhi kiya ha. Jab isse koi bahir ki larki naa mili to apni biwi ko hi logon ke aage bhejana shuru kar diya. Jab Maa inkaar karti to usse kehta ke ma tumhhaare bachoo ko katal kar dn ga agar meri baat naa mani to or maa chup chaap chali jaati. 

 

Usne do unchi siskariya bhari or phir dubara boli

 

Sara:Hum bare hue to maa ne inkaar karna shuru kar diya.Aik do dafa to isne bardasht kiya lekin jab aik bari deal iske haath sa is liye nikli ke iske pass koi larki nahi thi un logo tak puhnchaane ke liye to usne Maa ko manane ki koshish ki dhamkiyaa di jab maa na maani to usko ghusse ma aakar maar diya. Bhai ne mujhe kaha ke Sara aik wakat aaye ga jab ye tumhe bhi chaare ke toor par logon ke aage daalna shuru kar de ga. Lekin ma ne uski koi baat naa maani. Wo mar gya. Mere baap ko uska raati barabar bhi afsoos nahi hua. 

 

Usne aik hamkaari bhari phir boli

 

Sara:Jaante ho phir bhai ki baat sach nikli. Is kameene ne mujhe aik din bulaya or kaha ke beta mujhe zaroori kaam ha tumhe office ki aik aaehem deal sign karni ho gi kuch logo ke saath. Ma ne haami bhar li. Ma jab wahan puhnchi to teen aadmi the. Teeno hi 45 sa 50 ki umar ke darmayaan the yaani mere baap ki umar ka the. Unho ne aate hi mere sa farmaish ki ke sharaab piyoon or dance karun ma ne inkaar kiya or wahan sa jaane lagi to unhoo ne mujhe pakar kar zabardasti pila di or phir mujhe koi hosh naa raha. Jab hosh aaya to ma khatam ho chuki thi. Meri izzat taar taar ho chuki thi. 

 

Itna kehte hi wo zoor zoor sa rone lag gae. Ma ne usse chup karwaane ki bajaaye rone diye. Uske ghum uske aansoo ke zariye behne diye. Kafi der wo sisakti rahi phir boli

 

Sara:Is darinde ne ab tak mere jisam  ko pta nahi kitni baar becha ha. Ma chup chaap jaati lait jaati log aate hawas puri karte or aakhir ma aik sign kar ke file mere mu par maar kar chale jaate. Lekin jaante ho phir bhi ma ne kabhi is baat par yakeen nahi kiya ke mere baap ne meri maa ko bhi isi tarha istemaal kiya jis tarha mujhe kiya tha. Ye bhi nahi pata tha ke ye drugs or kai or illegal dhaandhe karta ha. Mujhe lagta tha ke ye factories ki deals hasil karne ke liye hi bas ye sab karta tha. Lekin aaj jab iske kaarnaamo ka pata chala to........

 

Wo phir se mere gaale lag kar phoot phoot kar rone lagi. Ma usse tasali dene ka liye uske sar par haath pherta raha.Phir achanaak hi wo boli

 

Sara:I'm sorry but ma majboor hn lekin aik baat yaad rakhna ke mera jisam chahe kissi ne bhi nocha ho meri rooh ne hameshaa tum sa hi muhhabat ki ha. 

 

Is sa pehle ke ma uski baat ko samajhta achaanak sa aik goli chali or uska jisam kaampa uske saath hi mera bhi jisam laraz utha aur saath hi meri kamar par maujood uska haath neche gir gaya. Ma ne usse baazuoo sa pakar kar apne sa alag kiya to uski beejaan aankhon ma nazar pari. Uska maatha yani fore head sara latak kar neche gir gya or uska aadha dimaagh nazar aane lag gya. Uske haath ma Kaale khan ki pistol thi jis sa usne apne baap ko katal kiya tha. 

 

Mere ne to hosh o hawaas ma bhi ye nahi soocha tha jo ho gya. Meri aankhoo sa aansoo behne lage.Ma deewaano ki tarha apna sar noochne laga. Unchi unchi chilaane laga. Cheezein utha utha kar phainkane laga. Kaale khan ki laash ko thokarein maarne laga. Kabhi Sara ke haath pakar kar chumtaa to kabhi uske chegre ko chumta kabhi unchi awaaz ma rone lagta to kabhi bilkul chup chaap weraan nazarein liye sara ke chehre ko taakta rehta. 

 

Aakhir aik ghante baad thora hosh aaya to Sara ka haath choom kar bola

 

Me:Sara Jaanti hooo...... Tum hi meri pehli or aakhri Muhabat ho. Is dil ma tumhhaare ilawa na koi kabhi pehle tha or naa hi koi ab aaye ga. Tum thi tum hi raho gi bas. 

 

Ma kafi der uske pass betha raha phir achanaak sa mobile phone baja to mujhe hosh aaya. Ma ne call uthayi to Aleena thi. 

 

Aleena:Hloooo.....aapp..  Aapp... Kahaaaannn hoo??? 

 

Me:Ma aa raha hn bas. 

Ma ne call kaat di or phir uth kar pehle washroom ma gya. Kapre saare khoon sa bhar chuke the. Unko saaf kiya. Haath mu dhoye or phir sab sa pehle Farm house ke CCTV cameras ki footage delete kar ke ma ne kitchen ka rukh kiya. Wahan sa gas cylinder uthaaya un teeno ki laashoo ke darmayaan ma rakha or phir ado gas cylinders aik ghar ke aage or aik ghar ke peeche waale portion ma rakha or teeno ke gas waala waal Open kiya or nikla wahan sa back door par puhnch kar ma ne corridor ma thore fasle par maujood cylinder ko goli maari or phir jhaat se wahan sa nikla or chalaang laga kar dor jaa gira ghaas par. Tabhi aik zoordaar dhamaka hua. Ma ghaas par roll karta hua pechli dewaar tak gya.Dewaar ka sath maujood darakht ka sahara lekar ma dusari taraf utaar gya or phir bike pe betha or apni manzil ki taraf rawana ho gaya. 

 

Sheher ke kareeb puhnchaa to bike khaari ki or uske feul tank ma maachis ki teeli jalaa kar phenki or phir usko aage lagte hi ma wahan sa bhaga. Aabadi ma puhncha to Taxi karwaayi. Aik chote sa maal ma gya. Kapre change kiye.bahir nikal kar un kaproo ko bhi aik weraan si gaali ma puhnch kar aag laga di. Phir 4 taxiyaan badal kar ghar puhncha. Aleena ko liye or phir wahan sa Karachi Airport ki taraf rawana ho gae. Tickets do din pehle ki karwa chuka tha. Wahan sa hum dono london ki flight ma beth gae. 

 

Jaise hi plane ne take off kiya. Ma ne Aleena ke haath or apne haath ma dabaya or gehri saans lekar seat ki pusht sa take lagai or aankhein band kar lein.

 

 

                  ----------------------------

 

London puhnche to Airport par Hania hume lene ke liye khari thi. Mujhe dekh kar door sa hi bhagti hui aai or chalaang laga kar mujh sa chimaat gae.Ma bola

 

Me:Chalo bas karo sab log dekh rahe hn. Ghar jaakar mil lena tasali sa. 

 

Hania:Ghar to aapko apni bivi or bachoo ki hi pari rahe gi. Mujhe kahan aap milein ge. Waise ye waali bhabhi bhi khubsurat ha. Aapki choice ko daad deni parre gi. 

 

Me:Kuch to sharam karo. 

 

Usne meri kamar ke gird kasi apni taangein kholi or phir neche utaar gae. Phir Aleena ki taraf barhi. Usse sallam kar ke boli

 

Hania:Ma inki sab sa pehli or sab sa aakhri girl friend hn mere baad jiss larki sa bhi mile usse bivi bna liya inho ne.

 

Aleena ne meri taraf dekha to ma bola

 

Me:Behen ha meri ye. Iski baatoo ma naa aa jaana. 

 

Hania:Bhai Ami(Asma)sa ijazat li thi kya??? Ye naa ho ke aap ghar puhnchein or wo Bhabhi ko aapke saath dekh kar aapko andar hi naa aane de. 

 

Aese hi hum hansate muskuraate ghar ki taraf chal pare. Asma or Hania dono ne mil kar yahan aik chota sa restaurant khola tha. Kafi acha chal para tha wo.

 

Ghar puhnche to mujhe dekh kar Asma ki aankho ma aansoo aa gae. Us sa gaale mil kar ma ne apne dono betoo ko pyaar kiya or phir Aleena ko introduce karwaaya.

 

                  ------------------------------

 

Yunhi wakat guzarta gya. Restaurant ma ne or Asma ne sambhaal liya tha. Hania ko mazeed parhne ke liye school ma daal diya. 2 saal baad Aleena ne aik payaari si beti ko janam diya.Hania ne usse apni name sa munasibaat dekar uska name Hina rakh diya.  Hamara khandaan mukkamal ho gya. 2 betiyaan ho gae Hania or Hina jabke do bete the Nadir or Asim. Hansi khushi sab zindagi guzaarne lage. 

 

                     -------------------------

 

Bhai log umeed karta hn ka aap sab ko kahani pasand aayi jo gi. Story ma koi kami beshi hui ho to maaf kar di jiye ga.Bataeya ga lazmi ke story ma kya kami thi. Konsa scene aapko pasand aaya?? Sab sa zayada konsa character maaze ka tha. Story ki ending kaisi thi?? Maaza aaya ya nahi???

 

Aik naayi Story Shuru kar raha hn "CHOTE MALIK SAHAB" ke unwaan sa.jis tarha is story ko pyaar diya plz usi tarha us story ko bhi bharpoor pyaar di jiye ga. Lazmi. Bohot jald milte hn CHOTE MALIK SAHAB ki pehli update ke saath.  

Salute you sir kamal kamal outclass alfaz nahi story itne kamyab or itne at he the maza aw gaya again salute you 

📢 Post Your Ad Here

بہت عمدہ انداز میں کہانی کو آگے بڑھایا اور اس کا اختتام کیا، واقعی طور کہانی تو کہانی تھی لیکن کئی ایک سبق دے گئ۔

امید ہے نئی کہانی بھی عمدہ انداز میں شروع ہو گی

بھائی میرے کہانی تو آپ کی نہت اچھی تھی لیکن اس کی اینڈنگ میں شاید کچھ جلدی کر گئے

ایسا مجھے لگتا ہے

باقی آپ کی دوسری کہانی کا انتظار رہیگا

  • 2 weeks later...

بہت ہی اچھی اور زبردست کہانی لکھی آپ نے۔

امید ہے اگلی کہانی بھی اس طرح اچھی ہوگی۔

  • 2 weeks later...

Bhai ap ny aik kamal ki story likhi. Jis me pyar muhabbat sex suspense thrill sb kuch tha. Aur in sab chizon ny story ki chaar chaand laga diye. 
baki sb sy achi bat ao ki ye lagi k update me dare sawar hoti rhe h kiun k rozgaar ka bi to insan ny krna h. Us k sath jis trah ap ny ic ko time to tiem update kr k complete kia h us k liye bht thanks. 
Yaqeen kren story ko parrh k such me overall bht he maza aya h. Kuch scene bht sexy thy aur kuch to itny emotional thy k jazbaat sy bharpoor. 
Ab ap ki any wali next story ka bht shiddat sy intzaar h. Bs auk request h k agr ho saky to us ko urdu fint me update kren to auk khoobsurat shahkaar ban jay gi. 
Baki ap writer hn ap ny kuch behtar he socha ho ga. Aur ap ny jo unwaan rakh h us lagta h k story bht zabardast anay wali h aur hm ko aik bar phr mazay mulny waly hn. 
Thank you very much. Stay blessed 😇 

📢 Post Your Ad Here

Account

Navigation

Search

Configure browser push notifications

Chrome (Android)
  1. Tap the lock icon next to the address bar.
  2. Tap Permissions → Notifications.
  3. Adjust your preference.
Chrome (Desktop)
  1. Click the padlock icon in the address bar.
  2. Select Site settings.
  3. Find Notifications and adjust your preference.