Disable Screen Capture Jump to content
URDU FUN CLUB

R.T.R (completed by harshit1890)


Recommended Posts

Posted

R.T.R

vo ghadi mein time dekhti hui kamre ke andar idhar - udhar ghum rahi thi chehre ki chinta bata rahi thi ki vo kisi chiz se ghabrai hui hai " kaha reh gaya samar .. " uske kehte hi kamre ka gate khula aur andar aate hi samar ne bina waqt gawaye gate band kar diya. 

" samar.... kahan reh gaye the , tumhe pata hai kitni chinta ho rahi thi mujhe tumhari. " samar uske pass aya aur uske kandhon ko pakadte hue apni sansein durust karte hue bola.

" tum theek ho na disha.. " 

" mein theek hun samar , par tumhe itni der kaise ho gayi , sab kuch theek toh hai na.. " 

" police har jagah faili hui hai disha , bachte - bachate hue anne mein waqt lag gaya. " 

" oh god... " disha ki ankhon mein ansu ubhar aye , " hume vo kaam karna hi nahi chahie tha , ab hum kabhi ek dusre ke sath nahi reh payenge samar.... kabhi nahi reh payenge.. " kehte hue uski ankhon se ansu utar aya.

" aisa kuch nahi hoga disha aur na mein hone dunga... " samar ne uski ankhon se ansu hataya aur uske chehre ko apne hath mein chupa liya. 

" par samar .. hum ab is musibat se kaise bahar niklenge , mein tumhe kho nahi sakti .. " disha ki awaz mein ek chinta jhalak rahi thi.

" mene kaha na disha hume kuch nahi hoga mene sab intezam kar liya hai , hum kal subah hote hi yahan se itni dur chale jayenge ki koi hume dhund hi nahi payega.. mujh par vishwas rakho mein tumhe kuch nahi hone dunga.. " samar ne kathor awaz mein disha ki ankhon mein dekhte hue use vishwas dilate hue kaha. 

" mujhe phir bhi dar lag raha hai samar .. pata nahi ye raat kaise kategi.. " disha ki ankhon se ansu chalak aya. 

" pyar se toh duniya ki har musibat kat jati hai disha ye toh sirf ek raat hai .... " samar ne apne honth un ansu par rakh diye . honton ko mehsus karte hi disha ne samar ko majbuti se pakad liya. vahin samar apne honth disha ke chehre pe firate hue uske honton tak aa pahuncha aur unhe giraft mein le liya. kuch pal tak giraft mein liye honton ko vo chusta raha aur jab pyar ki garmi ki shuruwat hui tab usne un honton ko azad kar diya. 

mil rahe sukhad ehsas ka achanak se ant ho jana disha ko ras nahi aya , vo ek adhuri kahani ki tarah bankar samar ko ghurti rahi aur phir use jakad kar uske honton par tut padi aur is baar dono taraf se honton ke milan ka khel shuru ho gaya.

jism ki garmi badhti gayi aur sharir se kapde kam hote gaye , disha ne bina waqt gawaye samar ki shirt ko uske badan se alag kar diya vahin samar ne bhi disha ke top ko uske sharir se nikal fainka. dono ek dusre ke honton ko chumte hue piche khisakte gaye aur bed pe jaa gire. bed pe girne ke baad sharir ki garmi badhi aur vo garmi ek dusre ke uppar pade rehne ke baad kuch der mein nikal gayi....

cut..

disha bed pe ulti laiti hui thi , uska adha sharir rajai ke andar tha aur adhi nangi pith par samar ne apna sar rakha hua tha. pyar ke sagar mein dub jane ke baad dono ki ankh lag chuki thi. eka-ek samar ki ankh khuli usne disha ko gehri neend mein sota paya toh vo bina awaz ke apni jagah se uth khada hua. usne apne kapde pehne aur pyas lagne ke karan usne glass mein bhara pani piya. chehre pe uske chinta saaf jhalak rahi thi , andar hi andar vo kuch soch raha tha aur sochte - sochte vo khidki ke samne jaa khada hua jahan se ati thandi hawa aur chand ki roshni uske sharir ko chu rahi thi.

" uhm--hmm i love you.. " piche se disha samar se lipat-te hue boli . disha ko mehsus karte hi samar palta aur disha ko bahon mein bhar liya. 

" i love you too disha... par tum uth kyun gayi... " 

" samar.. " disha ne samar ki baat ko ansuna kar diya.

" hm-mm "

" mein tumse alag hokar nahi reh paungi.. " 

" toh mein kab tumhe apne se alag kar raha hun.. " 

" tum nahi hamari vo galti hume khud se dur kar rahi hai.. hume itni badi chori nahi karni chahie thi.. police hume kahin se bhi dhund legi.. " disha ki awaz mein uska chupa dar saaf jhalak raha tha.

" aisa kuch nahi hoga disha.. mujh par bharosa rakho .. hum yahan se itni dur chale jayenge ki hume koi nahi pakad payega aur phir hum sari jindagi sirf ek dusre ke sath rahenge.. " samar ne uske chehre ko sehlate hue use dilasa diya.

" mujhe toh bahut dar lag raha hai.. " par disha samar ke is vishwas ko nahi man pa rahi thi " agar hum pakde gaye toh kya hoga.. soch ke hi dar lagta hai . Tumse alag hona mein sehan nahi kar paungi.. " disha ka dar badta jaa raha tha.

" disha.. koi alag nahi hoga aur vaise bhi agar hum pakde gaye toh tumhe kuch nahi hoga kyun ki koi nahi janta ki is kaam mein tum mere sath ho. tumhe fikar karne ki koi jarurat nahi hai disha mein tumhe hamesha
mehfuz rakhoonga. " samar ne apne pyare lafzon se uske vishwas ko jeetne ki kosish ki jisme vo kamyab toh ho gaya par dar disha ke man se nahi nikal paya.

" yahi toh dar hai samar agar tum hi chale gaye toh mein jee kar kya karungi.. in paison ka kya karungi.. tumhare bina toh sab bekar hai.. " disha ki ankhein phir nam ho chuki thi . samar uski ankhon mein ayi nami ko saaf mehsus kar paa raha tha. 

" hum dono ek sath yahan se jayenge.. mein tumhe promise karta hun.. " samar ne apne honth uske mathe par rakh diye.

" uhm-mm.. vo waqt kitna acha tha samar jab hum mile the.. " disha ne apni nazrein utha ke samar ki ankhon mein dekha aur uski ankhon mein jhankte hue samar bhi us yaad mein chala gaya jahan se dono ne shuruwat
ki thi..

cut..

Samar shop mein khada bar - bar idhar udhar dekh raha tha , chehre pe ayi chinta saaf bata rahi thi ki vo behad ghabraya hua hai , mathe se pasina beh raha tha jise vo bar - bar apne rumal se saaf kar raha tha lekin vo janta tha ki use normal rehna padega taki koi bhi uspar shak na kare. isi ke chalte vo samne rakhi gold aur diamonds ki jewelries ko dekhne laga mano unhe kharidne ke liye khada ho . abhi usne ek ring uthai hi thi ki tabhi piche se ek hath uske kandhe pe pada jise mehsus karte hi ek pal ki liye uski sansein atak gayi..

par apne confidence ko barkarar rakhte hue vo piche ghuma , piche ghumte hi uski sansein halki si badh gayi.

" yes... " inspector ko dekhte hi samar ne raub ke sath kaha. inspector kuch pal samar ko dekhta hua sochta raha.

" kya mein apka licence ya phir koi id proof dekh sakta hun.. " 

" kya mein ye jaan sakta hu kyu ? "

" kyun ki hum ek tehki-kat kar rahe hain , kuch der pehle ek chor lakhon ke heere lut ke issi taraf aya hai aur hume khabar mili hai ki vo issi mall mein hai. " 

" toh apko kya lagta hai ki vo chor mein hun ? inspector are you out of your mind ? " samar ne halke gusse mein kaha.

" dekhie hum apna kaam kar rahe hain , us chor ka kad aur kapde apse milte julte hain isliye mera hak hai apki talashi lena so please co-operate.. " samar samajh gaya ki vo aise nahi bach payega , use jaldi kuch sochna padega varna vo shak ke ghere mein aa jayega.

" apko pure mall ke andar mein hi mila hun.. ye toh apki dadagiri hai.. " samar ne thoda cheekhte hue kaha.

" dadagiri police station le jake karunga mr. chaliye shayad aap wahin co-operate kare. " inspector ne samar ka hath pakad liya .

" dekhie aap ye theek nahi kar rahe hain.. " samar apna hath chudane ki kosish karne laga lekin inspector ne uska hath nahi choda.

" one minute inspector.. " awaz sunte hi inspector aur samar ki nazar vahan mudi jahan se vo awaz ayi thi.

" yes. " inspector ke samne ek ladki khadi thi jiska chehra saaf nahi dikh raha tha vajah sirf ye thi ki chehre pe bada sa chasma chada hua tha jisne adha chehra dhak rakha tha aur sar se lekar gale tak chunri bandhi hui thi.

" inspector mene apki batein suni aur agar meri maniye toh aap is insan ke sath apna time sirf waste kar rahe hain kyun ki ye toh pichle 2 ghanton se yahin hain.. " ladki ke kehte hi samar ki ankhein badi ho gayi.

" par mein ye kaise man lo mahutarma ki aap sach keh rahi hai.. " 

" baat toh apki sahi hai inspector par apke pass koi proof nahi hai ki yahi vo janab hai jinhone chori ki hai jabki inke pas mere roop mein ek proof hai ab aap soch lijiye manhani ka agar inhone case kiya aap par toh shayad aap hi ko dikkat hogi , isse acha hai aap meri baat man le kyun ki mujhe jhuth bol ke kya milega mein toh inhe janti tak nahi.. mujhe toh bas itna laga ki aap galat insan par samay bita ke asli criminal se dur ho rahe hain isliye apki madad karne ke liye aa gayi.. " ladki ki itni samjhdari dekh kar samar toh andar se use shabashi dene laga par inspector ka shak dur nahi hua.

" acha bol leti hai aap.. lekin mein ye kaise man lu ki aap inke sath nahi mili hui hai.. " 

" hmm apki baat mein point toh hai inspector.. " ladki ki itni baat sun kar samar ko laga ki uske hath mein ayi bazi phir nikal gayi tab usne khud hi kuch karne ki sochi par vo kuch kehta use pehle us ladki ne apne chehre se chasma hata diya aur jaise hi vo chasma uske chehre se alag hua , inspector aur samar dono ke muh khul gaye.

" disha chaudhary.. " ek sath dono ke muh se nikla.

" ab bhi apko doubt hai inspector ki mein inke sath mili hui hu.. " disha ne muskurate hue kaha aur fauran chasma apne chehre pe chada liya.

" ab toh koi doubt hi nahi hai madam. apne keh diya matlab sab ok.. sorry for the trouble.. " kehte hue inspector nikal gaya par samar ki nazar disha par hi tikki rahi.

" ache khase dikhte ho phir ye chori mein kya rakha hai.. " awaz sun kar samar hosh mein aya .

" vo... apka autograph milega... " samar ke muh mein jo aya usne vo keh diya. samar ki baat sun disha halka sa muskura padi aur bina kuch kahe jane lagi.

" disha ji rukie.. " samar uske sath sath chalne laga.

" ab mene tumhe bacha kya liya tum toh mere piche hi lag gaye , dekho mere bodyguards idhar udhar hi honge kuch karne ki mat sochna.. " disha ne use dhamki dete hue kaha.

" ji mein toh sirf ye puchna chahta hun ki itni badi star ne meri madad kyun ki.. " samar ke man mein ye sawal kaffi der se chal raha tha.

" mujhe tum jail material nahi lage , dikhne mein ache khase ho shayad isliye. " 

" ohh acha.. toh phir mein kaisa material hun... " 

" look tum jada aage badh rahe ho. bhulo mat mein kaun hu aur tum kaun.. " disha ne irritate tone mein kaha.

" vo toh mein nahi bhula hu ji par thank you kehna toh banta hai na. " 

" han toh kaho aur jao.. " 

" aise nahi mera tarika thoda alag hai.. " 

" not bad .. confidence bahut hai par... " 

" please... " samar ne request tone mein kaha jise dekh kar disha mana nahi kar payi.

" vaise aap akeli aise public mein ghum rahi hai.. " coffee ka cup disha ke hath mein thamate hue samar bola.

" kyun ghum nahi sakti ... " 

" nahi bilkul ghum sakti hai .." 

" toh.. " 

" mein bas yahi soch raha hun ki apne meri help kyun ki jabki aap janti thi ki mein chor hun ? " 

" i dont know but tum handsome ho matlab koi kaam kyun nahi dhundhte , chori kyun.. ? "

" shakal se pait nahi bharta madam.. " 

" par mera toh usi se bharta hai "

" aap mein aur mujh mein bahut farak hai .. par apne mere sawal ka jawab nahi diya mein kyun.." 

" tum jail material nahi ho samar... "

" toh phir kis material ka hun mein.. " samar ne halki muskan ke sath kaha.

" kaam ke.. " disha ne kuch sochte hue keh toh diya par vo khud nahi janti thi ki jo vo soch rahi hai vo sach ho payega ya nahi , par vo kuch dekh rahi thi samar ke andar . ek insan ko zameen se utha kar kuch bana dene ka sapna dekh rahi thi.

vo ek mulakat akhri nahi bani , dhire - dhire mulaktein badhi aur un badhti mulakaton mein disha ne samar ko vo taufa diya jiske bare mein usne sapne mein bhi kabhi nahi socha tha. 

phir ek din....

" hey kya hua... " samar ne pareshan baithi disha ko dekhte hue pucha. 

" aaj meri sister ka birthday hai samar.. " 

" toh isme pareshan hone ki kya baat hai , ye toh khushi ki baat hai na.. " samar ne khush hote hue kaha.

" she is no more ... " kehte hi disha ki ankh se ansu beh nikla. jise dekhte hi samar ne uska hath pakad liya aur dilasa dene ke liye uske gale lag gaya. " i am sorry disha... " aur phir apne se alag karte hue kaha..

" kya mein tumse kuch kahun disha.. " disha ne samar ke sawal par han mein gardan hilai jise dekhte hi samar ghutne pe baith gaya aur disha ka hath apne hath mein le liya. ye sab dekhte hi disha ke dil ki dhadkane badh
gayi .

" disha mujhe nahi pata tha ki tumhare liye aaj ka din itna dukh se bhara hai , par shayad mein apne aap ko aur na rok pau isliye kehne jaa raha hun pichle 1 sal mein jitna bhi tumhe jana hai usne sirf tumse aur pyar karne par majbur kiya hai , i love you disha.. i love you... " dil ka izhar karte hi samar ne ring nikali aur disha ki ungli mein dal di.

disha ke liye ye sab ek jhatka sa tha uski nazar ring par atki rahi jise dekhte hue uski ankh se ansu utar aya par agle hi pal disha khushi mein khil-khila padi mano vo kab se issi pal ka intezar kar rahi ho.

" i love you too samar , i love you too.. " disha ke muh se apne liye pyar ka izhar sunte hi samar bhi khil-khila utha aur usne disha ko kas ke apne sine se jod liya...

" sach mein hum dono ka milan bhi kitna ajeeb tha..vaise tumne risk toh bahut bada liya tha mujhe bacha ke disha.... " samar ne disha ka hath apne hath mein liya hua tha aur vo khud khidki ki boundary par baitha tha.

" pyar mein risk nahi dekha jata samar.... mein toh tumse us din mauka dhund rahi thi baat karne ke liye par mujhe is tarah milega ye mein nahi janti thi varna mein apni true identity tumhe nahi batati.. " 

" acha ji.. yani ki aap hum par julm karke chali jati aur apko kya lagta hai hum apko aise jane dete.. " samar ne disha ka hath pakad ke use apni taraf khinch liya.

" hmm kitne ache din the vo samar.. na paison ki dikkat na rishton ki koi pareshani aur ab dekho ek pal mein career khatm hua aur uske baad itni badi galti kar baithe.. " disha ne nirash hote hue kaha.

" aisa kuch nahi hua hai disha , hum abhi bhi khush rahenge bas subah hone ka intezar hai.. uske baad mein aur tum itni dur ud jayenge ki kisi ke hath nahi ayenge.. " samar ne disha ka hath sehlate hue kaha.

" sahi kaha tumne samar... ud hi jayenge.... " kehte hue disha ne samar se apna hath chudaya aur dono ek dusre ki ankhon mein dekhne lage , dekhte hi dekhte.......

disha halka sa aage badi aur usne apna hath samar ke kandhe par rakh diya. samar muskurata hua uski ankhon mein dekh raha tha ki tabhi disha ne samar ko dhakka de diya , is hamle se bilkul anjan samar apne aap ko sambhal nahi paya aur piche ki taraf khidki se bahar gir gaya par kisi tarah palatte hue usne ek hath se boundary pakad li aur dusre hath ko disha ne pakad liya.

" disha... ye .. ye kya kar rahi ho... " hawa mein latakte hue samar chillaya.

" wahi jo mujhe bahut pehle kar dena chahie tha samar... " disha ki ankhon mein gusse ki jhalak samar saaf dekh paa raha tha.

" ye tum kya keh rahi ho disha.. dekho mazak acha nahi hai mujhe uppar khincho... " 

" isse pehchante ho.. " disha ne apni ungli mein pehni ring dikhai.

" disha ye kaisa sawal hai.. ye toh vahi ring hai jo mene tumhe di thi.. tum kya karna cha rahi ho please mujhe uppar khincho.... " 

" galat samar , ye ring tumhari nahi hai aur na hi meri .... " 

" tum kaisi ajeeb baat kar rahi ho , ye ring tumhari hi hai disha. " 

" jhuth samar.. jhuth... ye ring sanjana ki hai... " disha ke muh se sanjana ka naam sunte hi samar ke chehre ki rangat badal gayi.

" tumhe kaise pata ye ring sa..njana ki hai aur tum use kaise janti ho.. " samar ka dimag sunn padh chuka tha use samajh nahi aa raha tha ki achanak ye hua kya.

" sanjana meri behen thi samar aur uski ring pe uske naam ka initative tha jise ya toh vo janti thi ya phir mein... you killed her , you bastard... " disha ki ankhon se gusse ki jhalak samar ka halak sukha rahi thi.

" mene .. mene.. mene sanjana ko nahi mara disha.. trust me ... " samar ne haklate hue jawab diya.

" stop lying samar... hume uski body floor par khoon se latpat mili thi.. " disha ne samar ka hath chodna shuru kar diya.

" nahi disha... hath mat chodna.. mein sach batata hun.. han mein aur sanjana relation mein the , kareeb 1.5 sal pehle ki baat hai mein chori karne ek club gaya tha aur vahin meri mulakat use hui , mulakatein badhti gayi , usko mein pasand tha aur mujhe uske paise... par sach mein mene sanjana ka khoon paise ke liye nahi kiya.. " 

" shayad tumhe apni jindagi se pyar nahi hai samar.. " disha ne samar ka hath chor diya.

" nahi nahi.. nahi disha. nahi.. " samar ek hath se hawa mein latakte hue kaha jispar disha ab apna hath rakh chuki thi , " disha hath mat chodna please... mein sach bata raha hun , us raat mene bahut pi rakhi thi aur paise chinne ke chakkar mein mujhse sanjana ko dhakka lag gaya aur vo gir gayi.
nashe ki halat mein sirf paison se matlab tha isliye uske purse se paise aur ring leke mein vahan se chala gaya , mujhe sach mein hosh nahi tha disha varna mein use kabhi us halat mein nahi chodta.. mera yakeen mano disha.. " 

" tumne use marta chod diya samar... tumne use marta chod diya... " samar ki baat sunte hi disha ki ankh se ansu utar aya.

" mene jaan ke nahi kiya disha.. vo sirf meri ek galti thi... mein sanjana ko nahi marna chahta tha.. " 

" galti hoti toh tum use marta hua chor kar nahi jate samar.. nahi jate.... " disha ne chillate hue jawab diya.

" mein sach keh raha hun disha.. mera yakeen karo , mene kabhi use marna nahi cha vo sirf ek hadsa tha. "

" hadsa nahi vo murder tha samar jo tumne jaan ke kiya , tum chahte toh bacha sakte the use par tum apne lalch mein kho chuke the " 

" aisa nahi hai disha.. mein chor jarur tha par khooni nahi , mana mein use pyar nahi karta tha par mera yakeen mano mein tumse behad pyar karta hun , i love you disha.. please.. dont do this... mujhe samjhane ka mauka.. " samar ne itna kaha ki disha ne use bich mein rok diya.

" kash tum kar paate samar.. kash.. " kharash tone mein bolte hue disha ne samar ka hath us pakad se azad kar diya..

" dishaaa..... " samar ki ek halki cheekh nikli aur vo niche jane laga , uski aur disha ki ankhein kuch pal tak judi rahi aur phir disha khidki se hat gayi. 

khidki se dur hatte hi usne apne ankh se utar aye ansu ko hataya aur ring ko dekhne lagi....

" cut......bravo.... excellent shot disha.. excellent shot... brilliant... " topi pehne ek admi aya aur usne disha se hath milaya , kamre mein sabhi logon ki taliyun ka halka shor gunja aur phir shant ho gaya.

" excuse me.. " muskurate hue disha washroom ke andar ja ghusi. disha ke washroom mein jaate hi bahar se awazein ane lagi.

" congrats everyone for the nice work now pack up... " 

" ramesh sir.. sir.... " 

" kya hua...kyun chilla rahe ho sab. " 

washroom mein ghuste hi disha ne dawai ka patta almira se nikal kar use flush mein dala aur lambi sans chodte hue flush kar diya.

" aaj ki taza khabar mein hame ye batate hue bada khed ho raha hai ki apni pehli film kar rahe actor samar ki kal raat shooting mein stunt ke dauran heart attack se mrityu ho gayi. is achanak hue hadse se puri team abhi tak sadme mein hai . film ke nirmata ramesh singh ne bhari dukh jataya hai . vo stunt film ka akhri hisa tha jisme samar ko uppari manjil se niche fainka jana tha jise karte hue unki mrityu ho gayi. vahin unki mangetar actor disha chaudhary is vishay par baat cheet karne ke liye uplabhd nahi ho payi hai." chalte tv ko disha ne band kiya aur chehre pe ayi khushi ko udasi mein badalte hue vo ghar se bahar nikal gayi.

6 mahine baad film ek superhit sabit hui aur ek baar phir charcha mein chai rahi . " baat kare filmi parde ki toh pichle hafte lagi Reel To Real(R.T.R) ne tabad tod kamai karte hue is sal ke sabhi record tod diye aur aise hi agar janta is film ko pasand karti rahi toh ane valle dino mein shayad ye har record ko paar kar jayegi... " 


The End.

یکم جنوری 2022 سے نئے رولز کو لاگو کر دیا گیا ہے ۔ تمام سائلنٹ ممبرز کو فورم پر کچھ سیکشن کی اجازت نہ ہو گی ۔ فری سیکشن پر مکمل پرمیشن کے لیے آپ کو اپنا اکاؤنٹ اپگریڈ کرنا ہو گا ۔ اپگریڈ کرنے کی فیس صرف 5 ڈالر سالانہ ہے ۔ آپ کو صرف 5 ڈالر کی سالانہ ادائیگی کرنا ہو گی ۔ اور آپ کا اکاؤنٹ ایک سال کے لیے ایکٹو ہو جائے گا۔

×
×
  • Create New...
URDU FUN CLUB