Jump to content
View in the app

A better way to browse. Learn more.

URDU FUN CLUB

A full-screen app on your home screen with push notifications, badges and more.

To install this app on iOS and iPadOS
  1. Tap the Share icon in Safari
  2. Scroll the menu and tap Add to Home Screen.
  3. Tap Add in the top-right corner.
To install this app on Android
  1. Tap the 3-dot menu (⋮) in the top-right corner of the browser.
  2. Tap Add to Home screen or Install app.
  3. Confirm by tapping Install.

Ma sab ka Hero

Featured Replies

جمال بھائی آپ تو بلکل ہی غائب ہو گئے 

کہانی کا تسلسل قائم رکھیں

Breaking News Ad
فورم اپڈیٹس
  • Replies 375
  • Views 739.1k
  • Created
  • Last Reply

Top Posters In This Topic

Most Popular Posts

  • Jamal baba
    Jamal baba

    Part 8   Next day school gaya.break tak koi khaas baat naa hui.Break ma ma or Hira bahir ground ma aakar beth gae.Hira or ma kuch der to study KA hawale sa discuss karte rahe phir ma bola

  • Jamal baba
    Jamal baba

    Part 7   Ma road cross kar ke madam ki taraf barha.Madam par meri nazar pari to ma unhe dekhta reh gaya.unho na intehai tight labas pehna hua tha.Black colour ka kameez or uske neche skin ti

  • Part 17   Madam:aaj ka baad sa Hania hamare saath hi rahe gi.    Me:sach ma????   Madam:Hn jee.   Me:yani ab is ghar ma khoob roonak lagi rahe gi.   

بابا جی اپڈیٹ کا مزہ آ گیا 

اچھی تباہی مچائی ہے 

اور کالے خان کا کافی نقصان ہوا ہے 

اب آگے کیا ہوگا 

ہیرو بھی زخمی ہوا ہے 

اگلی قسط کا انتظار رہے گا جناب 

اور پلیز لمبی اپڈیٹ دیا کریں 

بہت عمدہ اپڈیٹ دی آپ نے  لیکن تشنگی باقی رہ گئی 

Jamal baba nice update but pls thora jaldi update kia kren. Bht intzaar rhta h update ka. Thanks 

📢 Post Your Ad Here

Jasusi,suspense,action and sex ka haseen imtizaj hai, khush rahein aur hamein isi tarah mehzooz karwatay rahein

بھائی جمال،  اپڈیٹ میں تاخیر ہونے لگی ہے،  اپنی مصروفیت میں سے تھوڑا ٹائم کہانی کے لئے بھی نکالئے  آپ کی کہانی کا انتظار رہے گا 

  • Author

Update 44

 

Ma Shehnaaz ke flat par puhnch to wo meri kaproo parkhoon ke dhaabe dekh kar pareshaan ho gae.Bari mushkillo sa unhe tasali di or phir unhein first aid box laane ke liye kaha.Wo dusare kamre ma chali gae.Ma ne shirt utaar kar zakhm ko goor sa dekha kafi gehra zakham lag raha tha stitches ki zaroorat thi. 

 

Ma ne sara ko call ki

 

Sara:Hlo.Kaise yaad aa gae aa humari??? 

 

Me:Aik kaammm.... 

 

Sara:Kya hua khairiyat to ha naa??Tumhari awaaz kiun bethi hui ha??? 

 

Me:Kuch nahi hua. Tum batao tum doctor ho naa??? 

 

Sara:haan lekin abhi 3rd year ma hn

 

Me:Stitching wagera karni aati ha kya??? 

 

Sara:Dekhi ha lekin abhi practice nahi ki

 

Me:Acha stitching ke sare equipments lekar aa jao. Ma address send kar raha hn 

 

Sara:sab khairiyat to ha naa??? 

 

Me:Haan sab theek ha. Tum jaldi aao

 

Sara:ok.

 

Itni der ma Shehnaaz first aid box le aayi thi. Ma ne zakham ko saaf kar ke uske upar bandage rakh kar tape chipka di. 

 

Takreebn 45 mint baad bell baji to ma bola

 

Me:Wo sara aai ho gi plz darwaaza kholiye ga

 

Shehnaaz darwaaza kholne chali gae. Ma sofe par leta hua tha. Sara or Shehnaaz aage peeche drawing room ma dakhil hue. Sara ki nazar jaise hi mujh par pari wo bhaagti hui aayi or mere kareeb neche beth gae or boli

 

Sara:Ye kaise hua??? 

 

Me:bike sa gir gya tha. Acha ab zayada emotional mat ho jaana.Jaldi sa stitching kar do. Baki baatein baad ma

 

Sara:lekin.....

 

Me:lekin wekin kuch nahi bas jaldi karo

 

Sara:ma ne kabhi is sa pehle stitch.... 

 

Ma uski baat kaatate hue bola 

 

Me:Try to karo .samjho ma tumhaara pehla patient hn.

 

Sara:lekin....

 

Me:shuru ho jao. 

 

Usne apne bag sa box nikala or phir mere zakham sa bandage hata kar usse dekha or phir meri taraf dekh. Ma ne aankho sa haan ka ishara kiya to usne antiseptic sa zakham ko ird gird area saaf kiya phir stitching shuru ki. 

 

4 stitches lage the or takreebn usne aadha ghanta laga diya tha. 

 

Me:Tumhaare patients zakhmoo ki waja sa marein ya naa marein lekin tumhaari susti ki waja sa zaroor mar jaen ge. 

 

Sara ne mere seena par mukka maara or boli

 

Sara:aik to pehli baar stiching ki or wo bhi tumhaari or tum mzaak ura rahe ho

 

Me:waise itni bhi buri doctor nahi ho tum. 

 

Sara:acha chalo ab ma pain killer injection laga rahi hn. Aur phir antibiotics bhi dn gi 

 

Me:oohhh abhi ye sab bhi karna pare ga

 

Sara:to aur kya warna infection bhi ho sakta ha

 

Ye sab kar ke Sara uthi or mera sar utha kar sofe par bethi or phir mera sar apni goad ma rakh liya. 

 

Me:Khairiyat to ha kahin pyaar to nahi ho gya mujh sa. 

 

Uski aankho ma aik dam sa chamak aa gae or phir boli

 

Sara:Oyee badmashi na kar or chup kar ke soo jaa. 

 

Me:abhi to badmaashi ki hi nahi ma ne koi. Or acha ye batao Madam Shehnaaz kahan hn??? 

 

Sara:wo dusare room ma hn. Jab ma stitching karne lagi thi to wo tab hi chali gae thi shayad un se ye sab dekha nahi gya

 

Me:Hn.tum na neend ka injection bhi diya ha kya?? 

 

Sara:Haan jee.Asaraat nazar aane lag gae hn

 

Me:kiun?? Iski kya zaroorat thi??

 

Sara:Taake tum koi harkat naa karo jiski wajah sa zakham khraab ho

 

Me:Kab tak theek ho ga ye???

 

Sara:Aik sa do haafte

 

Me:Yani 4 sa 5 din

 

Aahista aahista mujh par gaanoodagi taari hoti gae or ma baatein karta hua soo gya. 

 

Aankh khuli to Sara wahin sofe sa taik lagae soo rahi thi. Mera sar abhi tak uski goad ma tha. Ma utha or sofe sa taik laga kar baith gya. Thora dard hua lekin kabil bardasht tha. 

 

Himmat kar ke utha or washroom ma puhncha.Fresh hokar bahir nikla to bhook ka aaehsaas hua. Kitchen ma puhncha to Shehnaaz pehle sa hi wahan maujood thi. Mujhe dekh kar boli

 

Shehnaaz:uth gae. Dard to nahi ho raha ab??? 

 

Me:nahi ab kafi behtar mehsoos kar raha hn. Bas bhook lagi ha isi liye yahan chala aaya. 

 

Shehnaaz:Betho tum ma bna deti hn. 

 

Ma wahin dinning table sa taik laga kar khara ho gya or unhe kaam karte dekhne laga. Thori der khamooshi chayi rahi phir wo boli

 

Shehnaaz:Tum bhi us sa pyaar karte ho??? 

 

Me:kis sa??? 

 

Shehnaaz:You know to whom I am pointing..

 

Me:Pata nahi shayad karta hn ya shayaad nahi

 

Shehnaaz:Kab sa jaante ho aik dusare ko??? 

 

Me:Jab ma school puhncha I mean 8thClass Sa

 

Shehnaaz:Good.kafi puraani dosti ha

 

Me:Haan jee

 

Shehnaaz:isse pta ha ke tum married ho or 2 bache hn tumhaare

 

Me:pta nahi. Shayad pta ho

 

Shehnaaz:Tum ne uni bhi chor di ha aur ab kya karte phir rahe ho aur apne ghar kiun nahi jaate

 

Me:bas kuch adhure kaam hn wo mukkamal karne hn phir wapis chala jaon ga

 

Shehnaaz:Kaise kaam??? 

 

Me:bas hn kuch kaam. 

 

Unho ne nashta table par rakh diya. Ma chup chaap khaane laga wo bhi mere saath beth kar nashta karne lagi. Nashte ke baad drawing room ma puhncha to Sara kahin nazar naa aai. Dusare rooms or kitchen ma check kiya wo wahan bhi nahi thi. 

 

Ma ne usse call ki

 

Me:Hlo Sara kahan ho tum?? Bina bataye kahan chali gae?? 

 

Sara:Kahin nahi wo bas ma college ka liye late ho rahi thi isi liye jaldi ma tumhe batana bhool gae. 

 

Me:mujhe batane ma konsa time lagna tha??? 

 

Sara:yar kaha naa bhool gae. Acha medicine ma table par rakh di thi wo time par le lena ma text kar dn gi sab kaise or kab leni ha. 

 

Me:Ok.bye take care

 

Sara:Byee

 

               ---------------------------------

Aese hi takreebn hafta guzar gya. Mera zakhm takreebn bhar chuka tha. Ma ne Kaale khan ki thori sun gun li to pta chala ke wo kafi ghusse ma phir raha tha. Uske log kutto ki tarha Karachi ki galiyoo ma un logo ko dhoodhate phir rahe the jinho ne uska goodaam tabaah kar diya. 

 

Takreebn 2 haftoo tak ma ne aik aik mint aik aik pal Kaale khan ka peecha kiya. Uske khaas aadmiyo ka peecha kiya to mujhe unka aik or thikaana nazar aaya. Lekin wahan har 15 din baad aik container aata tha or phir 2 ghante baad wahan sa bandargaah ki taraf rawana ho jaata tha. Wahan sa ship par load kar diya jaata tha. Baki dino ma gariyaa aati jaati rehti thi. 

 

Mujhe kuch khaas andaza nahi hua ke us container ma kya le jaaya jaata ha. Ma ne 15 din mazeed intezaar kiya. container roz 5 baje subha aata tha or 8 sa 9 baje wahan sa nikal jaata. Shaam 5 baje tak ship par load ho jaata tha. Ma ne us raat aik baje ke baad andar jaane ka faisla kiya. Jo bhi maal container ma load kiya jaata tha wo aaj raat tak wahan ikatha ho jaana chahiye tha. Isi liye ma ne is raat ka intezaar kiya tha. Taake maal ko tabah kar sakun. 

 

Wo aik bangla type ghar tha. Kafi bara garage tha uska jis ke andar container jaata tha or phir wahan sa waapis nikalta or apni manzil ki taraf rawana ho jaata. 

 

Bangle ki bahiri dewaar kafi choti thi. Ma dewaar phalaang kar andar dakhil ho gya. Mere haath me wohi semi-automatic SR-1 Vektor pistol tha. Jiske aage silencer laga hua tha. Saath ma do extra magzines bhi meri jaib ma thi. Chehre par kaala naqaab daale ma aahista aahista bangle ki amaarat ki taraf barha.

 

Darwaaze ke kareeb hi kursi par aik shakhs betha oongh raha tha. Mere pistol ki beaawaz goli ne usse abdi neend sula diya. Uska jisam kursi par jhool gya. Ma aage barha or darwaza khol kar andar dakhil ho gya. Samne living room tha. Wahan koi nazar naa aaya. Aik taraf sa music ka shoar sunai de raha tha. Ma uska pecha karta hua uski taraf barhaane laga. Mere kadam aik kamre ke darwaaze par puhnch kar ruk gae. Andar Attaullah ka mashoor aae  BEDARDI SA PYAAR KA SAHARAA NA MILA chal raha tha. Ma ne darwaaza kholne ke liye jonhi haath barhaya to aik sard si cheez meri gardan par mehsoos hui saath hi koi halki awaaz ma bola 

 

CHUP CHAAP HAATH UPAR KAR LO. KHABARDAAR KOI GHALAT HARKAT MAT KARNA WARNA IS RIFLE KI AIK HI GOLI TUMHHAARE SAR KO DHAR SA ALAG KAR DE GI. 

 

ma ne chup chaap haath upar kar liye. Peche sa wohi awaaz dubara aai

 

AB ISI TARHA HAATH UPAR KAR KE DAEN TARAF MURO OR PHIR SEEDHA CHALO

 

ma aahista sa daen taraf mura or murte saath hi apna daen haath peche ki taraf zor sa rifle ki naal pe de maara or saath hi neche jhuk kar aage nikal gya. Ma bhaagte hue aik table ke peeche jaa chupa or saath ha uski aar sa fire kiya. Lekin tab tak wo Kambakhat kamre ma chalaang laga chuka tha. Mera raaz faash ho chuka tha.Jald hi wo sab kutte mujhe maarne ke liye aik saath kamre sa nikal aate. Aur aesa hi hua

 

Sab se pehle aik shakhs darwaaze sa jhaankta hua muhtaat andaaz ma bahir nikla.Jaise hi wo mukkamal toor par mere nishaane ki zad ma aaya ma ne goli chala di. Goli uske seene ma lagi or wo peche darwaaze sa taakraya or gir gya. Ab mere liye ye jagah safe nahi thi. Kiun ke ab jo bhi room sa nikalta wo isi taraf to fire karta. 

 

Ma muhtaat andaaze sa utha or chalta hua usi kamre ke darwaaze ke takreebn samne pare sofe ke peche jaa chupa. Ab yahan sa ma unki nakal o harkat dekh sakta tha. Aik admi darwaaze ki taraf barha to ma ne us par fire daaga. Nishana khata hua lekin phir aik dam sa taartaraahat ki awaaz goonji or mere samne sofe aik dam sa uchla. Or phir lagataar firing shuru ho gae. Ma zameen par lait gaya or idhar udhar dekhne laga. Tabhi doorte kadamoo ki aawazein sunae di. Shayaad un logo ke mazeed saathi puhnchaane waale the phir ma dono taraf sa ghir jaata. Ma ne sofe ki aar ma peche hatana shuru kar diya. Yani darwaaze ki mukhaalif simat ma. Wahan bhi aik darwaaza nazar aa raha tha ma kissi tarha us room ma puhnchaana chah raha tha. 

 

Jaise hi firing ruki ma jhukai de kar bhaaga or darwaza ke kareeb puhnchete hi chalang laga di.Ma darwaaze sa taakraya or andar kamre ma jaa gira. Mujhe apne sar ke upar sa goliya guzarti hui mehsoos hui. Jaise hi ma gira ma ne palti khayi or darwaaze sa hat kar khara ho gya. Kamre ki light band thi lekin bahir living room ki light jaal rahi thi. Samne waale room ki light bhi jal rahi thi. Ma darwaaze ke saath bani khirki sa bahir dekhne laga. Usi wakaat 3 aadmi aik side pe bani seerihyoo sa neche utaarte nazar aaye. Jaise hi wo teeno zahir hue ma ne khirki sa unka nishana liya. Pehle aadmi ke sar ma goli lagi.Dusare ke kandhe par lagi.Teesara itni der ma hoshiyaar ho chuka tha. Us ne chalang lagai or usi sofe ke peche chup gya jahan ma chupa tha lekin tabhi firing hui or uska jisam jo hawa ma tha usko aik jhatka laga. Yani wo apni logo ki firing sa hi halaak ho gya. Jiske kandhe par goli lagi thi. Wo bhi reengate hue sofe ki aar ma jaa raha tha. Ma ne us par goli chala di.Goli uski gardan sa thora neche kamar ma lagi or wo bhi khatam ho gya. 

 

Phir khamooshi chaa gayi. Naa udhar sa koi response aaya or naa hi ma ne koi shoor kiya. 5 mint baad hi samne kamre ma farash par do saaye harkat karte nazar aaye. Aahista aahista wo darwaaze ki taraf barhane lage. Aik ne jaise hi sar bahir nikal kar jhanka tabhi ma ne goli chala di. Goli uske chehre ma dhans gae or wo zameen par.

 

Dusara saaya gayab ho gya yani dusara shakhs darwaaze sa peeche chala gya ha. Ma bina aawaz paida kiye kamre sa nikla or Daen taraf sa ghoomte hue usi kamre ki taraf jaane laga. Kamre ke darwaaze par puhnch kar ruk gaya.Aahistagi sa andar kadam rakha darwaaze sa andar jhaanka to koi nazar naa aaya.do kadam aage barhaaye to peeche sa aik dafa phir kisi ne bandook taan di or awaaz aai

 

CHUP CHAAP PISTOL PHENK DO AUR HAATH UPAR KAR LO

 

Ma ne pistol neche phenk diye or haath upar kar liye. Wo aadmi ghoom kar mere samne aaya or bola

 

AB CHUP CHAAP YE BTAO KE KIUN AAYE HO YAHAN?? 

 

Me:Chup reh kar kaise bataon ke kon hi ma?? 

 

Wo bola

 

MAZAAK MAT KARO.SEEDHI TARHA JAWAAB DO WARNA GOLI KHOPRI MA UTAAR DUNGA

 

Ma chup chaap khara raha. Us ne jhulaahat ma aakar kaha

 

BOL KIUN NAHI RAHE HO. JALDI BOL

 

Saath hi pistol mere maathe par dabaya. Ma phir bhi chup chaap khara raha. Usne jhulaahat ma aakar pistol waala haath hawa ma lehraya or ghusse sa bola

 

ABE SAALE BHONK BHI KYA KAR RAHA HA IDHAR. KIUN MARA HAMARE AADMIYO KO??? 

 

Ma isi moke ka intazaar kar raha tha jaise hi usne pistol waala haath hawa ma lehraya ma ne daen taang uski taango ka darmayaan zor sa de maari wo neche jhuka to uski kamar par zoordaar kohni maar di. Usne sar upar kiya to uske chehre ko dono haatho sa pakar kar daen taraf ko jhatka diya. Uski gardaan ka karaaka nikal gya. 

 

Ma wahan sa nikla or sare kamroo ma jhaankane laga lekin koi khaas cheez nazar naa aayi. Seerhiyoo sa upar gya to aik halki halki aawazein aa rahi thi jaise koi roo raha ho. Aik aik kar ke tamaam kamre check kiye kuch nahi tha. Awaaz ssb sa aakhri kamre ma puhncha. Aawazein wahin sa aa rahi thi.............. 

 

 

📢 Post Your Ad Here

Account

Navigation

Search

Configure browser push notifications

Chrome (Android)
  1. Tap the lock icon next to the address bar.
  2. Tap Permissions → Notifications.
  3. Adjust your preference.
Chrome (Desktop)
  1. Click the padlock icon in the address bar.
  2. Select Site settings.
  3. Find Notifications and adjust your preference.